Ek junoon tha ek nasha tha aur humare kadam chale jaa rahe the humari dhadkano ki awaaz pe jaise jaise shaam ke champayi rang ko raat ka siyah andhera apne mai sametey jaa raha tha waise waise dhire dhire sitaaro ke chiraag aasmaan ko roshan kiye jaa rahe the, tabhi achanak tham gaye humare kadam aankh uthkar dekha toh khud ko paya ek aisi jagah janha pe ek ho rahe the zameen aur aasmaan, ek taraf aasmaan tha sitaaro ke chiraago se roshan toh dusari taraf zameen thi khushiyo ke chiraago aur logo ki hasi se roshan itani khushi itani hasi sang jashan manate huye log kisi ke aane ke intezaar mai the aur tabhi na jaane kyun dil bekarar hokar idhar udhar bhatakaney laga...
Na jaane kiss roop ka jaadu tha na jaane kiss rooh ki kashish jisski ungali thame humara dil na jaane kiss aur khicha jaa raha tha...
Na jaane kyun dil ki dhadkaney tez tez daud rahi thi aur phir aankho ne pehali baar kudrat ka woh karishma woh nazara dekha...
Zameen par utar aaya tha chaand aur uss zameen ke chaand ko dekhkar aasmaan ka chaand bhi sharmakar badalo mai chup gaya tha aur jaise uss chaand ka noor humare dil par pada tham gayi thi humari saanse aur ruk gayi thi humari dhadkaney tabhi woh chaand muskuraya aur humara dil ko phir mil gayi thi uski dhadkaney...
Phir se humne apne dil pe haat rakha aur humari dhadkano ne humse kaha yahi hai tere dil ki manzil na chahte huye bhi hontho pe ek muskurahat aayi aur humne apni dhadkano se kaha
Kya sach mai yahi hai humare dil ki manzil...
Kya sach mai humare adhurepan ne yeh rang dhikhya hai...
Kanha humari rag rag mai bejari thi aur tasavur mai sirf viraana tha...
Kanha humne kabhi ek gul ki khwaish nahi ki thi aur Kanha humari kismat mai saare gulishtan ka shabaab chala aaya hai...
Aur humari dhadkano ne kaha yahi hai woh jisske liye tu aaj tak bhatak raha tha aur humne phir muskurakar kaha...
Shukriya yeh khuda hume nahi pata tha...
Humari bhatkan humari becheni ka sila itna bemisal hoga...
Humari bekarari ka karar itna lajawaab hoga...
Ek zarre ki kismat mai husan ka aisa mahtaab hoga...
Aaj se issko apna banana humari zindagi ka maqsad aur isska ho jaana humara junoon...
Aaj se isska adab humara imaan aur aaj se isski mohabbat humari ibadat...
29