Rikara FF: Heal my Soul (Updated conclusion part in Pg 60) - Page 13

Created

Last reply

Replies

449

Views

223.4k

Users

44

Likes

2.6k

Frequent Posters

yayini thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: sara1990

Awesome updates. Thanks for the pm. Thank god wifey was not angry😆. Poor Om, he is confused😒. Please show Gauri as independent lady and trying to look for some job or something... or any scenes makes Om realise he loves her and would like to give this marriage a try... If can, please show some friendship bonds between them? I really hope Gauri herself will reveal to Om about Chulbul's truth. 😊


Oh sure, Even i would like to see her as independent women, working on her own terms. Definitely incorporate that in OS.
yayini thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
Hi all,
Thanks for your support and comments. It makes me feel happy and write more.. 😊

Regarding the story line, i am trying to buildup the romance to a high point and then bring on truth and denial, so that it will spice up things. Want your feedback on the same :)

Here you go for the next part"

<Part 17>

O: Ek minute, tumhaari problem yehi naa.. Ki main tumhe yahan rakne ke liye forced hoon. Kyunki maine inspector se kaha? Aur tum meri zindagi ki bhoj ho? Aur tume abhi abhi gol gol gumake poocha hain, ki main kisi aur ladki ko pasand karta hoon? Let me clear. Meri zindagi mein koi ladki nahi hai abhi. Meri ek girl firend thi Ridhdima. We were together for 4 years. Saath mein bhi rehte the.." He paused thinking what her reaction would be. She just had a plain face. He continued.

O: Par humhaari breakup ho chuki hain, almost 7-8 months ago. So I have no one to answer in my life. Aur rahi baat meri zindagi ki, meri zindagi ki faisla mein khud karta hoon. Sahi ho ya galat, usse face karne meri responsibility hain. Aur main tumhe yahan lekar aane se, koi sahaara nahi diya hoon. Tum yahaan ho, kyunki tum meri biwi hai.. Aur yeh tumhaara haq hai.. Samjhi tum.. Meri maa ki pati uski zindagi mein shaadi ko ek joke banake rakha hai. Main aisa nahi hoon. Mere shaadi ko lightly nahi leta hoon. Khud ko low feel karna band karo. Jaise sab yahan apne haq se reh rahe hain, waise hi tumhaari bhi haq hai, Omkaara singh oberoi ki biwi hone ki haq.

G: Wahi to mein keh rahi hoon. Aap ne humhe patni ki haq de diye sab ki samne, par khud ko usse mane mein zor zabardasti mat kariye. Mere liye yeh shaandar ghar, naam, adhikaar haq kisi ka matlab nahi hai, Main chahthi hoon, agar aap ko dil humhe patni manna chahe, aap ko manna chahiye. Agar nahi manta, to bhi teek hai. Aap ki koi guna nahi hain. Haalat ki kharabhi hai.. Iss riste jod dhiya aapne, par mujhe apne aap se jhodne mein koi zabardasti mat mehsoos kariye ga. Main aisi kuch nahi chahthi hoon. Aapki khushi hi sabse zaroorat hain.

O: Aur tumhaara khushi?

G: aap ki khush mein hain..

O: Kyon? Tumhaari liye bhi yeh zabardasthi ki ristha hain. Tum shaadi ko seriously maanti ho, jaise ki main bhi manta hoon. Par mujhe decide karne ki haq hain, tumne choice nahi..? Jo bhi tumne kaha, main wapas keh raha hoon. Maine tumhaari sindoor jo bhar diya, sirf isliye pati nahi hua hoon. Tum bhi apni dil pe zabardasthi shaadi, sanskar eh sab ki bhoj dalke, usse force kar rahi ho mujhe accept karne ki.

G: Meri koi zabardasthi nahi hain aapko pasand karne ke liye.

O: Kyon, tum mere bhaare mein jaanti hi kya ho?

Gauri could not say that she knows him very well as Chulbul. His strength, weakness, vulnerability, likings. She knows it better. She chose to keep mum. Again the lie is pricking her heart like a thorn. She turned back and moved towards the couch.

O: Gauri, ruko. He held her hands. Gauri closed her eyes and was controlling her tears.

O: Jawab do. Tum mere baare mein kya janti ho?

G: Kisi ko jaane ke liye ek janam nahi ek mahina bhi nahi, yahan take ek hafte bhi kaafi hain, Omkaara ji. Main kya kya jaanti, wo mujhe pata nahi. Par apni dil ko jaanti hoon. She didn't complete the sentence.

Omkaara again got confused about her reaction. Does she even realize what she is saying?

O: Matlab.. ?

G: Matlab.. kuch nahi.. Mujhe koi zabardasthi nahi hain bas.

Omkaara got impatient. He wanted to know what she felt about him and being in this marriage. It's just a week and probably he is expecting a unpractical thing. But all these logic definitions took a back seat. She does express big things in a very subtle way provided he pushes her in such situations. He was wondering how to make her express more. He can't stop the conversation here. She was already going to lie down.

She herself started a minute conversation.

"Omkaaraji, aap badam wali dhoodh piyenge naa.. sone ki waqt, main lekar aaon?"

"1 week.. Sirf aur sirf 1 week hue, aur tum to sab kuch jaanti ho, mujhe kya pasand hain, kya peeta hoon, kya khaata hoon.. sab kuch.. Itna kaise jaan gayi ho mere bhaare mein."

"aapki saath rehtha hoon, itna to pata hona hi chahiye.."

"Nahi Gauri, Saalon se saath rehne ki baad bhi Kahin log ko pata nahi hota hain dusre ki dil mein kya hain aur kya chahthe hain" He gave a pained looked thinking about his parents.

Gauri had seen him experiencing this pain a lot of times as chulbul. She held both of his hands like she used to do. Omkaara looked at her.

"Aisa nahi hain Omkaaraji, Jaante to sab hain.. Par jab khud khi pasand ek doosre ki pasand se jyaada ho jaai, tab rishte toothe hain. Aur kisi bhi cheej ki kheemthi, jo hoti hain na..tab nahi patha chalega.. Jab humhaari haath se jaathi hain, tab patha chal jaatha hain. Aur insaan ko ehsaas ho hi jaatha.. ek na ek din. Tab laut aayega zindagi wapas apni saari khushi lekar. Aap dekhiye aise koi din zaroor ayega.." Gauri smiled. Omkaara was astonished. She is talking with him as if she has been with him for ages. How the hell did she know his inner turmoil. She could have known about the difference between his parents from anyone even his own mother. But how did she know that he wished that his parent's marriage become stable one day and his secret wish that the relationship with his father gets settled.

"Tum ho kaun Gauri?"

Gauri was shocked. Did she just blurt out something in the emotion. Did he find out that she is Chulbul. She was trying to look away and think.

"Ji"

"Nahin tum aise baatein kaise kar leti ho, jaise ki tum mujhe varshon se jaanti ho. Kaise pata hain tumhe main kya sochtha hoon? Am really very surprised. Bahut kam log hain jisse me khol kar baat karta hoon. Par tum se bina baat kiye hin. Tum mera sab janke rakhi ho.."

Gauri.. "Pata nahi.. Aapki shakkal dekthi hoon naa. Usse pata chal jaatha hain mujhe.. Aap khush hain ya pareshaani mein hain. Aapki aankhen keh deti hain sab kuch.. aur maa ji ne bhi hame kuch bataya tha.. uski aur aapki papa ki bhaare mein. Aurr... Hum jaante hain ki aapki dhaniya se allergy hain, mirchy khaana nahi pasand hain, aur aap jab ghusse hote hain aankhon ko aise aise karte hain" Gauri tried to imitate him and was laughing. Omkaara's mood lightened on seeing her laughing. He wanted to continue this.

"Oh, acha .." He was moving close to her.. Gauri was not moving back.

"To batao mera fav color?"

"Safed aur black"

"Right, kaise janti hain tu?"

"Sirf iss do rang ki kapde hi to pehente hain aap"

"Oh, really.." he took a lock of her hair in his hands and started playing with it. Gauri was looking at him puzzled as to why is he doing this.

"teek hain, mera wo cheez batao, jo mein regularly karta hoon?"

"Aap apni baal ko maalish karne ke liye kya kehte hain.. wo hota hain na jispe massage maalish sab karte, wahan jaate hain"

"You mean, SPA?"

"Haan wahi.."

"Ab yeh kaise jaan gayi tune.. mere peeche kar rahi thi.."

"Main kya aapki bodyguard hoon.. aapke peeche peeche ane ke liya? Waise cupboard mein itne saare bill hain uss kya kehte hain SssPa ki. Usse pata chala.." He was still playing with the lock of hair near her cheek. "Ab der bohot hogayi hai.. humhe sona chahiye" He was watching her liedown. Gauri wanted to hide his jacket under the blanket. But Omkaara wasn't turning that side. She covered up the blanket and turned towards the opposite side. She slid the jacket inside the blanket. Little did she know, that Omkaara knew what she was doing..

<to be continued>


Love,

Yayini

IlaTanwar thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 8 years ago
Awiee.. such heart warming conversation between them I liked the way they are.moving
sara1990 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
I loved the way Gauri answered him. Their conversation was awesome.
Please update soon
sushups thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
awww its such a nice update
....Anabella... thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 4
Posted: 8 years ago
Lovely convo between Rikara... Waiting to see Om's reaction when he comes.to know that Gauri is.Chulbul
nyctophile25 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
Awwwie!! 😳 loved their conversation...Waiting for the next update... 😛
Jan98 thumbnail
Posted: 8 years ago
Wow!!
Superb update!!!!
Continue soon😊
yayini thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
Here you go:

<Part 18>:

Almost 3 weeks went by since Gauri came in to O.Mansion as Omkaara's wife. She found a job for herself in a factory which exports religious goods and accessories, overseas. Her friend from Bareilly helped her get this job. She refused to take any help from Omkaara or any other member of family and she wanted to bear the hospital expenses of her mother on her own.

Rudra arranged a night stay at a sea facing resort on the outskirts of the city for 6 of them. He thought they all should take a break from monotonous home environment. After reaching the resort, they all sat down in the executive sea facing lounge, chit chatting with each other. After very long, Omkaara was in his poetic own self and attire with loose hair and artist look. He was talking something with Shivaay and Rudra and Gauri was chatting with Anika and Saumya

R: Chalo, ab time hai couple selfie ki..

S: Couple selfie, tu wedding photographer kab ban gaya?

R: Bhaiyya, waise bhi aap kitchen mein khaane ki alava aaj kal bahut kuch kar lete ho.. Aisa bhi kuch karo abhi aur romatic pose de do. Photo leni hai..

O: Kitchen mein bahut kuch.. I think am missing something..

R: Haan O, aaj kal aap room mein bahut busy rehte ho. Kitchen aane ki time hi nahi milta naa.. Anika and Saumya were laughing at Om. Gauri was seeing somewhere else.

O: Rudra, shut up.

R: Mera matlab hain, ki aap painting karte ho, aur moorthi banate ho.. wohi kehra tha..

S: Acha teek hai.. Sab pose kar lethe hain ek saath.. Alag alag kyun le raha hai..

R: Full picture baad mein, ab bas hum aap aur Bhabhi ek romantic pose karo aur photo khatam.

Anika: Nahi Rudra, kya zaroorat hai?

R: Bhabhi sharmao mat yaar.. Pakdo shivaay bhaiya ko..

Shivaay held anika by waist and she held his hand..

O: waah waah kya baat hain.. Beta dumbbell oberoi, apni bhaiyaa se kuch seek le.

R: O, zyaada kuch mat kaho.. aap ki next lagne waali hai.. Tayyar raho..

Shivaay and anika were done with the photoshoot and everyone were teasing a blushing anika.

R: Chalo, jaldi ek achi se romantic pose de do.. Bhabhi.. comeon..

O: Rudra aise hi photo le lo..

R: O, aap artist ho, romance aapki baal mein uljhi hue hain. .usse nikalo aur ek pose de do jaldi..

Omkaara felt rudra will not stop until he gives one. He looked at Gauri. Her eyes were anticipating something but she kept a plain face. As usual, he was trying to gauge the feelings behind her eyes. But he couldn't think more.. While they were sitting next to each other, He hesitantly wrapped both his arms around her and moved his face close to hers. Gauri's heart was racing against her breath. She didn't want to miss this closeness. His skin was pressing against her skin in the face and shoulders. She would want to sit like this forever. Without hesitating, she turned a little and held his chin. Now it was omkaara's turn to widen his eyes. He least expected her to display her affection infront of everyone. She was caressing his chin in a way that no one knew expect him. He was watching her in astonishment.

All except Shivaay erupted in loud cheer..

R: Aila.. Bhabhi ne seedha helicopter shot maari dhoni ki tharah.. Wah Bhabhi, kya pose de diya aapne.. O, kuch to seek lo, humhaara lambe baal wale Bhabhi se..

Everyone cleared their throat for the 2nd time only then their eyelock broke. Omkaara was having a confused expression again, wheras Gauri's face was blooming.

S: Ab tumhaari baari hain. Saumya ke saath baito, main photo le leta hoon..

Saumya was ina fix. She is busy trying to hide her feelings about Rudra, to herself and others all these days. But she didn't want to let go of this moment. Rudra was feeling awkward how to ask saumya to give romantic pose. He thought she might not like it. Saumya did the unexpected. She laid her head in Rudra's chest and touched the place where his heart lies. Rudra held her cheek.

Om and Shivaay were smiling at them whereas other two ladies were clapping.

G: Sach mein, bahoti filmy pose kar di tune..

A: Haan, wo film jo hota hain naa.. are wahi. Jisme wo heroine, hero ko climax main pahad se dhakka marke push karti.. us film main, maine aise hi pose dekha tha.. kya filmy hai..

Shivaay as usual with his poker face "Heroine hero se dhakka marthi hai, wo bhi pahad se, yeh kaisi picturein dekthi ho tum??"

Rudra was the one to break off from the spell while saumya was trying her best to hide her feelings.

R:Guys guys bahot hogaya.. Chalo sab milke selfie lete hain.

All three brothers held each other whilst their wives stood close by them. They were all enjoying after long time with no guards and full on relaxed and masti mood. Dinner arrived and they were serving one another and talking and having fun. Omkaara was searching a topping for his pasta. He didn't tell anyone. Gauri pushed it by his side.. Omkaara gave a surprised look again. He raised his eyebrows again.

"Phir se?"

R: "Phir se?" Shivaay: "Phir se?"

R: O kya hua, batao. Kya hua phir se..

O: Nahi, kuch nahi.. bas mein topping doond raha tha.. aur Gauri usse apni paas rakh rahi thi..

R: Bhaiyaa, yahan baton baton mein pakdam pakdai khel chal rahi hain. Aur humne notice nahi kiya..

O: Shut up rudra, chup chaap kao..

They all finished off the dinner. Rudra thought he will have a drink with his brothers.

R: Chalo sumo, ab aap log woh lounge pe chill out karo, yahan pe OBro moment hone waali hai.

A: Mujhe kyun lag raha hain, yahan pe koi secret plan ho raha hain..

R: Aisa nahi hain Bhabhi.. kya secret hain aapse.. hum na thodi si firangi paani peene wale hain.. aap ko peena hai, to bhi piyo..

G: Firangi paani.. wo kya hai..?

R: Peene ke baad, uski asar O par dekhenge bhaabhi.. tab pata chalegi, ki Firangi paani kya hai..

So: Rudra, tum kabhi nahi sudroge.. Chalo hum sab chalthe hain.. all three women went off discussing something hush hush.

Shivaay: Finally, thodi si silence mili hain..

O: Rudra, aap log ko peena hai to pee lo.. mujhe nahi peena..

R: O, aap ko to peena hi padega. Meri kasam. Aap mujhe pyaar karte ho, to pee lo..

O: Rudra, bachon jaisi baatein kyun karta hain. Mujhe peene mein interest nahi hai.

S: Rudra, agar Om nahi peena chahtha hain, to don't compel him.

R: O, itna kyun overreact kar rahe ho. Thoda chill out karo. Apni control ko thoda sa relax karo. Bhabhi se dil kholke baat karo.. Acha mauka hai yaar.. Understanding develop karo.. peene se kya ho jaata.. balki baton karna aasan ho jaata.. As usual, Rudra tricked Om by telling all this and made him drink. Om was tempted to drink, thinking he can talk with Gauri without alert conscious feeling.

All three were drunk and started to speak their hearts out.

S: I am feeling very disturbed these days. jab anika paas hain, I can't remain away from her for a minute Par mom meri dimaag karab karti rehti hain, ki anika ki pehchaan nahi, usse kaise meri bachein ki maa maana jaata hain wo sab baate sun sun ke. Woh samajthi nahi hain, meri feelings ko. Paas bhi leta hoon main khud door bhi rakh raha hoon. Bechaari anika,bahut confused hain.

O: Tu apni feelings ko kyun control karta hain shivaay. Anika ka saath tu khush hain naa. Bas wahi matter karta hain..

R: Haan bhaiyaa. Kab tak aisi control mein rahoge.. humhe bhi kanji aankon wale nephews dekhni hain..

O: Kitna cute hogi naa.. kanji aankhon wale pyaari si choti si ladki..

R: uske saath saath mujhe naa, lambe baal waale chota sher bhi dekhni hai.. aap kuch karo uske liye..samjhe?

O: Shut up Rudra

R: Shut up kya.. aap jaise react kar rahe ho. Jaise aap ko koi interesti na ho.. Dekha tha humne uss pose ko.. Bhabhi ko dekhne mein fursat nahi milta hain, aaj kal room mein hi rehte ho. Aur aise chalthe phirthe ho ki aap shaadi ko leke confused ho.. Aap toh sach ka boyfriend ho naa, to batao, kya aapko Bhabhi passand nahi?

<to be continued>

IlaTanwar thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 8 years ago
Awwh rudra's dialogue were hilarious I was enjoying and heart to heart talk was amazing

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".