lyrics - comments will be deleted - Page 5

Created

Last reply

Replies

65

Views

70k

Users

18

Likes

7

Frequent Posters

OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 20 years ago
#41

My own creation:

Meri mohabbat ko ruswa kiya tumne

Tumse hamesha wafa hi to ki humne

Dil keh raha aaj tumse

Mano na mano kasam se

Honton pe muskan

Tere hamesha ho

Sirf itna armaan hai

Kaisa Ye Pyar Hai

Rahon mein kyun pyar ki tumne chora hai

Itni kyun bedardi se dil ko tora hai

Ankhon mein chubhte hain sapne

Begane lagte hain apne

Koi bhi aahat ho

Lagta hai tum aye

Kaisi ghari yar hai

Kaisa Ye Pyar Hai

Hain paas itne magar kyun hai ye doori

Jane ajab si ye ayi hai majburi

Tukre hue aaj dil ke

Murjhaye hain phool khil ke

Dil ki har dharkan to

Bas naam le tera

Tera hi ehsaas hai.

Kaisa Ye Pyar Hai

Edited by rosemehek - 20 years ago
smiley thumbnail
Posted: 20 years ago
#42

the lyric for da whole song of kyph

Stanza 1:
Andekhi anjaani, kya yeh mohabbat hai...
Chupke se milte dilon ki yeh aahat hai...
Kyun pyar ke sab diwaane?
Jo kho gayaa, woh hi jaane...

Stanza 2:
Baatein kitaabon ki...
Raatein hain khwaabon ki...
Har khwaab izhaar hai...

Chorus:
Kaisa yeh pyar hai...
Kaisa yeh pyar hai...

continue with my lyrics

Kya pyaar ka ishq kaisi yeh chahaat hai,
Beqaar na kaam logo ki aadat hai

Yeh Doh Dilon Ki Saada Hai
Khamoshion Ki Zuban Hai

Hai Khel Sauda Hai
Janmon Ka Waada

Har Dil Ka Armaan Hai

Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai

OnlyHope thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 3
Posted: 20 years ago
#43

hey everyone, creaed sm more songs of KYPH:

Tarsao na aur pyasi in ankhon ko

Aa jao paas mere tum jahan bhi ho

Jo hogaya bhool jao

Aur ab na mujhko rulao

Tum jo nahi saath

Kuch bhi nahi jeevan

Sun lo sadayen sanam

Kaisa Ye Pyar Hai

Beet gaya jo pal kya ab wo lautega

Kismat mein likha hai jo kya wo badlega

Bandhe hain kis dor se hum

Sang chal ke bhi na mile hum

Dunya mein na koi

Tumsa humen pyara

Yaar ye izhar hai

Kaisa Ye Pyar Hai

Socha nahi tha jo ayi hai wo mushkil

Aise juda hogaye tere mere dil

Kaanch ki thi apni dori

Aaj hai toot ke bikhri

Waise rahe na tum

Socha tha jo humne

Sab jhoot wo yaar hai

Kaisa Ye Pyar Hai

Kismat ke hathon hum thay kitne majboor

Yaar ki ankhon se thay kitne hum door

Kaun sunega zabani

Ansu bhari ye kahani

Door rahe tumse

Jeevan bhar ab lekin

Sath rahenge sanam

Kaisa Ye Pyar Hai

Edited by rosemehek - 20 years ago
tweety212 thumbnail
Posted: 20 years ago
#44

All the songs until prithvi and kripa decide to get engaged...........

Kaisa Ye Pyar Hai
Andekhi anjaani kya ye mohabbat hai
Chupke se milte dil o ki yeh aahat hai
Kyun pyar ke sab deewane
Jo kho gaya wohi jaane
Baatein gitabon ki
Raatein hai khwabon ki
Har Pyar Izhaar Hai
Kaisa Ye Pyar Hai (3)

Haan….Teri mohabbat ki ye inteha sun ke
Sharma rahi hoon teri hi sada sunke
Tumse milne ke khatir
Is pal ko jeene ke khatir
Tode hai ye bandhan
Ye rasme todi hai
Todi har deewar hai
Kaisa Ye Pyar Hai (4)


Is pal ki chahat mein guzre the pal kitne (2)
Tere Bina sare pal tanha the kitne
Jo chuliya aaj tune
Jee lenge hum phir woh lamhe
Pehla hai ehsaas
Pehla asar hai
Pehli mulaaqat hai
Kaisa ye pyar hai (4)

Andekhi anjaani kya yeh mohabbat hai [slow]
Jo tum nahi paas phir saath ho kaise [fast] (2)
Tere bina aur kuch baat ho kaise
Ho shyam ya ho savera
har waqt hai waqt tera
Meri kahani mein
Har lafz tera hai
Karna hi izhaar yeh
Kaisa yeh pyar hai (4)
Thandi hawayein hai jadoo ka mausam hai (2)
Har shakh ujli hai har phool roshan hai
Kaisa gazab ka samaan hai
Kaise mein dil sochta hai
Jaanu kisi pal mein
Apni mohabbat ka
Hone ko deedar haii
Kaisa ye pyar hai (4)

Ruk si gayi zindagi aaj is pal mein
Phela dhua gham ka khushiyan lagi jalne
Dil ko rulaaya hai itna
Bikhra hai tukdo mein sapna
Armaan banke jo
Is dil mein rehtte the
Kyun aaj bezhaar hai
Kaisa yeh pyar hai (2)

Sab rang tasweer ke dhal gaye kaise
Apne hi the sab badal gaye kyun aise
Duniya ye meri nahin hai
Dikhthi hai vaisi nahin hai
Jhuthi si lagti hai
Aankhon mein chhubhti hai
Kaisi ye pehechan hai
Kaisa ye pyar hai (2)

Bin jaane shayad kiya faisla humne
Vaise nahin tum tumhe jo kahaa humne
Shayad ye tasveer teri
Dekhi hai humne adhuri
Shayad yakeen tujhpe
Aane laga phir se
Badhale lagi aas hai
Kaisa ye pyar hai (4)

Socha tha kya aur kya humne paaya hai
Ab jaake humko yakeen tumpe aaya hai
Bedard tumko kahaa tha
Nazro ka dhokha hua tha
Aaye nazar jaise
Ho tum nahin vaise
Humne liya jaan hai
Kaisa ye pyar hai (4)

(Sad Version)
Jo tum nahi paas phir saath ho kaise (2)
Tere bina aur kuch baat ho kaise
Ho shyam ya ho savera
har waqt hai waqt tera
Meri kahani mein
Har lafz tera hai
Karna hi izhaar yeh
Kaisa yeh pyar hai (4)

Bechain hai dil kyun kaisi ye uljhan hai
Gham aur khushiyon ka ye kaisa bandhan hai
Peeche gaya chut koi
Aage naya mod koi
Sapnay dikhata hai
Mujhko bulaata hai
Baahon ka woh haar hai
Kaisa yeh pyar hai (4)

Humne na maana magar ab ye lagta hai (2)
Is pyar mein dil alag sa dhadkta hai
Hulchul jo ab ho rahi hai
Pehle kabhi na hui thi
Ab mere khwaabon mein
Hoti har ek raat
Tumse mulaaqat hai
Kaisa yeh pyar hai (3)

Ab zindagi ki nayee raha pe chalne
Hum jaa rahe hai kisi khwaab se milne
Hogi nayee zindagani
Phir bhi hai aankhon mein paani
Par dosti aisi
Naa bhool payenge
Dil ko ye vishwaas hai
Kaisa yeh pyar hai (4)

Apni mohabbat ki had jaanta hoon main
Par haan rulaaya tumhe manta hoon main
Jo zakhm tumko diya hai
Uska sulaa mera hai
Thukra diya tumne
Di jo sazaa tumne
Mera vo anjaam hai
Kaisa yeh pyar hai (2)

Le aaj ye dil tere naam karte hai (2)
Apni mohabbat ka ikraar karte hai
Ye honth silse gaye hai
Sab lafz rukse gaye hai
Madhosh ho jaaye
Dhadkan na kho jaaye
Youn dil ki raftar hai
Kaisa yeh pyar hai (2)

Jab paas itne the phir door the kaise (2)
Teri mohabbat mein jeene lage jaise
Chaahat ki pehchaan hai hum
Do dil hai ek jaan hai hum
Koi bhi mausam ho
To saath hardam ho
Dil mein ye jasbaat hai
Kaisa yeh pyar hai (4)

Kitni hansi duniya lagti hai chaahat mein (2)
Har shyam kati ti hai ab muskurahat mein
Gaane lagi ha hawayein
Ye phool bhi gungunaaye
Teri hi baatein kyun
Hum sabse karte hai
Kaisa haseen raaz hai
Kaisa yeh pyar hai (4)
Haan tumse pyar hai (2)

Tha paas sab mere par kuch kamisi thi
Tere bina zindagi suni suni thi
Dhunda tha jisko hamesha
Shayad woh sapna ho mera
Meri mohabbat ko
Pura kiya jisne
Tera hi ek saath hai
Kaisa yeh pyar hai (4)

Saason ka saanso ko paighaam lene do
Is raat ko koi ilzaam lene do
Bas kaapne do labbon ko
Sun lo zara dhadkano ko
Aaghosh mein iski
Mumkin hai jaljaye
Ye ishq vo aag hai
Kaisa yeh pyar hai (2)

Ye do dillon ki alag si kahani hai (2)
Hai ek deewana aur ek deewani hai
Jis din se dono mille hai
Kaise ajeeb se sille hai
Ek pal khafa hai to
Ek pal mohabbat hai
Rehte younhi saath hai
Kaisa yeh pyar hai (4)

Humne lagayi jo har aas hai tooti
Dil ne banayi ye tasweer kyun jhuthi
Kisse shikayat kare hum
Khamosh kaise rahe hum
Maana jisse apni
Ke is dil ki dhadkane woh
Dil se woh anjaan hai
Kaisa yeh pyar hai

Kya khel kismat ne sang mere khela hai
Ulfat ki raaho pe ye dil akela hai
Tumse ye keh bhi na paaye
Aur ho gaye hum paraye
Lekin khushi teri
Manzoor hai mujhko
Ye ashk bekaar hai
Kaisa yeh pyar hai (2)

Chhubte hai ab dil mein toote hue sapnay
Gehri lagi chot aasoon lage behne
Nakli hai ye sare chehre
Kab jaane kya roop badle
Is jhuti duniya mein
Har pal dikhaava hai
Dhoka hi har baar hai
Kaisa ye pyar hai


Edited by tweety212 - 20 years ago
cutychet thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 20 years ago
#45
After Kripa knows the truth and confronts Angad to do the show, they hug

Dekhe nazar jo bhi sab sach nahi hota
Tumko samajhne mein hum khagaye dhoka
Per ab nahi koi uljhan
Hum jaante hai tere gham
Har abh ke pichey
Jo dil dhadakta hai
Woh dil to betaab hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
love4ever thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#46

These lyrics are being played when Angad, Kripa, Josh, Mishti, Prithvi, and Simone have gone hiking. Right after Prithvi gets done singing, eveyone insists on Angad to sing. The song is being sung by Angad in the show and it highlights on beautiful moments between A-K. We can see a sparkle, a glow shining through their eyes for being able to be there with each other after all the pain and agony. Here are the lyrics...

Badla hua aaj ye aisa mausam hai (2)

Mein gaa raha hoon jo teri hi sargam hai

Tune dekhayi ye duniya

Jage hai sab soye armaan

Kehta hoon ab tak jo

Maina kaha ha tha

Tumse mujhe pyar hai

Haan tumse pyar hai… (4)

So much joy and excitement was being illuminated while this song was going on. Enjoy guys!

-Love4ever!

cutychet thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#47
Angad is in jail; Kripa sees the shooting star

Hai yeh haqeeqat ya phir koi sapna hai
Haan… Hai yeh haqeeqat ya phir koi sapna hai
Khilne lage aaj sab dil ke armaan hai
Yeh hum kahaan aagaye hain
Kudh pe hi itraa rahe hai
Meri tammana ki
Har raaha gulshan hai
Har phool gulzaar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
cutychet thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#48
After Kripa slaps Angad(Zaib) when before his performance when he remembers the good and bad times.

Humne jo maana tha sach tha haqeeqat thi
Har ek kahani... adoori mohobbat thi
Baatein yeh vaade wafaa ki
Jhooti hai jhooti rahe gi
Har arzoo dil ki...
Kishton mein bikti hai
Chaahat ka bazaar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Kaisa yeh pyar hai
Edited by cutychet - 19 years ago
FatalDaiquiri thumbnail
Posted: 19 years ago
#49
tuesday december 06th epsde:
when kripa goes to angad when he is in room after blowing the candles of his momz cake...

bin jaane shayad kiya faisala kaise humne
waisey nahin thay tum tumhain jo kaha humne
shayad yeh tasveer teri
dekhi hai humne adhoori
shayad yakeen tujhpe aane laga
phir se, bandhne lagi aas hai
kaisa yeh pyaar hai (x4)
love4ever thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#50

Hey guys,

These lyrics are focused on Angad as he is further heart-broken and torn after thinking that Kripa and Prithvi were physically involved. This song is focused as Kripa walks down the stairs and Angad's soul is tearing and burning from within at her thoughts...here are the words:

Es sach ne mera, har ek khwab tora hai

Tanhaiyon ke bhawar mein, yoon shora hai

Kaisa ye pyar hai…(4)

It was heart-wrenching to see him in so much pain...but the words are powerful!!! Enjoy!

-Love4ever!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".