To the days when Armaan was missing the old Jassi and living in her memories, when he first realised that he truly loved her and she was away having a make-over:
Aik Aanchal say bandha hay sub kuch
Aik Tasveer
Aur tasveer pay Bheegay howe hoont
Aik sundal ki unnabi pencil
Aik bay rabt sa ukhra hua khat
Kissi gumnam say shair ka adhora misraa
Aik pazeeb say bichra hua ujla Moti
Aik murjhai hoi zard Chambeli ki cali
Jis may ab bhi Teri zulfoon kay bhanwar liptay hain
Sherini kanch ki tuti hoi nazuk chori
Yehi Dolat hai yehi kuch hai Asasa mera
Aik Aanchal say bandha hay sub kuch
Aik Bheegay howe Aanchal say bandha hay sub kuch