Manti hoo OM Ridhima ke sath khush rahega per wo zindagi waisi nahi hogi jaisi zindagi wo Ishana ke sath jee sakta hai.
OM khud me gum Rehne wala insan hai. Wo jo bhi thoda smile karta hai wo apne bhaiyo ke liye karta hai off course Ridhima ko hug karke bhi smile kiya tha. Per zindagi me bus smile karna hi kafi nahi hota. Zindagi me khul ke hasna bhi to zaroori hai. Or OM ko khul ke hasna sirf Ishana Sikha sakti hai. Kyunki wo jaha jati hai waha khud bhi khush hoti hai or dusro ko bhi khush rakhti hai. OM ab tak Shivay or Rudra ke liye jeeta aaya hai. Use ek aisi ladki ki zaroorat hai jo use khud ke liye jeena Sikhayegi. Jis din wo khud ke liye khul ke jeena Sikh jayega us din use problems se bhagne ki zaroorat nahi padegi. Or ye kaam bus Ishana kar sakti hai. Kyunki wo life ko enjoy karna janti hai or Om uske sath life enjoy karna Sikh jayega.
Ridhima ke uski life me hote huye use apni problems solve karne ke liye kabhi tablets to kabhi dusro ka sahare lena padta hai. Lekin jab Ishana uski life me hogi to use inki zaroorat nahi padegi. Kyunki Ishana jaise log jo hote hai na wo kisi bhi problem ko problem Rehne nahi dete. Uska samna karte hai. Or Om ko yahi Sikhne ki zaroorat hai. Phir koi bua uski kamzori ka fayda utha ke use todne ki kosis nahi kar payegi. Or ye sab sirf Ishana kar sakti hai. Ridhima jaisi ladki nahi jo khud bhi OM ke jaisi ho.
Isliye mere hisab se to OM ko Ishana ki zaroorat hai. Warna uski life ko mayne nahi mileage.
I know uska dil ek baar Ishana ki wajah se tootega per uske dil ko sahi mayne me dhadkana bhi to Ishana hi Sikha sakti hai. Pyaar OM or Ridhima ki tarah casual sa rishta nahi hota pyaar to wo feeling hai jo insan ko nahi chahte huye bhi badal de.