Dear Friends,http://www.haroof.com/india/😆
Today i am telling you a website which has an article in Urdu. Please Visit it.
Thanks...
Only Yours and Sujal & Kashish Fan, Muhammad Faizan Khan, Multan Pakistan
Page
of
1Dear Friends,http://www.haroof.com/india/😆
Today i am telling you a website which has an article in Urdu. Please Visit it.
Thanks...
Only Yours and Sujal & Kashish Fan, Muhammad Faizan Khan, Multan Pakistan
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 2nd Oct 2025
HEY JINDAGI 2.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 2, 2025 Episode Discussion Thread
BAAT KARO NA 3.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 3, 2025 Episode Discussion Thread
Gen 5 News article Mila
Bingo Blitz - The Ultimate Showdown (Sign-up)
SRK Enters Billionaire Club
🏏India vs West Indies,1st Test: N M Stadium, Ahmedabad, Day 2🏏
Sunny Sanskari Ki Tulsi Kumari opens well!!
How saiyara became hit
The Manuscript Marauders Bingo Challenge Thread
Literary Looters 💰🤑 Book Bingo Discussions | October 2025 BTRC
Abhishek Seeks Legal Action On Salman Ash AI Generated Videos
What do you folks think about this???
The Literary Looters 💰 | Book Talk Reading Challenge October 2025
To everyone disliking Amaal, Baseer, et al…
Faizaan welcum to the forum and thanx for the link, it nice but old interview..
Rameena....
This interview was in Urdu, I have translated it and If any mistakes are there....Do correct them....
"KAHIIN TO HOGA MAY SUJAL EK BAAR PHIR SERIAL SAY OUT.."
" is baar khud say alag nahi hua, Nikaala gaya hoon",Rajeev Khandelwal.
Ek baar phir Rajeev ko Kahiin to hoga ko alvida kehna parda,Aisa is kay saath pehli baar nahi hua hai.Is say pehlay bhi woh ek martaba is serial ko chord chuka hai,Magar majburan woh wapas bulaya gaya tha, aur ab surat haal yeh hai kaywoh ek baar phirmedia kay mud bhaerd may hai, us par sawaalon ki bochaar hui hai, usay kahin to hoga say ruksat honay ki wajah say daryaaft ki jarahi hai.
Logon ka yeh kahna hai kay is martaba rajeev ki ruksati mustakhal hain. ab woh gaya toh wapas nahi ayega.....
Rajeev khud kahtay hain..." mujhe is serial say ruksat honay par majboor kiya gaya hain"....
Ek taazah interview may is nay asal hadayakh say pardah uthaya hain.Pesh hain is interview ki ikhtesabaat.......
# Kya yeh sach hai kay tum, Kth say alag hogaye ho?
@ Ji haan yeh bilkul sach hain kay main Kth say alag hogaya hu.
# Is ki koi khaas wajhah?
@ Bilkul imaan daari kay saath bataunga kay mujhe is serial say nikala gaya hai.
# Achha magar is ki bhi toh koi wajah hogi?
@ Main serial main jo kirdaar kar raha tha is ki koi na koi muntiq thi kay main yeh kirdaar kyun katr raha hu, main woh muntiq janna chahta tha, magar mujhe kuch nahi bataya gaya. Main ek actor hu aur kisi robot ki tarah kaam nahi karsakta. Apnay kirdaar kay baaray main janna aur uskay ismanzar aur bunyaad ko samajhna mera haq hain, is kay baad hi main is may jaan paida karsakta hu, Iskay baghair main is kirdaar say kaise insaaf kar sakta hu? Main nay apnay aap ko apnay kirdaar "sujal" say bahot khareeb rakha hain.
# Phir kya hua?
@ Jaise jaise waqt guzarta gaya mera kirdaar us kirdaar say mukhtalif hota chalagaya, jo script may likha gaya tha tamam scenes bhi badaltay chalygaye.Yehin say ikhtelafaat paida honay lagay,kyun kay mujhe achanak tabdeel honay waali yeh policy bilkul pasand nahi aayi thi.
# Lekin yeh itna barda masla toh nahi tha, tum in tamam mammlaat par gyftagu karsaktay thay aur khayil kar saktay thay......
@ "Main nay apni taraf say poori koshish ki magar badkhismati say meri baat nahi suni gayi.Main pehlay bhi yeh serial chord kar chala gaya tha aur jab wapas aaya tha toh mera khayal tha kay is baar halaat mukammil tor par badal jayengay isliye main nay ek aur koshish kar daali thi.Lekin har baar mujhe majboor kiya gaya kay main sirf hidayat par amal karun. Yeh dekh kar mujhe gussa aagaya aur mainay in logon say kaha kay mujhe is serial say nikaal day toh inho nay kaha "theek hai" ab koi baat nahi hogi, tum 15 tak kaam karo aur phir rawana ho jao".
# Kaha ja raha hain kay tum kud ko ..... samajhtay ho aur akhshat , swayam aur rishi kay saath bhi masayal kharday kartay ho ?
@ Rishi aur akshat is may pehlay bhi thay aur humaray darmiyaan kabhi koi ikhtelafaaat peda nahi hua,Hum teeno mil kar Squash aur Badminton kheltay hain aur aksar aukhaat ghoomtay phirtay bhi hain.
# Tum par yeh bhi ilzaam hai ki tum Kth kay liye waqt nahi nikaaltay, tareenkhay nahi daytay ?
@ Jab say main nay Ketan mehta ki serial sign ki hain, is waqt say balaji waalon kay aur meray darmiyaan yeh tai hogaya kay main in dono ko bara bar din dunga.
# Hum wapis tumhaari shaqsiyat ki taraf aatay hain, kya har actor ko iskay kirdaar ko geo logic kay baaray may batana koi asaan kaam hai?
.....Guys any one write this part..
# Faislay badlay bhi toh jasaktay hain?
@ Haan, aisa main pehlay kar chuka hun, magar ab nahi karunga, yeh koi khel ya mazaakh nahi hain.Bahot hogaya! lekin haan agar main nay yeh samjha uar mehsoos kiya kay is nagri ka system is artist ko maar sakta hain, is ko fan ko khatal karsakta hain, jo ek khaas production house ya ek khaas channel ko chord dayta hain toh main wapsi ka faisla karsakta hun.
# toh ab tumharay paas sirf ek serial hain Ketan mehta ka show jo zee tv pay aa raha hai ?
@ Magar issay kya fark parta hain ? Main yahan koi safe game nahi khel raha hu.
#Tum nay Anubhav sinha kay ek serial ka Pilot programme kiya hain, kya woh pass hogaya?
@ Is kay baaray main mujhe kuch kuch maloom nahi hain, yeh ek umdah comedy show hain, main isay karsakunga ya nahi. Is kay baaray main philhaal kuch nahi kahsakta, intezaar karen aur dekhay.
# Film ki taraf jaoygay?
@ Philhaal kuch nahi kah sakta, abhi mujhe khud nahi maloom kaya agay main kya karunga........
Rameena.
Thanx Fazan for the Info.
Well Rameena thanx for translating it for us.
Saher.
Thanks for telling.I can read urdu. |