Guys here's the new one.Thanks for the support.I appreciate it a lot.Each and every like and comment is special to me.so thanks for that guys.hope you like the update😊
Chapter-17
Dushyant was now feeling a lot better. The past few days were kind of a blur and nothing much had registered in his mind. But through it all he remembered one face quite clearly and that was Talli. He could feel her presence even when he was semi-conscious and half out of his mind. She had taken care of him, given him his medicines on time and had even sat besides him on some nights. He could not understand why this girl was doing so much for him. They were virtually stangers. So what made her go to such trouble for him? He was just thinking about it when he heard her cheerful voice "arre Dushyantji aap uth gaye. Ab aapko kaisa lag raha hai? Acha hua ab jaldi se baith jaayiye main aap ke liye soup laayi hoon.use peene ke baad dawaai bhi tho leni hai kyunki tabhi tho aap theek honge aur phir……..". Dushyant smiles weakly. He had wanted to say something but she kept on talking and he did not get a chance to reply. Talli looked at him and said "aap kuch bol kyun nahi rahe hain?main hi kab se bole jaa rahi hoon".
Dushyant: "main bolna chahtha tha.lekin aapne mauka hi nahi diya".
Talli gives an embarrassed smile: "sorry,meri maa bhi hamesha yehi kehti hai ki mainbahut bolti hoon.bachpan se hi aisi hoon aur ab apne aap ko badal bhi nahi sakti.kya karoon".
Dushyant: "koi baat nahi.aap ki baatein sunne mein acha lagta hai.waise bhi main zyaada nahi bolta tho koi problem nahi hai.main yeh poochna chahtha tha Talliji ki aapne mere liye itna sab kyun kiya? Hum ek doosre ko achi tarah jaante bhi nahi.dost bhi nahi hain.tho phir kyun?"
Talli: "bas itni si baat.chaliye abhi dosti kar lete hain.phir tho koi pareshaani nahi hogi na". She extends her hand with a small smile and Dushyant smiles back. He takes her hand in a firm handshake and says "theek hai Talliji,mujhe aapse dosti karke bahut khushi hogi kyunki aap ek bahut achi insaan hain". Talli then goes on to help him sit and feeds him the soup. Sudha who is watching all this from outside the door looks very serious and has a frown on her face.
Gulaal was back in her room and drying her hair with a towel. She was still thinking about the moment in Kesar's room and blushed. What had come over her? It was as if she had no control over herself. When Kesar touched her she had forgotten everything and everyone. But what could she do? She had never experienced this beautiful emotion before. "main kya karoon?jab woh mere paas aata hai,mujhe choota hai,main sab kuch bhool jaati hoon. Main apne dil ke haathon majboor ho jaati hoon jo sirf Kesar ko chaahtha hai.lekin nahi Gulaal,tujhe apne aap ko sambhaalna hoga. Usne tho abhi tak tujhse apni dil ki baat nahi kahi", she smiles to her self and thinks "waise uske kahe bina hi maine uski aankhon mein sab kuch padh liya lekin patha nahi Kesar bol kyun nahi raha hai? mujhe tho laga tha ki woh mujhse aaj keh dega par usne tho kuch bhi nahi kaha.kyun?". Gulaal keeps drying her hair in front of the mirror thinking about it when suddenly she hears a knock. She turns around and thinks "shaayad Kesar hoga", and she rushes to open the door but to her surprise its Panba standing outside her door.
Gulaal: "arre Panba aap yahaan.mujhe bulaa liya hota.main aa jaati".
Panba: "nahi beta,main tumse akele mein baat karna chahti thi." She closes the door and comes near Gulaal and folds her hands in front of her saying "beta mujhe maaf kar do.maine jo tumhare saath kiya hai …." Gulaal is shocked by Panba's gesture and holds her hands and replies "baa,yeh aap kya kar……" panba interrupts "nahin beta,aaj mujhe mat rok.mujhe bolne de bahut dinon ke baad tumhare saamne khade hokar baat karne ki himmat jutaa paayi hoon.Gulaal,maine jo tumhare saath kiya hai shaayad woh koi bhi maa apni beti ke saath nahi karti.lekin main apne Vasant ke pyaar mein itni andhi ho gayi thi ki maine tumhare bare mein socha hi nahi. Yeh jaante hue bhi ki Vasant kisi aur se pyaar karta hai maine use majboor kiya ki woh tumse shaadi karle"
Panba looks ashamed and continues hesitantly "mujhe laga ki agar Jenny is ghar ki bahu bani tho hamaare parivaar ki maan maryaada ko thes pahunchegi.lekin meri is galat aur choti soch ne tho mere bte ko hi mujhse cheen liya. Shaayad yehi sazaa hai us anyaay ke liye jo maine tumhare saath kiya hai. meri wajah se tumhe ek unchahe aur jhoote rishte ko aaj bhi nibhaana pad raha hai.mujhe patha hai ki tumhare liye yeh bahut mushkil hoga lekin ho sake tho mujhe aur Vasant ko maaf kar dena beta",Panba starts crying openly and she quickly leaves the room before Gulaal could stop her. Gulaal feels very uncomfortable with what just happened. She never knew that Panba was feeling so guilty and restless about this. She had always thought that Panba was still mourning her son's death. Gulaal wanted to go to Panba right now and comfort her but what would she say? She herself did not exactly know how she felt about all this. Just then Rewa comes in and calls Gulaal "Gulaal,kahan chali gayi achaanak.dekho tho Kesar ko dekhte hi mujhe kitchen mein chod kar bhaag gai.tho kya baatein hui tum dono ke beech?us duffer ne I love you bola ki nahi?"
Gulaal still thinking about Panba stays quiet and keeps looking at Rewa . She blinks her eyes and then blushes "nahi". Rewa folds her hands in prayer as if asking the lord above for patience "hey Bhagwaan tum dono tho bahut slow ho yaar.mujhe tho lagta hai tum dono se pehle main hi kisi ko I love you bol doongi". Gulaal smiles shyly thinking about Kesar's kisses and Rewa notices this "acha yeh kya dekh rahi hoon main tumhare chehre par. Tum tho aaj kuch zyaada hi sharmaa rahi hoon. Hmmm lagta hai mera bhai uthna bhi duffer nahi hai",Rewa teases Gulaal and laughs out loud. Gulaal smiles back but still she feels the sadness linger in her heart thinking about Panba.
Kesar was in a very good mood and humming to himself. This was all so new to him. This sudden overwhelming need to see Gulaal all the time, to hold her in his arms, to see her smile, to tease her and to kiss her, all these feelings tormented him but he realized he enjoyed this sweet pain. Kesar smiled and thought to himself "Kesar,tu kabse itna filmy ho gaya? ab itna soch math aur neeche jaa wahin tho hai Gulaal". He quickly goes downstairs and finds Gulaal in the kitchen cutting some vegetables. As soon as he saw her he could make out that something was troubling her and that she was cutting the vegetables without concentrating. She was just about to cut her self with the sharp knife when Kesar comes forward and holds her hand. Gulaal looks confused and looks at him. Kesar shouts "Gulaal,dhyaan kahan hai tumhara?agar haath kat jaata tho". Gulaal looks down and says sorry in a small voice. Kesar feels bad for her and asks in a soft voice "kya baat hai Gulaal?tum itni pareshaan kyun lag rahi ho?" Gulaal hides her confusion with a smile and says "nahi Kesar kuch nahi hua.main bilkul theek hoon". Kesar could make out that she was hiding something from him but he did not want to force her to answer. "Gulaal,main tumhe majboor nahi karoonga lekin agar tum keh dogi tho tumhara mann halka ho jaayega aur shaayad main bhi tumhari madadh kar paaunga". Gulaal looks at him and is overwhelmed to see his concern and love for her. But she decides not to say anything for now because she knew it would upset him and she did not want that. He decides to leave the matter for now and tries to cheer her up. He comes closer to her and asks "kahin mere baare mein tho nahi soch rahi thi". He keeps getting closer and finally keeps his hand on hers and says naughtily "mujhe lagta hai tum aajkal mere baare kuch zyaada hi sochne lagi ho. isliye itna dangerous chaaku bhi tumhe nahi dikhta". Gulaal blushes and tries to sound stern "Kesar,tum bhi na, patha nahi kya kya bolte rehte ho.aur haath chodo mera,mujhe kaam karna hai" and she frees her hand and moves away. Kesar sighs, "acha theek hai tho main chalta hoon.main tho tumse kuch zaroori baat karne aaya tha.lekin agar tum busy ho tho…..",he purposefully leaves of the rest as he knew Gulaal would immediately stop him and she did. "Kesar,ruko.kya baat karni thi?bataao.",Gulaal's heart was beating fast now. She really wanted him to say those three little words she desperately wanted to hear. She knew that he loved her but she wanted to hear it once from him. Gulaal had been expecting that he would do something special for her when he expressed his feelings for her. She never expected him to bare his heart in front of her in the kitchen of all places. But now she realized that the place did not matter at all. What really mattered was Kesar would be speaking his heart and that made even the most mundane of places special and this thought brought a smile to her face. She asked Kesar, who was standing silent and looking at her "Kesar,bolo na". Kesar gave her a tiny innocent smile and said "woh main tumse poochna chahtha tha ki agar tumhe agle hafte ki interview ke liye kuch tips chahiye tho main tumhari madadh kar sakta hoon. Mera matlab hai agar tumhe hamaari company aur uske kaam ke baare mein jaanana hai tho main tumhari help kar sakta hoon.sochke bataana" , he winks and goes out whistling to himself. Gulaal looks at him walking away with growing annoyance and frustration "yeh Kesar ek din mujhe paagal kar dega" and goes on to wreck vengeance on the poor innocent vegetables.
Motaba had been going through some documents when he sees Panba come in with tears. He immediately puts away his work and goes to her "kya hua,aap ro kyun rahi hain?"
Panba holds his hands "mujhe maaf kar dijiye.main bahut dinon se aapse baat karna chahti thi par patha nahi kar hi nahi paayi."
Motaba: "kya hua?aap kis baat ke liye maafi maang rahi hain"
Panba: "aap ne jab us din mujhse kaha tha ki maine galti kar di hai tab shaayad mujhe samajh nahi aaya tha kyunki mere dil mein kahin na kahin ek ummeed baaki thi ki Vasant zaroor waapis aayega aur mere faisle ko apna lega.lekin maine kabhi nahi socha tha ki meri galti ki sazaa theen logon ko bhugathni padegi. Vasant aur Jenny ko apni jaan gawaani padi aur Gulaal ki zindagi ko tho maine pehle se hi berang banaa diya tha.par ab mujhe ehsaas ho raha hai ki maine kitni badi galti kar di hai.maine Gulaal ko beti tho kaha lekin dil se use kabhi apna na saki. ab main is galti ko pehchaan gayi hoon aur maine Gulaal se bhi maafi maangne ki koshissh ki hai.mujhe patha hai ki yeh uske liye ithna aasaan nahi hoga kyunki meri wajah se uski poori zindagi barbaad ho gayi. par main aap se vaada karti hoon ki aaj se Gulaal ko kabhi dukh nahi pahunchaungi.bas aap mujhe maaf kar dijiye.",she stops as she is not able to speak anymore.
Motaba: "aap ko patha nahi ki aaj aap ne mujhe kitni khushi di hai.yeh baat kehkar aap ne meri chinta door kar di hai.aur galtiyan tho insaan se hi hoti hain na.mujhse bhi tho hui hain.lekin hum un galtiyon ko pehchaankar unhe sudhaarne ki koshish karein tho isse badi baat aur koi nahi.ab aap mat royiye.aap ki tabiyat bigad jaayegi." He holds Panba in his arms and comforts her. He goes on to tell her about his plan of Gulaal working in their office. Panba is pleased to hear this "chaliye yeh bahut acha faisla liya hai aap ne .isse uska mann bhi behel jaayega aur woh kuch naya bhi seekh sakti hai ". Motaba wanted to tell her about his dream to get Gulaal remarried when the time is right but then he decided to talk to her later about this "shaayad abhi sahi waqt nahi hai,main thode dinon ke baad baat karunga".
During dinner Kesar notices the awkward vibe between Gulaal and Panba and he comes to the conclusion that maybe Panba must have said something to Gulaal which made her sad. He sees Gulaal walk to the back yard to get the clothes inside as it had started to drizzle. He follows her and pulls her to a corner where no one could see them. He had closed her mouth to prevent her from screaming. Gulaal looks at him wide eyed and soon he takes his hand away and asks her in a very serious tone "Gulaal,Panba ne kuch kaha kya?"
Gulaal looks at him with surprise "tumhe kaise patha chala?"
Kesar replies "woh abhi dinner table par mujhe aisa laga ki tum dono ke beech kuch tho baat hui hai jis wajah se tum kuch udaas lag rahi ho. Ab jaldi batao mujhe kya baat hai.unhone tumhe kuch kaha kya ?".
Gulaal: "nahi Kesar unhone mujhe kuch nahi kaha balki woh tho aaj mujhse maafi maang rahi thi Kesar." Tears fill her eyes as she tells him about the conversation and says in a small voice "mujhe patha hi nahi chala ki main unse kya bolun.tab se yehi soch rahi hoon ki unse main aisa kya kahoon jisse unka dukh kam ho. Kyunki sach baat tho yeh hai Kesar ki mujhe kisise koi shikaayath nahi hai. haan pehele mujhe Vasant se shikayaath thi lekin woh tho kab ki door ho gayi.maine Vasant ko usi din maaf kar diya jis din tum mere dost bane Kesar.mere mann mein jo bhi kadvahat thi woh tumne mita di aur phir mujhe Rewa jaisi behen bhi tho mili jo mere har such dukh mein mere saath hai.aur sabse badi baat agar main Vasant se shaadi nahi karti tho main ……..main tumse kaise milti Kesar.isliye maine tho maan liya hai ki yeh sab meri kismet mein likha tha aur wohi mere saath hua hai. jahaan ek taraf dukh mile hain wahi mujhe itni saari khushiyaan bhi mili hain.lekin main yeh Panba ko kaise bataaun.main nahi chaahthi ki woh mere kaaran apne aap ko gunehgaar maanti rahen kyunki main tho bahut khush hoon.bahut khush".
Kesar couldn't say a single word. So many emotions were threatening to overpower him. There was love, happiness, awe, pride and finally admiration for this woman who did not hold any grudge against this family or any kind of bitterness against his Vasant bha. Suddenly he pulled her close to him and hugged her tight"tum bahut achi ho Gulaal,bahut achi", Kesar continues to hold her and Gulaal could feel his hot tears on her neck. She hugs him back and says teasingly into his neck"aur tum bhi itne bure nahi ho Kesar". Kesar feels her lips on his neck and tightens his grip "lekin tum uthni bholi nahi ho jitna dikhti ho". Gulaal gasps but doesn't let go. Kesar moves away slightly and Gulaal could clearly see his desire and love for her in his eyes which could not be masked. He pushes away her hair which had fallen over her face with his hands slowly leaving a trail of fire wherever they touched her skin. Kesar holds her face and comes very close to her and asks in a very low tone, "Gulaal,kya tum mere liye……",before Kesar could continue they hear the door shut with a bang and Kesar quickly moves away. There was a strong wind blowing outside and this had caused the door to shut.They both look at the door which once again closed on its own with a bang. Gulaal looks at Kesar who was standing far away from her. He looked back at her and they both burst out laughing. Kesar comes closer to her and says with a smile "waise baarish tho nahi hui. Lekin kaafi hawa chal rahi hai.jaldi se kapde le lo shaayad baad mein baarish ho.main bhi tumhari help kar deta hoon". Gulaal looks at him with affection and they both quickly collect all the clothes and take it inside.
It is late at night and Motaba is having his medicine before going to sleep when he suddenly gets a call.Its from Revji
Motaba: "Revji itni raat ko kyun phone kiya?sab theek tho haina".
Revji: "haan sab theek hai bas tumse kuch baat karni thi.baat zaroori hai isliye soch rahe the ki kal main aur Poonam wahan aakar tumse baat karein."
Motaba: "haan zaroor.lekin koi chinta ki baat tho nahin hai na"
Revji: "nahin aisi koi baat nahi hai.woh Roop ki shaadi ke baare mein kuch baat karni thi.us din maine bataaya tha na ki ladke waalon ko hamaari Roopa behad pasand aayi hai.bas usike baare mein baat karni thi jo phone pe nahi ho sakti. "
Motaba: "theek hai tho phir kal baat karte hain.tum aur Poonamba yahin par khana khaane aa jaana.theek hai.isi bahaane Gulaal ke saath waqt bhi bitha sakte ho".
Revji "Theek hai Soma.hum kal milte hain.shubh raatri".
Gulaal returns to her room after all the work is finished for the night. Kesar had not tried to talk to her again and she feels slightly disappointed. She goes to her room and closes it. When she turns back she sees a packet beautifully gift wrapped on her bed and there is a note on top of it
"Gulaal,yeh tofha meri taraf se tumhare liye.kya tum ise pehenke theek baarah(12) baje chat par aaogi.main tumhara intezaar karunga.agar tum nahi aayi tho mujhe apna jawaab mil jaayega.lekin mujhe yakeen hai ki tum zaroor aaogi.
Tumhara Kesar"
Gulaal kisses the note and looks at the packet with a wide smile "haan Kesar tumhari Gulaal tumse milne zaroor aayegi".