Originally posted by: pisces26
HELLO BROTHER
--FEMALE--
Chupke se koi aayega
Phir meri neend churaayega
Phir saari raat jagaayega
Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho
--MALE--
(O maine kyoon pyaar kiya
Yeh dil beqaraar kiya) - 2
--FEMALE--
Mm, chupke se koi aayega
Phir meri neend churaayega
Phir saari raat jagaayega
Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho
--MALE--
(O maine kyoon pyaar kiya
Yeh dil beqaraar kiya) - 2
Saanson mein ajab si pyaas jage
Dil ko jo koi apna sa lage
--FEMALE--
Dekhe yeh zamaana pyaar mera
Sach hota koi sapna sa lage
--MALE--
Na jaane kya chaahat hai
Yeh dil ki jo haalat hai
--FEMALE--
Guzarti hai mujhpe kya, kaise kahoon
--MALE--
Ikraar bhi mushkil hone laga
Inkaar bhi mushkil hone laga
Ab chain bhi mera khone laga
Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho
--FEMALE--
(O maine kyoon pyaar kiya
Yeh dil beqaraar kiya) - 2
Is dil mein chhupa toofaan koi
Nikla na mera armaan koi
--MALE--
Ek pal bhi mujhe aaraam nahin
Yeh jaan ke hai anjaan koi
--FEMALE--
Deewani main ho jaaoon
Ke yaadon mein kho jaaoon
--MALE--
Machalta hai dil mera, main kya karoon
--FEMALE--
Betaab si lagti har dhadkan
Kab suljhegi aakhir yeh uljhan
Kahin jaan na le le paagalpan
Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho
--MALE--
(Ho maine kyoon pyaar kiya
Yeh dil beqaraar kiya) - 2
--FEMALE--
Aa, chupke se koi aayega
Phir meri neend churaayega
Phir saari raat jagaayega
Yeh sochke dil ghabraaye mera, ho
--BOTH--
(O maine kyoon pyaar kiya
Yeh dil beqaraar kiya) - 2
RANG DE BASANTI
Lata
Luka Chuppi bahut huyi saamne aa ja naa
Kahan kahan dhoondha tujhe
thak gayi hai ab teri maa
Aaja saanjh hui mujhe teri fikar
Dhundhla gayi dekh meri nazar aa ja na (2)
A. R. Rahman
Kya bataoon maa kahan hoon main
Yahan udney ko mere khula aasmaan hai
Tere kisson jaisa bhola salona
jahan hain yahan sapno vala
Meri patang ho befikar udd rahi hai maa
Dor koi loote nahin beech se kaate na
Lata
Aaja saanjh hui mujhe teri fikar
Dhundhla gayi dekh meri nazar aa ja na
Lata
Teri raah takey aankhiyaan
jaane kaisa kaisa hoye jiyaa (2)
Dhire dhire aangan utre andhera, mera deep kahan
Dhalke suraj kare ishara chanda tu hai kahan
Mere chanda tu hai kahan
Luka Chuppi bahut huyi saamne aa ja naa
Kahan kahan dhoondha tujhe thak gayi hai ab teri maa
Aaja saanjh hui mujhe teri fikar
Dhundhla gayi dekh meri nazar aa ja na (2)
A. R. Rahman
kaise tujhko dikhaun yahaan hai kya
Maine jharne se paani maa tod ke piya hai
Guchcha guchcha kai khwabon ka uchal ke chuwa hai
Chaaya liya bhali dhoop yahaan hai
Naya naya sa hai roop yahan
Yahaan sab kuch hai maa phir bhi
lage bin tere mujhko akela
Lata
Aaja saanjh hui mujhe teri fikar
Dhundhla gayi dekh meri nazar aa ja na (3)