Have a friend... its a grace!
Keep a friend... its a virtue!
But be a friend... its an HONOUR!
"yellow..the colour of friendship is yellow..it is the colour which brings brightness into your life..it is the colour which makes you feel pleasant!! "
so here i present to a fan fiction based on friendship and wat happens wen love overcomes friendship..wait wait wait can love overcome friendship..this is wat the fan fic is about.
characters
rajeev khandelwal as Kunal Garewal
eijaz khan as Rahul Nanda
aamna sharif as Sia Sinha
anita hassanandani as pari khanna
A boy running out of his college corridors with 6 girls behind him. girl"you cheat"..girl 2" hw dare u betaray me" girl 4 "how many girlfriends do u have". ther girls blabber and then leave and the boy is left like he did not have any effect..it hardly mattered to him about wat happened..according to him ek chali gayi to dusri aayegi...
boy - sori.. sori. sori.(to us) oh hi mein hoon Kunal..Kunal Garewal..
mere liye zindegi mein sabse zyada ahemiyat rakhte hai mere dost..jo mere jeevan ka sabse rangeen hissa hai..mere manna hai ki yadi koi aapka sabse accha dost hai tabhi voh aapka pyar ban sakta..vaise iska matlab yeh nahi ki meri girlfriends nahi..am open to all girls..akhir 19 saal ki umar zindegi mein phir thori na aayegi..aaj jo hai usme mast ho katr jiyo...kal jo hoga woh dekha jayega..mere sabse ache dost hai rahul..pari aur sia..
girl - KUNNAALL!!!!
kunal - lo..think of the devil and the devil appears.
gril - kya kya kaha tumne...tum..(apni ungli use dikhati hai)
kunal - shant ho jao SIA..
sia - kunal..tumne phir meri dost ke saath flirt kiya..
kunal - ab agar tum college mein sabko apna dost banakar rakhogi to mein kiske saath flirt karunga
sia - kunal!!!
she hits him
kunal - (bearing her hits) yeh hai Sia..ye phir bandaria
sia - kunal!! mein apna introductrion khud de sakti hoon..hi mein hoon Sia..sirf Sia mein apni pehchaan dhundne nikli hoon..mein apne ghar se bhag to aayi..par mein jaanti hoon ke age ka safar itna aasan nahi.. smiles)par jab mere paas itne acche dost hai to phir raastan apne aap hi aasan ho jata hai..
kunal muskurata hai aur uske shoulders pe haath dalta hai
sia - mere liye ab mere dost hi meri zindegi hai..aur pyar?? mein pyar mein vishvas nahi karti..pyar mein sirf dard milta hai..aur kuch nahi..jaise mere papa ne meri mamma ko diya..dhokha..
woh rone wali hoti hai par kunal use sambhalta hai..
sia - aur jahan tak boy friends ki baat hai..i dun mind jab tak baat sirf bahar jane tak ki rahe..
kunal - par..tumhe jhelega kaun?
sia - kunal!!phir koi larki aati hai aur Sia ke aankhon par apna haath rakhti hai
sia - kaun
kunal - aur kaun ...chipkali hai
woh larki use mean luk deti hai
sia khush hoti hai aur woh larki apna haath hatati hai
sia - PARI!!!
pari - sia!! kaisi hai..college ki chuttiyo ke baad ab mulakat ho rahi hai humari
sia - mein thik hu .,.. tu kaisi hai
pari - mein bhi theek hoon
kunal - mujhe laga mein bhi yahi hoon
pari - oh sori..hi kunal...
kunal - oh time milgaya..(pari laughs) hi(to us) yeh hai pari..ya phir chipkali..vaise mein soch raha hoon ek zoo khol du..ek bndariya hai ek chipkali hai
sua aur pari use marte hai
kunal - mujhe koi fark nahi parta .. maar khane ki aadat ho chuki hai
woh haste hai
pari - mein hoon pari..pari khanna..mein 18 saal ki hoon..mere liye zindegi ka matlab hai ki tum har pal mein sau pal ko jiyo..meri zindegi mein sabse pehle mere liye mere dost hai...jab mujhe pata chala ki mein oxford university ke liye select ho gayi aur london aayi apne ghar se door..to ek taraf meine apne aapko khushnaseeb maana aur ek taraf parivaar se door hone ka dukh..tab mere in doston ne mera saath diya....bas ab ek hi khwahish hai..ke zindegi mein main kuch banke dikhau.mere sbse acche dost hai sia,kunal aur..
sum boy - Rahul..
pari peeche murti hai..sia aur kunal bhi
pari - RAHUL!!
rahul - ha mein
sia - tum late ho..
rahul - janta hu meri ma..mein subah jaldi nahi uth sakta..
pari - kyu..raat ko gf ke saath the kya
rahul - puche mat..usne mujhe kisi aur ke sath dekkha aur mujhe thappar marke chali gayi..
kunal - aaj mera bhi larkiyo par luck accha nahi..
rahul -choro yaar..(to us) hi mein hoon Rahul..Rahul Nanda..meri family bhi India mein rehti hai..mein yahan padne ke liye aaya hoon..mein zindegi mein agar kisi ko koi vaada karta hu to kabhi torta nahi..mere liye bhi mere yeh dosthi meri zindegi hai..yahan london mein bahut mazaa aata hai..parivar se door ..koi jhanjhat nahi..aur dosto ke saath.aur pyar??? plz uske baare mein mujhe koi idea nahi...pata nahi kaun si bimari hai..shukr hai hum to usse door hai..par girlfriends rakhne mein mujhe koi aitraaz nahi..par ek problem hai..mein bhi kunal ki tarah 3-4 dino se zyaada ek hi gf nahi chala sakta..
sab haste hai
aue mere sabse ache dost hai pari , kunal aur sia..
char dost..jo duniya se anjaan apni hi duniya mein rehte hai..part kya hoga jab unhe un cheezo ka saamna karna parega jinka matlab bhi woh nahi jaante....
hey guys dis f has taken alot of eforts..the 4 live alone in london and study in oxord university...the family and all is not so imp. so intro is not needed..u will cum to know as it goes on.if u want i cn write it in english too..ploz do comment cpz dis dus take effoprts and i promise u dis will be a ff which u guys will enjoy..plz do comment..atleast more dan 10 comments and i will post the 1st prt tomorrow.Should i continue?