Pyaar wid payinGuest~~RA FF~~ - Page 2

Created

Last reply

Replies

87

Views

9.8k

Users

17

Frequent Posters

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#11

Originally posted by: sun_423

R.S yaar awesome intro..bohat hii zyada dhassu tha dear.. aur story ka title pyaar with paying guest..wah..waahh.. waahh...kya baat hai..bohat achche... mujhe intro padke bada achcha laga..aur abhi se mereko excitement aur curiosity ho rahii hai kii story kii kahani kya hoga.. waise socho R.S yaar abhi bas tune intro post karri hai aur mera yeh haal hai tho jab tum yeh story likhna shuru kar dogi tho tab kya hoga mera haal...me sure jaise-jaise story agge badthe jaayegi me will be biting and eating off my nails... tum utna achcha likhogi..aur story sabse zyada achcha hoga... story ka intro bada hii mast hai.. seems very damn interesting.. bohat hii dilchasp... i liked reading it.. keep up the good work going... the intro was simply great,superb,awesome... very damn lovely... 👏 ab jaldi se continue kar.. me waiting for the start of the parts bade hii besabri se... 😊 😛 😃

No thanx buddy m happy u liked the intro & i really hope that i can match ur expectations yar😕after reading ur comments m feeling a bit scared now what if main achha nahi likh payi i really hope k tumhe part pasand aayega.

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#12

Originally posted by: ananya7736

hey hi...awesome intro.. me eagerly waiting for the fan-fic to start.. do continue soon.. 👏

Thanx ananya 4 liking & the part is coming in few mints.😊

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#13

Originally posted by: togepe30

Awesome characters re.........RA to i luv.........but Jennifer n Chaitanya make a good pair too 😳 😳 😳

post soon!!! 😛

Thank u vandhana jiii 4 liking & ab ki baar to part post jaldi ker rahe hu aagay ki koi guarantee nahi😊

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#14

Originally posted by: Sai-licious

awesomeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee intro!!!!!!!!! 😃 i can't wait till the first part is posted!!!!! i think im gonna fall in love wid this fic, just like KPK!!!!!! plz continue soon!!!!!

Thanx sai 😊ur w8 is going to end veryy soon & i really hope that u all like this one too😊

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#15

Originally posted by: fravashi

wowwwwwwwwwwwwwwww sounds damn intersting. the character name and intro is just rocking and totally different. it was great!!!continue soon yaar plzzzzzzz......can't wait any longer.bye.takecare.

Thanx ashi(short of ur id hope u wont mind)

dnt worry u dnt need to w8 more m going to post the part in few mints😊

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#16

Pyaar

with Paying guest

wo pichlay aadhay ghantay se kadakti dhoop main wo ghar talash ker rahe thi jo uski manzil tha per abhi tak wo dhondh nahi payi thi tabhi samne use ek aadmi aata dikhayi diya to wo larki us aadmi ko rok k poochhti hai..

Larki- suniye ye ghani sahab ka ghar kahan hai?

us larki k sawal pe us aadmi ne ajeeb nazron se ussse dekha aur ek ghar ki taraf ishara kiya..

usne turn ho ker dekha to wo jis ghar k saamne khadi thi wahan "GHANI HOUSE" ka bada sa board laga hua tha aur apni kam aqli per wo sharminda ho ker reh gayi..

pichlay aadhay ghantay se adress dhondhne k chakkar main wo haal se behall hogayi thi.

usne aagay barh ker bell ring ki aur tissue se apna chehra saaf ker k apna bada sa bag ek kandhay se doosre kandhay pe shift kiya. bell ring kerne k baad kafi mints tak usne intizar kiya per kisi ne derwaza nahi khola to usse bhi gussa aane laga ek to pichlay aadhay ghantay ki khuwari opper se itni tez dhoop aur ab ye gate ka na khulna to usne tang aaker bell pe ungli rakh de aur hatayi he nahi aesa kerne k kuch he der baad usse ander se kuch awazen aayi to usne bell per se apni ungli hatadi. tabhi ander se kisi ki gusse bhari awaz use sunayi di..

Awaz- aaj kya pehli tareekh thi jo chhuti kerna tum per haram hogaya tha??

aur agle he pal gate khula aur us k saamne ek larka khada tha jo k abhi kisi k chuuti na kerne pe gussa horaha tha wo bohat he gusse main lag raha tha aur us k chehre ko dekh ker aesa lag raha tha jese k wo abhi abhi neend se uth ker aaraha ho..

wo larka pehle wo usse dekh ker hairan hua phir us k kandhay per pade hue bag ko dekh ker us ka gussa aur bhi badh gaya..

Larka- dekhiye agar aap shampoo , soap , biscuits ya kuch bhi bechne aayi hain to hamen nahi chahiye kyunki main kal he baal mundwane ja raha hu aur ham buiscuit nahi khate aur na he ham nahate hain.

wo usse sells girl samajh ker ye sab keh ker gate band kerne wala tha jab wo(larki) hosh main aayi..

Larki- plz meri baat to sune..

us k bolte he wo larka gate band kerta ruk gaya aur ghaur se usse dekhne laga. us k yon dekhne per wo nervous hue per abhi usse baat kerna zaroori tha..

Larki- mujhe ghani sahab se milna hai..

samne khade larke ne usse sar se paun tak dekha..

Larka- kis silsilay main?

Larki- actually mujhe ghazal ne bheja hai uski ghani sahab se baat hue thi kamra kiraye pe lene k bare main wo busy thi to usne mujhe bhej diya..

Larka- achhaaaa to aap ko ghazal ne bheja hai to aap aayen na ander bahar Q khadi hian?

larke k muskurane per us k jaan main jaan ayi k chalo ye pehchan to gaya..

Larka- ander aayen...

larke k bulane per wo kuch jhijhakti hue ander dakhil hue..

wo us larke k saath drawing room main aagayi jo k bohat he khoobsurati se saja hua tha.

Larka- aapne apna naam to bataya he nahi ?

Larki- khuwaish..

Larka- pata hai hamara drawing room itna khoobsurat hai k sab ki khuwaish hoti hai k un ka drawing room bhi itna he khoobsurat ho per maine aap ka naam poocha hai..

us k aese kehne per wo phirse nervous hone lagi..

Larki- ji mera naam hai khuwaish..

Larka- oh... aap bethen khuwaish kya lengi aap cold drink?

wo uske kehne per saamne pade single sofa per beth gayi...

khuwaish- ji nahi bas ek glass pani..

wo kuch mangna to nahi chahti thi per is waqt ghar ko itna dhondhne k baad usse pani ki zaroorat thi ..

wo wahan se jane laga k usne phirse kaha..

khuwaish- plz aap zara ghani sahab ko bula dijiye.

wo jate jate ruk gaya aur kehne laga...

Larka- yahan to teen ghani hian main bhi ghani hu aap ko kis ghani se milna hai?

khuwaish- iss ghar k malik se.

Larka- wo to mushkil hai kyunki wo is waqt out of town hain.

ye sunne k baad khuwaish kuch mayoos se hogayi..

khuwaish- oh.....

khuwaish- aap k ghar main koi aadmi nahi?

Larka- WHATttttttt?

khuwaish k saamne khada larka ye sunte he uchhal pada wo apni height aur personality ko le ker bada he possessive tha aur ab us k saamne bethi larki us k aadmi hone per he shak ker rahe thi.

larke aese expressions dekh ker khuwaish ek dam khadi hojati hai..

khuwaish- mm..mera matlab hai koi jo ghar main bada ho is waqt..

Larka- haan hain mere chachu..

khuwaish- plz zara unhe jaldi se bula lijiye mujhe wapis bhi jana hai..

wo larka wahan se chala gaya to khuwaish ne gehri saans le ker clock ki taraf dekha usse hostel se nikle ab 2 ghantay ho chukay thay.

wo wapis sofa pe beth gayi aur us derwaze ki taraf dekhne lagi jahan se wo larka gaya tha tabhi wo wapis aaya.

Larka- mere chachu...

usne derwaze ki taraf ishara kiya to wo kisi buzurg k khayal se khadi hogayi lekin samne khadi hasti ko dekh ker na to theek se khadi reh payi aur na he 2bara beth payi....

khuwaish- Itne chotay chachu????

ye wo kehna chahti thi per kehte kehte ruk gayi...

ander dakhil hone wali hasti us larke k umar ka tha shayad kuch saal bada ho..

un dono k aankhon main nazar aane wali shararat ko dekh ker uska sara confindence tootne laga..

chachu- ji fermaiye kya khidmat ker sakta hu?

chachu sahab ne dilchaspi se khuwaish ki taraf dekha..

khuwaish ko ab andaza ho chuka tha k ye 2no larke usse bewakoof bana rahe hian.

khuwaish- aap k ghar main koi khatoon(lady) nahi?

khuwaish apne aap ko normal dikhane ki koshish ker rahe thi..

chachu- jii hian per abhi ghar pe sirf ham 2no he hian.

ab chachu sahab us k samne tang pe tang rekh k bade he shan se bethay thay.

larka- pani piyen..

pehle wale larke ne glass us k saamne rakha lekin usne pani ko chhua tak nahi.

khuwaish- is main zaroor kuch mila hua hoga..

khuwaish ne pani k glass ko dekh ker socha.usne pani ko dekha aur phir us larke ko jo ab deewar se tek laga k khada tha phir usne chachu sahab ko dekha jo usse he dekh rahe thay & un k chehre se saaf zahir horaha tha k wo dono uski halat ko enjoy ker rahe hian.

chachu- aap pani pee sakti hain us main kuch mila hua nahi

khuwaish ne uski(chachu sahab) taraf dekha aur phir jis derwaze se wo ander aayi thi us ki taraf dekha aur ek dam uth k jane lagi kyunki usse yahan rehna khaternaak lag raha tha..

larka- array aap kahan ja rahe hian? aapko to kamre ki baat kerna thi..

bhatije sahab raste main khade hogaye to wo jo kabse kudh ko normal dikhane ki koshish ker rahe thi ek dam us ki aankhon se aansu behne lage..

khuwaish- mm..mujhe koi kamra nahi chahiye..

chachu- array aese kese? hamare ghar koi aata to apni marzi se hai per jata hamari merzi se hai Q bhatije?

Larka- bilkul...

phir wo dono hasne lage aur khuwaish ek bhi mint zaya kiye bona wahan se bhagne lagi kafi door tak jane k baad usne peechay mud k dekha ab wo wahan se kafi door nikal aayi thi aur phir wo aagay ki taraf jane lagi.

**********************************************

aaj sunday tha aur khuwaish abhi tak so rahe thi kuch dair baad uski aankh khuli to ghazal mirror k saamne khadi tayari main busy thi..

khuwaish- aaj sunday k din kahan jane ki tayari hai?

ghazal- ghani uncle k ghar unse milne jana hai.

khuwaish- KYA?

wo ek jhatke se bed pe uth ker beth gayi..

khuwaish- mere sab kuch batane k baad bhi?

ghazal- haan us k baad bhi kyunki tumhari jaldi he nervous ho jane ki adat ko main achii tarha janti hu ooper se tumne jo 2 jawan larko ki story sunayi hai wo mujh se hazam nahi horahe.

khuwaish- tumhara matlab hai main jhoot bol rahe hu?

ab ki baar khuwaish ko ghazal ki baat pe gussa aaya.

ghazal- mera ye matlab bilkul nahi meri information k mutabik un k bachay kafi chotay hian ab utho jaldi se tayyar ho jao hamen nikalna hai.

khuwaish- lekin....

ghazal- lekin wekin kuch nahi main bahar tumhara w8 ker rahe hu,

ghazal hamesha ki tarha order de ker chali gayi aur khuwaish ko majboran uth k tayyar hona pada.

****************************

Retired colonel ghani k name plate dekh ker wo shocked reh gayi ye wo ghar nahi tha jahan wo us din aayi thi usne darted arte ghazal ki taraf dekha jo bade he aaram se khadi bell baja rahe thi ab usse pata chal gaya tha k wo us din ghalat ghar main chali gayi thi.

Gate khulte he ek chota bacha un k samne khada tha..

Ghazal- hello mere naam ghazal hai aap k grand pa ghar pe hain?

Bacha un ko apne saath ander legaya.

Phir kuch he dair baad khuwaish gusse se lal hoti ghazal k peechay wapis ghar se nikalrahe thi.

Ghazal- dimagh kharab hogaya hai in ka ek room ka 10 thousands?? Room main kya heeray lagay hue hian? Abhi to papa k reference k wajah se itne mang rahe hain nahi to pata nahi kya charge kerte..

Wo bohat he gusse main kehti jarahe thi.

Khuwaish- ab tum aese aria room chahti ho to rent bhi to aesa he hoga na. ham kisi doosre aria main room le lete hian.

Ghazal- bilkul nahi tumhari yahe sasti aur bachat schemes sun sun ker he maine wahan hostel main room liya tha nateeja dekh rahe ho? Ab main ek din aur wahan nahi rehna chahti.

Ghazal- "Ghani House"

Ghazal ki awaz sun k wo ek dam he shocked reh gayi. Usne dekha k wo ghani house k samne se guzar rahe thin to usne tez tez chalna shuru ker diya.

Ghazal- khuwaish ruko… kahin tum yahan to nahi aayi thi?

Khuwaish ek dam ruk gayi ghazal us ka chehra dekh ker he samajh gayi thi us ka jawab usse ab kuch poochne ki zaroorat nahi thi.

Ghazal- chalo.

Khuwaish jo ye samajh rahe thi k ghazal use naraz hogi aur dante gi per us se "chalo " sun ker ek dam pareshan hojati hai.

Ghazal- tum bata rahe thi k yahan bhi room mil raha tha chalo pata ker lete hian.

Khuwaish- pagal hogayi ho? Main to ab kabhi bhi yahan nahi jaugi.

Ghazal- us din tum akeli thi aur aaj main tumhare saath hu.

Ghazal ne aagay barh ker bell bajayi.

Aaj gate jaldi he khul gaya aur samne ek chota larka khada tha.

Ghazal- ghar pe koi bada hai?

Is se pehle k larka jawab deta peechay se awaz aayi..

Voice- kaun hai bakhtiyar ali?

Ghazal ne ander dekha aur salam kiya then she turns back to khuwaish…

Ghazal- chalo bhi..

Khuwaish nods her head as no.

Ghazal- theek hai phir yahin sado garmi main.

Saying this she went inside.

Rajeev_gr8 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#17
So guyz maine part post ker diya now tell me how was it?
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#18
hi my names samina
i really enjoyed the first part it was really good
khuwaish's charachter sounds really intresting and very sweet and ghazals character also is quite different
i think the 2 boys must be armaan and amaan
cant wait 2 read the next part
👏
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#19
Nice part per abhi zaar confuse hun main i hoep next part mein yeh confusion clear ho jaye
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#20
Nice part per abhi zaar confuse hun main i hoep next part mein yeh confusion clear ho jaye

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

3 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

4 months ago

Pyaar Ka Tropefest - My Series Of 5 Crossover Couple One-Shots

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".