Maine abhi you tube par shappu ka Gudipadwa special interview dekha 😍
Shappu ki onscreen chemistry itni brilliant kaise hai is ka answer Dnyatan ki offscreen chemistry dekhkar milta hai
Buhut hi jyada funny interview tha 😂
Ek ko sweet dish ki drawing banani thi aur dusre ko batana tha ki ye konsi sweet dish hai
Chetan : agar maine Dynanda ki drawing nahi pehchani to iski drawing kharab hai, aur meri drawing Dynanda ne right guess nahi ki to bhi galti usi ki hai kyunki wo sweet dish use pata hi nahi hogi 🤣
Dynanda ne shree-khand ki drawing banane ki try ki. Us drawing ko dekhkar Chetan - bartan.. Gas par rakha hua bartan
Dynanda : gas kaha dikh raha hai tumhe? Ek to Ye bartan nahi hai , ye chhoti katori hai 😅
Chetan ne mahim ka halwa ki drawing aisi banai thi 🤣 seriously Dynanda ne to apna head hi pakad liya. Drawing se jyada funny Chetan ka explanation tha - ye maine Marin drive banaya hai, uske aage kya hai?
Dynanda : mera geography weak hai
Chetan : Are ha iska map ka problem hai. Marin drive uske aage Dadar aur fir Mahim! Mahim guess karne ke bad mai ye drawing board hilane wala tha as a halwa show karne ke liye 🤣🤣
Interviewer : tum drawing board hilakar halwa show karna chahte the seriously🤣
Chetan : ha to mahim ka halwa draw kaise kare ? To ye smart trick hai 😆
Has has kar pagal ho gayi mai to 😂 tum bhi dekha ye interview 🤗