Helloooo,
here is a compilation of all the lyrics. Someone asked me for these on twitter so posting it here also!
1. Gustakh nazaron ne
Gustakh nazaroon ne
dekha hai tumko
khushboo fiza ki
kare bekraar humko
dil ki sune toh raha jaye na
kehna jo chahoon kaha jaaye na
jab tumko dekho lagta hai yeh
keh ki hi tumko milega aaram
ghum hai kisi key pyaar meiin
dil subah shaam par
Tum he likh nahi paaon
main uska naam
hayee ram hayee ram
2. Asan nahi tha- sad track
Ghum hai kisi key pyaar mein
dil subhah shaam par tumhe likh nahi paaon main uska naam
asan nahi tha tumse bichadna
ek pal main jaise sau baar marna
kya chahti hai kismat yeh humse
kyun haarti hai khushuiyaan har bar humse
mushkil hai jeena bina tum hare
jaane kabh dil ko milega aaram
ho ghum hai kisi key pyaar meiin dil subah shaam
par tumhe likh nahi paaon main uska naam
haaye raam
3. Anjaan rishte ne
Anjaan rishte ne bandha hai humko
chahe na chahe nibhana hai humko
naam kya de rishte ko hum hi na jaane
hum na mane par jag rishta yeh maane
haan badal gaye hain kuch arman
par kab tak rahe yun anjaan
Ho ghum hai kisi key pyaar Meiin
4. Kaisa yeh rishta hai
Kaisa yeh rishta hai humko na samjhe
udti patang ke jaise manjhe hai uljhe
ek dor tumne thami ek thami tumne
kuch badal raha hai beshak hum mein
lagti ho masoom jaise koi dua
yeh mere dil main jaane kya hua
Ghum hai kisi key pyaar Meiin dil subah shaam
par tumhen likh nahi paaon mein uska naam
Haye ram Haye ram
5. Kya dekhna tha- sad song
Kya dekhna tha aur kya dikha hai
kismat main jaane meri kya kya likha hai
thama bhi na tha maine aur haath chuta
ek aine ke jaisa har khwab toota
milne se pehle mili judai
apne kisse ka kyun hai yeh anjaam
ghum hai kisi key pyaar Meiin dil subha shaam
par tumhen likh nahi paaon main uska naam
Haye ram Haye ram
6. Khata hogayi
Khata hogayi humse
khata maaf karna
mushkil hai khudki nazaron main rehna
vaada kiya tha tumse
woh main nibhaaonga
khud ko tumhari nazaron main phir na giraaonga
dar miya yeh duriyaan abi dur ho jaayein
dil ki guzaarish manzoor ho jaaye
ghum hai kisi key pyaar Meiin dil subah shaam
par tumne likh nahi paaon main uska naam
7. Lagta hai jab- holi 1
Lagta hai jab tum ho sang
Charo taraf hai khushiyon ke rang
Aao aaj hum aise mile jaise rang main rang ghule
Ek se aise ho jaaye phir koi na alag kar paaye
Tum meri aur main tumhari ban jaaon pechan
Jism hai do par aao kar dein ek humari jaan
Ek duje se vaada hai iss rangon ke tyohaar main
Ghum hai kisi key pyaar meiin
8. Berang this zindagi- holi 2
Berang thi zindagi sabh ho gaya tha ghum
Indra dhanush khushi ka le aayi ho tum
Sathon rang tumhare aage lagte hai pheeke
khushiyon ke sahi maaine tumse hai seekhe
Hasraton se ho rahi aaj meri jung
dil chahe aaj ho jaaye hum ek rang
Ghum hai kisi key pyaar Meiin dil subah shaam
par tumhen likh nahi paaon main uska naam
Haye raam
9. Aankhon mein yeh manzar- sad song
Aankhon mein yeh manzar socha na tha aayega
khwabon ka jo dar tha aise samne aayega
ghumshuda hai neende
dil ko na chain hai
teri khatir aaj har aankh name hai
kaise jiya jaaye koi toh batlaye
chand main aks aaj tera hi dikh jaaye
Ghum main hai kisi key pyaar Meiin
10. Kaise batoon tumhe
Kaise batoon tum he apna haal e dil
meri mohabbat hai mera raaz e dil
sunlo meri dhadkan tera naam pukare
janlo bas jo hai dil main humare
Aankhein jo keh rahi hai woh na keh paye zuban
Kehna hai bas Abh toh tum hi meri jaan
Ghum hai kisi key pyaar mein dil subah shaam
par tumhen likh nahi paaon main uska naam
Haye ram hayeee ram ye ram
64