Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 27th Sep 2025 - WKV
DIL DOORMAT 27.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 27, 2025 || EDT
Book Talk Reading Challenge: open to volunteers
Is noina mandira post plastic surgery?
BOOTH ROAMING 28.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 28, 2025 EDT
70th Filmfare Awards Nominations
CID episode 81 - 27th September
Revisiting 90's nostalgia
SAMAR ki hogi re entry !!
Diana praises Deepika Padukone’s work ethic
Ranbir Kapoor Birthday Celebration Thread 🎂🎂
🏏T20 Asia Cup 2025: Match 19 - Final: India vs Pakistan @Dubai🏏
Mihir ka Noina pe ato..oot vishwas
Ahaan’s next with Sanjay Bhansali? 🔥
🎶🎵Tribute to Lata Mangeshkar on Her 96th Birth Anniversary🎵🎶
Geetanjali to die?
khawaish
************************************************************
***********************************************************
Recap:-kashish office join karti hai .unehe ek meeting kay liye out of station jaana parta hai jaha pe car kharab hone ki wajah se unhe night stay karna parta hai and raat ke 12clock sujal angad and kripa ko unki marriage aniversary pe wish karta hai and we came to know ki sujal and kashish are husband and wife or aaj unki bhi marriage aniversary hai
************************************************************
sujal leave a disturb kashish behind him and kashish apni purani yaado mai chali jaati hai
Flashback:-teen saal pahle ki baat thi .
kashish ki duniya bhi kisi zannat se kam nahi thi uski zindagi mai bhi sirf khushiya hi khushiya thi .kehtay hai jab apka pyaar apkay pass ho to duniya bahut hi khoobsurat lagti hai .har jagah sirf pyaar hi pyaar nazar aata hai .yeahi sab kashish kay saath bhi tha .
uski zindagi mai sirf pyaar hi pyaar tha.pyaar uskay liye ek bahut khoobsurat eshaas ban kay sujal ke roop mai aaya tha
kashish ki duniya sirf sujal se shuru hoti thi aur sujal pe khatam.uskay liye pyaar ka matlab sujal tha ,khushiyo ka matlab sujal tha ,zindagi jeenay ka matlab sujal hi tha yeah tak uski muskhurat ki wajah bhi sirf sujal hi tha
zindagi kisi haseen sapnay se kam nahi thi har jagah sirf pyaar aur khushiya hi thi.dukh aur takleef kya hoti hai yeh to jaisay woh bhul hi gayi thi.sujal ney uski zindagi mai pyaar kai raang khol key jaisey uski zindagi hi badal dali thi.
sujal nai jab se us se apnay pyaar ka izhaar kiya tha uskay baad sai to jaisay they r unseprable.college mai yeh log love birds kai naam se hi famous ho gaye thai.woh jaada se jaada waqt ek dusray ke saath rehtay .
even sujal and kashish are working for a fashion project for sujal company. sujal nay us project mai kashish ki help mangi and kashish nai haa kar di thi .sujal ko ek acchay designer chahiya tha aur usay kashish sai accha designer kaha mil sakta tha .kashish nai kafi kaam samay is field mai kafi naam kamaya tha.
yeah un dono kai liye kafi alag experience tha . woh log saath saath kam kartay
huay ek dusray ko kafi kareeb se jaan rahe thay.
woh log ek dusray kay nai phelu se waqaif ho rahe thai.woh log yeah samaj chukay thay ki dono bahut hi proffesional hai . woh log ek dusray kai working style se kafi impress thay.
woh log kabhi kabhi kam karte kartay ek dusro se argument bhi karte thay .magar office khatam honay kai baad baad woh log phaley ki tarah ek saath ho jatay. woh apni professional and personal life ko kabhi bhi mix nahi kartay thai.
jab kabhi in dono mai koi argument hoti thi kisi project ko lai kar to angad or kripa apass mai bet kartay ki inka yeah heated argument khatam ho ga ki nahi
magar jaisay hi office time khatam hota yeah dono ek love birds ki tarah ho jata
udhar kripa ko angad nai prapose kar diya tha .aur yeah dono couples saath mai kafi aacha time spent kar rahe thai.
in charo nai kabhi bhi nahi socha tha ki inki zindagi mai koi bhi toofan aa sakta hai.yeh to sirf apni zindagi mai khushiya dekh rahe thay.
kashish ko aachay say yaad tha woh din jab usay sujal kay saath ek official tour pey jaana tha woh bahut hi excited thi ki ussay ek pura din sujal kai saath spent karnay ko milana tha.
woh log jis project pai kaam kar rahey thai uski final deal honi thi is liye un dono ko client se milna out of station jaana tha
sujal jab usay early morning pick karna tha hai to he is shocked kyunki kashish is looking really beautiful she is wearing a white chiffon churidaar and usney apnay hairs khula rakha thai without any jwellery and loooking really beautiful.kashish sujal kay pass jati hai magar sujal uski khoobsurati mai itna khoya hua tha ki usay kashish kai aanay ka pata nahi chala.
actually sujal pheli baar kashish ko indian outfit mai dekh raha tha
kashish-good morning sujal
sujal came into reallity
sujal-beautiful
kashish-what
sujal-i mean tum bahut jaada khoobsurat lag rahi ho
kashish-bas bas ab tum aisa hi tareef karte rahoge to hum meeting pay time se nahi pauch payegai .ab chalo bhi
sujal-haa chalo
sujal car mai beith ta hai and leave for the meeting sujal car drive kar raha hota hai and kashish window se bahaar dekh rahi hoti hai and felling bored and woh sujal se kheti hai.
kashish-kya sujal tum kitna bore kar rahe ho
sujal-kyun kya hua ?
kashish-yaar tum kab se chup chap baithay huay ho kuch to baat karo
sujal-ab is may mai kya kar sakta ho jab bhi tum meray saath hoti ho to kuch bhi baat karnay ka mann hi nahi hota hai bus tumehay dekhnay ka aur tumhari baat suney ka mann hota hai.
kashish-sujal tum baatai bahut bananna jantai ho.accha koi music suno gai
sujal-haa koi bhi acchi cd laga do
kashish music system on karti hai
song in background:-
chahay tum kuch na kaho
mainay sun liya
ki saathi pyaar ka
tujhe chun liya
sun liya
mainay chun liya
pahla nasha
pahla khuma
naya pyaar hai
naya intezar
kar lu mai
kya apna hal
e dile bekarar
meray dile bekarar
tu hi bata
phala nasha
sujal drive kartey huay kashish ka haath apnay haath mai pakhrta hai and kashish apna sir uskay shoulders pay rakhti hai and they drive on
sujal kashish ki meetings kafi sucessful thi and unehe woh project mila gaya tha
aur isi khushi mai 2din baad ek party thi
sujal kashish kay pass meeting kay baad bhi time tha so woh dono ghumnay jatay hai. kafi time un dono ney sirf shopping mai bita diya kashish ki to jaisay shopping list hi nahi khatam ho rahi thi.phir they have there romantic lunch
sujal is full of surprise u can never guess his mood he is childishly naughty at one instant, almost paternal at another...a passionate lover in one moment...and a detached workoholic in another...a great friend sometimes...and a moody, sulking individual in another...sarcastic and ruthless at times, and deeply vulnerable and soft inside....She was discovering delicious contradictions in him all the time...and loved him a little more everyday...
sujal-kya hua kya soch rahi ho?
kashish came out from her thought
kashish-kuch nahi
sujal-i think ab humay chalna chahiye
kashish-haa kafi late ho raha hai
woh log jaisay hi chalnay ko huay ki there was sound of thunder followed by lighting and rain aur kashish darr jati hai and sujal ko hug kar leti hai woh apna chera sujal kai jacket mai chupa leti hai .
sujal ko kuch pal kay liye samaj hi nahi aaya ki aakhir baat kiya hai
kashish-sujal mujhe bijli ki awaaz se bahut darr lagta hai
sujal-kashish meri taraf dekho
kashish uski aankho mai dekhti hai
sujal-kashish jab main tumahray saath hoon to tum kyun darr rahi ho
kashish-sujal yeah awaaz humay aanay wale toofan ka ishara karti hai.yeah humay pahle se agaah (warning) karni chahti hai magar hum hi log un ishro ko samaj nahi patay
sujal-kashish tumhey kya lagta hai yeah koi toofan laa saktay hai.nahi kashish yeah to apnay apnay manay par hai mery liye to yeah ek khoobsurat mausam lata hai.barish ka mausam aur dekho na isi mausam ki wajah se tum bhi meri baahon mai ho
kashish realizes ki woh usay abhi bhi hug kiye huey hai she feel shy and try to move away magar sujal useay rok leta hai
sujal-kabhi kabhi to aap humaray pass aati hai itni asani se thori na janay degay
kashish-sujal chordo naa dekho naa kitni tez baarish ho rahi hai aur hum dono kab se bheeg rahe hai.chalo ab wapis janay key liye late nahi ho rahi
sujal-tum lardkiya bhi naa kitna aacha romentic mood tha aur tumnay ney sab kharab kardiya.
kashish-agar hum isi tarah tumahray romentic mood ki parwah kartey rahegay to hum dono biwar ho jayeegay
woh log wapis car mai janay lagtay when sujal notice ki kashish ko thand lag rahi hai woh usay apna jaket deta hai aur usay car mai jaldi se bethnay ko kehta hai sujal start driving when kashish speaks in a serious mood
kashish-sujal ek baat poochu????????
sujal-huuuuu
kashish-sujal tum mujhey kabhi chord kay to nahi jaogay
sujal-kashish yeah kaisa sawal hai
kashish-batao n sujal
sujal-kashish tum sirf meray pyaar nahi balki meri zindagi ho,meray jeenay ka maksad kashish mai baki sab cheezo key bina reh sakta hu magar tumahray bagair nahi tumhari ek muskhuraht key liye mai khuch bhi kar sakta hoo phir tumney yeh kaisay soch liya ki mai tumehe kabhi akela chord sakta hoo .
kashish apna sir uskay khanday par rakhti hai
kashish-sujal pata nahi kyun mujhay bahut darr lag raha hai bahut burray burray khayal aa rahay aisa lag raha ki kahi sab kuch khatam na ho jaayey.mujhe pata hai ki tum one month kai baad india shift ho rahay ho mujhey pata nahi aisa kyun lag raha hai jaisay ki tum mujhse door ho jayoge.sujal tumehay khoney kai darr se hi meri saas ruk jaati hai agar kahi tum mujhey chord dogai to mai marr hi jaogi
sujal-mai hamesha tumahrey saath rahuga mai bhi tumahray bagair nahi rahe sakta aur raha hamaray beech mai faslay ki baat to mai us faslay ko hamesha kay liye mita dena chahta hoon.hum kal hi shadi karegay
kashish-sujal tum yeah kya kah rahe ho
sujal-kashish mai hamesha kai liye hamaray beech se yeah darr nikal dena chahta ho ki hum kabhi allag ho saktey hai aur uska sirf ek hi raasta hai ki hum apnay beech key saray faaslo ko meeta de apnay is rishtey ko ek naam de dai taki humay koi bhi alaag na kar sakay.aur waisay bhi tum meri family ko bahut pasand aayogi unehe koi objection nahi ho ga after all tum sujal garewal ki pasand ho
kashish-sujal par hum apni family ko kya baataegai
sujal-unkay liye yeh baat tum surprise rehnay do
kashish-sujal par
sujal-kashish tumehay mujh pai bharosa hai naa (she nods) to phir tum tension mat lo.mai sab theek kar dunga
they reach london and woh angad and kripa ko apnay decision key baray mai bataatey hai and yeah decide hota hai ki woh dono phelay court marriage karegay aur uskay baad se ek mandir mai tradional shaadi.angad sujal ki taraf se witness tha and kripa kashish ki taraf se un dono ki shaadi key baare mai angad aur kripa key alawa kisi ko nahi paata tha.
next day jab sujal and angad kashish ko pick karney aatay hai to to sujal is shocked kyunki khashish is wearing a red chiffon sari with a long earings and lots of bangles.sujal uskay pass jata hai aur uskay ears mai kheta hai ki
sujal-kashish tum bahut bahut khoobsurat lag rahi ho .aur agar tum isi tarah khoobsurat lagti rahogi to yaken mano bahut saray dil tum pe aayegay.magar becharay dil yeh nahi jantay ki aaj kashish ka dil sirf mera yeani sujal garewal ka honay ja raha hai
kashish-sujal tum bhi na .waisay tum bhi bahut handsome lag rahey ho
sujal-arey kashish kuch aisa kaho jo mai na janta hoo .i know ki mai bahut handsome hoon. sab yeahi kehtay hai .tumney khuch alag nahi kaha .tell me something jo mai na janta hoon.
sujal is wearing a red shirt with a black court and usney apney hairs geled kiye huye thay and looking really handsome
kashish-kya sujal aaj key din bhi tum shuru ho gaye.pata nahi shaadi kay baad kya karogey
sujal-tumehe is se bhi jaada pareshan karuga.
kashish-sujal i think mujhey backout kar lena chahiye
sujal-kashish kabhi aisa soch na bhi nahi.mai tumehey apney se durr nahi janey dunga i love u kashish
kashish-sujal i love u too
woh log ek dusrey ko hug karney hi ja rahey thai ki
angad-hmmmmmmmm
both look in angad direction
angad-tum dono ko shaadi karni hai ki nahi kyunki agar tum dono isi tarah romance kartey rahogey to to hum court court timings key baad pauchegey
kripa-bas thora sa aur wait kar lo phir to tum dono ko officially romance karney ka hak mil jayega
sujal feel embarrassed and kashish shy away
angad-ab chalo bhi lat ho rahi hai
all four of them sit in the car and drive away
woh log court mai shaadi kartey hai and sujal kashish ko gift mai ek wedding ring pehnata hai made of diamond and platinum woh ek heart shape ki ring hoti hai jismay k and s engrave hota hai
phir woh log mandir mai ja kar traditional shaadi kartey hai and sujal kashish ko mangalsutra phenata hai aur uski maang sindoor se bharta hai and they take blessing from god to start there new life .
song in background
wada raha ....
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
yeh .....meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
chahey tumey kis qader mera dil tum ko nahi ha pata ...
yeh.... meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
wada raha..........yeh wada raha.........
dono jahan ko bulaoon mey essi lagi hai
tujh say lagan
chahey kaho issey awargi chahey kaho issey deewanapan
dil ney kaha dil ney suna....
mey ney tumhey dilbar chuna..
ab duriyan na rahi dermiyaan
kya rang laye wafa........
yeh meri dhadkaneein sun raha hai khuda........
wada raha yah wada raha.....
dekha tumey to essa laga
mujh ko mila manzil ka pata
chalana hai hum ko ab sath mey
tum say jura mera raasta ....
mey ney li hai qasam
paoon tumey janum o junum ..
sajdey kiya shaam o saher
maanga hai tum ko sada.
yeh.meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
haaaaaaaaaaaaaaaaaaan
wada raha pyaar say pyaar ka ...
wada raha ....
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
wada raha pyaar say pyaar ka
ab hum na hongey juda.........
yeh .....meri dhadkanein sun raha hai khuda.....
wada raha yeh .
wada raha ....
pyaar say pyaar ka..
wada raha yeh wada raha....
sujal kashish ko hug karney ja raha tha ki angad interupt him
sujal-angad ab kashish meri wife hai to isko to mai hug kar hi sakta hoon
angad-sujal u r imposible
all of them laugh and sujal kashish ko hug karta hai
kripa-chalo lets celebrate ur weeding lets have a party only four of us
angad-nice idea
sujal-party meray ghar pey .mai chahta hoon ki kashish shaadi kay baad humarey ghar chaley magar isey apnay ghar janey ki bahut padi hai aaj hamari shaadi hui hai aur hum kuch samay bhi saath nahi beta payegay
kashish feel shy and smile
angad-tu fhikr kyun karta hai waisay bhi doo din baad kashish tu tumaharey saath hi rahay gi .sirf do din ki hi to baat hai
sujal- jab teri shaadi hogi tab mai pucho ga
angad-bahi mainey kripa nay to decide kar liya hai ki next year isi hi din hum bhi shaadi karegay taki hum charo apni life ka sabse special moment ek saath spent kar sakey aur celebrate kyun kripa
kripa-haan
sujal-aacha chalo party ki kitni arrangement karni hai
all of them reach garewal house
and sujal kashish ka haath pakhta hai aur dono ek saath ghar mai kadam rakhtey hai
sujal-welcome kashish welcome to ur new house kaisa laga
kashish-bahut aacha
angad-sujal mai aur kripa party ka arrangement kartey hai tu jaa kar kashish ko ghar dekh aa
sujal -haa yeh theek hai hum bas abhi aaye chale kashish
kashish nods and and sujal usko pura ghar dekhta hai at last they reach sujal bedroom and sujaluskey liye door kholta hai and kashish room key andar jati hai
sujal-aur kashish yeh hai hamara bedroom kaisa laga????????
sujal use peechey se aa key hug karta hai
kashish-bahut aacha hai
sujal-abhi to sirf aacha hai magar jab tum yeah pe shift ho jayogi to bahut aacha ho jayega.
kashish-how cute waise sujal tum apni family ko kab bataogey hamarey baare mai
sujal-chalo abhi bata detey hai
sujal apney ghar pe call karta hai
sujal-hello mama
sujal-ye mama i am fine
sujal-mama aap key liye ek surprise hai
sujal kashish ki taraf dekhta hai and smile
sujal-nahi mama mai abhi nahi bataoga ki surprise kya hai aap ko meray aanay tak wait karna hoga
sujal-yeah mama mai yeah pe bahut khush ho aur dad ko khaiye ga ki humey project mil gaya aur sab log kaisay hai sab ko mera hello bolna
sujal ok mama love u
sujal phone rakhta hai and kashish key saath ja kar bed pr bethta hai
kashish-tum to mama ko bataney walai thai phir kyun nahi bataya
sujal-woh is kiye kyunki jo khushi unehe hamay saath dekhkar hoti woh mai phone pe bata kar nahi dena chahta tha mai apni mama ki khushi apni aankho key samney dekhna chahta hoo .
kashish-tum apni mama se bahut pyaar karte ho na
sujal- haan mai unki khushi key liye kuch bhi kar sakta hoon.waisay ab sey woh tumahri bhi mama hai samjhi
kashish nods and give her cute smile
sujal-kashish tumehe kal ki party to yaad hai na jo humey contract milney ki khushi mai mili hai
kashish-haa yaad hai isi bahaney mujhe tumahre saath kuch time spent karney ko milega
sujal-tum chaho to hum aapna saara time ek saath spent kar saktey hai ab humey kisi bhi reason ki jaroorat nahi hai
sujal uskey kareeb jaata hai aur usko cheeks pe kiss karta hai tabhi door pe knock hoti hai
sujal-ab kaun aa gaya
kashish feel shy
kashish-dekho sujal door pe kaun aaya hai
sujal ja key door kholta hai and door pai angad khara hota hai
angad-kya sujal ghar dekhaney mai itna time lagta hai humey aisa lag raha tha ki tum log bhul hi gaye ho ki hum log bhi hai yeah pai hai aur humey tumahri wedding celebrate karni hai waisey kashish sujal tumehey itni der se room main kya kya dekha raha tha i hope tumehey ye room sabse jaada pasand aayega
kashish feel embarrassed
kashish-mai kripa ki help karney ja rahi
sujal-kya aangad tujhe kabab mai haadi bana tha .rukh ja ek baar teri shaadi ho jaye phir mai bhi dekhta ho tujhey
angad-mai is baat mai safe hu kyunki ab tujhe kashish se time milay ga tabhi to tu kisi aur ko dekha ga
both smile and join kashish and kripa downstairs
they four have lots of fun and they celebrate there happiness together at last at 10 clock in night the party came to end and both sujal goes to drop both kashish and kripa kyunki kashish do din kai baad sujal kai saath shift honey wali thi.car mai kripa feel like kabab mai haddi
at last un dono ko ghar aata haiand kripa said goodbye to sujal aur woh undono ko akela chord kai jati hai.sujal kripa kai jatey hi kashish ka haath pakhta hai and use hug karta hai
sujal-kashish tumehe pata hai shayaad mai aisa phela husband honga jo apni itni khoobsurat wife ko apni wedding night kai din akela chord kai ja raha hai.kashish meray paas ek idea hai kyun na tum abhi meray saath shift ho jao hum tumahri belongings baad mai collect karte rahenga.
kashish-kya sujal sirf do din hi ki to baat hai kab kat jayega tumehe pata bhi nahi chalega.
sujal-do din to ab do sal ki tarah kategay
kashish-sujal tum paagal ho
sujal-haa tumahrey liye
kashish-aacha sujal ab jao kripa bhi mera andar wait kar rahi hogi
sujal-jaana jaroori hai
kashish-haa bahut jaroori hai.
sujal-kya kashish mai itney romantic mood mai hoon aur tum sab mood kharab kar rahi ho
kashish-good night hubby
and she kisses sujal on his cheecks
sujal-good night sweet heart aur haa kal mai tumehey pick karney aaoga saath mai party mai chale gay
she nods and sujal usay forehead pai kiss karta hai and he leave
next day :-
shaam kai 5 baj rahe thai and sujal is restless woh kashish se apney janey key baad se nahi mil paaya tha even kashish ka cell bhi not reachable tha woh thora jaldi tayaar hota hai taki woh kashish kai saath kuch time spent kar sakay woh kashish kay ghar pauchta hai and kripa usay welcome karti hai and kheti hai ki kashish apney room mai hai sujal uske room mai jaata hai and dekhta hai kashish is wearing an offshoulder white gown and usney high pony thi and long earings phenay huay thai .sujal was speechless kashish uskey pass jati hai aur usko shake karti hai .sujal came into senses
kashish-kya hua
sujal-kuch nahi mai to yeah soch raha tha ki aaj kitney log mujhse jealous hogay kyunki meray saath itni khoobsurat lardki hai
kashish-aacha yeah sab chordo yeah batao tum yeah itni jaldi
sujal-yaar kal raat kai baad tumahray saath time spent karna ka time nahi mila yeah tak ki tumahra cell bhi nahi lag raha tha socha jaldi chal kay mai tumahray saath time sprnt kar lu
kashish kahi kho gayi thi and sujal shake him
sujal-kashish kya hua r u ok
kashish smile and she said she is ok
woh log party kai liye saath mai nikaltay hai in the party they pretend ki they r only friends but puri party mai kashish chahey kahi bhi ho sujal ki naazray sirf usi par hoti thi .
song in back ground:-
jadu hai nasha hai
madhoshiya
tujhko bhula key
ab jao kaha
jadu hai nasha hai
madhoshiya
tujhko bhula key
ab jao kaha
dekhti hai
jis tarah se
teri naazray mujhe
mai khud ko chupao kaha
jadu hai nasha hai
madhoshiya
tujhko bhula key
ab jao kaha
(sujal kashish key pass jata hai aur us ko dance kay liye pauchta hai and woh haan kar deti hai)
yeh pal hai apna
to is pal ko je ley
sholo ki tarah
jara jal kai je le
pal jhapaktey
khoy na jana
chuh kai
kar lu yakeen
najaney pal ye paye kha
(kashish apna head sujal kai shoulder pai rakhti hai and sujal apney haath kashish kai waist pai)
jadu hai nasha hai
madhoshiya
tujhko bhula key
ab jao kaha
baahon mai teri
yun kho gaye hai
armaan dabay se
jagney lagey hai
jo milaye ho
aaj humko
door jana nahi
mita do saari yeah duriya
(both of them look in each other eyes they bost r lost)
jadu hai nasha hai
madhoshiya
tujhko bhula key
ab jao kaha
dekhti hai
jis tarah se
teri naazray mujhe
mai khud ko chupao kaha
after the party sujal kashish ko uskay ghar pay drop karta hai or kehta hai ki woh kal office se off lega taki woh kashish ki help kar sakay shifting mai
next day:-
sujal angad and kripa kashish ki shifting mai help kartay hai and at night all four have dinner together baad mai angad kehta hai ki woh kripa ko uskay ghar drop kartey huay nikal jayega all of them agree and angad and kripa leave the two love bird alone
now sujal kashish r alone in the house
sujal-so madam finally u r here
kashish feel shy and sujal usay pick kar kay apnay room mai le jata hai
In Kashish and sujals room:
sujal-kashish tumehey pata hai aaj hum ek honey ja rahey is key baad koi bhi humay alag nahi kar payega na kismat na samaj kyunki aaj se tum sirf or sirf meri ho gi
kashish-sujal isi baat ka hi darr hai kahi hum alag na ho jaye
sujal-kashish aisa khuch bhi nahi ho ga waisay bhi ab se tumahri or meri kismat ek hi hogayi hai or is kismat ko koi bhi nahi badal sakta
phir sujal uskay forehead pai kiss karta hai than cheecks and kashish hug him...........................................
song in background
baahon ke darmiyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand
Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan .
kashish realizes ki usay koi bula raha hai and she came into reallity sujal usay bula raha tha
sujal-kashish car theek ho gayi hai hum abhi nikle gay to din tak pauch jaye gay
main breakfast order kar deta hoon tum fresh ho jayo
kashish nods and sujal leave from there kashish nai poori raat apni beeti hui zindagi mai bita de thi uski aankho mai aansoo aa jatey hai aaj uski aur sujal ki 3 wedding anniversary thi aur unkey beech mai itna fasla ho gaya tha ki woh dono ek dusro se bhi ab sirf formally baat kartay tha
kashish apnay se kheti hai happy wedding anniversary sujal
* ************************************************************ ************************