Originally posted by: Resmy.Dayan
nice update ketaki...👏👍🏼😳
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
KIARA EXPOSED 11.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
Aabeer Gulaal reviews and box office
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
PARAYI AURAT 13.9
Originally posted by: Resmy.Dayan
nice update ketaki...👏👍🏼😳
Chapter 36
Ek din Piyu k mummy Mrs. Aditi Mishra InShi ke ghar aati hain.
Indira : Are Aditi tum? Aao na betho.
Aditi : Haa wo actually indira me tum dono ko kalki invitation dene aayi hu.
Indira : Invitation? Kis bat ka?
Aditi : Haan invitation. Wo actually kal humari 7th anniversary hain aur uske sath hi humara jo bunglow hain na uski bhi anniversary hain. Toh humne socha ki ye sab hum aap sab ke sath milkar kare. Isiliye tumhe aur Rishiji ko personally invite karne aayi hu. Rishiji kaha hain?
Indira : Rishi toh office gaye hain. Par tum fikar mat karna hum jarur aayenge. Aur agar tumhe taiyarion me kisi bhi kisam ki jarurat padi toh be jijhak hume batana.
Aditi : Ya sure. Thanks Indira.
Indira : Ab isme thanks ki kya bat hain? Hum ache friends hain na. Ab ye sab formality mat karo plz.
Aditi iss bat pe hasti hain. Thori der bad Aditi apne ghar jati hain.
Sham ko Rishi officese wapas aata hain. Indira uske liye chai aur nashta lekar aati hain.
Rishi : Indira abhi mujhe Prakash (Piyu's Dad) mila tha. Usne hume kal unke ghar party me invite kiya hain.
Indira : Haan. Wo aaj subah hi Aditi aayi thi invitation dene.
Rishi : Toh thik hain hum kal office se jaldi aajayenge. Tum mujhe nikalte waqt call karna me tumhe pick up kar lunga.
Indira : Ok yeh thik hoga. Waise Rishi ab hume unke liye kuch gifts lene honge na. Aise khali hath toh nahi jaa sakte na.
Rishi : haan bat toh sahi hain. To abhi hum jake gifts le aate hain. Kya kehti ho?
Indira : Mujhe koi problem nahi hain. Par tum abhi abhi aaye ho na.
Rishi : Oh come on Indira. Aise thori hum roj jate hain. Mujhe koi pareshani nahi hain. Tum ready ho jao. Hum thori der me nikalte hain.
Thori der bad dono mall me shopping ke liye jate hain. Dono Piyu ke parents ke liye gifts lete hain aur uske bad Piyu ki shopping ke liye kid's section me jate hain.
Indira : Ab hum Piyu ke liye ek achhasa frock lete hain. Usse frock bahot pasand hain na.
Rishi : Haan. Aur ek soft toy bhi lete hain. Usse soft toys bhi toh bahot pasand hain.
Indira : Ok done. Chalo fir. Aur dono frock select karne lagte hain.
Indira ek green color ka frock select karti hain. Yeh color mast hain. Hum yahi lete hain.
Rishi : Naa. Use jyada yeh purple color ki mast hain.
Indira : Naa. Ye greenwalihi mast hain. Uspe bahot suit karegi.
Rishi : Nahi Indira. Yeh purple color uspe jyada suit hoga.
Indira : Maine kaha na green lete hain.
Rishi : Nahi purple lete hain.
Aur iss tarah se dono jhagrne lagte hain. Counter ki sales girl in dono ka jhagra dekh kar waha aati hain.
Sales Girl : Sir , Mam can I help you?
Rishi : Haan. Wo actually hum eek frock kharidna hain. Lekin ab hum decide nahi kar paa rahe hain ki kaunsi le.
Sales Girl : Ek minute Sir. Me aapko ek aur frock dikhati hu. Shayad aapko aur mam ko wo pasand aaye. Waise aapki beti ki age kya hain?
Rishi aur Indira yeh sawal sunkar embrass hote hain.
Indira : Ji nahi. Wo humari bachhi nahi hain.
Sales Girl (embrass ho kar) : sorry mam. Aur wo unko ek pink color ka frock dikhati hain. Indira aur Rishi ko wo frock bahot pasand aata hain. Uske bad dono soft toy ke section me jakar ek achhasa soft toy lete hain. Rishi sabka payment karke dono bahar aate hain. Tabhi unko Inder Sharma aur Dulari bua dikhte hain. InShi unke pass aate hain. Dono unke per chute hain. Inder sirf formal smile deta hain. Indira samaj jati hain ki Inder abhi bhi use naraj hain. Dulari Indira ko hug karti hain.
Dulari : Kaise ho tum bachho?
Indira : Hum ache hain bua. Aap kaisi ho? Aur dad aap?? Par Inder wahase chala jata hain.
Dulari : hum dono ache hain beta.
Rishi : Indira tum buajise bat karo. Me tab tak aata hu. Indira apna sar hilati hain. Aur Dulari aur Idira bate karti hain.
Thori der bad Rishi wapas aata hain aur wo dono Dulari ka aashirwad le kar wahase chale jate hain. Rasteme Rishi Indira ki taraf dekhta hain. Indira apne aansu pochti hain.
Rishi : I am sorry Indira.
Indira : Sorry? Wo kisliye?
Rishi : Wo mere wajahse uncleji tumse naraj hain na.
Indira : Nahi Rishi. Aisi koi bat nahi hain. Aur waise bhi tumhare sath aane ka faisla mera that oh isme tumhe sorry bolneki koi jarurat nahi hain. Chalo ab hm issi restaurant me rukte hain. Mujhe bahot tejise bhuk lagi hain. Rishi sirf smile karta hain aur wo dono dinner karne jate hain.
Agle din
Rishi Indira ko dopeher me call karta hain.
Rishi : Indira wo meine yeh puchne ke liye phone kiya kiya ki me abhi office se thori derme nikalunga toh tum kab nikalnewali ho?
Indira : Rishi actually mujhe thora time lagega. Tum jao. Meaati hu seedha.
Rishi : ok no problem. Me abhi aadhe ghante me nikalunga. Agar tumhara tab tak hua toh mujhe bata dena.
Indira : ok.
Dono call rakh detehain. Thori der bad Indira Rishi ko call karti hain aur Rishi use lene jata hain. Ghar wapas lautne ke bad dono fresh ho jate hain. Thori der rest karne ke bad dono apne apne dress select karne lagte hain lekin dono nahi kar pate aur last me dono ek dusre ki madad se dress select karte hain. Indira ke liye Rishi peacock green color ki saree select karta hain aur Rishi ke liye Indira white t shirt aur uske upar navy blue color ki jacket aur dark blue jeans select karti hain.
Indira washroom me change karne jati hain. Thori der bad Indira bahar aati hain. Rishi uske taraf dekhne lagta hain. Indira what look deti hain.
Rishi : you are looking beautiful Indira.
Indira : Kya?
Rishi : Khudko sambhalkar wo me... me bas aisehi.. sach me tum bahot khubsurat lag rahi ho.
Indira : Thanks. Me abhi jaldi taiyar hoti hu. Aur wo dressing table ke samne bethti hain. Wo apne ek jwellary ka et nikalti hain aur aayne me wo dekhti hain par use wo pasand nahi aati. Wo dusra set leti hain par wo bhi use pasand nahi aata. At last me woe k aur try karti hain aur usse pehneka the karti hain. Rishi Indira ki sari harkate dekhta hain. Aur wo Indira ke taraf dekhne lagta hain. Indira ka dhyan aaynemese Rishi ki taraf jata hain. Wo kya karke usse ishara karti hain. Rishi apni ungli gale ki taraf karke apna sar naa keh kar hilata hain. Fir Indira wapas haar nikalti hain aur dusra pehnati hain. Aur Rishi ke taraf dekhti hain.Lekin Rishi usse bhi mana karta hain.
Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye
Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Issi bahaane kyun naa main bhi dil ka haal zara
Sanwaar loon haaye sawaar loon
Sawaar loon haaye sawaar loon
Finally Indira uska sabse favourite haar nikalti hain aur wapas Rishi ki taraf dekhti hain. Rishi ko bhi wo haar bahot pasand aata hain. Aur wo turant aur khushi se sar hilata hain aur unglise har aur Indira ke taraf ishara karke apni teen ungliyaan dikhata hain.
Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye
Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Issi bahaane kyun naa main bhi dil ka haal zara
Sanwaar loon haaye sawaar loon
Sawaar loon haaye sawaar loon
Indira haar pehne lagti hain par use harka hook hi nahi lag pata. Rishi yeh sab dekhta hain. Aur uske pass aata hain.
Rishi : May I???
Indira Rishi ke taraf dekhti hain.
Rishi : If you don't mind.
Indira dheerese apna sar hilati hain aur apne bal dheerese aage leti hain. Rishi apne ghootno pe beth jata hain aur wo hark e hook ko Indira ke hathse leta hain. Dono ki ungliyaan touch hoti hain, Indira turant apna hath hatati hain. Aur Rishi hook lagane pe dhyan deta hain Indira aaynemese Rishi ke taraf dekhti hain.
Baramade puraane hain, nayi si dhoop hai
Jo palke khatkhata raha hai kiska roop hai
Rishi hook lagata hain tabhi uski ungliyaan Indira ke bared neck ko lagti hain. Indira uss soft touch ko mehsus karti hain aur apni aankhe band karti hain. Rishi bhi uske taraf dekhta hain.
Shararatein kare jo aise bhoolke hijab
Kaise usko naam se, main pukar loon
Rishi turant hook lagake uth jata hain. Indira apne bal peeche karti hain.
Sawaar loon, sawaar loon
Sawaar loon haaye sawaar loon
Rishi : Tum jaldi taiyar hona. Me abhi aata hu. Aur wo wahase chala jata hain. Indira ke chehre pe ek halkisi smile aati hain. Thori der bad Indira neeche aati hain.
Indira : Chalo Rishi. I am ready.
Rishi : Haan. Wo Indira... yeh... wo...aur woe k packet dikhata hain.
Indira : Yeh kya hain?
Rishi : Wo isme chudiyaan hain.
Indira : Chudiyaan?
Rishi : Haan wo abhi ek chudiwala aaya that oh sare log apni biwi ke liye chudiyaan le rahe the toh mujhe bhi unhone bola toh maine ye le li. Dekhna shayad tumhe pasand aaye.
Indira packet kholti hain. Are wa Rishi bahot sundar chudiyaan hain. Ekdum perfect match kar rahi hain saee pe.
Rishi : Agar tumhe bura na lage toh ek bat kahu?
Indira : Haan bolo na.
Rishi : kyat um ye chudiyaan pehnogi abh? Agar tumhe achha lage toh.
Indira : Kyun nahi. Bilkul. Ruko me abhi aati hu pehenkar aur wo room me jati hain.
Rishi ko pata nahi kyun par bahot khushi hoti hain. Indira dressing table ke samneaati hain aur chudiyaan pehnati hain aur apne taraf ek bar firse dekhti hain. Aur apna hath apne chehre ke samne lakar hilati hain aur smile karti hain.
Hawa ke jhonke aaj mausamon se rooth gaye
Gulon ki shokhiyaan jo bhanwre aake loot gaye
Badal rahi hai aaj zindagi ki chaal zara
Issi bahaane kyun naa main bhi dil ka haal zara
Sanwaar loon haaye sawaar loon
Sawaar loon haaye sawaar loon
Rishi Indira ko roomke baharseh jhak kar dekhta hain aur usske chehre pe bhi smile aati hain. Tabhi Indira bahar aakar use takrati hain.
Indira : Rishi tum?
Rishi : Haan wo meri... meri ghadi reh gayi thi toh wahi lene aaya tha. Tum jao neeche me aata hu. Aur wo room me jakar jaldise neeche aata hain. Aur Indira ke samne apna hath aage karta hain. Toh chale Mrs. Rishi Diwan.
Indira : haan chalo. Par yeh kya?
Rishi : Are ab husband wife banker jana hain na toh aise pose denihi hogi na.
Indira : Thik hain unke yaha jane ke bad dete hain. Abhi se nahi chalo ab.
Rishi : uhhh hitler kahiki.
Indira : Thank you.
Aur dono party me jane ke liye nikalte hain.
Originally posted by: --Divya--
Wow...nice update...really loved it...👏
Mission cooking...🤣 awesome...
Originally posted by: designersaini
nice update dhum ketu...sawar loon...beautiful song n sahi jagah use kiya...inshi ka sajna sawarna mast tha...waise ye chudiyan lene colony ke saare mard gaye kharidne...hm...waiting fr nxt...jaldi diya kar thoda...let see party mein kya hota hai...inhe realisation kab hoga apne love ka...