PART50
Mitali: kaisa sach?
Heer: yahi ke ab prem aur main saath nahin reh sakte.
Mitali just looked at her
Heer: kya dekh rahi ho tum?
Mitali: heer tum ab mujhse bhi baatein chupaane lagi ho
Heer: aisa kuch nahin hai
Mitali: acha. Tum kehti ho ke tum aur prem saath nahin reh sakte lekin main jaanti hoon ke tum aur prem kabhi alag huwe hi nahin the. Maine hamesha tumhari aankhon mein uska chehra dekha hai. Pichle paanch saalon mein nafrat bankar hi sahi lekin bas prem tumhare dil mein tha aur ab to woh nafrat bhi nahin hai. Kuch aur hai, kuch aisa jo tum batana nahin chahti. Aur is baar main tumhein majboor nahin karoongi.
Juneja house
Prem's room
Prem n Additi were sitting on bed n Prem wanted to know abt Heer's rude behaviour.
Prem: beta kya aapka mama se koi jhagra huwa tha?
Additi: nahin
Prem: to phir aap papa ke paas kyun aana chahti thi? Aur woh bhi mama ke bina. Aap mama se bohot karte ho to aap unke bina kaise rahoge?
Additi: mama aapke paas nahin aana chahti aur main aapko bohot miss karti thi is liye main aagayi
Prem: kya mama ne aapko bataya ke woh kyun nahin aana chahti?
Additi: nahin
Prem: aap ne unse poocha?
Additi shook her head giving Prem a negative response. Prem didnt came to know abt the truth.
Additi thought: sorry papa aapki princess ne aap se jhoot bola. Agar main aapki princess hoon to mama ki angel bhi hoon. Mujhe apne magic wand se mama ko theek karna hai.
Prem tried to cheer her up: beta don't worry sab acha hoga hum mama ko bohot jald wapas le aayenge, okay my princess!
Additi weakly smiled: okay
Additi's mansion
Bedroom
Heer entered in her room feeling incomplete without her family. She sat on bed n remembered her moments with Additi. The day her angel arrived in this world, the day she brought a one year old Additi in this mansion. Heer worked hard day n night n managed to build a mansion for her daughter. Now this house seems to be empty n worthless. Suddenly Heer's cell rang n interrupted her thoughts.
Heer: hello
Dr Rachna: hello heer I am back. Maine UK ke doctors se baat karli hai ab humein operation mein dair nahin karni chahiye. Tum kal hospital aajaao mujhe tumhara check up karna hai.
Heer: okay doctor
Dr Rachna: take care
Morning at Juneja house
Additi was peacefully sleeping on bed, she rested her head on Prem's arm while Prem stayed awake whole night. He looked at his princess who recently have gone through the pain of getting separated from her mother.
Prem thought: heer tumhare bina jeena kitna mushqil hai yeh main bohot ache se jaanta hoon, is dard ko maine bohot kareeb se mehsoos kiya hai lekin ab tum ne wahi dard hamari beti ko bhi de diya aur main. Main har baar ki tarhaan kuch nahin kar paaya. Tum mujhe chor ke chali gayi maine kuch nahin kiya, tum ne khud ko mujhse aur hamari beti se alag kar diya main phir bhi chup chap dekhta raha lekin ab. Ab bohot ho gaya ab meri bas ek hi koshish rahegi ke main additi ko khush rakh sakoon.
Suddenly the alarm rang n Prem realized that its time to get Additi ready for school.
Additi woke up n saw Prem. She greeted him: good morning papa
Prem: good morning my princess
He kissed her on head n Additi became sad
Prem: kya huwa?
Additi: mama bhi har subah aise karti thi.
Prem kissed Additi for 2nd time on her forehead n said: good morning my angel
Additi smiled, that is all what Prem wanted.
Prem got up from bed: chalo ab jaldi se tumhein tayaar karte hain warna additi juneja school ke liye late hojaayegi
Additi: lekin sab cheezein bags mein pari huwi hain. School uniform, school bag, lunch box, water bottle yeh sab mama ne kaun se bag mein pack kiya hain mujhe to nahin pata. Sab dhoondne mein time lagega.
Prem thought for a minute: hmmm iska ek hi solution hai aaj tumhare school ki chuti
Additi: kya? Lekin main to kabhi chuti nahin karti
Prem: is baar aapke papa ki taraf se aapko holiday
Additi stayed quiet n Prem went towards her
Prem: I know beta aapko apna school aur apne friends ache lagte hain lekin bas aaj ke din aap mat jaao. Aapka school bag, lunch box, water bottle'kuch rehgaya?
Additi: haan the most important, uniform!
Prem: right, aur uniform yeh sab main nikaal doonga aur kal se aap school chali jana.
Additi: to aaj main kya karoon?
Prem: good question! aaj aap aur main poora din ek saath guzaarenge aur bohot masti karenge. Main bhi office nahin jaaonga okay?
Additi: okay
Prem: chalo now lets get ready neeche hamara breakfast par sab wait kar rahe hain.
He picked her up in arms n headed towards the bathroom to get ready.
Heer woke up n said: additi chalo utho subah hogayi hai
Heer saw that Additi is not in room, she said: yeh larki bhi na, uthte hi apne toys ke saath khelne chali jaati hai. Tab tak main iski uniform nikaal deti hoon.
She opened the cupboard n saw toto bear in it. She remembered that Additi is at Juneja house. She took out the bear n saw a chit of paper in it. On the paper it was written: "for mama"
Heer cried n tightly hugged the bear. She said: yeh toto bear meri additi ka sab se favourite bear hai aur ise woh yahan chor kar gayi hai apni mama ke liye. Additi aap theek kehti ho.
Flashback
Heer was trying every trick to make sure Additi goes to sleep but Additi was being very naughty. She kept on talking non stop since there was a weekend ahead so Additi preferred to stay awake till late.
Heer: additi meri maa aap plzzz so jaao
Additi laughed: noooo, mujhe nahin sona
Heer: additi tum bohot shaitaan hoti ja rahi ho
Additi: mama kabhi aap kehti ho ke main aapki maa hoon, kabhi kehti ho ke main shaitaan hoon. I am confused! Kya aapki mama shaitaan thi?
Heer: bad girl apni nani ko shaitaan keh rahi ho?
Additi: maine thori kaha yeh to aap kehna chahti ho
Heer: acha chalo yeh toto mujhe do, jab tak yeh bed par rahega tum sone nahin jaaogi
Additi: no mama ise mat le jaao
She hugged her bear. Additi: yeh mera sab se favourite bear hai
Heer: fine, tum apne bear ko hug karo mama ja rahi hai apne room mein
Additi: no mama plz mat jaao
Heer: to phir aap mama ki baat kyun nahin sunte?
Additi: mama jitna pyar additi aap se karti hai utna pyar aap usse nahin karti
Heer: jee nahin mama bhi aap se utna hi pyar karti hai
Additi: no, main aap se zyada pyar karti hoon
Heer: no beta main bhi to karti hoon
Additi: nopes main karti hoon
The argument continues!
Heer after coming into real world said: aap ne theek kaha tha, additi mama se bohot pyar karti hai. Jitna pyar aap ne mama se kiya utna pyar mama aap se nahin kar paayi. I am sorry beta!
Mitali entered in room: heer main additi ke paas ja rahi hoon. Use tumhare bina rehne ki aadat nahin hai, mere wahan hone se shayad uska dukh thora kam hojaaye.
Juneja house
Mitali entered in house with her bag. Kulraj while going in the kitchen saw her making an entry.
Kulraj: acha huwa tum aagayi, main kitchen mein ja rahi thi additi ka nashta banaane. Samajh mein nahin aaraha ke kya banaaon. Uski pasand, napasand ka humein kuch nahin pata.
Mitali: don't worry main tumhein bataati hoon, chalo.
They went in the kitchen to prepare breakfast.
After a while Prem n Additi came downstairs, everyone was waiting for them.
Gaya3: are wah aaj to hamari guriya bohot pyaari lag rahi hai, aapko papa ne tayaar kiya hai?
Additi replied positively
Gaya3: aap bilkul papa ki princess lag rahi ho
Prem: chalein my angel
Additi smiled n with him walked towards the dining table.
Additi used to love it when someone said to her that she is her papa's princess but now she's missing her mom very badly so she likes it more when people call her angel.
Mitali: hello additi!
Additi saw Mitali n excitedly said: masi aap aagayi
She hurried to hug her, now that her masi is here so she feels being at home.
Breakfast time
Juneja family hid their sadness with smiles n laughs for the sake of Additi's happiness. But Additi quietly just ate her breakfast, she didn't complained once n didn't uttered a single word. Her behaviour was quite noticeable. Prem's cell rang n he went in corner to attend it.
Prem: hello
Heer stayed quiet
Prem: heer main jaanta hoon ke tum ho
Heer: maine sirf yeh poochne ke liye phone kiya hai ke'
Prem: ke additi school kyun nahin gayi hai na?
Heer: tumhein kaise pata?
Prem: main jaanta hoon ke yeh tumhari doosri call hai. Pehle tum ne phone kiya hoga principal ko, jab unhon ne kaha ke additi school nahin aayi to tum ne mujhe phone kiya.
Heer: yeh sab tumhein kaise'
Prem: heer zindagi mein sirf tumhi se pyar kiya hai, saaton janmon ke liye dil ka rishta jora hai tumhare saath. Tumhari har aahat ka pata hai mujhe.
Heer: main bas yeh jaanna chahti hoon ke additi school kyun nahin gayi? Woh theek to hai na?
Prem: haan woh theek hai, uski cheezein nahin mil rahi thi isliye woh nahin gayi.
Heer: uske school ka sab kuch brown color ke bag mein hai
Prem: uski itni fikar hai tumhein to tum uske paas kyun nahin aa jaati?
Heer remained silent for a while then said: main phone band karti hoon mujhe kahin jana hai.
Additi for the rest of the day didn't talked much. She used to be a chatterbox at home but now she is no more the naughty child. From time to time she missed her mama. She didn't played with Tanu n her dolls. She didn't want to go out for icecream. She just played football for sometime with Prem but when Prem did cheating in the game she didn't argue with him n let him win the game. Prem's efforts were ruined n he couldn't help her out. At night Additi hugged her bears shona n sweetu. With tears she went to sleep. Prem touched her daughter's wet cheeks, he gently kissed her n made her sleep in his arms.
Heer after talking with Prem went to hospital for check up. After getting all done she was walking slowly in corridor n then sadly sat on bench which was in a corner of corridor. Beside her was a woman who held reports in hand. She was crying n looked tensed.
Heer: kya huwa hai? Tum ro kyun rahi ho?
Woman: main apni chahat ke liye bohot pareshaan hoon. After a while she asked: aur tum?
Heer: mera bhi kuch yahi haal hai
Woman: main apna dard bardaasht kar sakti hoon lekin uska nahin karsakti
Heer: insaan ko apne dard ki parwaah nahin hoti. Darr to sirf is baat ka hota hai ke jab hamare apnon ko hamari takleef ka pata chalega to kya hoga. Main apne prem ko dard nahin pohonchana chahti.
Woman: aur main apni chahat ko dard mein nahin dekh sakti
Heer: chahat aur prem dono ka ek hi matlab hai aur dono ka rishta dil se hota hai.
Woman: to phir bataao tumhara prem kaun hai
Heer: prem mera pati hai, mera pyar hai aur meri bachi ka pita bhi. Aur tumhari chahat?
Woman: chahat meri beti hai
Heer: kitne saal ki hai
Woman: bas december mein paanch saal ki hone waali hai.
They both up, Heer was abt to go home while the woman had to go in the room for an appointment with her doctor.
Woman: main dua karti hoon ke tumhara prem, tumhari chahat tumhein mil jaaye.
Heer: aur main dua karti hoon ke tumhari chahat bilkul theek ho jaaye.
They both went in separate ways
Shayad kisi raah par yeh dono phir mil jaayein!