Watching the last episode... this was making rounds of my mind...
An extremely passionate fiction and poetry reader and writer that I am... I couldn't help but pen Omkaara's emotions in the form of a small 4 stanza poem!!! 😳
Hoping for your good/criticising response with equal anticipation...😊
Ankahe jazbaad...
Aaj bhi jo ek baar lab muskuraate,
Nazron me tairte gham har nazar se chhip jaate...
Zaroorat thi gar kisi ki dil ko toh bas vo gustaakh,
Aahaton se padhta jazbaad, lafz chhipa le laakh...
Raatein toh sukoon se aaj bhi kat ti nahi ae bekhabar,
Raushni ki takraahat se phir dard ko mil jaata sabar...
Yu aankhein moond, sunte aaye hain zindagi ke kadwe saaz,
Ab zubaan chaahe bhi to keh nahi paati ansune raaz...
Sambhala phir mitti ki khushboo ne, the hausle choor,
Na dekha peechhe mud, usi mitti ko bana baithe apna fitoor...
Muddato baad jaana asli khushi ka sabab,
Na hasratein thi, na ummeedein dil me ab...
Tanhaayiyaan hai ab bhi, par saath ka bhi hain ehsaas,
Mujhe toot kar chaahe jo vo hain dil ke paas...
Rooh ka vo hain raabta, mohabbat ka zarna,
Zindagi le lena gham nahi ae khudaa, ehsaas ko kabhi door na karna...
Keywords (in case u don't understand urdu) 😆
*Gustaakh = audacious (referred in a positive way)
*Jazbaad = feelings
*Lafz = words
*Saaz = music/tunes (here referred to the painful happenings of life)
*Hausle = spirits
*Fitoor = passion
*Muddato = eons
*Sabab = cause
*Hasratein = desire
*Tanhaayiyaan = loneliness
*Rooh = soul
*Raabta = connection
*Zarna = flow
If a true Omkaara fan likes it, he/she won't show kanjoosi on hitting the like button 😉
Edited by Amreen... - 9 years ago