Chapter 9
Aaj me 2 characters add kar rahi hu.
Mrs. Sunaina Munna Varma : Indira ki pados me amma rehti hain uski bahu.
Ishaan Munna Varma : Sunaina's & Munna's son
Inder & Indira ki amma munna sunaina inke sath bahot jamti hain. Indira apni bate sunaina se share karti hain.
At Sn
Indira office se jaldi ghar aati hain. Tabhi wo uski bhabhi Sunaina ka awaj sunti hain.
Indira : Are bhabhi aap? Aap kab aayi? Aap sab to char dham ke darshan karne gaye the na? Kaisa raha aap ka tour?
Sunaina : Are tour bahot mast tha. Lekin inko office ke kam ke wajah se urgent Mumbai jana pada isiliye hum jaldi aa gaye. Aur tu bata tu kaisi hain?
Indira : Me mast hu bhabhi.
Sunaina : Are chachaji ko prashad dene aayi thi tabhi unhone bataya ki tumhe aaj ladkewale dekhne aane wale hain. tab maine unse kaha ki aap mehemanoki swagat ki koi fikar mat kijiye. Wo sara kam me sambhalti hun.
Indira : Thanks bhabhi. Achha hua aap aayi. Are Aapse bahot sari bate karni hain.
Sunaina : Haa jarur karenge rat ko. Abhi jaldi ja tu taiyar ho le. Wo log aate hi honge.
Indira : Ji.
Indira taiyar ho jati hain. aur kuch kam ke liye terrace pe jati hain. Tabhi waha pe usko Ishaan najar aata hain.
Indira : Ishaan kaisa hain tu?
Ishaan : Bua kaisi ho aap? Me mast hu. Aapko malum hain maine na ek naya bush laya hain. Abhi wahi laga ne ki koshish kar raha hu lekin mujhe jam nahi raha hain.
Indira : Ishaan kitni bar bola hain tujhe ki sham hone ke bat pedonko hath nahi lagate. Fir??
Ishaan : Bas bua ye bush lagadu. Uske bad pakka hath nahi lagaunga.
Indira usse madad karne lagti hain.
Rishi aur uske parents SN me aa jate hain. Sunaina aur Inder unka swagat karte hain. Gupta ji unki pehchan karwa dete hain. Inder Sunaina ko Indira ko bulane ko bolta hain. Sunaina usko awaz deti hain. Tabhi Rishi bolta hain..
Rishi : Agar aapko aitraz na ho to kya me upar terrace pe jau kya?
Simmi aur Uday ek dusre ke taraf dekhne lagte hain. Simmi dheerese Rishi ko datti hain.
Simmi : Rishi, Kya kar rahe ho tum?
Inder : Haa beta jao na. Hume koi problem nahi hain. Aakhir tum dono ko ek dusre ko jane ke liye hi to ye sab hain na. Jao tum. Hume koi aitraj nahi hain.
Inder Rishi ko terrace ka rasta bata deta hain. Rishi upar jata hain.
At Terrace
Sunaina Indira ko phirse awaz de kar bolti hain ki Rishi Upar aa raha hain. Indira sochne lagti hain ki Dad ne usse aise sedha upar kyun bheja. Lekin tabhi Ishaan usse bolta hain ki wo aa gaya. Indira jaldi jaldi me deewar se iss side pe aati hain aur aage chalne ki koshish karti hain tabhi uska pair fisal jata hain. Aur Rishi aake usko pakar leta hain. Indira aapni aakhe band kar leti hain aur Rishi ko jor se pakar leti hain. Rishi uske taraf dekhne lagta hain. Wo sari bate bhul jata hain Indira ke chehre ko hi nikharne lagta hain. Thori der bad Indira aapni aankhe kholti hain. Wo dono ek dusre ke aankho me kho jate hain. Thori der bad dono hosh me aate hain. Aur unko realize hota hain ko dono ek dusre ke baho me khade hain. Indira turant achhe se khadi ho jati hain. Wo Rishi ko dekhti hain aur usko wo jhagre ki yad aati hain. Aur wo Rishi ke upar jor se chillati hain.
Indira : Tum... Tum yaha kya kar rahe ho? Kyun aaye ho yahan?
Rishi : Tum yahan kya kar rahi ho?
Indira : Ab mere ghar me aake mujhse hi tum puch rahe ho ki me yaha kya kar rahi hu?
Rishi : Kya ye ghar tumhara hain?? Me to yaha Ms. Indira Sharma se milne aaya tha.
Indira : Me Ms. Indira Sharma hu. Ek min ek minute kya tum Rishi Diwan ho???
Rishi : Haan. Me hi hu Rishi Diwan. Aur mera Rishta tumhare liye aaya hain.
Indira : Kya??? Tumne kya bola abhi? Tumhara Rishta mere liye... I can't believe it. Tumne socha bhi kaise ki me tumse shadi karungi ? Tumhare jaise badtamiz , mannerless ladke ke sath me shadi nahi karungi.
Rishi : Wa wa.. Aap mujhe mannerless badtameez bol rahi ho. Lekin ghar pe aaye mehman ka swagat kaise karte hain ye mannerse aapme nahi dikh rahe hain Ms. Sharma.
Indira : Excuse me, mere din itne bhi bure nahi hain ki me aapse mannerse sikhu. Samjhe aap?
Rishi : Waise ek bat jarur hain aap ko sabne Hitler hi bulana chahiye. Jab dekho tab gussa bilkul nak pe rehta hain aapke.
Indira kuch nahi bolti. Tabhi Inder un dono ko awaz deta hain. Indira aur Rishi turant niche aate hain.
Inder Indira ki pehchan Simmi aur Uday se karwata hain. Indira turant unke per chhuti hain. Phir Rishi bhi Inder ke per chuta hain.
Inder : Bat ho gayi kya aap dono ki?
Rishi aur Indira kuch nahi bolte. Wo sirf ek dusre ko tough look dete hain. Tabhi Guptaji bolte hain "In dono ke tarf dekhne se lagta nahi hain ki inki achhese bat hui hain. Hum inko aur thoda time dete hain. Kyun bachho thik kaha na maine?" Rishi aur Indira kuch bolne ki koshish karte hain tabhi Uday bhi Gupta ji se sehmat ho jata hain. Aur wo un dono ko ek dusre ke sath bat karne ke liye firse upar jane ko bolta hain.
Indira Rishi upar aate hain. Indira shant ho jati hain. Aur wo man me teh karti hain ki wo sidha Rishi se bat karegi. Rishi bhi shant ho jata hain.
Indira : Rishi me tumse ek jaruri bat bolna chahti hu. Me shadi bilkul nahi karna chahti. Mera shadi jaisi cheezo pe vishwas nahi hain.
Rishi : Mera bhi vishwas nahi hain. ME khud ke pairo pe khada rehna chahta hu. Aur ye freedom ki jindagi hi jina chahta hu. Lekin mom dad aur family ke karan aaj me yaha sirf tumhe dekhne aaya hu.
Indira : (Rishi ke bato pe impress ho jati hain) Achha kya karte ho tum?
Rishi : Me abhi abhi US se aaya hu. 2 sal tak US me tha ab maine humare business ko joint kiya hain lekin mujhe US me hi jab karna hain. Aur wo bhi khud ke talent pe naki koi family ki pehchan ki madad se. Isiliye me wait kar raha hu.
Indira : Lekin tum to apna khud ka business ko bhi US me badha sakte ho na.
Rishi : Haan. Lekin mujhe apna kuch karna hain. Ab tumhare bare me to batao.
Indira : Me news agency me DTP operator ka job karti hu. Mujhe wo job pasand hain.
Rishi : Nice. Lekin tum to bahot padhi hui ho na phir ye job? I mean tumhe to bahot sari opportunity milegi na.
Indira : Haa janti hu. Lekin mujhe yahi job pasand hain. Isiliye ye job karti hu. Aur mujhe paiso ke alva interesting job karne me pasand hain. Agar humme work me interest ho to hum humara pura 100 % de sakte hain ye mera manna hain.
Rishi bhi Indira ki iss bat se impress ho jata hain. Dono man me sochte hain ki dono na kehne ka bahana kya bataye?
Indira : (Man me) Mujhe to shadi karni nahi hain. lekin me vajah kya batau? Ldka achha hain , uska khandan bhi achha hain , Ladka achhe se padha likha hain. Ab me kya bolu use reject karne ki vajah?
Rishi bhi vahi sochta hain. Wo dono apne hi khayalo me khoye hue rehte hain. Tabhi Indira bolti hain..
Indira : Vo... Me ... ye kehna chahti thi ki mujhe shadi karni nahi hain.
Rishi : Haan mujhe bhi shadi nahi karni hain. Lekin me ye soch raha tha ki tumhe na kehneki vajah kya bolu??
Indira : Kya?? Tum bhi yahi soch rahe ho? Me bhi...
Rishi : Ek kam karte hain.. Hum neeche jake unko bolte hain ki hume ek aur bar milna hain. Lekin hum tab kahi bahar milenge. Aur uske bad hum humara faisala sunayenge.
Indira : Haa ye better option hain. Hum aisa hi karte hain.
Wo dono turant neeche jate hain. Aur sabko apna faisla suna dete hain. Pehle Simmi bat ko nahi manti lekin thori der bad bat ko man leti hain. Aur DF udhar se nikal ti hain.