This song is dedicated to the brides who are leaving their childhood life and parents behind and setting foot into this new life with a new family and with full of hopes and dreams in heart. (the lyrics of this song touches me so deeply that everytime i hear it, i have tears in my eyes, and the late Mohd Rafi has sung it with so much intensity)
Babul ki duaayein leti jaa
Jaa, tujhko sukhi sansaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Naazon se tujhe paala maine
Kaliyon ki tarah, phoolon ki tarah
Bachpan mein jhulaaya hai tujhko
Baahon ne meri jhoolon ki tarah
Mere baagh ki ae naazook daali
Tujhe harpal nayi bahaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile
Is ghar se bandhe hain bhaag tere
Us ghar mein sadaa tera raag rahe
Honton pe hansi ki dhoop khile
Maathe pe khushi ka daag rahe
Kabhi jiski jyot na ho pheeki
Tujhe aisa roop singaar mile
Maike ki kabhi na yaad aaye
Sasuraal mein itna pyaar mile