Aks......Sujal&Kashish.....Last Part....02/20 - Page 21

Created

Last reply

Replies

360

Views

117.3k

Users

34

Likes

246

Frequent Posters

swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Amazing...............Prem --Heer & Rudra--Mehek r also getting married..... nice to c tht............. GR8 job Kashish.......PLzz continue soon.....😊
mystified thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
hey nice update....

nice to see all the light moments btw sk😳....

i specially liked this one...


Kashish: aapko nahi kahungi to kise kahungi..............ajeeb lagta hai jab main yeh sochti hoon ki hamara rishta kis dauran bandha...............ab aisa lagta hai ki kahi na kahi koi hai jo har waqt hamari kismat likh raha hai..........maine aapko pane ki umeed hi chod di thi kyunki aap kisi aur ke ho chuke the..........lekin sahi waqt pe sab kuch badal gaya................yeh sab ka hona kuch ajeeb nahi lagta aapko........


looks like u r talking about urself....😉😆 as the writer has the power to modify the story and to decide what happens next...

take care and continue soon😃
Edited by mystified - 16 years ago
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
amazing part
i really liked the way u described all the three brothers emotions regarding khushi leaving them.
finally heer and mehak told kashish that they like the boys cant wait 4 them to get married.
the romantic scenes between SK were really good also the scene were sujal asks kashish why she calls him aap was amazing the answer she gave was really good.
👏
Edited by Iqbal Neha1 - 16 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear i'am here with my comments on aks.. i hope kii tumko mere comments pasand aaye..sorry dear main woh thoda late hogayi..actually i was caught up with my college work..college waale humari jaan le rahein hai... lekin ab i'am free maine apne saare projects submit kar diye hai.. really very sorry... hope you understand..😊😛😃
well to start with jaise theeno bhaiyon ne apna mooh chotta karke rakha tha... i can understand prem,rudra aur sujal bechare are feeling kii unki behen shaddi karke parayi ho jayegi.. lazmi hai kii koi bhii bhai , apni ladli-behen ke liye tho aise hii kuch feel karega... prem aur rudra ke liye khushi woh insaan hai jisse woh dono chidathe hai.. woh insaan hai jiske raksha karne kii kasam woh log har rakhi par lethe hai.. aur sujal ke liye khushi uski beti jaisi hai.. kehne ko tho bhai,behen ka naatha hai sujal aur khushi ke beech ka.. lekin sujal ne khushi ko ek bachchi kii tarah khayal rakha hai.. usne khushi kii dekhbaal ek bade bhai aur ek father figure bankar kiya hai.. i know how difficult it is for sujal,rudra and prem kii woh log khushi se durr rahe.. agar un theeno kii jagah aur koi bhii shaks hotha hai tho i'am sure us insaan ko bhii aise hii lagtha... haan prem ka kehna sahii bhi tho hai why should khushi leave the place jis jagah , jis pariwaar mein woh janmi... jab ek beti ek ghar mein paida hothi hai, tho us beti ka rishtha sabse azeez apne pita aur apne bhai se hotha hai.. uske bhai aur pita us ladki ke suraksha kawach hotha hai.. uske bhai aur pita usse palkon par bitaye rakhthe hai.. us ladki par ek bhii aanch nahii aane dethe, na hii usse ek bhii kharoch lagne dethe..ab jab ussi ladki kii shaddi hothi hai tho woh ladki apne us ghar ko chod kissi aur ka ghar sajane chali jaathi hai..this is the most difficult phase joh ek ladki kii zindagi mein aatha hai.. i know shaddi is a very beautiful, a very sunhera phase in the life of a ladki..lekin this phase along with the happiness brings in so much of sorrow for the girl.. she has leave her family, her home.. everything that belongs to her and leave on a new journey, us insaan ke saath jiska haath us ladki ne thama hotha hai.. it is painful for the girl herself along with the people who are her family.. lekin jaise kashish ne kaha har ladki ke zindagi mein aisa phase tho aana hii hai.. and that girl leaves her world jis mein woh pali-badi hai, to a new home and she will fill in the new home with all the happiness in the world.... woh ladki apne maayke mein khushiyon ke rang bhar kar, agge bad chali apne sasural kii taraf jisse woh apne khushiyon se mehekayegi..i seriously liked the way jaise kashish ne sujal,prem aur rudra ko yeh baat samjhayi.. haan yeh duniyaan ka dastoor hotha hai..lekin yeh baat un theeno bhaiyon ko kaun samjhayega joh kii apne behen ko usne durr jaane ke baat se hii itne udaas, itne mayoos baite hue hai... aur jaise kashish ne un theeno bhaiyon ke har ek sawaal ka jawaab itne patiently diya.. she explained to them kii woh bhi tho apna ghar chod kar aayi thi.. aur usse anurag , prerna jaise maa aur papa mile.. rudra aur prem jaise do bhai mile.. aur sujal jaisa pyaar karne waala pati mila... haan kashish kii yeh baat bhi sahii hai kii ek ladki ko apne sasural mein woh rishthe milthe hai,joh usse apne mayke mein nahii milthe...maayke se sasural ka safar kitna bhii painful kyun na ho, lekin it is worth it as it gets innumerable happiness.. aur waise bhii kisne keh diya kii ek ladki kii shaddi ke baad uska maayka, uska apna nahii rehtha.. uska maayka uske liye utna hii apna hotha hai jis tarah uske shaddi ke pehle tha... bas farq sirf itna hii hai kii ek ladki kii shaddi ke baad uska maayka aur uska sasural dono hii uske ghar hothe hai..dono hii ghar uske apne hothe hai.. aur uska maayka aur sasural uske bina adhura hotha hai.. mujhe kashish kii baatein bohat achchi lagi.. usne joh kaha woh bilkul sahii kaha..aur jaise sujal,rudra aur prem ne kaha kii agar khushi ko wahaan koi takleef hui tho... is baat par mujhe kashish ka jawaab bada hii achcha laga... usne kaha kii to protect khushi from any type of takleef uske theen bhai hai na..and even this baat is so correct.. just because khushi kii shaddi ho rahii hai, iska matlab yeh tho nahii na kii uske bhai paraye ho gaye hai.. ya iska matlab yeh bhii nahii kii uski shaddi ke baad uske bhai uske nahii rahenge.. tab bhi khushi kii raksha karne ka zimma inhi theen bhaiyon par hii tho hai...waise dekha jaye na tho in theeno bhaiyon ka darr, unke dil kii hesitation is fine.. hart bhai ke dil mein kuch aisi hii baatein hothi hai.. jab uski pyaari si behen shaddi karke pyaari hone jaa rahii hothi hai.. but then kashish ne is situation ko bohat hii achche tareeke se sambhal liya.. woh yeh baat bohat achchi tarah se jaanthi hai kii sujal,rudra aur prem are at a very vulnerable stage at that moment.. aur kashish ne un logon ko bohat hii achche se tackle kiya hai.. shabash kashish.. aur ab mujhe un theeno se kehna hai chalo tum theeno kaam par lag jao aakhir tumhare ek loute behen kii shaddi hai...hehehe.. then the scene of sujal,kashish in their room..kashish ka apne shaddi ke jode ko dekhna.. aur phir uske nazar ke saamne all those moments ka aana... and then sujal ka kashish ko tease karna kii kya woh dubara shaddi karna chahthi hai.. yeh sujal bhi na bohat hii shararthi hogaya hai.. dekho na dubara shaddi agar hogi uski aur kashish kii tho according to him woh dono apne doosre honeymoon par jaa sakthe hai..yeh sujal bhi na usko romance ke alawa kuch bhii nahii soojtha... waise tho sujal kii shararaton par main fulltoo fida.. main qurbaan....then the next day jab the preparations for the shaddi are in full swing...aur kashish ne aakhirkaar mehek aur heer se unke dil kii baat jaan hii li.. chalo achcha hai mehek ne confess kiya kii usse rudra pasand hai aur heer ne bhi ikraar kiya kii usse prem pasand hai.. achcha hai theeno behenein milkar theeno bhaiyon ko sambhal legi.. waise mujhe yeh bhii patah hai kii agar mehek-rudra, prem-heer kii shaddi bhi ho jaye tab bhi prem aur rudra apne bhabhi ko nahii chodenge..they both will need kashish in every small thing..and even mehek aur heer kii bhi yahii haalat hogi.. unka bhi koi kaam nahii hoga without their kashish dii..i'am sure of it... then jab during the function jaise heer aur mehek khushi ko tease karthe hai.. and then rudra aur prem ne apne pyaar ka izhaar kar hii diya mehek aur heer se.. woh bhii gaane ke zariye... coollll..this is just awesome.. sabke saamne rudra-mehek, prem-heer ke liking each other kii baat after all aa hii gayi.. aur jaise sujal rudra aur prem ke kaan pakadtha hai na.. tooo cutee... aur yahan heer aur mehek kii sharam..all this was too good..bohat hii achcha likha hai dear tumne.. mazaa aagaya.. mujhe is baat kii khushi hai kii rudra-mehek, prem-heer ke rishthe ko badon ka aashirwaad mil gaya hai...then the scene outside in the garden jahaan sujal-kashish, prem-heer, rudra-mehek aur khushi hothe hai.. aur jaise sujal mehek aur heer se kehtha hai kii agar rudra aur prem unko sataye tho woh usse kahe he will look after them.. aur is baat par prem aur rudra ka drama aur unke dramatic expression kii abhi unki shaddi hui bhii nahi aur sujal unse aise keh raha hai.. yeh prem aur rudra bhii na dono ke dono nautanki hai.. lekin dono hii bohat hii pyaare hai... ab phir kashish ka kehna rudra aur prem se kii agar sujal un logon se kuch kahe tho woh dono yeh baat usse kahe then kashish ka referring to sujal as khadoos... and then sujal ka poochna kii kashish soch le, warna woh usse chodega nahii... then kashish ka sujal ko chidana... and then sujal ka kashish ko chase karna aur kashish ka bhaagna..yeh sujal,kashish bhi na bachche ke bachche hii rahenge.. shaddi hokar itna waqt hogaya hai lekin ab bhi na tho in dono ka bachpana kum hua hai aur na hii un dono ka ek doosre ke liye pyaar... kissi kii nazar na lag jaye in dono ko.. waise dekha jaye tho mujhe lagtha hai kii meri hii nazar lag jayegi in dono ko.. dear tum ek kaam karna prerna se kehkar sujal,kashish kii nazar utarwa dena... and then the scene between rudra-mehek , prem-heer & khushi.. unke beech kii baatein.. shows kii woh log sujal,kashish kii kitni zyada izzat karthe hai.. and it also shows kii these people idolize sujal,kashish and their relationship... aur joh baat prem ne kahii kii sujal, kashish ke liye woh apne shaddi thak daav par laga saktha hai.. aur jaise heer aur mehek ne is baat par sehmathi dii all this clearly shows kii sujal,kashish ka saath unke liye kitna zyada zaroori hai..kyunke yeh baat tho wahaan har koi jaantha hai ki sujal kii khushi kashish se hai aur kashish kii khushi sujal se.. sujal , kashish ke bina adhura hau... aur kashish , sujal ke bina aadhuri hai... sujal hai tho kashish haii..sujal nahii tho kashish nahii... and the same vice-versa case with kashish.. sujal,kashish ka rishtha in logon ke liye ek misaal hai... aur phir joh akhri scene tha na sujal,kashish ke beech that was really too sweeettttt... bohat hiii cute.... sujal,kashish ke romance par tho main marr jawaa.. their world begins together & ends together... very well written dear.. the story is progressing very damn well.. mujhe story ka har ek part padkar bohat hiii zyada mazaa aa raha hai..keep up the good work going...
😍😍😍😍😍😍😍😍😍😍😍😍 now dear coming to my guess on the next part..well next coming up parts ke liye i think yeh hoga hii khushi kii shaddi kii taiyaariyaan dhoom-dhaam se hone lagegi.. bade hii zoron-shoron se khushi kii shaddi kii arrangements kiya jayega.. and then woh din bhii jald hii aayega jab khushi apna ghar chod kar apne sasural chali jayegi.. khushi kii shaddi ho jayegi... khushi kii shaddi jitni khushiyaan laayegi sab logon kii zindagi mein, utna hii dukh aur akelapan sab mehsoos karenge kyunke khushi un sab ko chod kar spne naye jeevan kii taraf badh chuki hogi.. i think in sab ke beech sujal, kashish ke beech bohat hii saare pyaar ke pal aayenge...there will be many of there lovey-dovey moments.. aur dear i don't know why lekin khushi ke shaddi se mujhe kuch achchi feeling nahii aa rahii hai.. i really don't know why..lekin my gut feel says kii kahiin kuch tho gadbad hone waali hai.. kahiin kuch tho aisa hone waala hai joh nahii hona chahiye.. kahii kuch aisa joh kii ghalat hai... and i think it will be related with khushi.. i think kii shayad rishi ek achcha insaan hoga..lekin his ghar waale will not be good , as they have portayed themselves.. i have this feeling kii kahiin tho kuch ghalat hone waala hai.. tho dear this is my guess for the forth coming parts..tho ab tum mujhe yeh batao kii kya mera yeh guess sahii hai ya ghalat.. mujhe zaroor batana i really want to know.. and dear mujhko yeh bhii batana kii agar mera guess sahii hai tho woh kitne hadh thak sahii hai.. i'll be waiting for your reply....😉kashish dear please next part jaldi se post karo..i'am waiting very damn eagerly for the next part.. and dear once again i'am really sorry for the late comments..hope you understand... 😊😛😃
Edited by sun_423 - 16 years ago
SecretKhabri420 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 9
Posted: 16 years ago

Kashish, u r too creative MASHALLAH, keep it up!!!!!!!!! 😳

cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
mindblowing part.........................kashish👏...............kitne possessive hai tenno bhai apni behan key liye😭...........................meri eyes mein ansoo a gaye😭...............................aur shaadi ky itne dinoo bad bhi sujal aur kashish kitna pyaar kar tey hai eik dosrey se😳..........................con't soon
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-28

Aaj pura Garewal Mension khushiyon ke diye se jagmaga utha hai.........subaah se ghar me uthal pathal machi huyi hai..........ab shaadi me kuch hi ghante bache the jab Kashish, Mehek aur Heer Khushi ko taiyaar kar rahe hote hai................

Khushi: Bhabhi muje bahot darr lag raha hai......aaj sab kuch thik to hoga na.......

Kashish: janti hoon mann me thoda darr to hota hai..........main to Sujal ko jan ne ke bad bhi darr rahi thi aur tum to......lekin koi baat nahi hum sab hai na saath me........

Khushi: Bhabhi......aap muje mandap me akele chod ke mat jana.......

Kashish: kahi nahi jaungi.......main tumhare pass hi bethungi..........

Mehek: Khushi.......aaj to chaand bhi tumhare aage fika lagega........kya chamak rahi ho tum.........

Heer: chamkegi kyun nahi........aakhir kar sajaya kisne hai...........

Kashish: hamari Khushi to her din khubsurat lagti hai......kyun na lage sabse pyari hai yeh........

Khushi: aaj jate jate is ghar ki koi fikar hi nahi hoti........kyunki mere teeno bhai ko sambhalne wali jo mil gayi hai..........aur muje vishwas hai ki mera yeh yakeen meri teeno bhabhi bahot barkhubi se nibhayenge......Kashishbhabhi aaj se is ghar ki mere mama papa.....mere bhaiyon ki khushi me aap ke haath me deke ja rahi hoon........is bharoshe ke sath ja rahi hoon ki jab bhi main is ghar me wapas sabse milne aau tab sabhi ke chehre pe ek muskurahat ho.........kabhi bhi mera yeh bharosha tutne mat dena..............

Kashish: are pagli........abhi shaadi nahi huyi ki itni badi badi baatein karne lagi.........main vaada karti hoon ki jab bhi tu yaha aaye tab sirf aur sirf khushiyaan hogi is ghar me...........

jab teeno bhai aate hai........

Rudra: kis khushi ki baat ho rahi hai......

Khushi: yahi ki mere jane ke bad meri teeno bhabhi ko aap teeno shararti bhai ko sambhalna hoga...........

Prem: agar itni fikar hai hum sab ki to ruk kyun nahi jati........

Khushi: ruk kaise jau......jana hi hoga muje...............

Kashish: Prem.......maine tujse kaha tha na ki ladki ka asli ghar uska sasural hota hai.........is liye Khushi ko aanshu ke saath nahi balke muskurahat ke saath bidai denge hum........

Khushi: Sujalbhai aap kuch nahi kahenge muje........

Sujal:nahi bas dekh raha hoon.........meri gudiya kitni badi ho gayi.........tuje yaad hai bachpan me her waqt tu aise hi dulhan ki tarah sajti rehti..........tab aisa lag raha tha ki meri gudiya bahot choti hai in sab rasmo ko samajne ke liye........aur muje laga ki abhi meri gudiya ki shaadi me bahot sa waqt baki hai........muje nahi pata tha ki meri gudiya ki shaadi ka din itni jaldi aa jayega.............

Kashish: waqt to samundar ki reth ki tarah hota hai jo kab chut jaye pata hi nahi chalta..........

Khushi: waise me thik to lag rahi hoon na...........

Rudra: tune apne aap ko aaine me dekha......phir batana ki kaisi lag rahi hoon........

Khushi: main aapse nahi Sujalbhai se baat kar rahi hoon.........

Sujal: bahot hi pyari lag rahi ho......ek dum us rajkumari ki tarah..........bhagwan kare tumhe kisi ki nazar na lage......

Kashish: achcha hua aapne muje yaad dila diya............Khushi tu yaha beth..........Heer zara woh Puja ki thali dena........

Heer Kashish ko woh thali deti hai aur Kashish khushi ki nazar utarti hai.......

Kashish: bhagwan tumhe aur tumhare parivar ko her buri nazar se bachaye.......upperwala tumhare daman me dher sari khushiyaan bhar de..........itni khushiyaan Rishi tumhe de ki dard ka koi dur dur tak koi vasta na ho............lekin aaj main jo abhi tumse keh rahi hoon use dhyan se sunna aur use tumhe amal karna hai........waise yeh baat ek maa apni beti se karti hai lekin Sujal ne tumhe apni beti ki tarah pala hai to yeh mera bhi farz banta hai ki jo rishta tumhara mere pati se hai wahi mera tumse...................shaadi ke bad sabse pehla sabse pavitra sabse uncha rishta ek pati aur patni ka hota hai...........pati aur pati ke gharwalo ki khushi me tumhe apni khushi dhundhni hai.........aaj se tum sirf apne liye nahi balke apne pati ke liye jiogi......uske her ek faisle ko tumhe manna hoga....apne pati ki maan maryada ka tumhe khayal rakhna hoga.....aaj tum is ghar se bahot kuch apne saath le ja rahi ho........papa ka aashirwad........mama ke sanskar........bhaiyon ka pyaar........aur meri shikh........hamesha yaad rahe tum Garewal Khandan ki izzat ho aur hamesha rahogi........aur kabhi bhi koi aisa kaam mat karna jise hum sab tumhare sasural walo se nazare milake baat na kar sake.......tumhe ek aisi bahu banna hai ki hum sab fakr se keh sake ki Khushi Garewal Khandan ki beti hai......ab isse jyada kuch nahi kahungi kyunki tum khud bahot samajdar ho aur agar kuch bhi uljan ho to itna yaad rakhna ki tumhara yeh parivar her waqt tumhare saath khada hoga........

Sujal: Kashish thik keh rahi hai.........kabhi bhi kisi bhi cheez ki zaroorat ho to bejijak apne Bhai ko yaad karna woh tumhari her khawaish ko pura karne ki koshish karega.........

Khushi: Sujalbhai aapne to hamesha bina mange muje bahot kuch de diya hai..........ab aur kuch nahi chahiye........haa de sakte hai to ek vaada ki aap is parivar ko kabhi alag nahi hone denge.......

Sujal: vaada raha .......ab khush........

Anurag: chalo chalo neeche.........baarat aanewali hai........

Khushi: papa.......

Anurag: bahot pyaari lag rahi hai meri beti.......bhagwan tuje aise hi khush rakhe............chalo aap sab........

Anurag apne aanshu chupate huye waha se chala jata hai aur uske piche Sujal, Prem, Kashish aur Rudra bhi............

******************************************************************************

Ab barat darwaze pe khadi hoti hai...........Prerna Rishi ka swagat karne aati hai..........

Sujal: Rishi zara sambhal ke rehna......

Rishi: kyun bhai..........

Sujal: kuch nahi ....aaj ek aur gaya kaam se.........abhi pata chalega.........

Prerna Rishi ki zor se nak khichti hai.........

Rudra: ab pata chala na ki Sujalbhai kya keh rahe the..........

Rishi: lekin pehle se thik nahi keh sakte..........

Anurag: beta.......inhe andar leke bhi chalo......

Sujal: jee papa........

Sab log Rishi ko mandap me bithate hai............Heer aur Mehek Khushi ko leke aate hai.................

Sabse pehle Khushi Rishi ko varmala dal deti hai.........ab Rishi ki bari hoti hai lekin jaise hi Rishi aage badhta hai Rudra aur Prem Khushi ko upper karte hai taki rishi Khushi tak na pahunch sake......

Archie: are aap dono aise hi Bhabhi ko upper karenge to mere bhai kaise varmala dalenge...........

Prem: woh kya hai na aaj tak hum teeno bhai ne Khushi ko kabhi kisi ke aage jukne nahi diya...........ab varmala dalni hai to aap hi soch lijiye ki kya karna hai kyunki khushi to jukegi nahi.........

Archie: Bhai inhe hi bata do hum bhi harnewalo me se nahi.........

Rishi waha pe padi chair pe chad ke Khushi ko varmala dal deta hai..........

ab shaadi shuru hoti hai.............

Panditjee: Kanyadaan ke liye Ladki ke mata pita aage aaye.......

Anurag aur Prerna aake puja me bethte hai.....

Khushi: ek minute panditjee........Kanyadan se pehle main kuch kehna chahti hoon......

Prerna: kya baat hai beta........koi pareshani hai.....

Khushi: nahi mama..........mera kanyadan aap dono ke saath koi aur bhi karega...........main chahti hoon ki aap dono ke saath is kanyadan me Sujalbhai aur Kashishbhabhi bhi bethe..........

Sujal: khushi lekin.........

Khushi: aap se aakhri bar kuch mang rahi hoon........aap apni gudiya ke liye itna bhi nahi karenge..........

Sujal: Panditjee .........puja shuru kijiye...........

Kanyadan karne ke liye ek taraf Anurag aur Prerna bethte hai aur dusri aur Sujal aur Kashish............ab sari rasmo ke bad khushi ki shaadi bhi khatam ho jati hai...........

******************************************************************************

ab bari aati hai sabse muskil ghadi ki..........jo hai beti ki bidaai............beti ki bidaai ke saath beti parayi ho jati hai......shayad isi liye sabne kaha hai ki beti paraya dhan hoti hai..............ab Heer chawal ki thali leke aati hai.....aur Khushi apni bidaai deti hai jo Kashish aur Prerna apni joli me samet lete hai...............

Khushi: Papa.......ja rahi hoon....agar anjane me mujse koi galti ho gayi ho to muje maff kar dena.........

Anurag: tujse kabhi koi galti ho hi nahi sakti........tu to meri sabse pyari beti hai...........

Prerna: aur ab kya mafi mang ke aur rulayegi..........ek lagaungi gaal pe......

Yeh kehte hi Prerna Khushi ke gale lagkar rone lagti hai........

Prerna: beta ab aise nahi rote..........jao ek bar apne bhai se mil aao.......

Khushi sabse pehle Prem ke pass jati hai........jo Khushi ko uski chocolate deta hai.........

Khushi: aaj ke din bhi.....

Prem: aaj ke din hi nahi.......mere pass hamesha se tumhara yeh hakk banta hai.......aur aage bhi rahega..........yeh le.......

Khushi prem ke gale lagti hai aur phir Rudra ke pass jati hai...........Rudra Khushi ki naak khichta hai.........

Khushi: yeh kya Bhai.....aaj ke din to......

Rudra: aaj ke din kya haa........haa bol........main to ab aisa hi hoon.....lekin tu badal gayi........pehle akeli roti thi aj sabko rula rahi ho.......

Khushi Rudra ke gale lagke shanta tai ke pass jati hai.........

Shanta Tai: ab tu bhi ja rahi hai main ab kise tang karungi........

Khushi: Kashishbhabhi hai na.....aap use tang karna........lekin aapki bahot yaad aayegi Tai.........kyunki aap meri tai nahi meri saheli hai..jise maine kabhi kuch nahi chupaya...........

Shanta Tai: yaad to muje bhi apni beti ki aayegi.............

Yeh kehke Khushi tai ke gale lag ke Kashish ke pass jati hai......

Khushi: achcha Bhabhi ab main chalti hoon........agar anjane me maine kuch aisa kaha ho to muje maff kar dena..........

Kashish: are pagli tujse kaisi khafa........tujse muje koi sikayat nahi.......lekin ek sikayat hai.........tu itni pyari hai ki teri bahot yaad aayegi..........

Khushi: yaad to aap sabki is pure ghar ki muje bahot aayegi...............

Kashish: jane se pehle ek bar apne Bhai se nahi milogi.......

Khushi: woh kahi dikhai nahi dete.........kaha hai woh.........

Kashish: wahi jaha tu use chod ke aayi......abhi bhi mandap me hai woh........shayad tuje jate huye nahi dekh payenge is liye.........

Khushi: main bhai se milke aati hoon.........

******************************************************************************

Khushi Sujal ke pass aati hai.........

Khushi: Sujalbhai.......

Sujal: are tu.......abhi tak gayi nahi........

Khushi: kaise jati aapse mile bina.......aaj tak kabhi aisa hua hai ki main kahi bhi jau aur aapko mile bigar.........

Sujal: lekin ab tumhari shaadi ho gayi hai to.....

Khushi: to kya.......main sabse pehle aapki khushi hoon ...........aur aapko aise dukhi karke main kaise ja sakti hoon...............

Sujal: mujse milne aaogi.......

Khushi: jab bhi muje yaad karenge main aapke pass hogi........lekin rakhi ke din aapko muje lene aana hoga.........bolo manzur hai yeh shart........

Sujal: manzur.......

Khushi: achcha ab chale.......

Sujal: ek minute tere liye mere pass kuch hai.......

Khushi: kya........

Sujal apni jeb main se kuch nikal ke Khushi ko deta hai........

Khushi: lekin Sujalbhai yeh to aapki car ki chabiyaan hai......

Sujal: tumhari khawaish thi na meri jaisi car ki........to aaj puri kar di maine........aaj woh teri.........

Khushi: lekin main kaise.......

Sujal: ab apne bhai se tohfe lene me tu inkar karegi.........

KhushI; Bhai aapke bina main kaise rahungi..........aapne meri choti se choti khushiyon ki parwaah ki hai................yaha tak ki main aapse jo manga woh to diya lekin mangne se pehle hi aap sab kuch de dete hai...........aapke jaisa Bhai bahot kam logo ko milta hai............i am so lucky..........i love u bhai..............

Sujal: i love my gudiya too..............

Khushi Sujal ke gale lagkar rone lagti hai.........yeh dekh ke sab ki aankhoin me bhi aanshu aa jate hai...........

Kashish: Sujal.........bidaai ka muhurat bita ja raha hai.............

Sujal: thik hai......

Sujal khushi ke aanshu pochta hai aur Kashish aur Prerna Khushi ko doli ke pass leke jate hai lekin Khushi phir se mud ke daud ke Sujal ke pass aati hai.......sab log hairani se Khushi ko dekhte hai.....

Khushi: muje bhul nahi jayenge aap......

Sujal: jo dil me ho use kaise bhul sakte hai.....

yeh kehne ke bad Khushi phir se Sujal ke gale lagkar rone lagti hai...............

Sujal: ab itna ro mat ki bandh aa jaye..chalo.....

Khushi: aap meri doli ko khandha denge na........

Sujal: haa dunga......chahe kyun na meri kamar hi tut jaye.........

yeh Kehke Sujal aur Khushi hasne lagte hai.............

Sujal khushi ko doli me bithta hai aur teeno bhai ke haath se Khushi ki doli ruksat hoti hai.............

******************************************************************************

ab agli Subaah sab log dining table pe gum sum bethe huye hote hai...............jab Kashish aur Shanta Tai nasta leke bahar aate hai........

Shanta Tai: are kya baat hai aaj naste ke table pe itna sannata ...........kahi main koi sapna to nahi dekh rahi........

Kashish: are aap sab ko ho kya gaya hai..chaliye nasta kijiye.........

Sujal: muje bhukh nahi.........

Rudra: mera bhi mann nahi kar raha.........

Prem: sorry Bhabhi...main office ke liye late ho raha hoon...........

Kashish: ek minute koi aaj office nahi jayega.........aap teeno nasta karke sidhe Khushi ke ghar use pagphere ki rasam ke liye lene ja rahe ho.........

Sujal: sach.........sach me hum Khushi se mil sakte hai.......

Prem: chaliye na Bhai abhi chalte hai......

Kashish: nahi pehle aap sab apna nasta karenge..........

Prerna: kashish thik keh rahi hai.......ab kab tak tum teeno aise hi bethoge..........

Kashish: aaj jab yeh teeno Khushi ke ghar jake nahi dekh lete ki woh kitni khush hai tab tak yeh teeno ke dil ko tasli nahi hogi.........

Shanta tai: Anuragjee........beti ki bidaai to ho gayi ab in dono ki sehnai kab suna rahe hai.......

Anurag: bahot hi jald...........main to soch raha hoon ki kyun na kal hi unke yaha shagun leke chalte hai.........

Prerna: aapne to mere mann ki baat padh li........main bhi subaah se yahi soch rahi thi........Kashish tu ek kaam kar naste ke bad Nandini ko bata dena ki hum log kal shagun leke aa rahe hai...........

Kashish: jee main phone karke bata dungi.........waise muje aaj school bhi jana hoga........pichle hafte shaadi ki waje se main bacho se nahi mil payi......soch rahi hoon ki aaj waqt mila to waha ho aau...........

Prerna: thik hai hum aisa karte hai kal tumhare ghar se sidhe waha chale jayenge ...........muje bhi kafi arsa hua waha gaye........

Kashish: thik hai.........

Prem: Bhabhi aaj aap nasta denewali hai ki sirf baatoin se pet bharva degi........

Rudra: kitna khata hai tu..........tera jee nahi bharta.......

Prem: main aapki tarah nahi.......khane ko main enjoy karta hoon..........aur woh bhi kya khana hota hai jo mama aur Bhabhi banati hai.......

Sujal: ab maska lagana chod aur jaldi se nasta kar....hume dair ho rahi hai...............

Kashish: Sujal jane se pehle muje bata dena......woh aap log pehli bar Khushi ke ghar ja rahe hai to khali haath achcha nahi lagega...........is liye maine kuch saman taiyaar kiya hai.........ek minute me abhi aayi........

Kashish apne kamre me se kuch leke aati hai.................

Kashish: yeh lo kangan..........Khushi ko dekhte hi muh dikhai me de dijiyega..........

Sujal: thik hai........

Kashish: mama aur kuch to nahi reh jata na.........

Prerna: sab jimedari ko kitne achche se nibha rahi ho.........jo maine nahi socha woh ab tum sochne lagi............tumhe her kaam ka pata hai ki kab kya karna hai.......aur aaj bhi sab kuch sahi ho raha hai.......khali hath behen ko lene nahi jate.......

Anurag: jis din meri teeno bahu is ghar me aajayegi.......is din se soch raha hoon main retire ho jau....taki pura waqt ghar pe bahu ke saath bita saku.........

Sujal: bahu ke saath ki Mama ke saath........

Anurag: kyun marva raha hai is umar me.........chup chap nasta kar........yeh mat bhul main tera baap hoon............

sab log nasta kar lete hai.........

C3_IF thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
hey nice part
luved the way u've described each & evry small thg
😊
specially khushi's doli ka time was superb
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
hey lovely part cont soon
sanyoprithviraj thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 16 years ago
hey is this story gng 2 go the 'hum saath saath hain' way.looks like it

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".