PART 21
[FLASHBACK 3]
FIRE IN THE HORIZON
Jai ko gaye dus din ho gaye the..Bani akeli thi..Jai nahi tha..ghar par sab the..par Jai k bina Bani bilkul akeli thi.Kitaabon me mann nahi lag raha tha,naa Mausi k baaton par dhyaan tha. Reh reh kar Bani Jai ko hi yaad kar rahi thi.Raat ko Jai phone karta hai..der tak baat hoti hai.
Jis din subha Jai Delhi k lia nikal raha tha..us din Bani ro rahi thi..Jai samjha raha tha.. "Bani..subha 9 baje ki flight hai..abhi main hoon..yehan..please..dekho subha k paanch hi baje hain..do ghante baad nikloonga ghar se..come on..rona bandh karo.."
Bani--Main kuchh nahi jaanti..
Jai--Kal samjhaya toh..come on..ab muskura do..main jaldi aaoonga..
Bani--Pata nahi..mujhe darr lag raha hai..
Jai--Vahem hai..Bani..come on..
Bani--Victor..please..mat jaao..
Jai--Bani..aisa nahi karte..
Bani--Saath le chalo mujhe..
Jai--Mumkin nahi hai..mujhe taiyyar hona hai..jaane do mujhe..nahana hai..shave bhi karna hai,
Bani ne Jai ka haath nahi chhoda..Jai k seene se lag kar rone lagi..Jai ki aankhe bhi bhar aai thi..par jaana toh padega...jaane ka mann uska bhi nahi tha.Bani k chehre ko apne haath me lia Jai ne..fir uske gaal ko chuma Jai ne..fir Bani k honthon ki taraf badha..Bani ka rona bandh hi nahi ho raha tha..
**************************************
Jai chala gaya..jaate waqt Bani ka chehra apni aankhon me bhar kar le gaya..Bani khadi thi.. Jai car me baitha,Bani k Dad ki tabiyat kharab thi..woh aa nahi paaye.
Jai ka jaana achanak nahi tha..yeh baat baad me Bani ko pata chala..Jai ko jaan boojh kar Delhi bheja gaya.Jai k jaate hi Ranajee ne Bani ko bulaya..Jyotijee khadi thi..Mausi mandir gayi thi.
Bani--Aapne bulayatha ?
Jyoti--Haan..kuchh poochhna tha tumse..
Bani--Jee..
Jyoti--Tumhari Maa ka naam kyaa tha?
Bani--Amartya..
Jyoti--Sach bol rahi ho?
Bani--Jee..
Jyoti--Humen toh kuchh aur hi pata chala..Bani.
Bani--Jee?
Jyoti--Tumhari Maa ka naam Amartya nahi tha..unka naam tha Ferdaus..
Bani--Kyaa?Aap yeh kyaa bol rahi hain?
Jyoti--Haan...humara ek admi gaya tha..Lucknow..yeh baat toh sach hai..k tumhare Dad ka koi rishta nahi tha..apne sasooral se..wajah yeh hai..k tumhare Dad ne tumhari Maa ko bhaga kar shaadi ki thi...gharwale issi lia aitraaz kar rahe the..kyunki tumhari Maa ek Muslim khandan se thi..unka naam tha Ferdaus.
Bani--Yeh sach nahi..
Rana--Haan..yehi sach hai..tumhare Dad..Bhagatjee..sab jaante hue bhi..yeh sachchai humse chhupai...sahi nahi kia unhone..ek doosre dharam ki ladki..Sisodia parivar ki Bahu bane.. yeh hum manzoor nahi karte..issi lia unhone sachchai chhupai..
Bani--Par..main toh hoon..is ghar ki Bahu..shaadi toh ho gayi..
Rana--Hum nahi maante is shaadi ko..behtar yehi hoga..k tum is haveli se chali jaao..tumhare lia humare parivar me koi jagah nahi...
Naukar aaya...bola,"Hukum..Manager Saab aaye hain.."
Rana--Bhej do..
Kishan Chand Bhagat aaye..
Kishan--Kahiye Hukum..
Rana--Aap kahiye..kyaa mila..itna bada dhokha de kar?Aapki patni ek muslim thi..yeh baat aapne kyun chhupai..?
Kishan Chand ka chehra utar gaya...bolne lage ,"Hukum..main kyaa karta?Maine Ferdaus se pyaar kia tha..par samaj ko manzoor nahi tha..issi lia uska naam badal dia..shaadi k baad.. Amartya naam dia usko..main chhupana nahi chaahta tha..par kuchh saal pahle..Babri masjid tooti..ussi dange me Ferdaus maari gayi...marne se pahle..usne mujhse wada lia..k uski pehchaan mere aur Bani k lia..khatre ki wajah ban sakti hai..issi lia..Ferdaus k marne k baad..main yehan..Rajasthan chala aaya...sab kuchh bhula kar..."
Jyoti--Aur Bani ko humare sar pe madh dia aapne..kyun?
Kishan--Aap log hi zor daal rahe the..k Kunwar Jaijeet ki shaadi Bani se ho..kundali milai.. aaplogone..Bani toh shaadi nahi karna chaah rahi thi..aap log hi zor daal rahe the...kundali se toh yehi pata chala k Jai aur Bani ka rishta hona chahie..ab yeh baat kyun utha rahe hain aap?
Rana--Aisi bahut ladkion se mere Bete ki kundali mil sakti thi..par Bani ko humne chuna..par tab hum yeh nahi jaante the..k Bani puri tarha se Hindu nahi hai..uski Maa ek musalman thi...
Kishan--Hukum..shaadi k baad toh Ferdaus..Hindu bani thi..Amartya naam tha uska..aur.. Bani ka Pita main hoon..Bani Hindu nahi toh aur kyaa hai?Is ghar ki Bahu hai...ap hi log laaye usko is ghar me..
Rana--Par aapne dhokha dia..
Kishan--Main darr gaya tha Hukum..guzra hua kal kahin meri Beti ki zindagi na kharab kar de..issi lia main chup raha..par Bani ne aisa koi kaam toh kia nahi..taa k aap log is tarha uska apmaan kare..
Rana--Aap Bani ko le jaaiye...Bani is ghar me aur Jai ki zindagi me nahi reh sakti...
Kishan--Aisa mat kijiye..Hukum..yeh paap hoga..
Rana--Paap punya ka paath humen aap se nahi padhna hai..aap le jaaiye..usse..
Kishan Chand samajh gaye..k Ranajee ne jo kaha hai..woh us baat se nahi hatenge..theek hai..Bani nahi rahegi yehan par..Bani ko dobara woh Shimla bhej denge..unhone Bani se kaha ,"Bani..Beti..tum azad ho..is rishtey se..chalo..tum hi shaadi nahi karna chaahti thi.. maine khamokha tum par zor daala..chalo..yeh jagah tumhare lia nahi..chalo.."
Bani bahut der se chup thi..par ab usko gussa aa gaya..usne kaha.."Nahi...meri zindagi hai.. faisla mera hoga..khel bana k rakh dia hai meri zindagi ko..jab chaaha kundali mila kar shaadi karai..kyun..Kulpurohit ne kundali milai..tab toh main bahut achhi thi..aaj yeh baat saamne aai hai..toh sab khatam?Jab chaaha mujhe yehan laaye..ab nikaal rahe hain..kyun? Mera ghar hai yeh..main is ghar ki maalkin hoon...main dekhti hoon..kaun nikaalta hai mujhe yehan se.."
Jyoti--Yeh ghalatfaimi kaise hui tumko k tum is ghar ki maalkin ho?
Bani--Main Kunwar Jaijeet Sisodia ki Bihata Patni hoon..toh main is ghar ki maalkin hoon.. koi nahi nikaal sakta..main nahi jaoongi is ghar se..
Jyoti--Kyaa saboot hai ..k tum Jai ki Patni ho?Kanooni shaadi toh hui nahi..
Bani--Par samaj gavah hai..samaj k saamne hui hai shaadi..Ranisaa..aap bhool rahi hain..k sab log aaye the..unse kyaa kahengi aap?Theek hai..nikaalna hai na..nikaaliye...par jis tarha sab k saamne mujhe biha kar laaya gaya tha..ussi tarha..sab k saamne mujhe nikaaliye..is tarha chori chhupe nahi..aur sab ko wajah batani padegi aapko..k aaplog mujhe kyun nikaal rahe hain..boliye..hai manzoor?
Jyoti--Dhamki de rahi ho?
Bani--Haan..aisa aapko lagta hai toh yehi sahi...bahut bardasht kar li maine..ab nahi..
Jyoti--Tumhare bhale k lia..Jai ko jab pata chalega..tab Jai khud hi tumko nikaal dega..apni zindagi se ...
Bani--Jis Jaijeet ko main jaanti hoon..woh aisa kabhi nahi karega...aur agar aapko bharosa hai itna..toh theek hai..bula lijiye unko..aane dijiye..fir unko bataiye..sab kuchh...aur aap jaan jaayengi..k Jaijeet ko aap zyada jaanti hain..k main..
Jyoti--Jai nahi aayega..
Bani--Darr gayi aap?Main bhi dekhti hoon..Jai ko aane dijiye..Jai ko sab batana hoga..aur agar Jai bol de..k main yehan nahi reh sakti..toh main jaane k lia taiyyar hoon..par Jai ko bina bataye..main nahi jaoongi..jab tak Jai nahi aata..main kahi nahi jaa rahi hoon..aur aap mujhe jaane k lia nahi keh sakti..
Jyoti--Hum Jai k Mata Pita hain..
Bani--Aur Jai mere Pati hain..main is ghar me Jai k lia aai hoon..Jai biha kar laaye hain mujhe..aap logon se rishta sirf naam ka hai mera..asli rishta Jai se hai..Jai ko aane do..fir baat karenge..usse pahle..yeh jurrat bhi mat karna..yeh baat kahne ki..k main is ghar me nahi reh sakti..
Kishan--Bani..chalo..yehan se..
Bani--Aap jaaiye..main bhi dekhti hoon..yeh log kyaa kar sakte hain..aap jaaiye..meri fikar mat kijiye..
Jyoti--Itna ghamand?
Bani--Nahi..bharosa..apne pyaar par..Jai k pyaar par.
Kishan--Bani...
Bani--Main..Bani Sisodia..Bani Jaijeet Sisodia..aapse keh rahi hoon..aap jaaiye yehan se..
Kishan Chand chale aaye....ghar aa kar unhone Aya ko sab bataya..pura sach sun kar Aya dungh reh gayi...
Aya--Maalik..kyun un jalladon k beech aapne bachchi ko bhej dia?Aur yehan kyun nahi laaye?
Kishan--Bani bahut ziddi hai..woh nahi aai..ab Jai k aane k baad hi kuchh hoga..
Aya--Woh Rana..aur Ranisaa..woh kuchh kar na de..Bani ko..
Kishan--Nahi..Shobhnajee..Jai ki mausi hain..unke rahte..kuchh nahi hoga..
************************************
Kamre ka darwaza bandh kar k..Bani zameen par geer k rone lagi..yeh hai uski zindagi ka sach?Uski Maa ek muslim thi?Ferdaus naam tha unka?Aur yeh log..inme naa koi zameer hai..naa rahem..yeh hote kaun hain..Bani ko is ghar se nikaalne wale?Jai aayega..Jai hi kuchh karega..agar yeh log Bani ko naa apnaaye..toh Jai Bani ko le kar..yehan se door chala jaayega..Bani ko kuchh nahi hone dega Jai..Bani jaanti hai.
Din guzarne lage..Mausi hai Haveli me..Mausi k saath hi Bani ka waqt guzar jaata hai..Jyoti ki nazar me nafrat dekhti hai Bani..Ranajee ne muh fer lia hai..par Bani ko koi fark nahi padta..Jai ka intezar kar rahi hai Bani.Mausi kuchh samajh nahi paa rahi hai..par Bani samajh rahi hai..k Bani Jai se baat na kar sake..usse phone naa kar sake..iske lia Ranajee ne pura bandobast kia hai..yehan tak k..Bani apne Dad se bhi ml nahi paati..Bani baahar koi khat nahi bhej paati..Bani ko bandi bana kar rakh dia hai..Kishan Chand Jai se baat karne ki koshish karte hain...par Jai tak phone nahi jaata..Ranajee ne apne admi se keh kar aisa hi intezam kia hai.Kishan Chand Bhagat ki tabiyat bahut kharab hai..woh jaa nahi paa rahe hain Delhi tak..par khabar yeh hai..k Jai Delhi me bhi nahi hai..woh kahan gaya hai..kisiko pata nahi...
Jai Shimla gaya tha..Bani ki padhai k baare me pata karne k lia..Shimla me ghar kharidne.. taa k Bani yehin reh kar padhai kar sake..Bani se aisa hi wada jo kia tha Jai ne..sara bandobast kar k..Jai ne haveli me phone kia..Mausi ko..baat hui..aur kaha Bani ko phone dijiye..
Bani--Hello..Haan...Victor..tum jaldi aao...
Jai--Haan..Bani..main lautoonga..jaldi hi..kuchh kaam me atak gaya hoon..bas kuchh din aur...Mausi toh hai na..
Bani--Tum laut aao...yehan ...theek nahi hai....Jai...
Phone ka wire kaat dia Jyotijee ne...
Mausi--Jeejee..yeh kyaa kia?
Jyoti--Is ladki ko kamre me bhejo..Jai k kaan bharti hai..humare khilaaf..
Mausi--Par Jeejee..yeh aisa kuchh nahi karti..
Jyoti--Tumko pata nahi hai..jab se aai hai..Jai kitna paraya ho gaya hai..Jai nahi hai..toh woh kisike sar par nahi chadh paa rahi hai..issi lia Jai ko pareshaan kar rahi hai..le jaao isko kamre me.
************************************
Rano se baat kar rahi thi Aya..
Aya--Pata nahi..kyaa hoga..Jai par hi sab kuchh nirbhar karta hai...
Rano--Jeejaasaa bahut pyaar karte hain Banidi se..aap kyun fikar karti ho?
Aya--Tujhe kaise pata?
Rano--Maine saath me dekha hai unko..haveli k peechhe jo tooti hui haveli hai..wahi par dekha hai..
Aya--Matlab..tune kyaa dekha..?
Rano--Jeejaasaa..pyaar kar rahe the..Banidi ko..wahi jaise pyaar karta hai...koi apni patni ko..ussi tarha..maine apni aankhon se dekha hai..
Aya--Kab dekha tune..
Rano--Wahi..maheena bhar pahle..Kunwar jab Delhi gaya..uske peechhli shaam ko..
Aya--Tu udhar kyaa kar rahi thi?
Rano pad gayi mushkil me..kyaa kahegi?
Rano--Main apni do sahelion ko le kar gayi thi ghumne wahan par..wahi par dekha..aur bhaag ai wahan se..aisa kuchh nahi dekhna chahie na..!!
Aya--Ohh..jaa..tu apni padhai kar..
*************************************
Mausi ko jaana pada..unke ghar par koi bahut bimaar pad gaya tha..aur bahut din bhi ho gaye the Mausi ko..yehan aaye hue..Jyoti se keh gayi.."Bani Bahu k saath bura suluk naa karna..Bani bahut achhi hai.."
Mausi k jaane k baad..Bani pareshaan ho gayi..ab uska kyaa hoga?Jai se baat karne k saare raaste bandh hai..Jai jab bhi phone karta hai..tab usko yehi bola jaata hai..k Bani haveli me nahi hai..ghumne gayi hai..is haveli me sab Ranajee k ishare me naachte hain.
Par in mushkil waqt me Bani ne apne baare me dhyaan nahi dia..achanak se usko khayal aaya..k..uska system kuchh garbar kar raha hai..uska period nahi hua is baar..Bani ne ek naukrani se puchha is baare me..naukrani samajh gayi..aur baat Jyoti k kaano tak pahoochi..
Bani kamre me so rahi thi..k achanak naukrani aai..uske haath me doodh ka glass tha..boli.. "Tabiyat kharab hai..doodh pee lo..Bahu..theek lagega.."
Doodh peene k baad...Bani ko laga..k uski tabiyat aur bigar rahi hai...ulti aa rahi hai..woh kamre se baahar gayi..Jyoti k paas..darwaza khatakhatane lagi..par darwaza nahi khula.. baahar aai..par doosre dino ki tarha ..aaj koi pehra nahi tha..Bani ne aur der nahi ki..woh samajh gayi..k uski madad k lia..koi nahi aayega..woh haveli se baahar aai..daurte hue..woh.. apne Dad k ghar aai...darwaza khatkhatane lagi..."DAD..DAD.."
Aya ne darwaza khola..Bani ko us haalat me dekh kar..Aya chauk gayi..Bani ko andar le gayi woh..aur Kishan Chandjee se boli.."Doctor ko bulaiye Maalik..Bani ka chehra neela pad raha hai..."
Rano rone lagi..Bani ko is haalat me dekh kar..Aya Bani ko sone nahi de rahi thi..uske chehre me paani daal rahi thi..Doctor aaya..Bani ka stomach wash kar k ..kaha.."Hospital le jaana hoga.."
*********************************
Aapki Beti pregnant thi..chaar hafte ki pregnancy thi..zeher ka asar hua hai.. humen pregnancy terminate karana nahi pada..zeher ne hi sara kaam kar dia..
Kishan Chand corridore k zameen par hi baith gaye...Bani ka yeh anjaam hua..Kishan Chand khud ko maaf nahi kar paa rahe hain..unhone kaha ,"Yeh baat..baahar naa jaaye..yeh ehsaan kijiyega."
Bani ki is haalat ka zimmedar Aya ne kisi aur ko nahi..bal k Bhagatjee ho hi thehraya..jaan boojh kar unhone apni Beti ki zindagi barbad ki..
Kishan--Itni badi bhool hui mujhse..main kyaa karoon?
Aya--Bani ko yehan mat rakhiye..Maalik..baahar bhej dijiye..yehan rahegi..toh woh kameene log uski jaan k peechhe pade rahenge..
Kishan--Kahan bhejoon usko?Aur Jai se kyaa kahoonga?
Aya--Woh Kunwar..ab tak usko aa jaana chahie tha..kyun nahi aaya?Woh bhi jaan boojh kar baahar chala gaya..varna aisa kaun sa kaam aa gaya?
Kishan--Par..Bani kyaa karegi?Usko kahan bhejoon?
Aya--Kyun?Maalkin k Bhai..Bani k Mama..aapne toh kaha..k woh abhi London me hain.,, unke paas bhej dijiye..aaplogon se naraz hain..Bani par naraz nahi reh paayenge..Maalik..ab bhi waqt hai..bacha lo Betia ko..mauka hai..bacha lo..
**************************************
Bani jaane ko taiyyar nahi thi..Aya ne kaha..."Chali jaa..teri zindagi se badh kar aur kuchh nahi Beti..kismat me raha..toh tu us Kunwar se fir milegi..par woh Kunwar tere lia aayega?"
Bani--Jai aayega..zaroor aayega..main nahi jaa sakti..
Aya--Tu chali jaa..zindagi se badh kar kuchh nahi...chali..woh zindagi apne lia bana..jaisa tune socha tha..tu hi shaadi nahi karna chaahti thi..tu toh padh likh kar aur aage badhna chaah rahi thi..chali jaa..yehan main hoon..Maalik ka khayal rakh loongi..tu jaa..
Bani--Rana aur Ranisaa ko saza die bina?
Aya--Tu bahut chhoti hai...khud ko us oonchai tak le jaa..fir..laut aana tu..main tujhko bula loongi..k ab..waqt aa gaya hai..par uske lia pahle tujhe apne lia woh taakat ikattha karna hai..tu jaa..
***********************************
Rano k saath baith kar..Bani shatranj khel rahi thi..achanak..se Dad aaye..bole ,"Tum aao.. dekho..kaun aaya hai?Tumhare kamre me hain.."
Bani ka chehra khil utha..puchhi ,"Jai aaya hai?"
Kishan k seene par talwar chali..Bani ko Jai k siva koi aur nahi soojhta..khud ko samhal kar..kaha,"Nahi..tumhare Mamajee aaye hain..aao.."
Amartya k photo k saamne khade the, Riyaaz Mansoor Khan.Ferdaus k Bhai..Riyaaz..Bahen se naraz the..Hindu se shaadi ki thi Ferdaus ne..par shaadi k baad Ferdaus se woh Amartya bani..uski ek Beti bhi hui.92 k riot k waqt Kishan Chand k saath Amartya Bombay me thi..riot me fans gayi thi..talwar uske pet k is paar se us paar ho gaya tha..yeh khabar Kishan Chand ne pahoochai thi..ek pal k lia shak hua tha..k Kishan Chand ne hi Ferdaus ko dange me chhod dia tha..par Ferdaus mari Amartya ki maut,muslim area me fansi thi,Amartya ko Hindu samajh kar maar daala tha dangaiyon ne..Bani Kishan k ek dost k ghar par thi..Bani ko wahi rakh kar Kishan nikle the Amartya k saath..kuchh zaroori kaam se..aur fir sab kuchh khatam ho gaya..Kishan Chand ne apne khandan se rishta todh lia..sirf Ferdaus k saath rishta nibhaane k lia.Pahle Riyaaz Kishan Chand ko maaf nahi kar paa rahe the...par marti hui Ferdaus ko dekhne aaye the Bombay k hospital me..Ferdaus ne bataya tha..k Kishan ne kis tarha uska khayal rakha in kai saalon me..aur Ferdaus samajh kar nahi maara kisine usko.. Amartya samajh kar hi maara..yeh baat Riyaaz ko bataya unki Bahen ne..marte waqt.Bani ko woh nazara dekhna naa pade..is wajah se..Kishan usko nahi laaye the hospital..Bani k baare me poochhna chaahte the Riyaaz..par Ferdaus ne Kishan se kaha,"Bani ko le kar chale jaao.. aisi jagah..jahan koi nahi jaanta ho tumko..aur mere baare me bhool jaana..meri pehchaan tumko mushkil me daal sakti hai..Bani sirf tumhari Beti hai.. mujhe sirf yaadon me rakhna.. zindagi me nahi.."..Yeh sun kar Riyaaz naraz ho gaye.. Bani se mile tak nahi..Kishan k laakh kahne par bhi..aur Lucknow se sab kuchh wind up kar k..waapas chal pade London ki taraf..London me unka business tha pahle se.
Aaj chhe saal k baad..dobara Kishan ne phone kia..apne lia nahi..Bani k lia..tab Riyaaz rok nahi paaye khud ko..aa gaye..Riyaaz ki Biwi Hindu ghar se hain..unka naam hai Ranjana.. London me hi mulakat hui..pyaar hua..tab Riyaaz samajh paaye apni Bahen ko..k jab pyaar hota hai..tab yeh dharam aur jaat..koi maaine nahi rakhta..Ranjana aur Riyaaz k do Bete hue..ek Beti ki kumee thi..aise me Kishan ka phone aaya..k Bani ki salamati k lia..usko le jaaiye..bas main aur kuchh nahi chaahta..
Purani baatein ek pal me Riyaaz k saamne aai..aur Ferdaus k tasveer me kisi ka aks dekah Riyaaz ne...peechhe mudh kar dekha..jaise Ferdaus hi hain..solah saal ki Ferdaus..waapas aai hai..Bani ban kar..Riyaaz se raha nahi gaya..apni baahen faila di unhone Bani ki taraf..Bani bhaag kar aai..aur Riyaaz k gale lag gayi..
Kishan Chand ne kuchh bhi nahi chhupaya tha Riyaaz se..Riyaaz ne kaha ,"Bani mere saath hi jaayegi..is jahannam me Bani nahi rahegi..Ferdaus ka jo anjaam hua..woh anjaam Bani ka nahi hoga.."
Bani ro rahi thi..Riyaaz ne samjhaya.."Apne andar ki aag ko zinda rakho..usko ansoon bana kar mat bahao..zindagi se tumko kai sawalon k jawab maangne hain..aur kai jawab dene hain..kai logon ko..us kaabil bano...aur uske lia..abhi k lia..apne saare ghum ko tumhe bhoolna hoga..har jazbaat ko dil me dabana hoga.."
Bani--Par..Jai..
Riyaaz--Agar woh tumse pyaar karta hai Bani..toh woh khud aayega..tumhare paas..zindagi tum dono ko dobara aamne saamne laayegi..aur iske lia is zindagi ko tumhe jeena hai..jee lo..yeh zindagi..aur isko woh banao..jo tum banana chaahti thi..
[END OF FLASHBAK]
*************************************
Rano baat kar rahi thi Bani se...Bani bata rahi thi..k kaise dobara Jai se mulakat hui..aur kaise sab kuchh hua.Jai aaj bhi Bani se pyaar karta hai..Rano bahut zyada confused ho gayi.Aya nahi sunna chaahti kuchh..bas..Bani Jai se door rahe.
Bani--Ranveer..Ranveer Riyaaz Khan.He is coming to India.
Aya--Riyaaz Saab k Bete?
Bani--Ranveer India aa raha hai..yehi par business karna chaahta hai..
Rano--India me kyun?London chhod kar..
Bani--Mamajee sochte the India chhod kar unhone ghalati kar di..ab Ranveer India me aana chaahta hai..toh Mamajee khush hain..bahut..
Aya--Riyaaz Saab ko pata hai..Jai se tumhari shaadi k baare me?
Bani--Mamajee nahi chaahte the...k..main Jai k baare me sochoon...Arvind Raina ..unke jaan pehchaan ka..unke saath shadi karane ka soch rahe the..mujhe Arvind nahi pasand tha..Mamajee naraz ho gaye..aur fir bahut si baatein hui..life is too complicated..main India aai...
Aya--Sahil k baad..sab theek hai..?
Bani--Haan..kuchh zakham toh bharte nahin..par zindagi jeeni padti hai..
**************************
Jai ka office jaana zaroori tha..ek London ka business house hai..Jai ne padha hai inke baare me..yeh log India lautna chaahte hain..iske lia inko yehan par buisness partner ki zaroorat hai..Jai ne proposal bheja..inhone accept kia..aaj dopaher ko us company ka CEO aa raha hai..Jai se milne..Jai office pahooch gaya..12 baje meeting hai.
Jai k cabin me uski PA aai...boli ,"Sir..Mr. Khan aaye hain.."
Jai--Send him in..
Ek gora sa aadmi aaya..lamba sa..umar 25 saal..k aas paas..
Jai--Hii..this is Jaijeet Sisodia.
Hello..this is Ranveer,Ranveer Riyaaz Khan.
Jai ne haath milaya Ranveer se..haath milaate waqt Jai ne Ranveer k grip ki sakhti ko mehsoos kia.Ranveer bahut ghoor k dekh raha tha Jaijeet ko.Yehi hai..Jaijeet Sisodia ,The Great.Dekhna hai..isme kaun se phool jade the..k Arvind Raina jaise insaan k lia Bani Didi ne mana kar dia.Jai k table me rakhi hui tasveer par nazar gayi Ranveer ki..Bani aur Jai ki recent photo hai..ohh..matlab Bani ne shaadi ki kanooni taur par..jis baat ka darr tha Riyaaz Mansoor Khan ko.Bani ne London phone bhi kia tha..par Riyaaz ne gusse me baat nahi ki.
Ranveer ko Bani ki photo ko dekhte hue dekha Jai ne..
Jai--She is my wife...Bani.
Ranveer--I can understand that..anyways..kaam ki baat kare?
Jai--Yes..sure..
Edited by yakkudimag - 16 years ago