Disclaimer: This work is purely mine and any similarity to any present material on internet or otherwise is purely coincidental.
Guys, imagine 🤔the daily dose of drama of CN for extra dose of fun; you can imagine characters as well!!🤭
CHAWAN NIWAS : EK KAVITA
Ghar Ghar ki baat hai,
Har ghar ka ek tarana hai..
Par yeh ghar toh ek pagalkhana hai..
Jeevan ki naiyaa mei sab gujar basar karte hai,
Kabhi paani toh kabhi khane se pet bharte hai..
Par jab mile garam ghee mei bhune taane,
Toh zillat ki har ek ghoont se pet bharte hain..
Suna hai deewaron ke bhi kaan hote hai,
Par yahan toh kamre bhi ,
Baageche saman hote hai...
Jab Rishton ne maryada se naata hai toda,
Tab Umar se bade dil ke ghaav hogye...
Jin aankhon ko takna tha rasta,
ab woh nigaahein bhi beimaan hogye..
Pyaar ka yahan koi mol nahi,
Dost bhi ab choote..
Rishte naaton ki dor se ab,
Jhoothi Shaan ki mahak foote...
Rishton ke paudho ko jinhe seechna tha,
pyaar ke paani se kabhi..
Ab wahi us par zabaan ki talwaron se vaar karte hai..
Chaav dena toh chodo,
Ab toh jeena bhi dushvaar karte hai..
Maana samajh aur umar ka rishta gehra hai,
Soch aur Nazariye ka takraav behra hai...
Par jab umardarazon ne ,
samajhdari ko sach ke tarazu par tola hai..
Jhoota lagta hai mujhe har ghar ab..
Jahan pyaar nhi paisa pehla hai..
Please let me know through your comments whom or what did you imagine with each line..
Thank you🙏