Ranvijay to himself : Yummm, kitne swadisht Dahi Vade the......12 kha liye, pet bhar gaya, par niyat nahi gayi....Aisa karta hoon, ek Isabgol ki bottle aur pe leta hoon, phir dobara un bache hue Dahi Vadon par attack karoonga.π
Commissioner Shrivastava to Ranvijay : Mr. Chopra, kahin aap bhi un Dahi Vadon ke baare mein toh nahin soch rahe....Arre 7 saat ke baad bhi, aapko yeh yaad hai ki, aapne Park Road mein apni behen ke saath ek Dahi Vade ki Stall lagayi thi, jo bilkul flop ho gayi.....π
Ranvijay to Rohit : Beta, shabaash, yeh tumnein bilkul theek ladki pakdi hai apne liye.....Walia Sahab bahut dildar hai, kya pata hamari thodi Financial madat kar ke, phir se hamare liye Park Road mein ek Dahi Vade ka Khokha laga de?π Phir woh hamara Family Business ho jaayega....COBRA DAHI VADA CORNER, PARK ROAD.....Gandi Naali ke Peeche!π
Ranveer to Ranvijay : Uncle, lagta hai meri Mami ne jaise meri Maa ka patta kata, ab meri baari hai.....Kya mein bhi aapke Dahi Vada Corner mein kaam kar sakta hoon? Mein aapko 'Chottu' ban jaaonga, I will clean the Tables ect....ππ
Pushkar to himself : Yahi sahi waqt hai, apne resume ko Cobra's ko dene ka.....Kya pata Ranveer ki tarah, mujhe bhi bartan bhanda karne ka kaam mil jaaye....aur joh Dahi Vade nahin bikenge, unhein mein ghar la sakta hoon, Piya ke liye!π
Pia to Pushkar : Sach mein Pushkar? Tumhein sach mein naukri mil jaayegi? Oh, I am so happy....Finally, mein ab woh Maybelline ki Lipstick kharid sakti hoon, pichli baar, mujhe shop-lifting karni padi thi.....π
Roshni to everyone : Chalo guys, now we have to chart out a business plan for our Cobra Dahivada Corner......
Massi and Bani snickering with one another : Dekh liya Bahu.....Kaise bhik mangon se paala pada hai....yeh mera Munna toh bahut bhola hai.....tujhe hi dekhna hoga ki woh log kahin mere Munna ko apni dookan ke gande Dahi Vada nahin khila de aur use Food poisoining na ho jaaye....
Bani to Massi : Phikar not Massiji, aapke Munna ko mujh se phursat milegi toh woh un Cobra's ke Dahi Vada Corner jaayenge na? Maine tabhi toh hamare kamre ka decor change karvaaya......π
Cheers,
MT