ji haan main hoon khalnaayak
naayak nahi khalnaayak hai tu
naayak nahi khalnaayak hoon main zulmi bada duhkhdaayak hoon main
hai pyaar kya mujhko kya khabar bas yaar nafrat ke laayak hoon main
naayak nahi khalnaayak hoon ...
teri tabiyat to rangeen hai par tu mohabbat ki tauheen hai
kuch bhi nahi yaad iske siva, na main kisi ka na koi mera
jo cheez maangi nahi vo milee karta main kya aur bas chheen lee
main bhi sharaafat se jeeta magar mujhko sharifon se lagta tha dar
sabko pata tha main kamzor hoon, main isliye aaj kuch aur hoon
naayak nahi khalanaayak hoon ...
kitne khilauno se khela hai tu afsos phir bhi akela hai tu
bachpan mein likhi kahaani meri kaise badalti jawaani meri
saara samandar mere paas hai ek boond paani meri pyaas hai
dekha tha maa ne kabhi pyaar se ab mil gai vo bhi sansaar se
main vo lootera hoon jo lut gaya maa ka bhi aanchal kaheen chhut gaya
naayak nahi khalnaayak hoon ...
57