heer aisa kyon kar rahi hai.....aaj meri beti giri aur mai usse utha bhi na saka....kitna bad kismat hoon main...p is extremely depressed n can't control his tears n drops to his knees n cries his heart out. h sees all this! she realises how much prem n chahat are suffering.
she cannot see prem crying that way she wants to console him....she wants to say soooo many things to him.....wants to tell him abt her love n pain....but she resists herself from doing any such thing n runs to the temple. she sits in front of mata ki murti n confesses all her feelings.
prem main tumhe iss tarah tootthe hue ya phir mere ya chahat ke liye tadapte nahin dekh saktiđ mujse tumhara dard bardaasht nahin hotađđ pichle dinon maine tumse itne rukhe pan se baat ki.....chahat aur tumhein alag kiya.....tumhein kya lagta hai....mujhe yeh sab karke khushi mil rahi hai?? achcha lag raha hai mujhe??? nahin prem nahin....ek pita ko uski beti se juda karke mere dil ko kaise chain mil sakta hai???sirf main janti hun ki yahan tak ka safar mere liye kitna mushkil tha. jab mujhe pehli baar pata chala ki main maa banne wali hun toh muje toh jeene ki wajah mil gayi.....jitna ho saka maine ek achhi maa banne ki koshish ki.....akele ek anjaan sheher mein ek choti si bachi ke saath....asaan nahin....sirf main jaanti hun ki kitni ratein mein royi hun tumhare saath ke liye, bhale hi geet aur aunty ji mere saath thi par tumhare sahare ki kami mujhe humesha mehsoos hoti thi....par apni chahat ke liye maine haar na mani....chahat ko har woh khushi dene ki koshish ki jo tum usse dete....apni ek choti si duniya bana li thi hum dono ne jis mein hum bahut kush the....par jab hotel mein maine harman aur thumhein dekha toh jaise zindagi mein toofan aa gaya.....itni tapasya se main zindagi mein aage badhi thi par tumhare aate hi woh sab ek pal mein bekar ho gaya.....ek pal mein main dubara apni zindagi ke uss kathin mod par aa kar khadi ho gayi jisse mein kabhi yaad nahin karna chahti thi.
prem main bahut pahle hi tumhein chahat ke bare mein bata dena chahti thi....maine ek chitthi bhi likhi thi par kabhi usse canada nahin bhej payi. kitne sapne dekhe the hum dono ne apni beti ke liye.....maine toh kabhi socha bhi nahin tha humari zindagi mein yeh din aayega jub mujhe tumhein apni bachchi se door karna padega.....main bhi chahti thi ki humare bache hon aur hum saath rahein....par ab main majboor hun. agar main chahat ko bataun ki tum ho uske pita toh woh mujhse poochegi ki hum saath kyun nahi rehte??? phir main usse kya jawaab dungi?? kaise sunaungi usse tumhari bewafayee ki kahani??? woh tumse nafrat karne lagegi aur yeh main nahin dekh sakti....yeh sach chupaane ke liye shayad chahat mujhe kabhi maaf na kare par main woh seh lungi....lekin meri chahat mere prem se nafrat kare woh main nahin seh sakti....chahat ke liye yehi jaanana thik hoga ki uske papa jaise bhi hain....jahan bhi hain....sabse achche hain. main nahin jaanti ki main jo kar rahin hun woh sahi hai ya nahin....par itna janti hun ki hum phir se pehle ki tarah nahin reh sakte. humara pyaar bahut paak hai mere liye.ab
main agar tumhare saath rahun bhi toh bhi mera man tumhara nahi hoga. jab bhi main tumhein dekhungi mujhe woh raat ayegi. mere dil mein bhale tumhare liye pyaar ho par meri ankhon mein tumhare liye wo izzat, woh vishwaas nahin hoga yeh main nahin chahti. main nahin chahti
ki tumhare paas hote hue bhi tumse door rahun....tumse baat karun par adhe man se.....tum se baat karte hue mujhe aisa lage ki main ek bewafa insaan se baat kar rahi hun jo abhi toh mere saath hai par aage ka bharosa nahin....humara rishta mere liye is duniya ki sabse khubsoorat chiz hai aur usse kuch bhi kum mein main usse nahin apna sakti....ho sake toh mujhe maaf kar dena prem.....mujhe maaf kar dena chat
at the other end prem feels as if heer is adressing him.....he can hear her calling him.....he decides that he'll now have to talk to her
guys i wanted to bring my views abt heer's thoughts.plz comment.
SHILPA
INDEX
part 2-pg 4
part 3a-pg6
NOTE-pg10
part 3b-pg12
part 4-pg 15
LAST part-pg 16
special NOTE-pg 18