AnuPre FF:Game Plan-Part 46 & 47 - Page 11

Created

Last reply

Replies

218

Views

71k

Users

30

Likes

401

Frequent Posters

Silhoutte92 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago

Res..

I have read this already.

Do cont soon

aarushi04 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 4
Posted: 6 years ago

I love this ff of anupre....

It's Intense and shows a strong woman character of Prerna.....

Loved prerna how she confronted Anurag and decided to take revenge....

Still want to see more of their arguments during komo phase n now....

Continue Soonish

BurakZeynep thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 7th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago

Chapter 18

~The next morning~

Mohini Basu was heading towards the kitchen when she saw Veena and Suman enter Basu Bari.Approaching them,she greeted,"Arre Veena,Suman aao na.".Veena folded her hands,and said,"Namaste, Mohiniji,woh hum yaha Moloy Bhaisaab ko dekhne aaye hai.Ab kaisi tabiyat hai unki?". Mohini replied,"He's much better now. Woh apne kamre mein hain,chalo main tumhe unke paas le chalti hu,tumse milkar unhe achcha lagega". Without waiting for Veena's response Mohini turned around and walked towards her room.As she walked, Mohini nervously cast a glance towards Anurag's room.The door was still closed.It was 10am now.Her son was always up by 6 a.m.Last night when she walked in on Anurag sleeping on Prerna's lap she was surprised to say the least.But, nonetheless she grabbed this unexpected opportunity and tricked Prerna into spending the night at Basu Bari with Anurag, hoping that seeing him like this so hurt and broken might melt her heart and convince her to give their marriage another chance.But now that Veena was here,sooner or later she would demand to see Prerna and Shivani.How was she going to explain Prerna spending the night in Anurag's room,Mohini had no idea.As they entered the room, Moloy looked up from his newspaper.Seeing Veena approach, Moloy Basu smiled,"Arre,Veena Bhabhi aaiyye na.Baithiye.Suman beta tum bhi baitho.".Anupam,who was standing next to the bed,made way for Veena to sit on the bed,and pulled out a chair for Suman to sit.Mohini said,"Aap log baat kijiye main aap logo ke liye kuch khaane ka bandobast karti hu.".Veena protested,"Arre nahi,Mohiniji iski zaroorat nahi hai.Hum to bas-". Moloy cut her off,"Veena Bhabhi,please aap mujse Milne aayi hai,aapko mere saath ek cup chai to peena hi parega,dekhiye manaa mat kijiye.".Veena sighed,"Achcha theek hai, Moloy Bhaisaab lekin bas chai hi peeyenge.".Mohini smiled,"Achcha theek hai,aap log baat kijiye main abhi aap logo ke liye chai naashta leke aati hu.".Saying this, Mohini turned around and walked towards the kitchen, leaving her guests to chat.

~~~~X~~~~~

--Outside Basu Bari---

"Toh tumne apne dad ke lawyers se baat ki?",Ved asked as he shut the car's door."Haan", Mishka replied, getting down from the other side of the car."Didu,sach bol rahi thi.Mom ki jewellery Dad ke locker mein hi Hain.".Ved asked,"Haan,toh unka death certificate release hone mein abhi ek hafta lagega,uske pehle tum bank jaakar locker se apni mom ki saari cheeze nikaal lo, simple.". Mishka gave him a sad smile and said,"Nahi, Ved it's not so simple.Uss locker ki chaabi kaha hai woh koi nahi jaanta.Maine dad ke lawyers, accountants sabse baat karke dekh liya,lekin unn mein se kisiko nahi pataa woh chaabi kahaa hai.Aur locker ki nayi chaabi aate aate bohot der ho jayegi,tab tak Enforcement Directorate waale dad ke saare accounts freeze kardenge.". "Toh woh locker ki chaabi Komolika ke paas hai.",Ved deduced."Haan,ya at least usse pata hai woh chaabi kaha hai .All I know ki woh chaabi agar ghar mein hoti toh ab Tak police waalon ko toh woh mil hi jaati.(shaking her head)Nahi,sirf Komolika hi jaanti hi ki woh chaabi kaha hai.".Ved walked up to Mishka and gave her a hug.Mishka may have never spoken about her mother,but he knows what it's like to lose a parent, especially when it was a parent that cared about you.Breaking the hug,he gently asked,"Ab tum kya karogi?". Mishka replied,"Pata nahi,lekin mujhe ek baat ka toh achche se pataa hai ki main Komolika ko wapas hum sab ki life mein nahi aane dungi.Main ab woh pehli wali Mishka nahi hoon,Jo apne Didu ko galat karte dekh chup chap baithi rahegi.Komolika ko uske kiye ki sazaa iss bar milkar rahegi,main woh evidence usse nahi dungi."Mishka said with a determined gleam in her eyes.Ved smiled at her,from a timid and insecure girl Mishka had really evolved into a fair and brave person in these few months.Lovingly,he said,"You know what?I love you.". Surprised,Mishka gave him a shy smile,"I love you too.".They looked at one another for a minute, until Ved said,"Achcha Chalo,ab hum andar chalte hai hume Moloy uncle se bhi toh milna hai.".Taking Mishka's hand Ved headed towards Basu Bari's entrance. As they entered,Mishka said,"Ved please,tum Prerna ko yeh mat batana ke kal raat usse Mohini Aunty ne dhoke se Basu Bari mein rukwaaya tha.".

Surprised,Ved asked,"Kyu?".Mishka replied,"Dekho Ved,abhi already yaha Moloy uncle ke health ko lekar bohot tension chal rahi hai,upar se unke business ke problems.Main nahi chahti ke ab Prerna aur Basu's ke beech ek aur problem start ho jaaye.Aur waise bhi unka divorce toh waise bhi hone hi waala hai,toh Kya fark padhta hai Mohini Aunty koi chaal chal rahi hai toh,at the end of the day hoga wohi naa Jo Anurag aur Prerna chahenge,hai na?".Ved nodded,"Haan,shayad tum sahi keh rahi ho.Main bas yeh nahi chahta ke apne bête ke khushi ke liye Mrs.Mohini Basu Prerna par koi dabaav daale".Mishka reassured him,"Aisa kuch nahi hoga,Ved.Prerna,bohot strong hai,usne apni life mein bohot kuch dekh liya hai woh sab kuch handle karlegi".Ved nodded.As they entered the hall of Basu Bari,they saw Mohini coming from the kitchen. The moment Mohini sees Ved and Mishka she gives them a tight smile.This morning was really filled with unexpected guests.Oh God,Mohini thought impatiently,aa gaya Prerna ka jasoos dost.Veena aur Moloy ko to main phir bhi samjha dungi,lekin agar iske sawaal shuru ho gaye toh shayad mera jhooth pakra jayega.Walking up to them she said,"Arre?Tum dono yaha itni subah subah?".Mishka replied,"Haan,aunty woh humne suna ke Moloy uncle ki tabiyat theek nahi thi,toh hum bas unhe dekhne chale aaye-" Bed cut her off,"-aur hum Prerna se bhi milne aaye hai,uska pair ab kaisa hai?(looking around)Woh kahi dikhayi nahi de rahi hai,kaha hai woh?".Mohini glared at Ved,"Prerna abhi tak uthi nahi hai,woh aaraam kar rahi hai.Tum log chalo mere saath main tum logo ko Moloy ke paas leke chalti hu.".Ved and Mishka were about to follow Mohini when Ved saw Shivani coming down from the staircase.Shivani smiled at Ved,"Arre Ved bhaiyya,Mishka tum log yaha?".Mishka replied,"Haan,hum log yaha Moloy uncle ko dekhne aaye hai.Waise Prerna bhi tak uthi nahi neendse?". Confused, Shivani replied,"Nahi,Priyu Di raat ko mere saath nahi thi woh toh-", almost involuntarily her head turned towards the close door of Anurag's room.Ved and Mishka followed her gaze.Ved turned a quizzical brow at Mohini,who blushed red.Before she could say anything,Veena entered the hall.Seeing Shivani,Veena started,"Arre,Shivi achcha hua tu uth gayi,Priyu kaha hai?".Her question was met with an awkward silence from everyone,until Mohini spoke up,"Veena,woh....Prerna....Onu ke kamre mein aaram kar rahi hai.".Veena looked uncomfortable at this,she was about to say something when Mohini spoke up,"Woh kal raat uske pair mein chot lagi thi,woh chal nahi pa rahi thi....iss liye usko Onu ke kamre mein rukna para..". Concerned,Veena asked,"Usse zyada chot toh nahi aayi na,mohiniji?". Relieved to change the topic Mohini replied,"Arre nahi nahi,halki si chot thi, I'm sure abhi tak toh theek bhi ho gayi hogi....(smiling as an idea occurred to her) actually achcha hua tum mujhe yahi mil gayi woh main Rivu Da se kaha tha Prerna ke liye breakfast bana de, kya tum please mere saath kitchen mein chalkar dekhogi ki uska khaana theek se ban raha hai ya,shayad main kuch gayi hu?".Veena nodded,"Jee Mohiniji,chaliye.". Watching Veena and Mohini head towards the kitchen,Shivani commented,"Mujhe na abhi bhi vishwas nahi hota ke kakimoni itna badal gayi hai.Kabhi kabhi(chuckling) toh Mujhe aisa lagta hai ki aaj bhi koi chaal chal rahi hai,aur inhone Priyu Di ko sachme accept nahi kiya.".His eyes following Shivani's,Ved commented thoughtfully,"Shubh Shubh soch Shivani,ho sakta hai inhone sach main Prerna ko accept kar liya hai aur iss liye yeh nayi chaal chal rahi hai.".Shivani gives Ved a baffled look,"Kya?!".Receiving Mishka's stern glare,Ved quickly checks himself,"Kuch nahi,chal humlog Moloy Uncle se milkar aate hai.".Shivani nodded and all three of them headed towards Moloy's bedroom.

~~~~~~~~X~~~~~~~~~~~

Finally all alone with Moloy,Suman decided to execute her plan.Getting up from the chair,she sat where Veena was sitting.Moloy smiled at her and asked,"Kaisi ho Suman beta?".Suman feigned a tired sigh,"Poochiye mat Kakababu,humne toh raat ko sona hi chhordiya hai.Jab tak uss Komolika ko sazaa nahi milti na,hume nahi lagta ke hum chain ki neend so payenge.". Moloy reassures her,"Arre,tum ghabra kyu rahi ho,beta?Woh ladki ab jail mein hai,woh ab humlogo ka kuch nahi bigaad sakti.".

Suman scoffs,"Bura mat maaniye Kakababu par woh ab pehle se bhi zyada khatarnaak lagti hai hume.Apne suna nahi? uska jail mein kissi aurat ke saath jhagra ho gaya,aur iske kuch ghanto baad hi uss aurat ko hospital jaana para spinal injury ke kaaran.Ab aap hi sochiye, kissi maamuli si jhagre ke wajah se agar woh kissi ka itna bura haal kar sakti hai,toh hum sab aur khaas kar ki Prerna Didi ka woh kitna bura haal karegi?!".Moloy shuddered at her words,he protested,"Arre nahi,beta.Aisa kyu sochti ho?Komolika ab bilkul akeli hai,uske paas na apne pita ka power aur naa hi koi aur sahaara,tumi ghabra ne ki koi zaroorat nahi hai beta.".Suman gave Moloy a clipped smile,this was going to be harder than she anticipated.At the mention of Prerna's life being under threat she had expected him to beg her and her family to stay in Basu Bari,but instead he's reasoning with her.Trying her luck once again,she said,"Lekin uske bhai Ronit ka kya?Kya pata shaayad wohi baahar se apni behen ki madad kar raha hai.Aakhir woh bhi toh Prerna Didi se aur hum sabse utni hi nafrat karta hai jitni ki uski behen.Aur ab toh Prerna Didi ki wajah se uski behen ko jail honewaali hai,ab pata nahi woh sir phira kya karega.Hume toh darr lagta hai ki Prerna Didi ka gussa kahi woh Shivani pe na nikaale.Apne usse nahi dekha kakababu,aapko pata hai,ek baar toh woh nashe ki haalat mein humare ghar mein ghus aaye tha aur Shivi ke saath maar peeth karne laga!Woh toh bhala ho Anurag jo unhone sahi waqt par aakar Shivani ko bacha liya.Uss din(faking her tears) toh humare pati aur Mahesh bhi ghar mein nahi the,agar sahi waqt par Anurag nahi aata to pata nahi kya ho jata". Looking up,Suman saw Moloy frowning as if deep in thought. Suman continued,"Sach kahe Kakababu,kal jab kakimoni humare ghar aayi thi hume Basu Bari le jaane ke liye tab hum unke saath jaana chahte the kyuki hum jaante hai ki yaha aapki nigraani mein Prerna Didi aur unka bachcha surakshit rahega.Aur sirf hum kyu?Ma ko bhi yahi lagta hai,aur yahi baat woh kal Prerna Didi ko bhi samjhaane ki koshish kar rahi thi,ki Prerna Didi sabse zyada surakshit yaha rahengi Basu Bari mein,kyuki uss ghar mein saraa din toh bas Ma aur hum rehte hai, bhagwan na kare agar uss Ronit ne apni behen ka badla lene ke liye Prerna Didi ya unke honewaale bachche ko kuch kar diya toh Ma toh apne aap ko kabhi maaf nahi kar paayengi.".

Moloy asked,"Agar aisi baat hai toh kal tum log Mohini ke saath yaha aaye kyu nahi the?Kam se kam Veena bhabhi mujhse toh baat kar sakti thi".

Suman quickly said,"Woh aapse kuch kaise kehti Kakababu.Aap toh jaante hi hai ki jald hi Prerna Didi aur Anurag ka talak hone waala hai,aur aapke aur humare parivaar ke beech jo kuch bhi hua uske wajah Ma ko aapse yeh baat kehne mein sankoch hai.Lekin ab humse ab yun darr darr ke jeena aur bardasht nahi hota kakababu.Pehle jab Shekhar ko ghar aane mein der hoti thi,hume pata hota tha ki woh kaam mein busy the.Lekin kal(fake crying) jab unka phone nahi lag raha tha aur woh late pohochhe hume toh laga ke hum unhe kabhi dekh hi nahi payenge.".After a few moments of silence Moloy said,"Tum chinta mat karo beta mera aur Onu ke hote hue Prerna aur tumlogo ko kuch nahi hoga.".Just then Ved Mishka and Shivan walked in, before any of them could say anything Moloy directed a question at Ved,"Ved,kya yeh baat sach hai ki Komolika ke jail ke andar kisi qaidi pe attack kiya?".Ved's eyes went from Moloy to Suman Kal raat ko Shekhar ke saath yeh news mujhe nahi share karna chahiye tha,he thought ruefully.Clearing his throat,he said,"Jee hai,uncle yeh baat sach hai usne khud yeh baat Mishka se admit Kiya tha". Watching Moloy's worried face,he tried to pacify him,"Lekin hume usse darr ne ki koi zaroorat nahi,woh jail mein aur woh humara kuch nahi bigaad sakti yeh baat woh bhi jaanti hai,iss liye woh apna gussa aise doosro pe nikaal rahi hai". Moloy turned his gaze to Mishka,"Waise Mishka Ronit kaha hai aaj kal?Tumhari usse baat hoti hai kya?". Surprised to be questioned about her brother,Mishka replied,"Uncle woh.... actually Dad aur didu ke saath jo bhi hua uske liye Ronit mujse bohot naraaz hai.Maine aakri baar usse dad ke antim Sanskaar mein dekha tha,uske Baad toh woh Delhi chala gaya.". "Oh", Moloy muttered thoughtfully,"Toh kya woh abhi bhi Delhi mein hai?".Mishka replied,"Haan,uncle.I mean woh mujse baat toh nahi karta,lekin meri uske hostel ke in charge se aksar baat hoti Rehti hai,wohi mujhe uski saari khabar dete rehte hai.".

Suman didn't like where this was heading.Her aim was to create fear in Moloy's mind that the Sharma's were in danger and needed his protection.Trying to salvage the situation,she questioned Mishka,"Uske hostel ke incharge ne kaha aur tumne Maan liya?!Aisa bhi toh ho Sakta hai ki woh Ronit ke kehne pe tumse jhoot bol raha ho?Bura mat maan na Mishka lekin tumhara bhai kitna khatarnaak aur pagal hai yeh toh humne bhi dekha hai,aur jis Prerna aur Anurag ke wajah se uski behen jail mein hai,Shivani usse door hai woh unse badla na lekar chup chap Dilli mein pada hai?!Yeh toh hum nahi maan sakte! Balki hume toh yeh lagta hai ke woh chhupkar intezar kar raha Prerna Didi aur Anurag pe agla vaar karne ka.",Moloy couldn't help but reflect on Suman's words,it was really strange that someone as hot headed and vindictive as Ronit would go back to Delhi instead of avenging his sister's insult,let alone help his sister out.Shaayad Suman sahi keh rahi hai,Prerna ki Jaan ko abhi bhi khatra hai.Main abhi Veena Bhabhi se baat karta hu.Unse kahunga ke jab tak uss Ronit ki koi pakki khabar nahi milti,woh sab yahi humare saath hi rahe, Moloy thought determined.

~~~~~~X~~~~~~

As the rays of sun hit her eyes, Prerna Sharma Basu blinked a little.Opening her eyes,the first thing she saw was her arm wrapped around a torso, and a hand holding on to it tightly.Prerna looked up to see who that hand belonged to, only for her nose to brush against Anurag's cheek.Lifting her head up she tried to move away from him only to realize that he had tightly wound his other arm around her shoulder in a vice like grip.Recollecting how he had cried in her lap last night and how closely he was holding her now,Prerna couldn't help but smile a little.Looking at their reflection in the mirror she thought,Maine tumhare saath aise hi Zindagi ka sapna dekha tha Anurag,jaha hum dono apna har sukh har dukh ek doosre saath baattenge lekin ek doosre ka saath kabhi nahi chhorenge.She frowns as she thinks of their past,kaash tumne bhi yahi sapna dekha hota,toh shayad mujhe aur khudko itni takleef nahi dete.Deciding that it was time to get back to reality,she pulled her hand out of Anurag's grip and sharply prodded his shoulder,"Anurag!..Anurag,utho...subah ho gayi hai".Anurag slowly opened his eyes.His annoyed expression at having been woken up so unceremoniously,softened at the sight of Prerna being so close to him.Prerna responded firmly,"Anurag,dekho subah ho gayi hai.Tumhe mujhe mere Ghar chhorna hai.Ghar mein Ma Mera intezar kar rahi hogi".Her words reminded him of their current situation.Awkwardly,he let go of her.Prerna shifted a little and adjusted her saree.Trying to dissipate the awkwardness in the air,Anurag spoke up,"Mmm...waise Prerna.".She looked up,"Ha.".Anurag said,"Woh thanks Kal raat ko Mera khyaal rakhne ke liye,mera saath dene ke liye.".They looked into each other's eyes for a moment until Prerna said,"Tumhe mujhe thanks kehne koi zaroorat nahi hai,Anurag.Maine tumhara saath iss liye diya kyuki....",Prerna hesitated."Kyuki kya?",Anurag encouraged her.Please Prerna,he thought pleadingly,apne gusse ko apne Pyaar par mat haavi hone do.Apne Dil ki suno aur humare rishte ko ek aur mauka dekh ke dekho,I promise you main iss baar tumhe kahi jaane nahi dunga.Prerna's words broke into his thoughts,"Kyuki Meri jagah agar tum hote toh tum bhi yahi karte.",Prerna replied getting up from the bed.Anurag quickly got up from his side of the bed,"Main aisa karta kyuki main tumse bohot Pyaar karta hoon,aur main tumhe takleef mein nahi dekh sakta.",Anurag replied evenly.Prerna turned around and looked at him,"Main bhi.",she said quietly."Toh tum mujhe chhorkar kyu ja rahi ho?Kya humara, humara rishta ek aakhri chance bhi deserve nahi karta?",Anurag demanded.Prerna glared at him,"Mujhe yakeen nahi aata ke tum wapas mujhse yahi baat kar rahe ho?". Walking around the bed Anurag stood in front of her and replied,"Haan,kar raha hu,kyuki abhi bhi humare beech kuch bhi khatam nahi hua.Tum mujse Pyaar karti ho(cupping her face),main tumhare bina jee nahi sakta,hum parents banne waale hai,toh hum humare rishte ko ek aur mauka kyu nahi de sakti?". Taking his hands off her face,Prerna replied angrily,"Kyuki zindagi jeene ke liye sirf pyaar kaafi nahi hota Anurag.Aur yeh baat tumhi ne mujhe sikhayi hai.". Surprised,Anurag asks,"Yeh tum kya keh rahi ho Prerna?!Pyaar hi zindagi hai.Jab mujhe tumse pyaar hua tab maine realize kiya ke meri zindagi mein exactly Kya missing tha.Tumme aur tumhare pyaar mein mujhe meri zindagi jeena maqsad mila.Tumhari woh thornbird waali kahaani?Uss kahaani ko maine khushi khushi apni zindagi ki kahaani bana di taaki tumhe woh sab kuch mile jo tumhe chahiye tha,aur aaj tum mujse keh rahi ho ki Pyaar kaafi nahi hota".Prerna smiled sadly,"Haan,yeh main keh rahi hu,kyuki sapna aur haqeeqat ke beech ka fark ab mujhe achche se samaj mein as gaya hai.Jis Prerna ne tumse woh thornbird waali kahaani share ki thi,Usse kabhi kissi se pyaar nahi huwa tha,uska kabhi dil nahi toota tha iss liye woh sab kehna aur maan na uske liye bohot asaan tha.Lekin iss Prerna ne apni zindagi mein bohot si mushkile dekhi hai,bohot kasautiiyon ka saamna kiya aur woh bhi tab jab uska Anurag Usse chhorke chala gaya tha,iss liye aaj main yeh tumse keh rahi hu,ke life mein Pyaar kaafi nahi hota.".Anurag was about to protest when Prerna raised a hand to silence him,"Anurag please,ab iss baat ko aur mat barhao.Maine tumhe apna faisla suna diya please uss faisle ki izzat karo,mere khatir nahi to kam se kam humare honewale bachche ki khatir.". Saying this Prerna headed towards the bathroom.Opening the door,Prerna turned around and said,"Main fresh hone jaa rahi hu,uske baad tum please apne driver se keh dena ke woh mujhe aur Shivi ko Ghar drop kar de.". Saying this Prerna shut the door behind her.Watching her disappear behind the door,Anurag swallowed back his tears.I am sorry Prerna,he thought sadly,I am so sorry ke tumne jaisa Humsafar banne ki mujse umeed ki thi main woh nahi ban paya.Lekin iska Matlab yeh nahi ki main pehli waali galti phirse dohraunga.Main ab kissi bhi cheez ki parwa nahi karunga.Main bas tumhare liye aur apne pyaar ke liye ladunga, aur main tab tak ladta rahunga jab tak tum phirse meri nahi ban jaati.

~~~~~~~~~~~X~~~~~~~~~

Mohini followed by Veena and Nivi and Anupam,enters Moloy's room and announces,"Breakfast is ready,aap log please sab please hall mein aa jaiye". As Ved and Anupam offer to help Moloy get up,he protests,"Arre nahi beta,tum log jaao mujhe Veena bhabhi se kuch zaroori baat karni hai.". Surprised to hear this Veena nodded and sat by Moloy in his bed.Moloy waited for everyone else to leave the room before he addressed Veena,"Veena bhabhi, sabse pehle toh main aapse(folding his hands) hath jorkar maafi maangna chahta hu,meri gair mojudgi mein mere parivaar ne Prerna ke saath jo kuch bhi kiya uske liye.". Stunned Veena was about to protest,"Arre,nahi Moloy bhai-". Moloy cut her off,"Bhabhi please mujhe kehne dijiye.Rajesh ko main apna bhai maanta tha,uske jaane ke baad yeh meri zimmedaari thi aap logo ka khyaal rakhne ki,lekin kismat ko shayad kuch aur hi manzoor tha.Par main tab kuch nahi kar paaya iska matlab yeh nahi ki main ab apne zimmedaariyon pichhe hatunga.Bhabhiji main chahta hu ke jab tak Komolika aur uske bhai ko sazaa nahi milti aap log yahi humare saath Basu Bari aake rahiye.".Moloy's words had stunned Veena into silence.Recovering her speech,she said,"Moloy bhaisaab maaf kijiyega magar hum aapki baat nahi rakh paayenge.".Moloy replied,"Kyun,Veena bhabhi?".Veena hesitated,"Moloy bhaisaab agar aapko hum sabke suraksha ki chinta hai aur aap iss liye yeh kar rahe hai,toh hum aap ko kehde ki iski koi zaroorat nahi hai.Hum sab apne ghar mein hi surakshit hai,aur waise bhi aapki tabiyat theek nahi aur upar se hum sab yaha aake rahenge toh aapko bhi toh dikkat hogi .". Moloy said,"Veena bhabhi,Kal raat ko jab Shekhar Ghar nahi lauta tha main jaanta hu aap kitna ghabra gayi thi.".Veena was surprised to hear this.Hesitantly she replied,"Haan, bhaisaab kal jab Shekhar ghar nahi aaya tha,aur uska phone nahi lag raha tha,hume sachme bohot ghabrahat hui thi.Hum bahar se toh bohot himmat dikha rahe the,lekin andar hi andar humare Mann mein bure bure khayaalat aa rahe the ki kahi Shekhar ko kuch ho toh nahi gaya?.".Moloy held her hand,"Main aapki chinta samajta hu,Bhabhiji.Iss liye main aap se ke raha hu ke jab tak Komolika ko uske kiyeki sazaa nahi milti,jab tak hum Ronit ko dhund nahi lete,aap log humare saath Basu Bari mein rahiye.(wiping his tears)Maine Rajesh se vaada kiya tha ki main Prerna aur Anurag ki Shaadi karaunga.Woh vaada toh main nibha nahi saka,lekin kam se kam main aap logo ki safety ki zimmedaari lekar apne Dil ka boj to halka kar sakta hu na?".Veena studied him for a moment and then she said,"Theek hai, Moloy bhaisaab agar aap yahi chahte hai toh yahi hoga.Jab tak humare pati ke qatil ko sazaa nahi milti, humlog aapke saath hi rahenge". Moloy smiled gratefully,"Thank you so much,Veena bhabhi".Veena smiled at him,"Achcha ab chaliye nashta kar lijiye bahaar sab humara intezar kar rahe hai"

_________X____________

As Anurag and Prerna descended the stairs,they were surprised to be greeted by so many people in the dining hall."Ma,aap yaha?", Prerna asked occupying the empty chair right next to Veena.Veena replied,"Haan,beta hum Moloy bhaisaab ko dekhne aaye the.".Mishka addresses Prerna,"Ab tumhara paer kaisa hai , Prerna?". Prerna smiles at her,"Haan,abhi toh theek hai(addressing Ved) Achcha hua tu bhi mujhe yahi,hum breakfast ke baad Sharma Niwas ke security arrangements ko lekar baat karlenge aur-". Veena cut her off,"Priyu,beta uski ab koi zaroorat nahi". Surprised, Prerna asked,"Kyu,ma?".

"Kyuki,jab tak Komolika ko sazaa nahi milti hum sab yahi Basu Bari mein rahenge".

Silhoutte92 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 3
Posted: 6 years ago

I wish cvs were atleast half of the creative as you.

When will ap reunite ? Pls cont soon

ifmember thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 6 years ago

This is interesting 😊👍🏼

Thank you for sharing the link

Edited by ifmember - 6 years ago
Indie579 thumbnail
Posted: 6 years ago

Really nice.. Pls continue

aarushi04 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 4
Posted: 6 years ago

Nyc update

Finally they are gonna b living in the same house

Let's c how Anurag uses this opportunity

Missed Mr. B in this update....

Hope to see him soon

Continue soon

Thnx fr pm

Indie579 thumbnail
Posted: 6 years ago

Please continue :)

BurakZeynep thumbnail
Visit Streak 180 Thumbnail 7th Anniversary Thumbnail + 3
Posted: 5 years ago

Chapter 19: Daily Blitz

Prerna sighed as she lifted the empty suitcase on top of the cupboard.It's been a day since she and her entire family started living in Basu Bari.To Prerna,it all seemed some sort of a bizarre joke played by fate.Every time she wanted to put some distance between herself and Anurag,fate played its hand and brought them closer than ever.Take staying in his room for example,she wasn't supposed to stay in his room in the first place.When it was first decided that the Sharma's will stay here,she wanted to stay in the Basu Guesthouse, opposite Basu Bari but Mohini had argued that the guesthouse badly needed to be renovated,and she put up an alternative.She could stay in Tapur's old room with Shivani,while she alloted guest rooms to the rest of the Sharma family.This was an arrangement Prerna was fine with.Until fate had played its hand again.This morning she woke up and the moment her feet touched the ground,she heard the splash of water.Looking down,she saw water all around her.Turns out the main pipe of Tapur's bathroom had broken and it would take the plumber around 2 days to break the wall, take the pipe out and replace it with a new one.Till then,Prerna and Shivani couldn't stay in that room.Mohini had given them the option to shift to one of the guest rooms in the West wing of the house,but even that option didn't work out.Since Mohini had just redone those rooms,and Shivani was allergic to the smell of paint.And Prerna,who had believed herself to be completely fine with it was in for a rude shock.Her pregnancy made her feel nauseous at the smell of fresh paint as well.So Mohini had suggested that Prerna shift to Anurag's room and Shivani shifted to Veena's room.Of course, Prerna had protested at first,she had even suggested that Anurag shift to one of the guest rooms in the West wing,while she stayed in Anurag's room.But Mohini had shot down that idea saying that Anurag, too was allergic to the smell of fresh paint.At the end, Prerna had no option but to comply.Since leaving Basu Bari was not an option.Yesterday,after her mother had declared that they would be staying in Basu Bari,Prerna had taken her aside to convince her to change her decision.But Veena had reasoned with her,how they had to do this for her kakababu who was concerned for their safety and also guilty over what had happened in his absence.Veena had also argued that she should work on maintaining a cordial relationship with the Basu's given that they were going to be her baby's family as well.And just like once again, her fate had pushed Prerna towards Anurag like always."Prerna..",Prerna's thoughts were interrupted by Anurag's voice who had just entered the room.Surprised to see her in his room,he asked,"Kya hua,tum yahaa? tumhe kuch kaam hai mujse?".Startled,Prerna replied,"Woh actually Tapur ke bathroom ka main pipe toot gaya hai,aur usse theek karne mein do din langenge,jab tak woh theek nahi ho jata main yahi rahungi uske baad main chali jaungi,tumhe koi problem to nahi hogi na?", finishing her sentence almost at a lightening speed Prerna caught her breath."Nahi,it's alright tum raho yaha",Anurag replied a little confused.Changing the topic,Prerna asked,"Waise tum itni subah subah kaha chale gaye the?".Anurag answered,"Woh main office gaya that,ab jab Mr.Bajaj ne ye deal cancel kardi hume jald se jald ek naye investor ko dhundna parega,bas uss hi ke silsile mein main office gaya tha.".Prerna fumed at the mention of Mr.Bajaj's name,"Waise woh Mr.Bajaj kya abhi bhi Kolkata mein hai kya?".Anurag sighed,"Haan, sunne mein aaya hai ki woh humari jaga ab Daily Blitz mein invest karne wale hai".Stunned,Prerna scoffed,"Kya?!Daily Blitz?Unka Dimag kharab ho gaya hai?Kaha Basu Publications aur kaha Daily Blitz?!Uss newspaper mein toh koi credibility nahi hai,woh to bas apne masaaledaar gossip se chalti hai ,Mr.Bajaj aise newspaper mein kyu invest karenge bhala?". Anurag retorted angrily,"Woh to wohi jaane,lekin main bas itna jaanta hu ke mujhe kaise bhi karke naya investor dhund na hi padega.Main apni galti ki sazaa Basu Publications ko nahi bhugat ne dunga!". Seeing him so tensed Prerna reassured him,"Tum chinta mat karo Anurag, Basu Publications Ko jald se jald koi achcha investor zaroor milega,after all humari company pichhle tees saalo se top position mein rahi hai,humari company ke naam ke saath ek goodwill aur prestige jura hua hai".Prerna walked up to him and held his hand.Looking into his eyes,she said,"Tum haar mat maano.Koshish karte jaao,mujhe yakeen hai ki ek din tum aur Nivi Di milke iss company Ko bohot aage le jaoge".Anurag smiled at her words of encouragement.But what warmed his heart the most was how she kept saying,"humari company".It gave him another reason to hope for her return.Breaking their eyelock,Prerna said,"Achcha tum thak gaye hoge na?Main tumhare liye juice bhijwati hu.Tum fresh ho jao phir neeche lunch karne aa jaana,theek hai?".Anurag smiled and nodded.Prerna smiled back at him,and then headed downstairs.As he watched her retreating figure, Anurag thought,West wing mein chaar chaar khaali kamre hai Prerna, Lekin tum phir bhi yaha mere kamre mein Aakar reh rahi ho.(smiling)Basu Publications ko humari company kehne lagi ho.Kya iska matlab main yeh samjhun ke mann hi mann tum bhi humare rishte ko doosra mauka dena chahti ho,bas iss baat maanne se darr rahi ho?

~~~~~~~~~~X~~~~~~~~~~~~~

~~AT TAJ BENGAL HOTEL~~

Stretching his feet at the mahogany coffee table,Mr.Bajaj sighed and opened the Daily Blitz newspaper.Rolling his eyes at the melodramatic headlines on the front-page,he sceptically thought, I just hope mera yeh decision sahi hai, warna yeh mera India ka trip bilkul waste jayega.As he disinterestedly turned the pages of the newspaper his eye caught something.It was the picture of Anurag Basu and Prerna Sharma.But this time,Mr.Bajaj's eyes were just on Prerna.In the picture,she was wearing a red Calcutta cotton saree with a sleeveless blouse.However,it was not her clothes that captured his attention it was her face.There was a fierce and determined expression on Prerna's face and the big bold bindi on her forehead,and sindoor on her parting only brought out the fire in her eyes.Mr.Bajaj closely studied her,kitna gussa hai inki ankhon mein,bilkul kisi ghayal sherni ki tarah,he thought smiling,waise inhe bengali bindi aur sindoor pehene rehna chahiye,Inpe bohot suit karta hai.Studying Anurag and Prerna's picture as a whole,Mr.Bajaj reflected,Dekha jaaye toh inka divorce hona hi tha ek taraf Anurag Basu hai born with a golden spoon.I am sure bachpan mein inhe bina maange apne ma-baap se sab kuch mil jaata hoga.Issliye inhe kabhi kissi bhi cheez ke liye mehnat nahi karni padi hogi,sab kuch saamne hi tha ready and available. Iss liye ab jab inki Biwi aur company dono haat se ja rahi hai,(chuckling)toh bechare Mr.Basu ko samaj nahi aa rahe ki kaise inn dono wapas laya jaaye.Koi baat nahi,waqt inhe sab kuch sikha dega.Mr.Bajaj's eyes finally went to the headline and he frowned.The headline read ,"Prerna returns to her husband with family?".Annoyed at this,he took his phone and dialled the number of Mr.Ketan Mukherjee,the editor-in-chief of Daily Blitz.From the other end,a man answered,"Hello,Mr.Bajaj it's a pleasure-".Mr.Bajaj cut him off,"Aapko pata hai,Mr.Mukherjee jhooti khabar publish karna is a crime.". Surprised reply came from the other end,"Ha,Mr.Bajaj yeh baat toh sabko pata hai". "Achcha,"came Mr.Bajaj's flippant reply,"Toh aajke paper mein apne yeh kyu likha hai ki Mrs.Prerna Basu apne pati ke paas wapas chali gayi woh bhi apne pure parivaar ke saath?". Confused,Mr.Mukherjee replied,"Kyuki,yahi sach hai,humare paas pakki khabar ki Mrs.Prerna Basu pichhle ek din se apne parivaar ke saath Basu Bari mein reh rahi hai.".Now it was Mr.Bajaj's turn to be surprised,"Kya?!Kyun?I thought woh apne pati Ko divorce degi".Mr.Mukherjee replied,"Ab yeh to mujhe nahi pata Mr.Bajaj.Lekin,if you don't mind kya main jaan sakta hu ki aap iss news se itna naraz kyu hai?Agar Basu's ya Mrs.Prerna Basu ke saath aapka koi personal rishta-".Mr.Bajaj cut him off angrily,"Mind your language Mr.Mukherjee!!Yeh matt bhuliye ke aap kisse baat kar rahe hai!!Agar aap chahte hai ki aapka newspaper aage hi aisi masaaledaar khabar chhaapta rahe,toh agli baar mujse aisi baat karne se pehle sau baar sochiyega!! And you know what? Actually mujhe iss headline se problem hai.Iss liye nahi kyuki yeh Prerna ke baare mein hai,balki iss liye ki main apne paise aapke company mein laga raha hu aur aapke newspaper ka yeh standard hai? Celebrity gossip tak to theek tha lekin kisi ladki ki personal life,uske relationship ko yun sensationalize karke akhbaar mein chhaapna bohot hi cheap harkat hai.Aur future mein iske wajah se aap pe shayad court cases bhi lag sakte hai.I don't think main aisi company mein invest-".The newspaper editor hurriedly cut him off,"Arre Mr.Bajaj aap toh khaamakha hi naraaz ho gaye,aap bohot jald humare business partner banne wale hai.Company ke decisions mein aapke opinion ki utni hi value hogi jitni ke meri.Agar aapko yeh article achcha nahi laga toh hum wapas iss tarah ka article likhenge,sir.".After a moment's silence,Mr.Bajaj replied ,"Ok.Mr.Mukherjee thanks",and cut the call.Mr.Mukherjee who was surprised at this abrupt encounter thought,Yeh Kya tha?Ek chhote se article ko lekar yeh Mr.Bajaj itna kyu bhadak gaye?Maine aisa kya chhaap diya....Ek to Prerna Basu itne bade ghar ki bahu,upar se Komolika Chaubey ke case mein uska involvement woh bhi kisi celebrity se kam nahi hai,zaahir si baat hai log uske baare mein likhenge hi,(annoyed)itni si baad iss sankhi aadmi ke samaj mein nahi aati Kya?Agar inke investment ki zaroorat nahi hoti to inke iss beizzati ka achche se jawab deta main humpph!!

On the other end,Mr.Bajaj was silently sitting in his room, reflectively looking at the newspaper in front of him.He read the article.It didnt say much,just that Prerna and her family has been living with the Basu's for the last one day.Aakhir aisa kya ho gaya ke puri Sharma family Basu house mein rehne chali gayi.Mr.Bajaj's eye went to Anurag's picture.He recalled the Basu's conversation in the terrace.Prerna had left after telling Anurag about her plans to leave Basu Bari that night and Anurag was upset about it. But then he checked his phone and then suddenly he wasn't upset anymore.Aap shayad utne bhi seedhe nahi hai jitna main aapko samajta tha,Mr.Basu,Mr.Bajaj thought staring at Anurag's picture in the newspaper, kaha Prerna aapko chhorne waali thi aur ab woh apne parivaar ke saath aapke Ghar mein reh rahi hai.Ho na ho,uska faisla badalne ke pichhe zaroor aap hi ka haath hoga.Mr.Bajaj's eyes turned to Prerna's picture and he felt a little sad.From the moment Rishabh Bajaj met Prerna Sharma Basu he was completely fascinated by her.He had never met a woman like her who was strong yet vulnerable. He had seen her that night pouring her heart out about her feelings for Anurag and yet remain firm about her decision to leave ,in spite of her mother-in-law's emotional blackmail about society and baby.This was what impressed him and baffled him at the same time.Rarely did he see a woman,in Prerna's situation nonetheless, take a stand for herself especially if it meant leaving a comfortable life and a loving husband.Aur ab aapke apne self respect ko bhulakar wapas uss ghar mein reh rahi hai Prerna,Kyu?,Mr.Bajaj thought reflectively.

Precap: Prerna wondered if she should forget the past and give Anurag and her relationship another chance after all she loved him

FLW70 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 5 years ago

Nice update please continue....

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".