OS--Ek Hasrat Tujhe Paane Ki...
Jodha- Rewa...tum hamare kaksh ke bahar raho aur dhyan rahe koi bhi andar na aaye...aur haan...jaane se pehle ye darpan zara saaf kardo...
Rewa- Ji Ranisa...
...Rewa took a cloth and started cleaning the mirror to make it shine as per Jodha's order...
Just then Moti entered the room holding a shahi thaal covered with a beautiful cloth on it...
Moti- lijiye Jodha...hum shahi darzi se aapke ye vastr to le aaye...ab aap ye bataiye ki aisi kya jaldi thi aapko in kapdo ki?? Abhi to mehel me koi jashn bhi nahi hone wala hai? Fir ye khaas taur par itni jaldi me kyun silwaye aapne?
Jodha (taking the thaal in her hand...)- offo...Moti!! Kitne sawal karti ho tum...hum sirf tumko hi dikhaenge ye...par akele me...
Moti (confused...)- Akele me?? Jodha isme vastr hi hain na??
Jodha- haan Moti...isme vastr hi hain...tumme to zara bhi sabr nahi...thik hai hum dikhate hain tumhe...Ekaant!!
...Everyone including Rewa leaves the room leaving Moti and Jodha to themselves...
...Jodha was brimming with happiness as she pulled Moti by her hand...making her sit on the bed with her...
Moti- Jodha!! Kya baat hai...?? Aaj pehli baar hum apni sakhi ke chehre ke bhaav nahi padh pa rahe...
Jodha-Moti...tum hamara chehra padhna band karo...aur ye dekho...(she said as she removed the cloth from the thaal...revealing a sparkling beautiful dress made of golden fabric...
...Jodha lifted the dress from the case and showed it to Moti...
...Moti took it in her hands and was looking at Jodha in disbelief...
Moti- Jodha!! Ye vastr to bilkul waise hain jaise Benazir pehenti hain...hey bhagwan Jodha...ye aapne apne liye banwaye hain?? Itne chhote vastr...Hame to ye vastra dekh ke hi lajja aa rahi hai aur aap ye pehenne ki baat kar rahi hain?? Ho kya gaya hai Jodha aapko??
Jodha- Hume kuch nahi hua hai Moti...aur waise bhi hum to bas ek baar aise hi apne man ko poora karne ke liye ye vastr pehen ke dekhna chahte the...Lajja to hume bhi aati hai aise vastr dekhkar...parantu hum ye bahar thode na pehen ke jaenge...hum to bas ye dekhna chahte the ki hum in vastron me kaise dikhenge...
Moti- (smiling broadly...)- Achcha Jodha!! Aapko kabse aisa shauk hone laga?? Aur waise bhi aapko us Benazir jaisa dikhne ki kya avashyakta??
Jodha- Moti... Hum kisi ki tarah nahi dikhna chahte...hum to bas yunhi dekhna chahte the ki aisi kya baat hai is libaas me jo Shahenshah ne khaas tour par inhe Benazir ke liye banwaya??? Aaj se pehle to humne raajmahal me kisi rani ya daasi ko aise vastron me nahi dekha?? Ya fir kya Shahenshah ko aisa lagta hai ki in kapdon me sirf Benazir hi khoobsurat dikhegi??
Moti- hmm...to ab samajh me aaya hume...ki ye sab Shahenshah ke samne khoobsurat dikhne ke liye koshish ki ja rahi hai...
Jodha- Moti!!! Tum bhi na...Aakhir hum aisa kyun karenge...aur waise bhi hum Shahenshah ke samne in vastron me jaane ki soch bhi nahi sakte...hume to soch ke hi lajja aati hai...aur na jaane kaise wo Benazir poore rajmahal me ghumti hai in vastron me...humne to bas yunhi apne ko ek chhan apna roop badalkar aaine me niharne ki sochi thi...aur tumne na jaane kahan tak soch daala...
Moti-( in a teasing tone...)- Jodha...!! Tum bhale hi in vastron me Shahenshah ke samne na jao...par Shahenshah ki nazar to tum par hi hai...😳😳(...she said and pointed towards a lively portrait of Jalal hanging on the wall next to the grand mirror...)
Jodha looked at the portrait herself and was embarrassed...
Jodha- (faking anger...) Moti!! Tum fir shuru ho gayi!! Ab tum jao yahan se...aur haan...jab tak hum na kahein...kisi ko bhi andar mat aane dena...samjhi...!!
54