Unki har baat dil lubhaati hai, Har adaa, har khataa bhi bhati hai. |
|
Dil main mere khayaal aaye to, Baat unki zubaa.n pe aati hai. |
|
Sab Mere haal par pareshaan hai.n Ek woh hain ki muskuraati hai.n. |
|
Geet meraa likhaa hi hai shaayad, Woh jo haule se gun gunaati hai.n |
|
Haath deewane ke de allah kuchh aisi qalam, Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai! |
|
Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega |
|
Tu is tarah se mere dil main shamil hai Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai |
|
Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi |
|
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad |
|
Jukha kar utha na sake sar mere saval par, Zulfon ka naqab gira hai, mere dil ka raaz le kar |
|
Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa |
|
Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai |
|
Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh, Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein, Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein. |
|
Eed ke din aap khadi na hona chhat par Eed ke din aap khadi na hona chhat par kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar |
|
Banakar tumhare dil ko basera, tumhare dil mein rahna chahta hoon, aaj tumse dil ki her woh baat, mai bus kehna chahta hoon.. |
|
Jis shaam mere lab per tera naam na aaye, Khuda kare aisi shaam na aaye.... Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin, Afsaana likhnu aur tera naam na aaye |
|
dekhte hai duniya ki aankhon se, aashiqon ki yehi aadat kharab hai dil ki aankhon se dekhe gar koi, har haseen ko samjhna aasan hai |
|
Kaun rakhta hai yaad naamo ko, logh insaan ko bhool jaya karte hai. tum samandur ke baat karti ho, logh aankho mein doob jaya karte hai. |
|
Chand agar nikal aaye, to ye raat sunahi ho jaye tum bhi gar aa jao kareeb, to mausum aur bhi rumani ho jaye |
|
Tu kaatil tera chehra kaatil Chehre ka ye kala til bhi katil bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina ki kahin mar na de katil ko katil |
|
Palakon se utha ke ye khwaab, Sajaaye hein kadamon mein tere. Samhaal ke rakhna kadam, Kaheen kuchal na jayeen khwaab ye mere. |
|
Ek nadi ke bahne ki aawaz ho tum, chahun kho jaun usme mai gumsum, jazbaton ke is dariya mein, madhosh sa behna chahta hoon.. Aaj tumse dil ki her woh baat mai.... |