ladies sangeet😛
friends you must add your songs...!!
i will start with traditional folk tunes...
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
E raja ki tumko raani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani ek din tumko banne raja ke ghar doli mein jaake
Hum sakhiyon se yoon anjaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Nainon mein hai kaajal ke dore
Mehndi se rache haath gore
Jhumar tera dam dam damke
Jhumka tera jham jham jhamke
Haar galey mein jagmagaaye
Aanchal tera resham resham
Haule haule madham madham
Tu man hi man muskaaye
Tu man hi man muskaaye
Sukh spanon mein yoon mastaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banne raja jo paas aaye
Chaahe dil ghunghta uthaaye
Dekho banno maan na jaana
Mukhda unko na dikhlaana
Pehle sau baatein manvaana
Kehna bolo karke salaami
Banno karoonga teri ghulaami
Main to hoon tera deewana
Main to hoon tera deewana
Unhein deewana tumhein deewani hona hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
E raja ki tumko raani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani ek din tumko banne raja ke ghar doli mein jaake
Hum sakhiyon se yoon anjaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha
Banno rani tumhe sayaani honi hi tha hona hi tha hona hi tha.😳 -----------------------------------------------------Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai O hariyali banno
Le jane tujhko gooeeyan
Aane wale hain sahiyan
Thamenge aake baiyan, goonjegi sahnaiyan
Anganai anganai Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai Gayen maiya aur moti
Gayen behna aur bhabhi ki
Mehndi khil jaye, rang laye hariyali banno Gayen phufi aur chachi
Gayen nani aur dadi ki
Mehndi man bhaye, saz jaye hariyali banno Mehndi roop sanware ho, mehndi rang nikhare ho
Hariyali banni ke aanchal mein utrenge taare Mehndi hai rachnewali
Hathon mein gehri laali
Kahin sakhiyaan ab kaliyaan
Hathon mein khilne wali hain
Tere manko jeevan ko
Nai khushiyan milne wali hai...
😳😳😳
Edited by Mauritian - 19 years ago