Couldn't help some random nonsense before the poem. Aadat se majaboor...😕
PH to editor: <in disgusted tone>Aarey aaj ke episode ka editor kaun tha? Poore February ka SAAZ scenes pehle hi din mein dikha diya? Now what will we do for the rest of the month? eh?😡
Editor:<embarrased tone> Sir, sorry sir, I was on the phone with my wife while editing this episode and she was threatening me to remember V-day. Ussi chakkar mein, mein SAAZ scenes edit karna bhool gaya. Don't worry sir, rest of the month it won't be SaAz, it will be SaZa (Sahir-Zeenat). Kal se Zeenat ki bari hai swimming pool mein khade rehne ki.
PH: Haan toh phir thik hai. In future remember the rule, 5 secs SAAZ per episode and not a second more. Make sure Hums remain afars as far as sleeping arrangements are concerned. Agar ek bed mein ek saath dikhaya toh tumhari neend haram kar doonga. Yaad rahe.😡
Anyways, here is yet another koshish @poem based on today's episode. Thanks for reading.
Arzoo:
Wada raha hamara aap se, khud se aur Allah se
Nahin payenge akela khud ko kabhi is pal se
Bas itni si ek iltaja hein hamari khuda se
Ki woh humein apna humdard bhi banaye
Unka gham aansoo ban kar hamari aankh se bahe
(Unki) ghamshuda zindagi ke panne hum bhi padhen
Intezar rahega us lamhe ka woh humein is kadr quabil samze
Bina hamare chaabi maange woh apne dil ke taale khole
Sahir:
Khuwaaish hain unki dil se yeh ki
Humsafar ke saath humdard bhi bane
Tanha akelepan ke saath gham bhi batein
Kaise uthaun parde gham ke khofnak chehre se
Ishq ki ijazat nahin ki unhe koi bhi chot lage
Mere dard ki gehri khai mein unke pair na phisle
Masoomiyat ko unki mere dard ki kabhi nazar na lage
Unki salamati ke liye chahe lagane pade kitne bhi chehre