ZINDAGANI
Dadaji: 8 mahinay guzar chuke hain us haadse ko lekin Sujal ke behaviour mein abhi bhi koi change nahin aaya hai, balkeh bhulne ke bajaaye wo to apnay aap ko bhi dosh deta hai eh itna sab kuch uski aankhon ke saamne hogaya lekin wo kuch na karpaya
Dadoo- akhir kab tak aisa chalta rahe ga, apne aap ko usne bus office kay kam mein busy kar liya hai subah saat baje chala jata hai halaanke office 8.30 par khulta hai aur raat ko dier 12 1 baje tak aata hai, aur na hee kisi se baat karta hai
Dida- mujhe to uski bohat fikr ho rahi hai, wo khud apni zindagi barbad kar raha hai
Lalit- papa ab hum kar bhi kya sakte hain
Veena- Papa hum Sujal ko yahan bula lein
CG- aur us se kya hoga
Veena- use thoda change miley ga aur wahan reh ker har cheez pal pal use un sab ki yaad dilate rahe gi
Dadaji- tumhaari baat to sahi hai lekin wo humaari baat kabhie nahin manay ga
Cg- aur hum use kya keh ke bulayenge
Veena- hum use yahan ka business settle karne ko keh dein, jo Shiv ne setup kia tha lekin agar phir bhi wo nahin manay ga to hum kya karein ge
Dadi- jab baat Shiv ki hai to wo zaroor manay ga aur eik aisa insaan hai jo use mana sakta hai
193