Serendipity.....Sujal&Kashish....Last-Part...11/07 - Page 3

Created

Last reply

Replies

960

Views

291.6k

Users

68

Likes

302

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#21

Part-48

Aaj kashish aur sujal ko wapis aaye huye do hafte ho gaye the.........dono ki zindagi sach mano to kisi jannat se kam nahin thi...........zindagi ke har mod pe khushi hi khushi bhikhri padi hai............Shayad kashish khushi ko samette huye sab kuch bhul gayi thi.............waise hi Angad aur kripa bhi apni alag si duniya me bahot khush the........

it is 8'o clock in the morning...........

(in Sujal and kashish's bedroom)

Kashish taiyaar hoke neeche Kripa aur Prerna ke saath breakfast bana rahi hai..........aur Sujal upper apne kamre me office ke liye taiyaar ho raha hai..........Kashish sujal ko breakfast ke liye upper apne kamre me bulane ke liye aati hai..............kashish aake dekhti hai to sujal do tie ko leke confuss hota hai.........

Kashish sujal ko dekhi hi ja rahi thi.........

sujal kashish ko do tie haath me leke dekhta hai.......

Sujal: aise muskura kyun rahi ho..........

kashish: tumhari haalat pe...........bacho ki tarah confuss ho......lekin bahot hi cute lag rahe ho............

Sujal: ab muskurana bandh karo aur aake meri madad karo...........

Sujal

(putting his hands on her waist): ab jaldi karo na.......muje dair ho rahi hai.....

Kashish (putting tie around his neck): itna bhi nahin kar sakte mere bina.........pata nahin kal kya hoga jab main nahin rahungi........

Sujal : kya matlab tum kaha ja rahi ho.......

Kashish (tieing the knot): jab main hamesha ke liye is duniya se chali jaungi tab kya karonge.......

Sujal (pulls her close); is baahoin se tumhe jane dunga tab na..........

Kashish: mera bas chale to main meri zindagi ki her ek sans tumhari baahoin me guzaru..............is baahoin me muje jo sukun milta hai..........woh aur kahi nahin...........

Sujal: sach me kashish main bhi tumhe itna pyaar karna chahta hoon ki ek din tum mujse tang aa jaogi........

Kashish: aisa kabhi nahin hoga........main her pal tumhare pyaar ko mehsoos karna chahti hoon........kya mera saath isi tarah donge na....

Sujal: agar aise hi muje pyaar karti rahogi to main office kaise jaunga.......

Kashish(hugs him): tum aur tumhari shararat kabhi baj nahin aaoge.........ab chalo neeche mama aur papa hamara intazar kar rahe honge........

Sujal: chalo.........

************************************************************ **********************

(at the dining table)

sab log breakfast kar rahe hai.........

Prerna: Kashish.........kya tumhari Anjali se koi baat huyi..........

Kashish: nahin mama.............do din pehle baat huyi thi lekin kya koi kaam tha........

Prerna: nahin to bas aise hi..........uski tabiyat to thik hai na.........

Kripa: mama aap fikar mat karo meri kal subaah baat huyi thi..............doctor ke yahaa se hi aayi thi..........sab kuch normal hai............

Prerna; bhagwan ka shukar hai ki ab sab kuch thik ho jaye uski delivary tak.........

Anurag; Waise main aap logo ko kehna bhul gaya............aaj sham ko hum sab ko Mr. kapoor ke yahaan ek party me jana hai...........to aap log thik saat baje taiyaar rehna..........

Sujal: kaun Mr. Kapoor,,,,,,,,,,

Anurag: hai mere ek dost...........

Angad: aaj se pehle kabhi nahin suna.........

Anurag: woh is liye kyunki aaj se pehle woh log banglore me rehte the.........pichle hafte hi yahaan shift huye hai............

prerna; aap log kab tak aa jayenge........

Anurag: hum log 6 baje se pehle aa jayenge phir saath me hi chalege.......

Kashish: papa yeh party kis khushi me hai........

Anurag: woh apne naye ghar aur naye office ke liye hai..........

Kripa: thik hai papa hum log taiyaar rahenge.........

Anurag: thik hai to hum log chalte hai.............bye....

sujal: bye..........

Angad: bye...........girlfriends.........

Kashish, prerna aur kripa: Angaddddddddddd...........................

************************************************************ **********************

It is 6:30 in the evening........Prerna, kashish aur kripa teeno Anurag, sujal aur angad ka intzaar kar rahi thi......

kripa: mama...........sade che baj gaye aur yeh log abhi tak nahin aaye.........

Kashish: maine cell phone pe bhi try kiya aur office me bhi lekin koi phone utha hi nahin raha................pata nahin kaha hoge yeh log......

Prerna

(worried): kuch nahin sab kuch thik hi hoga..........tum pareshan mat ho........

Kripa: mama........aap hume pareshan hone ko nahin kehti lekin khud kitna pareshan ho rahi hai.............aap ple beth jaiye.........

Jab teeno andar aate hai.........

Prerna; kaha reh gaye the aap log........kab se hum aap logo ko contact karne ki koshish kar rahe hai.......lekin aap logo ko koi fikar hi nahin........

Kripa: kam se kam ek phone hi kar dete ki aaj aap log late aanewale hai.........

Kashish: jane do na is baar.........main jimedari leti hhon ki aainda yeh log aisi galti nahin karegi...........

(looking at guys) ..........sahi kaha na........

Angad: ya mom.........ple........

Sujal: sorry mom..........is baar jane do na........

Anurag: kya.......prerna.........ab bache hai..........jane bhi do aur chalo chalna nahin hai kya.........

Prerna: is baar aap sab log kashish ki waje se bach gaye......lekin aaida nahin..........ab jao aur jake taiyaar ho jao...............

************************************************************ **********************

After some time they reached the party.............the party is looking like page 3 party..........anurag went on the stage and

Anurag: Ledies and gentleman..........may i have your attention ple...........Kashish, kripa ple come to the stage .........

Kashish aur kripa dono stage pe jate hai.......

Anurag

(giving them keys): yeh chabiyaan tumhare KnK fashion boutique and magazine ki ...................

Kashish and kripa are surprized to hear this great news.......

kashish: papa yeh sab.......

Anurag; yeh meri taraf se meri betiyon ke liye ek chota sa tofa..........pasand aaya mera tohfa.....

Kripa: pasand............yeh to hamesha se hum chahte the ki hamari ek own fashion line ho hamari fashion magazine ho...............thank you papa............

Anurag: betiyaan apne pita se thanks nahin balke gale lagti hai........

kashish aur kripa dono anurag ke gale lagti hai........

************************************************************ **********************

After some time........

Kashish aur sujal dono khade hokar baat kar rahe the.....

Sujal: to ab Mrs. Kashish Sujal Garewal bhi apna khud ka business karegi...........good........lekin shayad ab meri value ghar me kam ho jayegi ab........

Kashish; kyun.......

Sujal: ab se pehle smart businessman me hi tha ghar me ab tum jo aa gayi ho.......

Kashish: sab kuch tum se hi to shikha hai........

Sujal: sab kuch to nahin........

Kashish: kya matlab........

Sujal: abhi bhi tumhe sujal garewal ke romance karne ka tarekaa jo shikhna hai........

Kashish: tumne shikh liya yahi kafi hai............main chalti hoon....

Sujal: ruko to kaha ja rahi ho.......

Kashish: kripa ke pass..........

************************************************************ **********************

Angad: to Mrs. kashish garewal furshad mil gayi aap ko apne pati dev se........

Kashish: aisi bat nayi hai.......

Angad: woh to main janta hoon ki kya baat hai...

Kashish; kripa..........tumhare pati se jitna namumkin hai..........

Kripa: janti hoon........angad ko mere alawa aur koi zel bhi nahin sakta........

Sujal: yeh baat hai to thik hai le jata hoon main mere dost ko........

Kashish; hamara yeh matlab nahin tha...........

Sujal: janta hoon..........ab to aap log hamare sir pe chad jayegi........

Angad: just like page 3 celebrities........

Kripa: woh to hum hai hi.....

Kashish: nahin hum log kitne bhi success ho lekin hum hamesha hamari pehchan apne pati ke naam se pasand karegi.........

Angad: that is so sweet...........shikho kuch apni jethani se........

Tringg...........tringg...........

Angad: hello..........

Angad

(worried): thik hai main aata hoon........

Sujal: angad sab kuch thik to hai......

Angad

(tears in his eyes): Sujal...........mumbai se vasuji ka phone tha............Dad is no more...........muje abhi nikalna hoga.......

Sujal: ruko hum sab log chalte hai.......

Angad: thik hai.........main Kripa aur kashish ko leke ghar jata hoon...........tum Mama aur papa ko leke ghar pahoncho..........

Sujal: thik hai........

************************************************************ **********************

After some time everyone reaches at Mumbai at Khanna house where Vasu and her daughter archi is waiting for them.........the rituals take place.........evertything was done...............angad was sitting in his dad's room.........try to remember his relation with his dad...........when vasu and archi came..........

Vasu; To wapas kab ja rahe ho hamari zindagi se........

Angad; abhi dad ko gaye huye ek din bhi nahin hua ki aap........

Vasu: achchi tarah se main samajti hoon tumhe.........jab tumhara baap zinda tha to kabhi nahin aaye lekin uske jane ke baad inki jayedat ke liye.........lekin mera naam bhi vasu hai.......main yeh kabhi hone nahin dungi.........Tum is ghar ke bete kabhi the hi nahin.

Angad; just shut up..........main yahaan aapko lagta hai paiso ke liye aaya hoon........muje kya zaroorat hai aap ke paiso ki..........main yahaan sirf apne dad ki aakhri ichcha puri karne aaya hoon.........

Angad ki chilane ki aawaz sunke sab log kamre me duadke aate hai.......

prerna: kya hua sab kuch thik to hai.........

vasu: sab kuch thik nahin hai tabhi to......

Sujal: kya matlab ......

vasu; main achchi tarah se janti hoon aap sab ko........sab jaidaat ke liye.......

Prerna: enough is enough..........tumhe kya lagta hai hum yahaan sab paiso ke liye aaye hai............kya kami hai hume...........hum sab yahaan insaniyat ke nate aaye hai,.........aur kya kaha tumne angad ko woh is ghar ka beta nahin.....to thik hai.........aaj se Angad........angad Khanna nahin balke.............Angad Garewal ki naam se jana jayega............jis tarah Devaki ka beta krishna yashoda ke naam se jana jata hai waise hi aaj se angad mere bete ki naam se jana jayega..........

Vasu: agar aisa hi hai to le jao apne bete ko apne saath.........

Prerna: Sujal, Angad.......delhi wapas jane ki taiyaariyaan karo........

Sujal: jee mom.........

************************************************************ **********************

After some time everyone went to the Nanda house..........

Anjali: aap log is tarah sab log......

Prerna tells her everything........

AnjalI: oh.........I am so sorry angad............i dont know what to say.......

Angad: it is ok.............main thik hoon.......

Kashish: tumhari tabiyat ab kaisi hai..........

Anjali: just parfact.............thodi si morning sickness hai lekin main thik hoon aur kavya bhi to hai........

Prerna: agar kuch kaam ho to batana.......

Anjali; kehne ki zaroorat hai......

Kripa: mama...........sujal ne abhi bataya ..........kal subaah ki hamari flights hai..........

Anjali: thik hai.........pehle hum sab saath me dinner karte hai phir baad me aap aaram kar lena......

Kashish: aur kavya nahin aaya......

Anjali: nahin woh aaj uski ek client ke saath meeting hai......is liye dair ho jayegi......

Kripa: main khana lagati hoon........

After the dinner everyone went to their room without saying anything.........

************************************************************ **********************

(in sujal-kashish's bedroom)

Kashish: sujal.........aisa kyun hota hai jaisa humne kabhi socha bhi nahin..........pata nahin is waqt angad ko kaisa mehsoos hota hoga.......

Sujal; main janta hoon ki is waqt anagd ko kiski zaroorat hai.......

Kashish: kiski........

Sujal: main abhi aata hoon..........

kashish: kaha ja rahe ho.........lekin it was too late.......

(in kripa-angad room)

Knockkkkkkkk.............knockkkkkkkk..........

Kripa

(opens the door): sujal tum itni raat ko......

Sujal; kripa angad hai....

Kripa: hai lekin kab se main baat karne ki koshish kerti hoon lekin kuch kehta hi nahin.........

Sujal: kaha hai woh...........main use baat karta hoon.........

kripa: woh waha bahar balcony me khada hai..........

************************************************************ **********************

(in the balcony)

Angad was standing there facing the sky when sujal put his hand on angad's shoulder.........

Sujal: apne gumm ko akele hi chupana chahte ho.......

Angad: aisa nahin........main to bas kuch waqt akele hi rehna chahta hoon.........

Sujal:lekin main tumhe is haal me nahin dekh sakta.........janta hoon ki tumhare dad ne kabhi tumko apne pass nahin rakha lekin woh tumse bahot pyaar karte the..........

Angad: yeh sab kehne ki baatein hai....

Sujal: maa- baap jitna bhi koshish kare lekin woh apne bete se pyaar karna to nahin chodte......

Angad

(breaks down): agar sujal aisa hi hai to......kyun maa ke gujrne ke do mahine baad hi dad us vasuji ko ghar laye............jab main teen saal ka tha jab mom muje apne saath tumhare ghar le gayi to kyun nahin rokha muje...........kyun aaj tak kabhi bhi ek phone tak nahin kiya............pata hai sujal.....main her apne janamdin per unke phone ka intazaar karta lekin kabhi koi phone nahin aata........sujal maa-baap ka pyaar kya hota hai woh maine anuragdad aur prernamom se shikha..............agar aaj unka pyaar mere saath na hota to main shayad zinda na hota............

Sujal: tumne kaise soch liya ki tum paraye ho..........tum to mere chote bhai ki tarah ho..........aaj me keh sakta hoon ki agar main nahin raha to tum is pariaar ko sambhal sakte ho.............angad main hamesha tumhara dost hoon.........ek bhai hoon.............ek aisa saksh jo zindagi ki aakhri safar me tumhare saath rahunga...........

Angad sujal ke gale lagke bahot rota hai aur sujal iuse sambhalme ki koshish karta hai............aakhir me sujal angad ko uske kamre me lejake kripa ko uski dekhrekh karne ko kehta hai.............

************************************************************ **********************

It is morning now..........

Sab log breakfast karne ke liye dining room me aate hai jahaan prerna aur anjali breakfast bana rahe the.............

Kavya

(goes to angad): I am so sorry to hear about your dad............Woh kal raat meri ek client ke saath meeting thi is liye dair ho gayi jab main aaya to aap log so gaye the.............lekin tum bilkul bhi akela mat samjana hum sab log tumhare saath hai.......

Prerna(

puts her hand on his shoulder): aaj se sujal se pehle main tumhari maa hoon............kabhi bhi apne aap ko is parivaar se dur mat karna........mere parivar ka her ek sadshay ek moti ki tarah hai aur maine in sab moti ko pyaar ke dhaage se bandha hai............main nahin janti ki maine kis tarah se mera yeh parivaar banaya hai lekin main yeh pyaar ki dor kabhi nahin tutne dungi.................isi tarah aap sab ka bhi ferz hai is parivaar ki aur..........yeh parivaar hamara apna hai.........aur is parivaar ko hume apne pyaar se shichna hai............

Angad: aap logo ka pyaar aur vishwas hi to hai jiske sahare me jita hoon...........

Anurag: yehi to hamare parivaar ki khasiyat hai.......

Anjali: agar aap sab ki baatein ho gayi ho to.......mere bete ko bahot bhukh lagi hai.........can we have breakfast.........

Angad: jooth kyun bol rahi ho........aisa kyun nahin kehti ki tumhe bhukh lagi hai........

Sujal; it is good to have our own angad back.........

Angad: always for you............

tringg..........tringg..........

Anurag: hello.........mr. sharma..........maine jis tarah aap ko kaha tha waise kaam ho gaya hai na,,,,,,,,,

Mr. sharma: haa sir...........aap ke lautte hi main apke ghar aajunga.,...

Anurag: thik hai..........hum log dopahar ke ek baje tak pahunch jayenge........

after some time bidding goodbye to everyone they left for delhi..........

************************************************************ **********************

It is 1'o clock now..........

Mr. Sharma just entered the Garewal Mansion........

Anurag: ho gaya jaisa maine kaha tha.......

Mr. sharma: jee..........bus inpe Angad sir aur Sujal sir ke signutures chahiye.......

Sujal: hamare signutures kyun.........

Anurag: maine apni power of attorney tum dono ke naam kardi hai..........aaj se garewal compines ke tum dono barabar ke hissedar ho..........50%each..........Aur angad yeh rahe tumhare papers .........jispe likha hai ki aaj ke baad tum anurag aur prerna garewal ke bete ke naam se jane jaoge..........agar tumhe koi aitraaz na ho..........

Angad: aitraaz muje kya ho sakta hai lekin is per sujal ka jyada hakk banta hai..........

Sujal: Angad...........maine tumhe apna bhai kehne ke liye nahin banaya tha..........mere bhi koi jimedari hai apne chote bhai ki tarah.......mujse jyada khushi kise hogi ki mera bhai khush ho........mera parivar khush ho...........

Angad: main garewal banne ke papers pe sign karne ko taiyaar hoon lekin main yeh 50 % ka hissa nahin le sakta..........

Prerna: agar tum hamare bete hote to kya tum mana karte..........aur tum to hamesha apne prerna mom ki baat mante ho to aaj kyun nahin.........

Angad: lekin phir bhi.......

Sujal: lekin sare parivar ki khushi isme hi hai angad.........ple sign kardo.........

Dono sign karte hai.........

Sujal

(goes to kashish): Kashish maine yeh sab faisle bina tumhe pooche kar liye...........tumhe koi aitraaz to nahin.........

Kashish: sujal..........i feel proud ki tum mere pati ho.........aaj main bahot khush hoon jo tumne angad ke liye kiya hai............aaj tumhare jagah koi aur hota to woh bhi kabhi yeh nahin karta..............aaj main bahot khush hoon ki tum mere ho..........mere apne sujal..............i love you sujal.......

Sujal hugs her and everything went back to normal.............

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#22

Part-50

It is preety good morning for Kashish after having a beautiful day and night with her love.....her husband Sujal.....Kashish and Kripa are gossiping like girl's talks......while entering in their office.....

Kripa: Kya baat hai.....kashish subaah se jab tum ghar aayi ho bahot khush dikhai de rahi ho....

Kashish

(shys): tum bhi na kripa.....

Kripa: Main bhi kya Kashish

Kashish (Opens the door and enters): Kuch nahin..........

Kashish sees the flowers with a sweet card and gets really happy...............kashish thought that may be sujal sent them.............kashish picked up a card to read but after reading the card has been dropped by kashish in terror...........

Kripa: kya hua.............kisne bheja hai..........bata kuch.....

Kashish (dari huyi si): Kripa..........wohi hai jo hamesha muje phone pe dhamki deta rehta hai.......

Kripa: kaun......

Kashish: Wohi jo hamesha muje sujal se durr hone ki baatein karta hai.........

kripa: Kya bol rahi hai meri kuch samaj me nahin aa raha.......

Kashish (picked up the card and gives to kripa): ise padho....

Kripa (reads): "Janamdin bahot bahot mubarak ho. Bahot khush to hogi. jo apne sujal ke saath apna pehla janamdin jo manaya hai. Lekin kya pata agle saal yeh din aaye ya na aaye Sujal ke liye. Apna aur khas karke apne Sujal ka khayal rakhna.........yours forever....."

Kashish: Pata nahin kaun hai........jo mujse meri khushiyan chinna chahta hai......

Kripa: Kashish tumne muje pehle kyun nahin kaha........

Kashish: Kripa.......pehle main bahot darr gayi thi......lekin pichli baar mere honemoon pe usne jab phone kiya to maine sujal ko bataya tha.....lekin shuyad office aur ghar ki jimedarioyon main sujal is baat ko bhul gaya hai.......aur main use yeh baat batake uski khushiyaan nahin chinna chahti.....lekin main kya karoon........

Kripa: tum bilkul thik keh rahi ho........kitne din bad phir se ghar me khushiyaan aayi hai.........ab se hum dono milke is paheli ko suljayenge.........Yeh card tu muje de aur main isse kuch pata lagvati hoon.....ki yeh kaha se aaya.........

Kashish: Thanks......kripa

Kripa: Isme thanks kehne ki koi zaroorat nahin..........tum sirf apne aanewali zindagi ko sujal ke saath gujaro......muje ache se aata hai aise logo ko sambhalna........

************************************************************ *********************

It is night time and everyone at the dining table........Kripa and Kashish look so worried and everyone notice that......

Prerna: Kashish.........Kripa.........kya baat hai tum dono khana kyun thik se nahin kha rahi........

Angad: Tum dono ki tabiyat to thik hai..........

Kripa: ha hum bilkul thik hai............

Anurag: Business me koi muskeli hai..........

Kashish: nahin to ........

(looks at kripa)

Kripa: Woh hum Anjali ko leke pareshan hai..........woh ab aakhri mahine chal rahe hai to..........

Sujal: Agar aisi hi baat hai to kyun na aap log kal Mom ke saath chalke Anjali ko dekh aao......Anjali ko bhi achcha lagega aur aapko bhi.......

Anurag: Sujal bilkul thik keh raha hai......

Prerna: thik hai main jane ki taiyariyaan karti hoon......

Angad: main aap logo ki kal subaah ki tickets karva deta hoon......

Aakhir main sab log dinner karke apne apne kamre me chale gaye...........

************************************************************ *********************

(In Anurag and Prerna's room)

Anurag: Prerna.......muje lagta hai ki ab humee gharwalo se sachchai chupani nahin chahiye...

Prerna; Kaun si sachchi

Anurag: Prerna: yeh tum achchi tarah se janti ho.........main kiski baat kar raha hoon.......

Prerna: to maine aap ko pehle hi bataya tha ki yeh sachchai humne itne saalon tak chupaya to hum apni baki ki zindagi bhi to chupa sakte hai.........

Anurag: Bahar wale se pata chale isse achcha hai ki hum hi apne bacho ko bata de......

Prerna: mere jite ji yeh kabhi nahin hoga.....

Anurag: tum kyun nahin samajti.....

Prerna: Aap meri baat ko samaj nahin rahe.......

Anurag: Prerna...........bad main bahot pastana hoga....

Prerna: Main kuch nahin janti main sirf apne bacho ki khushiyaan dekhna chahti hoon......

Anurag gusse me study room chala jata hai..........aur prerna apne kamre me rone lagti hai.......

************************************************************ *********************

Kashish is going to the kitchen to get some water when she heard some noise in study room..........when she looked into study room, anurag is having chest pain.........kashish goes to him and hold his hand and scream for....

Kashish: Sujal..............mama...................Angad...........kr ipa...........jaldi aao.............

Sab log daute huye study room me aate hai.

Sujal: Kashish.....yeh papa ko kya hua.......

Kashsih: Jab main yaha aayi papa ko dil me dard ho raha tha......

Prerna: pehle inhe hospital to le chalo......

Angad: chalo sujal.......

Sujal and angad take him to the hospital room...........doctor is treating Anurag........kashish and kripa are concoleing prerna.......sujal and angad are walking back and forth in tension...........

Doctor: aap main se Sujal kaun hai.........

Sujal: Jee main........kya baat hai Dad thik to hai........

Doctor: Jee main aapko joothi asha nahin dena chahta........unke pass waqt bahot kam hai aur woh aap se kuch baat karna chahte hai........

Sab log andar jate hai.........sujal anurag ke pass bethta hai.........anurag use kuch kehne ki koshish karta hai lekin kuch kahe usse pehle uski saansein chali jati hai...Sujal anurag ka haath pakad ke rone lagta hai............prerna kuch bol hi nahin rahi hai..........angad use gale lagkar use rulane ki koshish karta hai.............kripa aur kashish ek dusre ko sambhalne ki koshish karte hai..........sab log kafi rone ke bad angad sari formalities puri karta hai aur woh log Anurag ke dead body ko leke ghar aate hai..........

************************************************************ *********************

(in the morning)

Sab log aa gaye the..........panditjee rasam ki taiyaariyaan kar rahe the..........kashish aur kripa prerna ko sambhal rahi thi..........

Panditjee: Unke jeevan ki shanti ke liye is ghar ka beta aake unke charno me yeh phool arpit karde,......

Sujal: Angad..........aao Dad ko......

Angad: nahin sujal yeh tumhara hakk hai.......

Sujal: jab Dad ne mujme aur tumme koi fark nahin kiya to aaj main kaise akele unhe moksh de sakta hoon..........chalo

Sujal aur angad milke Anurag ko phool chadhate hai.........Aur phir sab log anurag ko agni sanskar ke liye le jate hai.........sab thik se ho jata hai.........

************************************************************ *********************

Kashish apne kamre me kavya ko phone karti hai.........

Kashish

(cries): Hello.......kavya.......main kashish.....

Kavya: Kashish tum ro kyun rahi ho......

Kashish: woh papa hume chod ke chale gaye....

Kavya

(shocked): kya..........kab hua yeh sab......

Kashish: kal raat ko unhe heart attack aaya aur woh..........

Kavya: thik hai main abhi aata hoon........

Kashish: nahin is waqt anjali ko chod ke aana thik nahin .............anjali ko dheere se rehke yeh baat batana..........thik hai ab main rakhti hoon...........

************************************************************ *********************

Kashish turns over and sees sujal is back.........

Kashish: woh main kavya ko bata rahi thi..........waise woh aane ki zid kar raha tha lekin waha pe anjali ki tabiyat bhi to thik nahin.........is liye maine mana kiya..........maine thik kiya na......

Sujal: hmm............

Kashish (

comes and puts her hand on his shoulder): Akela mehsoos ho raha hai..........janti hoon.........kyunki kabhi main bhi is daur se gujari thi lekin ab hume milke mama ko sambhalna hai..........agar tum is tarah se tut jaoge to mama ko kaun sambhalega................aur angad woh to bilkul tut gaya hai..........

Sujal ( cries): Kashish maine kabhi socha bhi nahin tha ki Dad is tarah hume chodke........woh mujse kuch kehna chahte the lekin..........pata nahin kashish ab is ghar ka kya hoga.........is parivar ka kya hoga......mama ka kya hoga.......

Kashish (holds his face and wipes his tears): hum milke sambhalenge..........hum phir se ek nayi shuruaat karenge...........hume papa ki kami to hamesha mehsoos hogi lekin hume yeh dekhna hai ki papa ki aatma ko kis tarah se shanti mil sakti hai........kya tum is tarah tut jaoge to kya papa ko dard nahin hoga...............ab humpe aur jimedariyaan bad gayi hai............tumhe khudko is halat se ladne ke liye taiyaar karna hoga.......aur main tumhare saath hoon.............

Sujal kashish ke gale lagkar rone lagta hai aur kashish use sambhalti hai..........

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#23

Part-52

Sujal apne kamre me aata hai jab Kashish khidaki ke pass khadi hoti hai.........

Sujal: Kashish ....tum abhi tak soyi nahin.....

Kashish

(turns around): Sujal......tum kab se tumhara intazar kar rahi thi........kaha the tum.....

Sujal (in anger tone): Kashish.....main koi bacha nahin hoon jo kahi kho jaunga.......

Kashish : naraz kyun hote ho........main to sirf pooch rahi thi......

Sujal: Kashish.........main aaj phir se shuru karna nahin chahta.....

Kashish: Kya abhi bhi kal ke baat ke liye naraz ho...........sujal kya hum us baat ko bhul nahin sakte ......ple......tum ruko main tumhare liye khana lati hoon......

Sujal: Kashish.......main bahot thak gaya hoon main sone ja raha hoon.....(Sujal goes to the bathroom to change)

Kashish: Sujal..........kam se kam khana to kha lo......

Per sujal bina kuch kahe so jata hai aur kashish bhi aake so jati hai...........Kashish ki aankhon se aanshu beh rahe hote hai......

Sujal

(to himself): Kashish......ple muje maff kar dena........yeh aanshu bhi mere baje se hi beh rahe hai..........yeh jante huye ki main yeh nahin dekh sakta......lekin main majboor hoon......ho sake to apne sujal ko samajna......

************************************************************ **********************

(in the morning)

Kashish: Sujal......muje tumse kuch baatein karni hai....

Sujal: Jo kehna hai jaldi kaho......

Kashish: Sujal.......mujse aisi kaun si galti ho gayi jiski waje se tum mujse is tarah baat kar rahe ho.........

Sujal: Sawal khud hi kar rahi ho jab jawab khud tumhare pass hai.......

Kashish: kaun sa sawal kaun sa jawab.......meri kuch samaj me nahin aa raha.......

Sujal: jab kuch samaj me na aaye to kuch bolna hi nahin chahiye..........chalta hoon muje dair ho rahi hai.........

Kashish: suno to..........

************************************************************ **********************

(In kashish's office)

Kashish bahot pareshan hoke bethi thi jab uske cell pe kisi ka phone aata hai........

Kashish: Hello......

Tushar: Kaisi ho kashish..........hamare tohfe ka koi jawab nahin diya.......

Kashish: Kya chahte ho tum..........kyun chod nahin dete muje..........main pehle hi bahot pareshan hoon...........Muje akela chod do.......

Tushar: isi tadap me to main tumhe dekhna chahta tha..........ki jab koi apna hume taklif deta hai to kaisa lagta hai........

Kashish: Jab hamare apne taklif dete hai to malam bhi woh khud lagate hai aur muje mere pyaar pe pura yakeen hai ki woh mujse naraz hai lekin hamesha mere saath hai........

Tushar: dekhte hai ki kab tak tumhara pyaar rehta hai.......

Kashish: chup..........ek dum chup.........apni bakwas bandh karo............

Tushar; Ha ha ha ha ha.........

************************************************************ **********************

Angad walks in the Kashish's office..

Kashish: are Angad........tum.........

Angad: Tumse kuch baat karni thi...

Kashish: kaho....aisi kaun si baat jise kehne tum yaha aaye....

Angad: kashish........yeh sab kya ho raha hai...........na tum hasti ho na sujal khush rehta hai........aisi kya baat hai jiski waje se tumdono ke ristey me fasley badh rahe hai.........

Kashish: Yeh sach hai ki hum dono me fasley ho gaye hai lekin iska jawaab mere pass bhi nahin kyunki yeh fasley maine nahin sujal ne khud apne kiye hai.........

Angad: aur tumne pucha bhi nahin........

Kashish: Angad.......agar tum muje samaj sake hote to yeh nahi poochte.......kyunki tum achchi tarah se jante ho ki main sujal ko kiss hadd tak chahti hoon......

Angad: I am sory kashish agar tumhe bura laga ho to..........mera kehne ka yeh matlab nahin tha.............main to bas tum dono ko khush dekhna chahta hoon........

Kashish: Main bhi to yahi chahti hoon ki sujal khush rahe kyunki meri khushi........mama ki khushi........tum sab ki khushi usme hai.......lekin koi aisi baat hai jo woh mujse bhi nahin karna chahta aur muje maloom hai ki woh andar hi andar apne aap ko saza de raha hai..........lekin woh kyun muje nahin batata........woh kyun mujse apne dukh batta.........pata nahin sujal muje kis galti ki saza de raha hai.......Woh mujse nahin kahega shayad tumhe kahe.........

Angad: thik hai main baat karunga sujal se.......

Kashish: agar tum sujal ke pass ja rahe ho to use bata dena ki aaj meri sham ko ek client ke saath meeting hai is liye dair ho jayegi......maine kitni bar uska cell try kiya lekin woh nahin le raha..........Sujal se keh dena main akeli nahin hoon........kripa mere saath hai...........is liye meri chinta na kare......aur khana bhi kha le kyunki hum log clients ke saath dinner karke aayenge..........aur

Angad: Bus bus bus.........aur kitna bologi........bata dunga sujal ko.......ab main chalta hoon ise se pehle tum aur bolna shuru karo........

Kashish: achcha baba ab nahin bolungi..........yeh batao ab kya longe..........coffee.....

Angad: woh aaj nahin.........kisi aur din.......filhal main chalta hoon...........bye.........

Kashish: bye.........sham ko milenge........

************************************************************ **********************

Sujal and Angad walk in the Garewal house and Prerna was sitting in the hall.

Prerna: aa gaye tum log..........betho main tum dono ke liye coffee lati hoon.....

Sujal: Kyun abhi tak Kashish nahin aayi........

Angad: woh main tumhe batana hi bhul gaya........Woh Kashish aur Kripa ki aaj sham ki meeting hai aur woh log client ke saath dinner kar ke aayegi........Kashish ne kaha ki tum dinner kar lena woh tab tak aa jayegi.......

Sujal: yeh usne muje kyun nahin kaha........

Angad: bhagwan ne tumhe cell phone diya hi kyun hai jab uthana nahin hota...........

Prerna: yeh main kya sun rahi hoon.........tumme aur kashish me kuch baat huyi hai......

Sujal: nahin Mama aisa kuch nahin hai............

Prerna: hona bhi nahin chahiye..........bahot hi kam log hote hai jise kashish jaisa jeevansathi mile............

Sujal

(to himself): sach kaha aapne bahot hi kam hote hai aur main unme se ek hoon lekin yeh zindagi hi kam pad gayi...........

Angad: kis khayal me khoye huye ho........

Sujal: kuch nahin.......

Prerna: tum logo fresh hoke aa jao........main khana lagati hoon..............

Thodi dair bad sab log khana kha lete hai...........prerna apne kamre me chali jati hai...........Angad study room me chala jata hai.............Sujal bahar garden me betha hota hai..........

************************************************************ **********************

Kareeban ek ghante baad Kashish aur kripa ghar aate hai...........Kashish car me se sujal ko dekhti hai.........Sujal ke chehre se lagta hai ki woh kashish se kuch naraz hai.......

Kashish: Kripa...........tum andar jao..........main abhi aati hoon.........

Kripa:Kashish........tum.....

Kashish: Maine kaha na tum andar jao.........

Kripa goes inside and kashish goes near to sujal........

Kashish: Sujal.......andar chalo bahar thand hai.......

Sujal: tumhari sham khatam ho gayi.....

Kashish: Pehle andar chalo........thand lag gayi to bimar pad jaoge......

Sujal: kaha thi ab tak.......

Kashish: maine tumhe kitni bar phone kiye lekin tum phone hi nahin utha rahe the...........is liye maine Angad se kaha tha ki meri ek meeting hai........

Sujal: lekin tum meeting subah main to rakh sakti thi......

Kashish: yahi sawaal main tumhe pichle ek mahine ke liye bhi kar sakti hoon........

Sujal: meri baat aur hai....

Kashish: Kyunki tum mard ho aur main aurat........kya itna hi vishwas hai........

Sujal: Muje tumpe yakeen hai lekin duniya pe nahin..........main nahin chahta ki koi aake muje kahe ki meri patni dair raat tak clients ke saath dinner karti hai......

Kashish: tum kab se duniya walo ki baation pe yakeen karne lage......

Sujal: kyunki hume isi duniya me rehna hai...........tum aaj mano ya kal lekin hume is niyam se chalna padega......

Kashish: Muje koi fark nahin padta ki koi kya kahe kyunki meri duniya tumse shuru hoke tumhi pe khatam hoti hai...........tum kya sochte ho.....tum kya chahte ho.........wohi to mera kaam hai.......

Sujal: Agar mera itna hi kehna manti ho to kal se office mat jana.........aur agar tumhe office hi jana ho to mere saath chalogi.....

Kashish: tumhare liye main yeh karne ko bhi taiyaar hoon .........lekin main yeh nahin janti ki tum aisa kyun keh rahe ho kyunki tum hi ho jisne mujse kaha tha ki muje mera kaam jari rakhna chahiye shaadi ke baad......

Sujal: tab muje yeh sab maloom nahin tha.......

Kashish: Kal tum kahoge ki tumhe kuch aur maloom nahin to kya tum muje chod donge......

Sujal: Kashish.........tum apni had par kar rahe ho........

Kashish: had main nahin tum par kar chuke ho.......

Kashish rote rote andar chali jati hai aur sujal bhi uske piche chala jata hai.....

Sujal apna takiya leke sofe pe chala jata hai..........Sujal apni aankhen bandh karke soya hua hota hai..........

jab kashish fresh hoke kamre me aati hai............pehle to woh ek dum chok gayi sujal ko is tarah sofe pe sote huye........

Kashish sujal ke pass jati hai aur uske sir se pyar se hath pherti hai........

Kashish

(to herself): Kyun sujal.......kyun jan bujke yeh duriyaan bana rahe ho............yeh tum bhi jante ho aur main bhi ki hum ek dusre se durr nahin reh sakte.......sujal tumhe muje woh waja batani hi hogi jiske liye tum mujse yeh duriyaan bana rahe ho..........main apne pyaar ko durr hote huye nahin dekh sakti

Sujal opens his eyes....

Sujal: Kashish tumhe kuch chahiye......

Kashish: jo muje chahiye woh to kab ka kho gaya.......

Sujal: main kuch samja nahin

Kashsih: tum samjoge bhi nahin......good night..........kashish turns to the bed before she cries infront of sujal.....

Sujal (close his eyes and to himself): janta hoon ki tum meri pyaar ki hakdar ho lekin mere liye yeh zindagi hi kam pad gayi.......lekin jate jate tumhara pyaar apne saath leke ja raha hoon........main bhagwaan se dua karunga ki muje her janam me tum jaisa pyaar karnewala saathi mile............

************************************************************ **********************

It is pretty good morning..........Kashish sir dard ka bahana karke office nahin jati kyunki sujal ne use mana kiya tha......kashish apne kamre ki safai kar rahi thi jab use ek file milti hai........Kashish file khol ke dekhti hai to yeh wahi file hai jiski aaj sham ki meeting hai......

Kashish

(to herself): Are......yeh to wahi file hai jiske aaj sham ko sujal ki meeting hai.......main abhi jake use de aati hoon....(kashish started to walk but sudenly stops)......nahin sujal khamkha naraz aur ho jayega.......lekin nahin di to aur naraz ho jayega.....

Kashish sujal ke office jati hai........

Knock........ knock.....

Sujal: come in....

Kashish steps in.....

Sujal (surprized): Kashish tum........

Kashish : apni office to nahin ja sakti lekin kya ab main yaha pe bhi nahin aa sakti.....

Sujal: yeh tumhara bhi to office hai......

Kashish: main yeh sirf file dene ko aayi hoon.............'

Sujal: ruko kuch dair bad jana......

Kashish: jab tak tum muje nahin batate ki aisi kya baat hai jis ke liye tum mujse is tarah pesh aa rahe ho......

Kashish chalne lagti hai lekin jaise achanak se ruk jati hai jaise sujal ne uska dupatta pakad rakha ho......

Kashish (turned around without noticing): Sujal kya kar rahe ho......

Kashish aur sujal dono dupatte ki aur dekhte hai jo table ke khone me fasa hua hota hai...........sujal aage aake dheere se nikalne ki koshish karta hai jab kashish use rokti hai aur jabardasti apna dupatta nikal ke waha se chali jati hai..........aur sujal ki aankh se aanshu girte hai.......

************************************************************ **********************

Sham ka waqt hota hai...........sab log khana kha chuke hote hai...........sujal aaj bhi kal ki tarah bahar garden me chala jata hai aur kripa aur kashish kitchen ki safai kar rahe hote hai........jab kashish achanak se rone lagti hai..........kripa daud ke uske pass aati hai........

Kripa: kya hua kashish.........kuch to batao........

Kashish: sab kuch mere haath se ja raha hai..........

Kripa: saaf saaf kaho kya muskeli hai.......

Kashish: kripa.........mera yeh ashiyana tut raha hai..........aur main kuch nahin kar rahi.........sujal abhi bhi mujse naraz hai.......pata nahin kab samjega woh..........

Kripa: kya tumne use baat karne ki koshish ki........

Kashish: bahot bar........

Kripa: kya tumne ek dost banke janne ki

Kashish: tum thik keh rahi ho.......bahot bar pooch liya ek patni banke aaj main abhi isi waqt ek dost banke apne sare sawalon ka jawab lekar i rahungi........

************************************************************ **********************

Kashish goes out where sujal was standing.........Kashish puts her hand on sujal's sholuder...........

sajal turns around and has tears in his eyes......

Kashish gets tears in her eyes too.....

Kashish: Sujal......jab humne apni nayi zindagi hamari shaadi ke din shuru ki thi.......tab tumne mujse kaha tha ki hum pati patni bad main pehle hum dost hai........aaj ek dost ke nate pooch rahi hoon ki kya baat hai jo tumhe pareshan kar rahi hai......

Sujal: aisi koi baat nahin hai.........raat kafi ho gayi hai........main andar ja raha hoon..........

Sujal aage jane lagta hai aur kashish uske piche bhagti rehti hai.......Kashish sujal ko rokti hai....

Kashish: Sujal .....tumhi kehte the na ki tum apni kashish ke aankhonme aanshu nahin dekh sakte........to phir aaj kyun itna rula rahe ho.......

Sujal: maine nahin rulaya.......

Kashish: tumne nahi diye janti hoon..........main yeh aanshu bhi bardast kar lungi per tum is tarah khud se naraz rahoge woh mujse bardasat nahin hota..........tum muje batao aur hum milke is baat ka koi hal nikalenge...................ple sujal ek bar kehke to dekho......

Sujal: kashish raat kafi ho gayi hai..........good night..........

Kashish: Sujal.......

Kashish bed pe late zor zor se rone lagti hai.........

Sujal (

to himself); kitna majboor hoon ki tumhare aanshu bhi nahin paunch sakta........kyunki ab to yeh zindagi bhar rehne wale hai........i am sorry kashish..........ho sake to muje maff kar dena........

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#24

Part-53

Us din ke baad aaj pura ek hafta gujar gaya hai..........ab to halat itne badal gaye hai ki nahi sujal kashish se baat karta hai aur nahi kashish ke kisi sawal ka jawab deta hai............Kashish ab nahi KnK boutique jati hai aur nahi to Garewal industries..........Aaj woh Prerna ki dawai lane ke liye bahar gayi huyi hoti hai jaha use dair ho jati hai.........

Kashish

(in the car): Hello.......mama.......

Prerna: haa beta.........kaha ho tum.........kitni dair ho gayi tum thik to ho........

Kashish: main bilkul thik hoon......woh kisi accident ki waje se rasta bandh hai........lekin main aadhe ghante me ghar pahonch jaungi.....kya Sujal ghar pe aa gaya........

Prerna: Nahin..........abhi to koi ghar pe nahin aaya...........

Kashish: thik hai main jald se jald ghar pe phunchti hoon........

Prerna: kya baat hai...........tum kuch pareshan lag rahi ho.............pichle kuch din se tum boutique bhi nahin jati..............tumhari tabiyat to thik hai na.......

Kashish: Aisa kuch bhi to nahin.........main to darsar kaam karte karte thak gayi thi isliye socha kuch waqt aap ke saath bita doon.........

Prerna: kya aaj main wahi Kashish se baat kar rahi hoon jo is duniya ki sabse best desinger hone ke khawab dekha karti thi...........Kashish yeh boutique ab tumhare papa ka tumhare aur Kripa ke liye aashirwad ke saman hai..........kya tum apne papa ka dil dukhana chahti ho......

Kashish: nahin mama.........aap galat soch rahi hai.........mera aisa koi irada nahin tha..........aur aap yeh achchi tarah se janti hai...........

Prerna: Pata nahin pichle kuch dino se aisa lag raha hai ki kuch anhoni honewali hai.......

Kashish: mama ek ajeeb si becheni to muje bhi ho rahi hai...............pata nahin lekin aaj mera dil betha ja raha hai..........upper se kai log keh rahe hai ki bahot tej baris honewali hai..........bhagwan kare aaj yeh toofan yahi tham jaye............

Prerna; baat to tum thik keh rahi ho.........yeh toofan jab tak is ghar ke bahar hai tab tak hi thik hai.......

When Kripa enters.........

Prerna: achcha kashish..........ab main rakhti hoon.........kripa ghar aa gayi hai........

Kashish: jee mama......main bas pahonch hi rahi hoon..........

************************************************************ *****************

Kripa: kiska phone tha.......

Prerna: Kashish ka............woh bahar meri dawai lene gayi hai aur raste me kahi fas gayi hai lekin woh bas ab aa hi rahi hai.........

Kripa

(sits on the sofa): achcha hai aaj kitne dino bad sab log saath me khana khayenge........

Prerna: thak gayi...........bahot kaam rehta hai.......

Kripa: Haa mama...........ab to muje mera aur Kashish dono ka kaam karna padta hai..........Pata nahin lekin pichle kuch dino se Kashish badal gayi hai.........meri woh hasti muskurati Kashish kahi kho gayi hai........

Prerna: sirf kashish hi nahin balke is ghar ke sabhi logo ki khushi koi chura le gaya hai.........

Kripa: sach kaha.........mama muje lagta hai hum sab logo ko chuti leke kahi chalna chahiye.........kaam bhi nahin rahega aur ghar se dur outing bhi ho jayegi......

Prerna: khayal to bahot achcha hai.........hum aisa karte hai kyun na Mumbai chale Anjali ke pass.........Waise uski delivary ka samay bhi najdig aa raha hai.......to uske aakhri waqt me hum uske saath rahenge aur ther sari masti karenge........aur muje bhi kuch waqt apne bacho ke saath bithane ko mil jayenga........

Kripa: excellant idea..........main aaj hi Angad se baat karti hoon........

Prerna: thik hai tum jake fresh ho jao.........sab log aate hi hoge........

************************************************************ *****************

Thodi dair bad sab log ghar aa jate hai aur fresh hoke khana khane bethte hai..........

Prerna: muje aap sab ko kuch batana hai........

Sujal: kya baat hai sab kuch thik to hai.....

Prerna: pehle muje shuru to karne do..........hum sab log kuch dino ke liye chuti pe ja rahe hai...........woh bhi Anjali ke pass.........use ab hamari zaroorat hai......aur is bahane muje mere bacho ke saath kuch waqt bitane ka bahana bhi mil jayega........

Angad: thik hai.........main sab ke jane ka bandobast karta hoon........

Sujal: lekin abhi office me ther sara kaam baki hai aur is tarah achanak........

Prerna: maine Mr. Sharma se baat karli hai woh sab kuch sambhal lenge..........

Angad: ab to koi problem nahin hai........

Kripa: nahin........hum log parso nilkenge.........aur yeh tai hai.......

Prerna: haa..........kashish.........tum zara phone karke Anjali ko bata dena........

Kashish: jee main aaj hi bata dungi.........

Angad; i am really excited for this trip........aakhir main hum log naye mehman se milne jayenge..........

Kashish (

looking at sujal): wake hi yeh trip ka muje besabri se intzar rahega.........

Kripa: kya kaha.......

Kashish: kuch nahin........tum khana khao.........dair ho rahi hai.........

Sab log khana khake apne apne room me chale jate hai.........

************************************************************ *****************

Sujal study room me apne project pe kaam kar raha hota hai aur kashish khidaki ke pass kuch soch rahi hoti hai...........

Jab sujal kamre ke andar aata hai........

Kashish: kya baat hai bahot thak gaye huye lagte ho..........bahot sara kaam kya rehta hai.......main ghar pe hi hoon kal agar kuch kaam ho to batana........kya main tumhari kuch madad bhi nakin kar sakti ..........kuch to kaho.......

Sujal

(in anger); kyun baar baar ek hi sawaal karti ho........

Kashish: kyunki muje tumhari phikar hoti hai........tum dair raat tak ghar nahin aate.......mujse baat nahin karte..............

Sujal: tumhe meri phikar karne ki koi zaroorat nahin.......main apna khyal khud rakh sakta hoon........

Kashish

(tears in her eyes): janti hoon ki tum kitne bade ho gaye ho.........ab tumhe meri koi zaroorat nahin............lekin kya karoon bahot pyaar karti hoon........na chahte huye bhi yeh dil tumhare liye bechen rehta hai...........

Sujal: Pyaar vyaar kuch nahin hota ..........sab dikhava hota hai..........

Kashish (

shocked): tumhare kehne ka matlab hai ki mera pyaar sirf dikhava hai..............

Sujal (

nazre churate huye): Samajdar ho.........khud hi samaj sakti ho........

Kashish (

roti huyi): mera pyaar dikhawa hota to main tumhare kehne pe is zindagi ke safar me tumhara haath na thamti........kya kuch nahin kiya maine tumhare liye..........apne papa ke khilaf jake maine tumhara saath diya yeh bhi jane bina ki tum mujse pyaar karte ho ki nahin........lekin tum kehte ho ki mera pyaar ek dikhava hai...........jab main bimar thi to maine is shaadi se inkar kiya kyunki muje sirf aur sirf tumhari khushi chahiye thi lekin tumne kaha ki tumhari khushi mujse hai ..........phir bhi aaj tumhe mera pyaar ek dikhava lag raha hai.........maine tumse shaadi karke apna ghar, apna saher, apni pehchan, apna sab kuch tumhare liye badal diya taki tum khush reh sako........lekin kya hua mera pyaar dikhave ka mohtaj ban gaya..........tumhare kehne pe maine phir se apna kaam shuru kiya aur tumhare hi kehne pe maine apna kaam chod diya kyunki tum yeh chahte the..........lekin aaj mere pyaar ko dikhave ka naam diya gaya..........kya main puch sakti hoon ki tumhe kisne hakk diya mere pyaar ko dikhave ka naam dene ka.........kisne.......

Sujal: tum muje kabhi samaj hi nahin payi.........aur nahi is shaadi ko.......meri hi galti thi jo maine tumse shaadi ki......

Kashish (holds him from his shirt): tumhara matlab ki yeh shaadi tumhare liye boj ban gayi hai..........kya ab main tumpe bhari hoon......

Sujal: achacha hua jo tum khud hi samaj gayi........

Kashish (apne kadam piche kar deti hai): tum badal gaye ho...........tum woh sujal nahin jise maine pyaar kiya tha.........jisse maine shaadi ki thi.........jante ho kyun kyunki mera sujal apni kashish ko itne dukh de hi nahin sakta......

Sujal: sach kaha main badal gaya hoon........tum badal gayi ho.........hamare halat badal gaye hai.........

Kashish: naa hi main badli hoon aur nahi mera pyaar......

Sujal (gusse me): Tumse baat karna hi bekar hai.......

Kashish: agar tum baat hi karna nahin chahte......nahi tum meri sakal dekhna chahte ho.........yeh rista ab tumhare liye boj ban gaya hai .........aur tumne kaha na ki tum bade ho gaye ho............tumhe meri koi zaroorat nahin..............is ghar me main tumhare liye aai thi aur tum hi nahin chahte ki main yahaan rahoon..........isse achcha main hi chali jao........kyunki ab muje lagta hai ki mere yaha rehne se tumhe taklif hoti hai.......

Sujal: tumne faisla kiya hai to sahi hi hoga........

Kashish: sujal......main is ghar ko chod ke ja rahi hoon...........ab bhi kuch nahin kahoge.......

Sujal: ab kehne ko kuch nahin raha...........(Sujal waha se bahar balcony me chala jata hai)

Kashish (

screams): sujal main sach main ja rahi hoon............

Kashish gusse me aakar apne kapde bhar ne lagti hai jab kashish ki Chunari sujal ke kapde me fas jati hai..........

kashish ki bahot koshish ke bavjood bhi nikalta hi nahin.........kashish sabhi kapde beg me dal deti hai.........aur phir achanak kashish ko ehsaah hota hai aur woh tut jati hai......puri tarah se.........woh bahot zor zor se roti hai..........

itni zor se ki sujal ko bhi uski chikhe sunai deti hai..........

Kashish zameen se uthke beg leke room se bahar nikal jati hai.........

************************************************************ *****************

Kashish sidiyon se uthar rahi hoti hai jab kashish ke haath lagne se vase gir jata hai aur uske tutne ki aawaz se sab log bahar ate hai...........neeche hall me Prerna, Kripa aur Angad aate hai aur upper se sujal dekhta hai...........sab log kashish ko is tarah dekhkar pareshan ho jate hai.........

Kripa: Kashish yeh sab..........baat kya hai......kuch to bata.......

Kashish

(to kripa): Sab kuch khatam ho gaya.......sab kuch.....mera yeh banaya hua aashiyana aaj khud hi apno ki thokar se tut gaya..........jaa rahi hoon........shayad ab main tumhare saath milke tumhara haath badha na saku..............(gives keys to her).......yeh is ghar ki chabiyaan hai........jis pe aaj tak mera hakk tha lekin jiski waje se mera is ghar se rista hai usne hi aaj mujse rista tod diya........ab is ghar ko meri zaroorat nahin.......lekin is ghar ko tumhari bahot zaroorat hai........ise kabhi bhi meri kami mehsoos mat hone dena...........

Angad: is ghar ko hum sab ko tumhari zaroorat hai...........tum is tarah se yeh sab chod ke nahin ja sakti..........

Kashish: Maine hamesha mama se shikha ki jo pati kahe wahi sach..........jo pati kahe wahi karne ka patni ka farz hota hai.........aur main wahi karne jaa rahi hoon........mere yaha rehne se sujal ko taklif hoti hai...........aur yeh main kabhi bhi bardashat nahi kar paungi.........is liye ple muje jane do........

Prerna: Kashish........tum kahi nahin jaogi..........main sujal se baat karti hoon.......

Kashish (

holds her hand): nahin mama........agar main nahin gayi to sujal chala jayega .......aur is ghar ki nev sujal hai..........woh hi chala gaya to yeh ghar bhikhar jayega.......manti hoon ki aap sab ko meri zaroorat hai lekin mujse jyada aapko sujal ki zaroorat hai..........

Prerna: jitna yeh ghar sujal ka hai itna hi tumhara.........main sujal se puchti hoon ki aisi kya galti ho gayi tumse jo woh is tarah se.......

Kashish (

roti huyi): nahin mama........aap kuch nahin puchegi......kyunki is sawaal ka jawab sujal ke pass bhi nahin.........shayad galti meri hi hai.........main ek achchi beti bhi ban naa saki kyunki apne papa ko aakhri bar dekh bhi na saki................ek achchi bahu bhi ban na saki kyunki aap se kiye huye vaade todke ja rahi hoon.........ek achchi patni banane ki puri koshish ki lekin woh bhi ban na saki kyunki bahot pyaar karti hoon main.......yahi kasoor hai mera ki maine apna sab kuch nauchake sujal se pyaar kiya badle me sirf yahi chaha ki sujal khush rahe lekin main yaha bhi piche pad gayi...........shayad mera pyaar hi kamzor tha ya muje kabhi pyaar nibhana hi nahin aaya........ristey to maine banana maine shikha lekin rishton ko nibhana nahi shikh payi.......(haath jodke)...........aap se maafi chahti hoon agar mujse koi galti ho gayi ho to muje maff kar dena.........

.

Prerna (hugs her): Bhagwan muje agle janam me tumhare jaisi beti de........tumse koi galti ho hi nahin sakti kyunki galti to mere bete se huyi hai......jo tuje aur tere pyaar ko samaj na saka.........mere bete ne tumahari kadar karna hi na shikh paya...........lekin kabhi bhi yeh mat kehna ki tum ek beti aur ek bahu na ban payi kyunki hum log bahot naseebdar hai jo tum hamare naseeb me aayi........main teri maa thi hoon aur hamesha rahungi.........chahe tu mere bete ki patni rahe ya naa.......

Sab log gusse se upper sujal ki aur dekhte hai........

sujal wapas apne kamre me chala jata hai.........Kashish apni palke neche karke ke......

Kashish: Angad.........kya tum muje airport tak chod sakte ho........

Angad: tum muje puch nahin sakti balke tumhara hakk banta hai..........chalo main tumhe chod deta hoon..........

Angad Kashish ka saman leke ghar ki bahar chala jata hai aur phir kashish bhi prerna ka aashirwad leke bahar chale jati hai.........

************************************************************ *****************

Kashish (

was about to put her first feet out of the house): is ghar me tumhare saath tumhari patni banke aayi thi........socha tha ki is ghar se meri arthi hi uthegi lekin aaj tumne muje galat sabit kar diya........kitni yaadein.........kitni khushiyaan is ghar se judi hai.........ek pal me sab kuch tumne mujse chin liya........kyun hua mere saath.......

Kashish ghar ke bahar chali jati hai lekin use lagta hai ki abhi bhi kuch aisa hai jo use abhi bhi rokta hai.........

mudke piche dekhti hai to upper se sujal dekh raha hota hai

Kashish

(to herself) Ek bar kehkar ke to dekho ki Kashish ruk jao.........ek kadam bhi aage nahin badhaungi.........ek bar to apni kashish ko pukar ke dekho.............ek bar meri aankhon me aankein dalkar kaha ki tum mujse pyaar nahin karte......Kyun abhi bhi dil ko yakeen nahin hota......kyun kiya aisa tumne.........

Sujal (to himself): Muje maaf kar dena.......muje koi hakk nahin banta ki main tumhe is tarah is ghar ko chodne pe majboor karoon......lekin kya karoon zindagi se majboor hoon..........tumhare pyaar me koi kami nahin hai......shayad upperwale ne meri taqdeer hi aisi banai hai.........lekin zindagi ki aakhri saans tak yahi upperwale se magunga ki jab bhi main dubara janam loon tab tum hi mera pyaar ho.......bahot pyaar karta hoon tumse.......itna ki yeh zindagi hi kam pad gayi........dil abhi bhi keh raha hai ki tumhe rok loon lekin woh bhi ab mere haath me nahin.......jao kashish jao.....isse pehle me tut ke tumhe rok loon.........kyunki main ek bar tumhare samne tut gaya to apne aap ko phir sambhal nahin paunga.......

Kashish mud ke jane lagti hai

aur sujal kashish ko rok ne ki koshish karta hai lekin bahot dair ho chuki hoti hai kyunki kashish car me beth gayi hoti hai..........

************************************************************ *****************

(at the airport)

Angad: kashish.......yeh lo tumhari ticket aur boarding pass.......ab bhi keh raha hoon ki ek bar phir se sujal se baat kar ke dekhte hai......

Kashish: ab uski koi gunjaish hi nahin.........sujal mera chehara dekhna nahin chahta to woh mujse baat kya karega.........

Angad: tumhari flight ka time ho raha hai..........apna khayal rakhna...........

Kashish: Angad.......aaj se sujal ki dekhrekh tumhe karni hai.............woh apna khayal nahin rakhega lekin tum rakhna........woh akela hai.......use tumhari zaroorat hai..........

Angad: aur tumhe......

Kashish: maine itne dino me bahot si yaadein bun li hai........wahi kafi hai mere liye.........khali haath nahin ja rahi........bahot si yaadein le ja rahi hoon apne saath.......chalti hoon.....

Kashish flight leke mumbai Anjali ke pass chali jati hai.............

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#25

Part-59

Aaj ki subah Kashish ki Zindagi ke kisi imtihan se kum nahin hai...............aaj Kashish ki zindagi ka faisla hone ja raha hai...................Kashish aur Sujal dono taiyaar hoke us aurat ke ghar ja rahe the jisne Sujal ke bhai ko god liya tha...........lekin Kashish ka dil bahot hi ghabra raha tha jaise koi anhoni hone wali ho..........

(in the car)

Sujal: Kya bat hai tumhari tabiyat to thik hai na..........Kuch pareshan lag rahi ho.......

Kashish: Nahin to bas thoda jee ghabra raha hai..........pata nahin woh log kaise pesh aayenge............

Sujal: Kashish tum apni aur se puri koshish kar rahi ho..........ab aage sab kuch upperwale ke haath me hai...........agar woh nahin chahta ki hum dono saath rahe to wahi hoga........

Kashish: Sujal kabhi bhul ke bhi aisa mat kehna...........hum dono ka saath to upeerwale ne hi joda hai..........Sujal hum yeh kaise bhul sakte hai ki wahi yeh upperwala hai jo hume bar bar milata raha..........Aur waise bhi kuch nahin hoga tumhe.................itna to vishwas karte ho na.......mujpe

Sujal: Kashish........tum mere pyaar ke saath saath mera vishwas bhi ho.........ab yeh sab chodo yeh lo hum pahunch hi gaye...........chale

Kashish; hmmm..........

************************************************************ **********************

Kashish aur Sujal us bataye huye pate pe jakar darwaze pe ghanti bajate hai...........jab ek aurat aakar darvaza kholti hai.........

Aurat: jee kahiye.........aap kaun.........

Kashish: Hum yahan Dr. Radha Kapoor se milne ke liye aaye hai..........kya woh ghar pe hai...........

Aurat: Jee unhe Shimla chode barso ho gaye.........

Kashish: Kya......

Sujal: aap bata sakte hai ki woh kaha gaye hai...........

Aurat: jee woh Dr. Radha ki Mumbai me kisi hospital me transfer huyi thi lekin kaunsa hospital yeh muje maloom nahin ............lekin aap yaka ke sarkari hospital me jake pooch sakte hai kyunki aakhri bar usne wahi pe hi kam kiya tha...........

Kashish: aap ka bahot bahot sukriya...........

Sujal: chale.........

************************************************************ **********************

Kashish aur Sujal Dono hospital ki aur badh rahe the jab achanak Kashish ko chakar aane lagte hai aur woh ek jagah khadi ho jati hai.........

Sujal: Kashish...........Kashish.........tum thik to ho............

Kashish: main thik hoon woh bas thoda sa chakkar aa gaya...........

Sujal: r u sure.........tum thik ho.....

Kashish: humne kaha na ki hum bilkul thik hai........chale..........

Sujal aur Kashish dono hospital jake pata karte hai to Dr. Radha Kapoor ka transfer Mumbai ke kisi Sanjivanee Hospital me hua tha..........

Sujal: kaha ja rahi ho.......

Kashish: Mama se baat karne.............

Kashish prerna ko phone lagati hai..............

Kashish(

cries): hello..........Mama........

Prerna: Kashish...........tum ro kyun rahi ho............kya sujal thik to hai na...use kuch hua to nahin.....

Kashish: woh bilkul thik hai............mama.........main harti ja rahi hoon..........Manzil her kadam pe do kadam piche hatti hai...........

Prerna: saff saff kaho kya baat hai........

Kashish: mama yaha aake pata chala ki Dr. radha kapoor ko mumbai transfer kiya gaya tha lekin mama main itne bade saher me use kaha dhundhugi..........kuch samaj nahin aata kya karoon .........

Prerna: tum is tarah harogi to Sujal ko kaun sambhalega..........Ab tumhi uski himmat ho aur sahara bhi..........Kashish yeh waqt harne ka nahi balke kismat ko harane ka hai...........tum hi to kehti thi ki sache pyaar me bahot takat hoti hai to phir aaj kya hua.....

Kashish: Mama main hari nahin hoon bas kuch pal ke liye behak gayi thi lekin ab aap phikar mat kariye ab main wapis tabhi aaungi jab Sujal bilkul thik thak mere saath hoga..........

Prerna; yahi hosla ke saath chalogi to manzil kud tumhare aage aayegi..........achacha apna aur Sujal ka khayal rakhna aur phone karti rehna.............bye.......

Kashish: bye...........

************************************************************ **********************

Sujal: ho gayi baat mama se.............chalo Kashish wapas jate hai.........Apne ghar............ab koi faiyda nahin...................

Kashish: Sujal tum yeh.......

Sujal: hum kab tak yaha se waha bhatkte rahnge ...........

Kashish: jab tak tumhara bhai nahi milta............main her woh koshish karungi.............main apne aakhri dum tak yeh koshish nahi chodungi..........aur kab tak yeh manzil mujse dur rahegi...........main abhi isi waqt Mumbai ke liye nikal rahi hoon..........tumhe saath chalna hai to chalo...........warna main akeli hi kafi hoon.........

Sujal: aaj kal tum bahot hi ziddi hoti ja rahi ho.........

Kashish: main to aisi hi hoon..........

Sujal: is liye to pyaar karta hoon.........

Kashish: is liye to main yeh sabkuch kar rahi hoon..........ab chale...........sham hone se pehle muje mumbai pahuchna hai.............

Sujal: aapka hukum sir aankhon pe..............

Sujal aur Kashish dono Mumbai ke liye nikalte hai.............

************************************************************ **********************

Sujal aur Kashish aakhri kar Mumbai me sanjivnee hospital me pahunch jate hai..........

Kashish: Suniye hume Dr. Radha Kapoor se milna hai.......

Nurse: kya..........Dr. Radha Kapoor se..........ab woh yaha nahi hai......

Sujal: kya matlab........

Nurse: unhe gujre huye char saal ho gaye............

Kashish (

shocked): nahi aisa nahi ho sakta.........main har nahi sakti............main nahi har sakti.......

Nurse: aapne kuch kaha.......

Kashish: woh kya hume unke ghar ka pata bata sakte hai........bahot zaroori kam hai............

Nurse: per woh imformation to........

Kashish: kisi ki zindagi se badhke nahi............ple muje de dijiye.........mere liye yeh bahot keemti hai.......

Nurse: thik hai aap bethiye main lati hoon.............

thodi dair bad........

Nurse: yeh lijiye..........

Sujal: thank you so much......

Nurse: it's ok..........

************************************************************ **********************

Sujal aur kashish us pate pe pahunch jate hai..................Kashish darwaze pe ghanti bajati hai jab koi darwaza kholta hai jisse kashish ek dum se chok jati hai.........

Kashish (

Shocked): Charu........tum...yahaan...

Charu(surprized): Kashish tum............

Kashish: haa main..........andar aane ko nahi kahogi........

Charu: maff kijiye aap log andar aaiyena ..........bethiye main pani lati hoon.........

Kashish: charu uski koi zaroorat nahi.........inse milo yeh hai mere Pati Sujal Garewal.........

Charu: Namaste......waise aap is tarah........

Kashish: kuch zaroori baatein karni thi............

charu; zaroori baatein.....

Kashish: kya tum Dr. Radha Kapoor ko janti ho........

Charu: haa .........kyun.....i mean saas hai woh meri.....hala main kabhi mili nahi...lekin kya baat hai.........aur yeh dekho yeh bhi aa gaye........Kashish inse milo yeh hai mere Pati Akshat aur Akshat yeh hai Kashish meri dost aur unke pati Sujal Garewal......

Sujal aur Kashish dono ek dusre ki taraf dekhte reh gaye ki kya kahe.......

Sujal: hi.....

Akshat: hi..........wait a minute maine aap logo ko kahi dekha hai............kaha dekha hai...........kaha.........yaad aaya..........kuch mahino pehle victoria garden me.........aap dono ke pyaar ki nok joke chal rahi thi...........waise aap log yahaan.......

Charu: yeh log mama ke bare me kuch janne aaye hai.......

Akshat: mama ke bare me.......

Kashish: Haa.......aaj main yahaan pe kuch sachchai batane aayi hoon........ek aisi sachchai jisne hum logo ki zindagi ko hilake rakh diya.......hum log Delhi orphan house gaye the waha se pata chala ki tumhe Dr. Radha kapoor ne adopt kiya hai.......

Akshat: yeh bat to main janta hoon..........marne se pehle mama ne muje bataya tha..........

Kashish: lekin ek sachchai aur bhi hai..........us orphan house me tumhe akele nahin beja gaya tha balke tumhare saath tumhare bade bhai ko bhi beja gaya tha...........

Akshat (shocked): mera bada bhai..........

Kashish: ha tumhara bhai aur koi nahin balke Sujal hi hai.........

Akshat and Charu both are shocked.........

Kashish: mere yaha aane ka maksad aap logo ko hairan karne ka nahin tha balke kuch aur tha..........darsal baat yeh ki Sujal ko blood cancer hai aur tum hi ek insaan ho jo Sujal ko apna bone marrow deke bacha sakte ho...........mana mat karna bahot asha ke saath aayi hoon.........

Akshat: aaj kitne dino bad ek aisi khushi mili hai lekin khushi di to saath me gum bhi kuch jyada hi diye........agar yeh mere bhai na bhi hote to main insaniyat ke nate hi sahi me bone marrow dene ke liye taiyaar hoon...........

Kashish: sach tum doge apna bone marrow.......

Sujal: usse pehle main kuch batana chahta hoon...........yeh process bahot hi dard bari hai aur inme hum dono ki jaan ko khatra ho sakta hai.........main tumhe ya charu koi dhoke me nahi rakhna chahta hoon..........

Kashish: Akshat ab to tumhe koi aitraaz nahi hai na...........

Charu: lekin muje hai........Aap logo ne soch bhi kaise liya ki Akshat ko main yeh khatara mod lene dungi..........jee nahi..........main Akshat ko iske liye kabhi manzoori nahi de sakti...........Kashish main itni bhi na samaj nahin hoon............ki apne pati ko jaan bujke is aag me dhakel doo.....

Kashish: aisa mat kaho........main bahot umeed ke saath aayi hoon......main tumse se haath jod ke apni zindagi ki bhikh mangti hoon..........

Charu: Kashish tum pyaar ke aage kitni khudgarz ban gayi ho...........apne suhaag ko bachane ke liye mere suhaag ki jaan khatre me dal rahi ho......yeh kaha ka insaaf hai ki ek ko bachane ke liye dusre ki tum bali chadha do.....main itni mahan nahin hoon......main kabhi Akshat ko is ke liye apni manzoori nahi de sakti........

Akshat: charu...........

Sujal: Charu.......bilkul thik keh rahi hai......ek ko bachane ke liye do logo ki jaan ko khatre me dalna bewafoki hai.............charu tum phikar mat karo.........aur koi sehmat ho ya na main charu se sehmat hoon........

Kashish: Sujal...tum yeh kya keh rahe ho........

Sujal: Kashish......main wahi keh raha hoon jo sach hai.....aaj nahin to kal tumhe ise swikarna hi hoga......chalo ab aur koi rasta nahi .........hamara saath yahi tak tha.......chalo ghar wapas chate hai..........main apni baki ki bachi huyi zindagi apne gharwalo ke saath tumhare saath bitana chahta hoon......chalo laut jate hai..........

Kashish: nahin main kahi nahin janewali.........jab tak tum thik nahin hote main kahi nahin jaungi.....main bhi dekhti hoon ki kab tak Charu mana karti hai....

Charu: Kashish tum pagal ho gayi ho.......

Kashish: Abhi to sirf pagal huyi hoon mari nahi...........aaj ja rahi hoon lekin jate jate ek baat kahungi ki ek bar khud ko meri jagah rakh ke dekhna.....shayad tab tumhe ehsaas hoga ki main kaise jee rahi hoon...........

Sujal: Kashish bahot bol liya ab tum chalo......

Sujal Kashish ko apne saath Sinha House leke jata hai..............Charu apne kamre me beth ke ro rahi thi aur Akshat apne study room me bethke kisi gehri soch me kaho khoya hua tha................

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#26

Part- 60

Sujal aur Kashish Sinha house to laut te hai lekin is dauran Kashish kahi kho gayi........kashish ki jaisi sari umeed tut gayi ho.........use pata nahi ki woh kya kare...........zindagi ka her ek lamha use kamzor hota dikhai deta hai..........samunder ki reth ki tarah waqt uske haath se nikalta jaa raha hai aur woh kuch bhi nahi kar sakti..........lekin abhi bhi uska dil yeh manne ko taiyaar hi nahi tha ki Sujal usse dur ho raha hai........

(In Kashish's room)

Kashish kuch kahe bina hi apne room me chali jati hai........jaise ki uski duniya hi khatam ho gayi ho......woh kehte hai na musibat me sare raste bandh dikhai dete hai waise hi Kashish ko kuch samaj nahi aa raha ki woh kya kare............Sujal Kashish ko is tarah kaise dekh sakta tha ......kashish ka samna karne ke liye uske pass shayad himmat kum pad gayi..........Sujal ghar ke andar jane ke liye taiyyar nahi tha........

Pyaar Hai Ya Saja, Aai Mere Dil Bata (Kashish was thinking in her room that what just happened to her life)


Tootata Kyon Nahi Dard Ka Silsila
Is Pyaar Mein Hon Kaise Kaise Imntihaan (Sujal doesn't want to face Kashish as he know she has broken down.)

Ye Pyaar Likhe Kaisi Kaisi Dastaan (She doesnt know what to do with her love for sujal)

Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (sujal was lost about how kashish is going to handle herself after his death)

Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar
Kaisa Hai Safar Wafa Ki Manjil Ka (Kashish is so frustreted and she doesnt know where to start from)

Na Hai Koi Hal Dilon Ki Mushkil Ka
Dhadkan Dhadkan Bikhri Ranjishein (Suajl was thinking how he wants to spend his rest of life with kashish)

Saansein Saansein Tooti Bandishein
Kahi To Har Lamha Honton Pe Fariyaad Hai (in middle of night sujal comes to the room and finds kashish is sleeping)

Kisi Ki Duniya Chaahat Mein Barbaad Hai (when sujal came and by his fregance, kashish opens her eyes)

Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (Kashish sees sujal infront of her)

Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar (Sujal notice that kashish have been crying for so long)


Koi Na Sune Sisakati Aanhon Ko (kashish runs to him and stands right infront of him and puts her hand on his cheek showing how much love and care )

Koi Na Dhare Tadapati Baahon Ko (sujal with lots of questions in his eyes looks at her)

Aadhi Aadhi Puri Khwaishein (Kashish's eyes were saying that she is always going to be with him)

Tooti Footi Sab Farmaaishein (Sujal kiss kashish's hand)

Kahin Shak Hain Kahin Nafrat Ki Deewaar Hai
Kahin Jeet Mein Bhi Shamil Palpal Haar Hain
Ya Rabba De De Koi Jaan Bhi Agar (Kashish cries a lot and hugs sujal so tight because she was afraid of loosing him.)

Dilbar Pe Ho Na, Dilbar Pe Ho Na Koi Asar

Kashish and sujal both went to sleep in each others arms giving support and love to each other.........

************************************************************ ***********************************

(In the morning)

Sujal jab apni aankh kholta hai to Kashish ko apne pass na dekhke woh kuch darr sa jata hai phir woh wash room me jakar dekhta hai lekin Kashish waha bhi nahi hoti.......

Sujal

(to himself):Shayad neeche kitchen me hogi........

Sujal

(walking downstairs): Kashish.........Kashish..........

Raghukaka: Kashish betiyaa to nahi hai lekin aapko kuch chahiye........

Sujal: Kaka kashish kuch bata ke gayi hai.......mera matlab kaha gayi........

Raghukaka: woh jo durr pahadi wale Durga Maa ka jo mandir hai wahi gayi hai........

Sujal : Durga maa ke mandir.......

Raghukaka: Subah subah hi chali gayi........keh rahi thi ki Maa ke mandir jo chal ke jata hai woh khali haath nahi lautta.........

Sujal: lekin Kaka woh to bahot durr hai aur kashish is halat me..........main abhi jake use wapas le aata hoon........

************************************************************ ***********************************

Sujal taiyaar hoke kashish ko lene ke liye nikalta hai.........Sujal pure raste me Kashish ko dhundta hai lekin kashish kahi dikhai hi nahi deti........aakhir me sujal Durga mandir pahonch hi jata hai aur jab dekhta to Mandir kafi uchchai pe hota hai..........

Sujal (

runs and climbing the stairs); yeh Kashish bhi na.......kuch bhi sochti rehti hai.........pagal ho gayi hai........use apna na sahi lekin bache ka bhi zara khayal nahi.........

Jab sujal kisi se takrata hai............

Sujal: I am sorry.....

Person turns around and it is not other than Akshat.......

Akshat: Sujalbhaiyaa aap..........is tarah bhagte bhagte kaha ja rahe hai.........

Charu (

interrupts): Akshat chalo .........are aap yaha........

Sujal: woh Kashish.........ghar se yaha pedal chal ke aayi hai aur ghar yaha se bahot durr hai........aur phir is halat me uska itni sidiyaa chadna.....

Charu; Is halat me........

Sujal: Kashish maa bannewali hai aur doctor ne use aaram karne ko kaha hai lekin woh meri ek nahi sunti.........use lagta hai yeh sab karne se uski manate puri ho jayegi........lekin use ab yeh swikarna hoga ki sach kya hai.........main aap logo se bad me baat karta hoon filhaal main Kashish ko rokta hoon........

Sujal climbs the stairs along with Akshat and Charu..........jab woh log mandir pahunchte hai to dekhte hai ki Kashish ped ke chakar lagake dhaga bandh rahi hoti hai...........

Sujal: Kashish yeh sab kya ho raha hai......

Lekin Kashish kuch jawaab hi nahi deti...........apne kam me lagi rehti hai jab Panditjee sujal ke pass aate hai.......

Panditjee: aap jante hai ise........

Sujal: Haa .........meri patni hai..............

Panditjee: Bahot kismatwale ho.............bahot hi pyaar karti hai apne sindoor se........jab maine kaha ki is ped pe dhaga bandhne se uski shaadi ka atoot bandhan aur bhi majboot ho jaye to subah se is ped ke chakar lagake dhaga bandh rahi hai.........bina kisi pani ya khaye .........bhagwan unki murade puri kare...........

Jab Kashish apna pura kam karke sujal ke pass aati hai..........

Kashish: Sujal tum yahaan.......

Sujal: tum pehle batao ki tum yahaa kya kar rahi ho.......kaka ne bataya ki tum 7 km chal ke aayi ho........aur phir upper se yeh sidiyaan.......kashish tumhe apne saath ab us masoom ka bhi khayal rakhna hai..........

Kashish: Sujal tumse jyada mere liye aur koi mayne nahin rakhta aur is waqt mere bache ko maa ke saath uske pita ki bhi zaroorat hai..........yeh sab kuch main usi ke liye to kar rahi hoon........

Charu: agar aapko apna khayal na ho to kum se kum us masoom pe to rahem kariye,.......

Kashish: Charu.......agar mere khayal na rakhne se kisi ek ki jaan jati hai to tumhare zidd ke karan yaha pe teen logo ki jaan ja sakti hai.......kyunki Kashish aur uske kokh me palnewala bacha agar jee sakte hai to sirf sujal ke saath warna hum bhi jite ji mar jayenge.........charu abhi soch lo ........tum akshat ko rok ke teen maut ki tum jimedar hogi.........aur ek baat yaad rakhna ki kal mere jagah tum bhi ho sakti ho.......haa main manti hoon ki main swarthi hoon lekin mere swarth ke piche kisi ki jaan bachti hai lekin tumhare swarth ke aage teen logo ki jaan ja rahi hai....Charu ab faisla tumhe karna hai ki tumhe kya sahi lag raha hai aur kya nahi.........agar tumhe lage ki meri baat me zara sa bhi sach hai to yeh mera card hai ek phone kar dena........aur agar tumne phone na kiya to main dubara kabhi tumhe apni sakal nahin dikhaungi..........jate jate sirf itna hi kahungi ki faisla ek aurat banke karna........akshat ki patni banke nahi..........chalo sujal.........

Sujal aur kashish waha se chale jate hai..........

************************************************************ ***********************************

Akshat: Woh bilkul thik hi keh rahe the.......hume kisi ki zindagi bachane ka adhikar hai lekin kisi ki zindagi lena hamare haath me nahi........tum muje rok ke kitna bada paap kar rahi ho.........tum ek aisi jaan ko mar rahi ho jisne abhi tak is duniya me janam nahi liya........jab woh bacha bada hoga aur unhe pata chalega ki hum uske pita ko bacha sakte the to kya us bache se apni nazar tum mila paogi......socho kal ko tum maa banogi kya tum apne samne apne bache aur uske pita ko marte dekh paogi.........hum to kashishjee ke dil ka haal samaj sakte hai lekin uske liye ek ek pal bahri hai...........charu jo bhi faisla lo woh bahot hi soch samaj ke karna...........waise main tumhare khilaf jaa sakta hoon lekin shaadi karte waqt tumhare her faisle ka saath dene ka vachan liya tha..........tum pooja karke aao main tumhara yahee pe intzaar karta hoon..........

Charu jake pooja karne lagti hai lekin abhi bhi akshat ke labzo ne use pareshan karke rakha tha.............

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#27

Part-65

Us party wali raat ko aaj pure do hafte ho gaye hai.........ab bhi Kashish ka jee ghabra raha hota hai lekin woh kisi ko batati nahi............sabhi log Dinner karke hall me bethe huye hote hai........

Angad: Kal holi hai........aur kal ka kya program hai.........

Kripa: holi hai ......diwali to nahi ki hum phatake phode...........budhu hum rango se khelenge..........

Anjali: lekin is bar main aur Kashish nahi khelenge......

Charu: lekin aap logo ke bina maja bhi nahi aayega.......

Akshat: thodi si holi Bhabhi ple....

Prerna: nahi.........yeh log thik keh rahe hai.........Anjali ko Khushi ka khayal aur Kashish is halat me holi nahi khel sakti.....

Kavya: hum log sirf ek dusre pe shagun ka rang lagayenge.......

Kashish: lekin hum pura din karenge kya............yeh to hum sab ki pehli holi hai ek saath aur hum ise khel bhi nahi sakte.........

Sujal: mere pass ek tarika hai..........kal hum sab log Picnic pe chalte hai..........waha hum log sab holi bhi khel lenge aur sabki ek saath outing bhi ho jayegi.........

Angad: that's a great idea.........to thik hai hum log subah thik aath baje niklenge.......

Kripa: aur tum aath baje uth ke taiyaar ho jaoge.....

Charu: sach kaha Bhabhi aapne.........yeh log kabhi hum se pehle uth hi nahi sakte......kitna sote hai.....

Sab log hasne lagte hai.........

Akshat: charu tumhe main dekh lunga......

Angad: main....main.........hum aath nahi nauv baje niklenge........

Prerna: yeh ladka kabhi nahi sudharega.....

Sujal: mama........kabhi bandar gulate khana bhulata hai.......nahi na to........

Angad: tumne muje bandar kaha.........

Sujal: yeh to achcha hua ki tum khud samaj gaye........

Angad: main tumhe nahi chodunga........

Sujal: pehle pakad ke to dekh......

Angad Sujal ke piche bhagne lagta hai.........Sujal Kashish ke piche chup jata hai.........aur anagd use pakdne ki koshish karta hai.......

Kashish: Sujal chodo muje.....

Sujal: nahi Kashish.........nahi to yeh Angad muje pakad lega.......

Angad: aaj main tuje nahi chodunga.....

Kashish: tum dono bich me muje kyun la rahe ho...........aah..........Sujal.......

Kashish sofe pe beth jati hai.....

Sujal: Kashish tum thik to ho............

Angad: Kashish....main doctor ko phone karta hoon........

Kashish: uski koi zaroorat nahi......main to majak kar rahi thi.....main to sirf aap dono ko rok rahi thi......

Kripa: achcha maza sikhaya hai...........

Anjali: ab raat kafi ho gayi hai aur Subaah jaldi nikalna hai................agar yeh sab waqt pe taiyaar hoge to......

Angad: uda lo hasi jitni chahe...........kisi din aap sab ki main udaunga.......

Prerna: ab baatein bahot ho gayi...........chalo chal ke so jao......

Sabhi log ek dusre ko Good-night kehke chale jate hai.........

************************************************************ ******************

Subaah subaah Anjali, Kashish, Kripa aur Charu sab log taiyaar hoke bahar nikalte hai ..........

Charu: Bhabhi........aap logo ne Akshat ko kahi dekha.......

Kripa: nahi to......jab main uthi to Angad bhi gayab tha..........

Kashish: yahi baat mere saath bhi huyi.........jab main uthi to Sujal bhi mere pass me nahi tha.......

Anjali: kamal hai........jab main uthi to Kavya bhi nahi tha..........yeh ho kya raha hai.......

Kashish: yeh sab aakhir kar kya rahe honge......

Kripa: hamare bina yeh ek kadam bhi nahi utha sakte .........yahi kahi garden me hoge.........

Charu: lekin yeh kitchen me se kaisi aawaze aa rahi hai..........lagta hai Mama ne Breakfast banana shuru kar diya......

Anjali; chalo chal ke uski madad karte hai...........

************************************************************ ******************

Anjali, Kashish, Kripa aur Charu sab log neeche dinning table ke pass aate hai jaha pe charo ne milke Subaah ka breakfast aur Picnic ka saraa saman taiyaar hota hai.........

Kashish: yeh sab kya hai.........tum logo ne yeh nasta banaya hai.............

Sujal: kal tumhi ne to kaha tha ki hum kuch nahi karte........

Anjali: lekin in sab karke kya matlab hai.....

Kavya: yahi ki hume bhi khana banana aata hai.........hum log bhi woh kaam kar sakte hai jo aap log......

Charu: Bhabhi kahi main sapna to nahi dekh rahi........

Akshat: kya matlab hai........

Charu: tum aur woh bhi kitchen me...........tumhe to kitchen ka k bhi maloom nahi.........

Akshat: sab janta hoon me..........

Angad: kripa tum kaha ja rahi ho.....

Kripa: bahar dekhne ki Suraj aaj kis aur se nikala hai........

Angad: very funny........

Kashish: ab tum dono ladna bandh karo .......aur yeh mama kaha reh gayi.........

Sujal: woh Mandir gayi hai........aaj holi hai na is liye............

Kashish: aur mama ka nasta.....

Sujal: woh khake gayi.........

Kavya: ab aap log dekhte hi rahenge ki khana shuru bhi karenge......

Anjali: ab tumne banaya hai to chakhna to padega.........

sab log breakfast karte hai........

Anjali: aaj se pehle maine itna achcha nasta nahi kiya........

Kashish: kyunki inme hamare pati ka pyaar mila hua tha.......

Kripa

(comes from the kitchen): Kashish agli bar tumhe jab bhi aisa khana khane ka mann hona to tum Spice Cafe me phone karke order kar dena.....

Kashish: kya.....

Charu: haa bhabhi........yeh raha bill.......

Kashish: Sujal ......muje tumse yeh umed nahi thi.,,,,,,,,,,,

Sujal: bhool ho gayi.........maff kar do......

AnjalI; itna bada jooth.......

Kavya: Anjali............ab aisa bhi kaun sa bada jooth hai.......

Kashish: humne socha aap logo ne kitne pyaar se banaya hoga........

Sujal: humne banaya to tha lekin sara jal gaya.......

Angad: aur jala hua khana to aap log nahi khate...........

Akshat: ab dubara kabhi aisi galti nahi hogi......

Kashish: hume kuch nahi sunna.......chalo Anjali........

Anjali, Kashish, Charu aur Kripa sab log bahar chale jate hai.......

Sujal: humne yeh achcha nahi kiya.........kitna bura man gaye woh log..........

Akshat: ab hum kya kare.........

Angad: mafi mangte hai......

Kavya: woh kaise.......

Sujal: kuch sochne de....

Sujal: soch liya...main janta hoon kaise mafi mangni............woh bhool humne ki hai to mafi to magni hogi na.........

Prerna: kis baat ki mafi mangi ja rahi......

Sujal: kuch nahi........achcha hua aap aa gayi..............ab chale...........dair ho rahi hai........

Angad: chalo .........

************************************************************ ******************

Sab log bahar jate hai jaha pe do badi car hoti hai........

Sujal: chalo kashish.......

Kashish: jee nahi.......aap sab log dusri car me aa rahe hai........is car me hum sirf ladkiyaan jayegi.........

Sujal: Kashish ab itna gussa bhi thik nahi.....

Kashish: woh tumhe pehle sochna chahiye tha..........ab mujse dur rehna hi tumhari saza hai..........

Sujal: kashish......man jaona.......

Kashish: nahi.....main ja rahi hoon..........chalo Mama.......

Sujal: Kashish.......

Kashish: bye.........

************************************************************ ******************

Sujal, Angad, Kavya aur Akshat dusri car me hote hai......

Angad: yeh log apne aap ko samjte kya hai........

Akshat: lagta hai apne aap ko raj kumari samajte hai....

Sujal: woh to yeh hai........

Kavya: kya matlab......

Sujal: ab dekho........use sir pe chathaya kisne hai.......humne..........aur woh kyun......

Akshat: kyun....

Sujal: kyunki hum unke bigar nahi reh sakte aur yeh baat woh achchi tarah se jante hai..........isi liye thoda akad rahi hai.......lekin ek baat batau.........yeh log jitna bhi koshish kare humse khafa reh hi nahi sakte........main aap logo se vaada karta hoon ki aaj ghar aane se pehle sab kuch thik hoga........

Angad: promise.........

Sujal: promise..........

************************************************************ ******************

Let's see what is going in other car.........

Charu: aaj to maza aa gaya...........kitna tadap rahe honge bechare........

Kripa: aur unke chehre dekhe the..........kitne uthar gaye the.........

Anjali: Sab se jyada Sujal ka dekhne layak tha.........

Kashish: woh aaya tha mujse mafi mangne lekin maine bhi keh diya ki main tumse baat nahi karnewali............aaj wake me kitne dino bad yeh sab haath me aaye hai........muje to Sujal ki tang khichne me bahot hi maza aa raha hai........

Prerna: yeh kya ho raha hai.......

Kashish: woh Mama aaj jo subah in logo ne nasta banaya tha woh darsal Hotel se aaya tha........

Kripa: aur is liye hum un logo se naraz hone ka natak kar rahe hai.......

Prerna: kuch seroius baatein to nahi.....

Kashish: nahi mama.......yeh to bas chota sa hasi mazak hai...........aap pareshan mat ho......hum bhi dekhte hai ki woh log mafi kaise mangte hai......yeh picnic to zaroor yadgaar rahegi......

Sab log hasne lagte hai.........aakhir kar sab log Picnic site pe pahunch hi jate hai.........

************************************************************ ******************

Prerna Khushi ko leke picnic table pe bethi hoti hai.........Kashish, Anjali, Kripa aur Charu us jagah ko dekh rahe hote hai.........

Sujal: Kashish muje tumse baat karni hai.........

Kashish: lekin muje kuch nahi sunna........

Sujal: tumhe sunni hogi.........

Kashish: Sujal main nahi sunugi........ab mera rasta chodo........

Sujal: pehle kaho maff kiya......

Kashish: kabhi nahi......

Sujal: kaho.....varna main yaha sab ke samne tamasha karunga......

Kashish: tumhe jo karna hai karo........main kuch nahi janti..........chalo Kripa..........

Sab log chale jane lagte hai........

************************************************************ ******************

Angad: Sujal yeh to ja rahe hai......

Kavya: kuch karo........

Akshat: Jaldi Bhaiyaa........

Sujal start to sing..........

o meri jaan na lele ke meri jaan teri ada, teri ada

(Sujal Kashish ki saree ka pallu pakad leta hai)

jaan jala na tujhe pe deewana main hoon fida

(Kashish gusse me Sujal Ko dekhti hai)

gusstakhi maaf karde, abb to insaaf karde

(Sujal Kashish ke samne Apne gutno pe beth jata hai)

apna dil saaf karde, kehna to maan le

(Sujal apne kan pakadta hai aur Kashish dusri aur dekhne lagte hai)

ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de (

Angad Kripa ke samne beth jata hai)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Kavya bhi Anjali ke samne)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Akshat bhi Charu ke samne lekin sab ladkiyan waha se chali jati hai)

gussa tera jhootha, jhoothi moothi berukhi hai

(Sujal Kashish ko phool deta hai lekin Kashish muh pher leti hai)

jaanu main to jaanu, teri naa mein ashiqui hai

(Sujal woh phool phekne wala tha lekin Kashish use rokti hai)

aye sanaam na kar sitam, tujhko khuda ka vasta

(Kashish woh phool gusse me pass me bethi ek bachi ko de deti hai)

gustaakhi maaf karde, abb to insaaf karde

(Sujal Kashish ke samne uth bess karta hai)

apna dil saaf karde, kehna to maan le (

lekin kashish uski taraf dekhti bhi nahi)

ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Kavya bhi aise karta hai)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(akshat bhi)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Angad bhi lekin phir se ladkiyaan jane lagti hai)

tanha na kategi zindgani jaanle tu

(Sujal Kashish ka haath pakad ke use apni aur khichta hai)

meri bhi zarurat tujhko hogi maanle tu

(Kashish Sujal ke pair pe apna pair zor se marke chali jati hai)

mar ke bhi na chodunda teri baahien tera raasta

(Sujal phir bhi Kashish ka haath pakad ke rokta hai)

ghustaakhi maaf karde, abb to insaaf karde

(Sujal Kashish ke samne haath jodke apni palke zuka deta hai)

apna dil saaf karde, kehna to maan le

(Kashish waha se chali jati hai)

ho ho jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Angad bhi Kripa ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Kavya bhi Anjali ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)

jaane bhi de bhi hua, jaane bhi de

(Akshta bhi Charu ke samne aise karta hai lekin woh bhi chali jati hai)

************************************************************ ******************

Sujal, Angad, Kavya aur Akshat mayus hoke dusri aur muh modke jane lagte hai...........Kashish, Anjali, Kripa aur Charu ke saath ja rahi thi jab woh piche mud ke Sujal ko dekhti hai ...........Kashish jake piche se Sujal ka haath pakadti hai......

tum hi meri jaan ho tum hi armaan ho

(Kashish Sujal ka haath pakad ke use apne aur karti hai)

tum hi dhadkanon mein ho sanam

(Kashish Sujal ka haath apne dil pe rakhti hai)

dil ka yeh iraada hain

(Kashish ke aankh se aanshu behte hai)

tumse mera vaada hain

(Kashish sujal ke haath ko kiss karti hai)

jeena marna tere sang hai sanam

(Kashish Sujal ke gale lag jati hai)

************************************************************ ******************

Sujal: Kashish.......tumne muje maff kiya.......

Kashish: Sujal.......tumne soch bhi kaise liya ki main tumse naraz ho sakti hoon........kya kabhi main apne aap se naraz ho sakti hoon......nahi na.......aur tum aur main alag kaha hai...........nahi Sujal main kabhi tumse khafa ho hi nahi sakti.......

Sujal: to phir yeh sab...

Kashish: woh main thoda sa majak kar rahi thi.........agar tumhe bura laga ho to I am Sorry.....

Sujal: abhi abhi to tumne kaha ki hum kabhi ek dusre se naraz nahi ho sakte to...........

Kashish: Lekin aaj ke baad kabhi mujse jooth mat bolna.......kyunki tumhe jooth bolna hi nahi aata.........main to usi waqt samaj gayi thi jab mere naste me jyada mirchi thi.......kyunki tum jante ho ki doctor ne muje abhi Mirchi khane se mana kiya hai........aur tumse achcha mera khayal kaun rakh sakta hai......

Sujal: to tumne kuch kaha kyun nahi.....

Kashish: kyunki tumne kitne pyaar se mere liye khana order kiya tha.....main tumhara dil rakhna chahti thi........

Sujal: aur iske liye tumne tikha khana bhi kha liya........

Kashish: haa......

Sujal: i love you Kashish........

Kashish: I love you too Sujal...........

Kashish aur Sujal ek dusre ke gale lagte hai......

************************************************************ ******************

Angad: excuse me..........

Sujal: kya hai.....

Angad: tune apna mamla to kar liya.......ab hum sab ka kya..........

Akshat: Bhabhi unse kaho na ki hume bhi maff kar de..........ple Bhabhi.......

Anjali: Kripa.....maine bhi Kavya ko maff kar diya ab tum bhi........

Kripa: nahi anjali..

Kashish: Kripa.....Charu......yeh log apni galti man rahe hai na......aur dil se mangi huyi mafi ko hum na kaise kar sakte hai......hai na.....agar tum log meri baat nahi manoge to main tum dono se naraz ho jaungi.......

Kripa: thik hai........is bar sirf tumhare kehne pe....

Charu: agli bar aisi galti yeh log karenge na to hum inhe kabhi maff nahi karenge.....

Sujal: aur inki jimedari main leta hoon.......aainda se hum log kabhi aap logo se jooth nahi bolenge.........main aap logo se vaada karta hoon ki hamari is hasti khelti zindagi ko kabhi tutne nahi dunga............

Kashish: aur iski jimedari me leti hoon............kyunki Sujal kabhi apne vaade se mukarta nahi........

Anjali: chalo aap sab....Mama hamara intzaar kar rahi hai........

************************************************************ ******************

Sab log lunch lene ke baad bethe hote hai.........

Angad: ab kya kare.......

Akshat: let's play Antakshari.......

Kripa: great idea....

Charu: Nahi..........aaj Kashishbhabhi hume apni Prem kahani sunayenge..........

Kashish: Nahi charu aaj nahi........phir kisi din....

Akshat: nahi bhabhi.....aaj hi .......aaj kitna achcha moka hai sab log yaha hai.......sunaiyena......humne aapki prem kahani ke kafi kisse sune hai.....lekin aaj suru se bataiyena.....

Kashish: main kaise.........aap log Sujal se kahiye......

Sujal: main nahi bata paunga......Kashish tum hi bata do......kyunki main bhi aaj sunna chahta hoon.........

Kashish: thik hai........lekin sirf tumhare liye.........

Angad: oye hoye......main mar jawa...........

************************************************************ ******************

Kashish: to suno..........meri kahani shayad bahot si aam ladkiyon ki tarah hogi lekin ise khaas banaya hai ek khaas insaan ne...........thik hai pehle se shuru karti hoon...........

"Main Mumbai ki rehnewali thi......bachpan se hi main pyaar me bahot yakeen karti thi.......main bhi sapne dekhti thi.......mere sapne me bhi ek rajkumar aata tha.......jo mera haath thamna chahta tha.....phir main badi hoti gayi aur badi hone ke saath saath pyaar pe mera yakeen aur bhi gehra hota gaya.......jaise mera dusra naam hi Mahobbat ho..........bahot hi kam umar me maine bahot kuch pa liya tha.......khud ka business......ek naam.....ek shuharat........lekin phir bhi main bahot hi tanha thi........jab muje kaam ke silsile me Delhi aana hua.........Sujal hi wahi tha jo muje airport pick up karne aaya tha.........pata nahi lekin pehli hi nazar me muje laga ki yahi hai woh jiska muje intzaar tha.......pata nahi lekin Sujal ki aur main khichti chali gayi........Prachi ki shaadi ke darmiyaan bhi hum bahot nazdig aa gaye the........aur yeh sab ek din ki baat hai......jab sham ko Sujal muje airport chodne aaye tab muje ehsaas hua ki main kisi apne ko piche chod ke ja rahi hoon.......main us waqt to samaj na payi lekin Sujal ke jane ke bad muje ehsaah hua ki yeh pyaar hi hai........kisi ne sach kaha ki ek pal me bhi pyaar ho sakta hai........lekin jab wapas ghar pahunchi to Papa ne meri Shaadi us Tushar ke saath tai kar di thi.........main bahot royi lekin papa ne meri ek nahi suni........mere pass aur koi rasta nahi tha........Mere pass Sujal ko contact karne ka bhi koi number nahi tha.......maine tushar se shaadi karne ko haa kar di.......lekin yeh Kripa, Anjali aur Kavya ne milke is shaadi ko rok diya........us din meri aur tushar ki mangni pe maine sabko bata diya ki main Sujal se pyaar karti hoon........bahot bhala bura kaha papa ne........main us waqt ghar chod ke chali gayi........main bahot hi khush thi kyunki main vapas Delhi ja rahi thi lekin..........."

Akshat: lekin kya.......

Kashish: yaha se Sujal aap logo ko batayega............

Sujal: thik hai........main sunata hoon ki kya hua.........

" Kashish ko airport pe dekhte hi muje laga ki yahi woh ladki hai jo muje sambhal sakti hai.....jo mere liye banai gayi hai......jaise jaise main Kashish ko janne laga waise woh muje achchi lagne lagi.........muje bhi usi baat ka ehsaas tab hua jab main Kashish ko chodne airport gaya........aisa laga ki meri zindagi mujse dur ja rahi ho.......phir kaam ke silsile me muje aur Angad ko Singapore jana pada teen mahino ke liye........lekin us daurran bhi kashish ke liye mera pyaar badhta gaya......jab main wapas aaya to Mama ko yeh baat ka pata chala aur usne zid ki ke main Kashish ko bahu banake ghar lau.........main aur Angad Kashish ko dhundhne ke liye Mumbai aaye......jaha hume pata chala ki Kashish ne apna boutique bech diya hai..........hum kashish ke gahr gaye jaha hume pata chala ki sab log Hospital gaye hai.........jab hospital jake dekha to meri zindagi ka woh sabse kamzor lamha tha......kyunki meri kashish mere samne coma me thi.....ha us din Delhi aate waqt unka accidant ho gaya tha.......mere chute hi Kashish coma me se to bahar aa gayi lekin unki yaadash chali gayi thi........."

Charu: phir kya hua........

Kashish: aage main batati hoon.......

" main yahaan tak ki apna naam bhool gayi thi to Sujal ko to main kaise yaad karti.......maine Sujal ko bahot rulaya bhi hai......lekin dheere dheere hum dost banne lage........dost se woh kab muje achcha lagne laga yeh main khud nahi janti thi......phir bhi muje kuch yaad nahi tha......meri aur Sujal ki magni huyi.........Sujal mere liye bahot hi pareshan rehta tha..........jab muje ehsaah hua ki main sujal pe ek boj ke siva kuch nahi hoon......maine tai kar liya tha ki main Sujal ki zindagi se chali jaungi......maine sujal se apni mangni tod di aur Sujal ko hamesha ke liye mujse dur jane ko kaha............"

Akshat: aur bhaiyaa aap chale aaye......

Sujal: aise kaise chala jata........

" haa main kashish ko chod ke ja raha tha lekin main ek bar Kashish ko milna chahta tha........airport pe........main janta tha ki woh zaroor aayegi aur woh aayi bhi............lekin phir bhi usne muje roka nahi.......jab main andar chala gaya........tab kashish ko sab kuch yaad aa gaya.......lekin main kabhi gaya hi nahi tha.....kyunki mere pass to ticket hi nahi tha..........woh pehli bar tha jab humne ek dusre se apne pyaar ka ishaar kiya...phir kya hum dono ki shaadi ho gayi.........aur..."

Charu: aur aap log ki zindagi khushiyon se bhar gayi.....

Kashish: nahi Charu.......jaha khushi hoti hai wahi dard bhi hote hai..........

" haa Sujal se shaadi karke muje jaise jannat naseeb ho gaya tha..........bahot khush thi main Sujal ke saath........phir Papa ke chale jane ke baad.....Sujal office me busy rehne laga........hum dono me duriyaan badhti gayi........bina waje hum ek dusre pe gussa ho jate.......aur ek din......"

Akshat: aur ek din kya......

Sujal: woh din meri zindagi ka sabse manhoos din tha.......

"us din muje Blood cancer ki khabar huyi..........meri zindagi jaise ek din main hi khatam ho gayi.......main marne se nahi darta tha lekin kashish se dur hone se darta tha.......main kashish se apni duri banne laga..........aur ek din maine Kashish ko ghar se aur meri zindagi se nikal jane ko kaha......bina kashish ko kuch sune......maine use ghar se nikal diya......."

Charu: aur aap Bhabhi chali gayi........

Kashish: kya karti.......Sujal ka kaha kaise na manti.........

" us din me bahot khush thi .........sujal ka ghar aane ka intzaar kar rahi thi.......main use apne honewale bache ke bare me batana chahti thi.....lekin Sujal ne aate hi mujse zagda karna shuru kiya aur main kuch kahoon usse pehle muje nikal jane ko kaha..........haa main nikal aayi kyunki main sujal ke samne rehkar uske dard ka karan nahi banna chahti thi.........bahot gussa bhi aata tha muje........bahot royi thi main........bahot hi tanha mehsoos kar rahi thi.........jab muje Sujal ki sabse jyada zaroorat thi to woh mere saath nahi tha...."

Akshat: bhaiyaa aap.......

Sujal: agar kashish ka yeh haal tha to Sujal usse bhi jyada roya hai.......

" Maine kashish ko durr kiya tha to sirf is liye kyunki woh meri maut bardasat nahi kar sakti.........woh yeh kabhi dekh nahi pati......is liye maine kashish ko jaan bujke apne aap se durr kar diya........lekin kabhi aisa nahi laga ki Kashish mere saath nahi......kyunki her waqt woh mere khayalon me rehti thi........jab Kripa aur Angad ne muje ehsaas karaya ji Kashish se chupake main kitni badi galti kar raha hoon.........main Kashish ko lene jab Mumbai pahuncha tab muje pata chala ki Kashish Maa bannewali hai..........lekin Doctor ne muje mana kiya tha kisi pareshani jaisi baat kashish ko batane se......."

Charu: aur aapne Bhabhi se kuch nahi kaha.........

Kashish: nahi.....kuch nahi kaha..........

" Kaha to sirf itna ki main tumhe lene aaya hoon.......lekin usi din maine Sujal aur Angad ki baatein sun li........us raat ko main kabhi nahi bhool sakti.....ek hi pal me mere samne mera yeh aasiyana tut raha tha.......jo meri jine ki wajah hai woh mujse dur ho rahi thi..............Sujal ne muje bahot samjaya lekin maine haar nahi mani.........bahot dhundhne ke baad muje tum logo ka pata chala.........maine Sujal se vaada kiya tha ki woh mujse bhi pehle hamare bache ka chehra dekhega........aur dekho......aaj maine apna vaada nibha diya........"

************************************************************ ******************

Kashish: bas yahi hai meri aur Sujal ki ek choti si prem kahani..........

Charu: yeh sunke mere aankh me aanshu aa gaye........kitni dardbhari kahani hai.......kitna pyaar hai aap dono me...........kitna atoot vishwas hai aap dono me........sab sach hi kehte hai ki aap log ek dusre me jite ho........muje abhi bhi yakeen nahi hota ki aap dono ke saath itna sab kuch hua......

Kripa: aur is baat ke hum sab gawaah hai.........

Sujal: shayad.......is dard ne hi kahi na kahi hamare ristey ko majboot kiya hai.........aaj main zinda hoon to sirf aur sirf Kashish ki waje se.......

Kashish: nahi......Sujal yeh tumhara pyaar hai jo muje yeh sab.......agar main agle saat janam bhi loon tab bhi muje tumse jyada pyaar karnewala koi nahi mil sakta...........main her janam me sirf aur sirf tumhari banugi........

Sujal: tum meri thi.....meri ho.....aur meri hi rahogi........

Kashish: haa Sujal..............agar Sujal ka dusra naam kashish hai to Kashish ka dusra naam bhi Sujal hai........

Akshat: sach me..........koi yeh do naam juda nahi kar sakta..........yeh naam hamesha ek saath hi liya jayega..........

"KASHISH-SUJAL"

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#28

Part-66

Kashish apni office me kuch naye designs bana rahi thi jab Charu waha pe aati hai........

Charu: Bhabhi........yeh courier aap ke liye aaya hai......

Kashish: mera courier.......la de muje......

Charu: main chalti hoon..........muje woh Priya ke saath kuch details check karni hai.....

Kashish: thik hai tum jao..........

Kashish Charu ke jane ke bad us Courior ko kholti hai jisme ek khat hota hai............

Dear Kashish........

Main aaj bahot bahot khush hoon ki tum Maa bannewali ho........lekin usse jyada is baat ka dukh hua ki tum Sujal ke bache ki Maa bannewali ho.........Kyun kiya aisa Kashish..........Kyun her bar tum meri muskile badha deti ho.........ab pehle muje sirf Sujal ko apni zindagi se hatana tha.........ab muje iske pyaar ki nishani ko bhi is duniya jane dena hoga......tabhi mere dil ko tasli hogi......Lekin Kashish main samaj nahi pa raha ki Pehle Baap ko is duniya se upper pahuncau ki uske bache ko..........ab tum hi bata do tum kisse pehle dur hona chahti ho............tumhare jawab ka intzaar rahega.....

Your Wellwisher.......

Kashish (tears start to come): ab main kya karoon......... agar Sujal ko bataya to woh mujpe hi gussa hoge........aur kya pata kahi kisi ne majak bhi kiya ho......lekin itna gira hua majak......nahi yeh majak nahi ho sakta........kyunki her bar isi tarah letter aata hai........aur yeh wahi handwriting hai.............kise kahoon........Main Kripa se baat karti hoon............

************************************************************ ***********

Kashish Kripa ke office me jati hai...........jaha Kripa Mr. Yadav ke saath kuch files discuss kar rahi hoti hai...

Kashish: Mr. Yadav........aap jaiye muje Kripa se kuch akele me baat karni hai........

Mr. Yadav: jee....Mam......

Kripa: Kashish teri tabiyat to thik hai na........yun is tarah........

Kashish: Kripa ise padh.........

Kripa sara khat padhti hai......

Kripa: Kashish...........muje bhi ab bahot darr lagta hai.......isse pehle kuch anhoni ho jaye.....hume Police me jaan kar deni chahiye......

Kashish: Agar use pata lag gaya ki hum Police se milne gaye the to...........

Kripa: to tu ab kya karna chahti hai.....

Kashish: Kripa...........yeh koi aisa hai jo har waqt meri zindagi pe nazar dalta hai...........koi aisa jise hamari sari baatein pata ho...........

Kripa: lekin aisa kaun ho sakta hai............

Kashish: pata nahi.......lekin muje use kisi bhi hal me dhundhna hoga..........usse pehle ki woh mere parivar tak pahunche........

Kripa: Main samaj sakti hoon.............lekin tumhe Sujal ko bata dena chahiye....

Kashish: main use bataungi lekin is waqt nahi........kyunki mere pass koi saboot nahi ki main unhe yakeen dila saku.............is waqt muje saboot dhundhne hoge.........

Kripa: lekin woh hume kaha se milenge..........

Charu: is courior ke office se.......

Kashish: charu........tum.....

Charu: haa Bhabhi......maine sab kuch sun liya...........ab aap akeli nahi hum sab milke aapko is musibat se bahar nikalenge........lekin filhal hume us courior ki office jana chahiye.......chaliye.......

Kripa: Haa.......charu bilkul thik keh rahi hai..........

Kashish: thik hai chalo.......................

************************************************************ ***********

Kashish, Kripa aur Charu sab log Trade Courier pahunchte hai................

Kripa: suniye........hume kuch jankari chahiye..........is courior ke bare me ................

Kasturi: Lekin Madam..........isme hum aapki koi madad nahi kar sakte.......yeh hamare company ke khilaf hai........

Charu: hume sirf us insaan ka naam janna chahte hai..........

Kasturi: Mam......maine kaha na ki yeh rules ke khilaf hai...........I am Sorry Mam.........agar mere boss ko pata chal gaya to meri naukari ja sakti hai...........

Kashish: aap nahi janti hum bahot badi musibat me hai.......agar hume pata nahi chala ki yeh courior kisne bheja to shayad kisi ki jaan ja sakti hai.........

Kasturi: lekin mam........

Kashish: hum koi aise nahi.........hum bhi aapki musibat samaj sakte hai lekin is waqt hum bahot pareshan hai.........Ple.........agar aap chahe to main aapke boss se baat kar sakti hoon.......

Kasturi: lekin meri naukri......

Kripa: agar yaha se tumhe nikal de to KnK Boutique aur Magazine aa jana .........hum tumhe achchi naukri de denge.........lekin is waqt tum hume woh naam bata do.........

Charu: warna hum Police ko bulate hai......

Kasturi: police..........thik hai main dekhti hoon..........is couriour ko yaha kisi Shaiyad Aslam naam ka aadmi chod gaya hai.........

Kashish: uska koi pata........

Kasturi: sirf itna hi likha hai Chandni Chowk........

Kripa: thank you veru much...........yeh hamara card hai kabhi zaroor padi to.........

Kashish: chalo chal ke dekhte hai.............

************************************************************ ***********

Kashish, Kripa aur Charu teeno Chandni Chowk pahunchte hai.............

Kashish: Suniye behenjee.........aapne Shaiyad Aslam ko dekha hai.........

Aurat: woh jo 306 number ki kholi hai na usme rehta hai.......

Kripa: Sukhriya.....

Charu: Bhabhi..........aap yahi rukiye......main aur Kripabhabhi dekh ke aate hai.........woh Sidi bahot choti hai is liye......

Kashish: thik hai..........lekin jaldi aana..........

Kripa: tu ghabra mat........

************************************************************ ***********

Kripa aur Charu upper jate hai jab Kashish ke mobile pe Sujal ka phone aata hai........

Kashish: haa Sujal ...........bolo kuch kaam tha..........

Sujal: kab se tumhari office me try kar raha hoon........aur Phir Kripa aur Charu ke bhi,,,,,,,lekin koi utha nahi raha........aur tum sab ke mobile phone kaha pe hai..........

Kashish: woh shayad hum bahar gaye hai is liye network nahi mil raha hoga.......

Sujal: bahar kaha..........aur yeh aawaz kaisi hai.......

Kashish: woh hum log Chandni Chowk aaye hai.....

Sujal: Kya.......Chandni Chowk...........lekin kyun..........

Kashish: woh yaha ka ............yaha .......hum log kuch saree ke Zaree Work dekhne aaye the.........bas hum log nikal hi rahe hai.........lekin tum kaha ho...........

Sujal: hum log to ghar pahunch gaye hai.........aap log bhi jaldi se aa jaiye........thik hai.......

Kashish: jee hum abhi nikalte hai............bye.......

Sujal: bye..........sambhal ke aana........

************************************************************ ***********

Jab Kripa aur Charu wapas aate hai.......

Kashish: kya hua............

Kripa: woh pichle teen din se ghar nahi aaya.........

Kashish: ab use kaha dhundhenge.............

Charu: Bhabhi aap chinta mat kijiye.........unki Maa ne bataya ki woh jaldi hi wapas aa jayega........humne unhe apna number de diya hai.........jaise hi woh aayega.........Uski Maa hume bol degi........

Kashish: Pata nahi lekin yeh paheli to suljne ke badle yeh to gehri hoti ja rahi hai........

Kripa: hum jaldi hi is paheli ko sulja denge.........ab chalo chalte hai..........

Kashish: chalo........abhi Sujal ka phone aaya tha ki woh ghar pe pahunch gaya hai....aur saath me Akshat aur Angad bhi..........

************************************************************ ***********

Jab teeno ghar pahunchti hai to sab log unka intzaar kar rahe hote hai.........

Kripa: aap log yaha kya kar rahe ho.......

Sujal: aap logo ki saree taiyaar ho gayi.....

Charu: sareeeeeeeeeeeeeee.........

Kashish: Charu.........hum woh jo saree ka zari ka kaam dekhne gaye the yeh usi ke bare me puch rahe hai.......

Charu: oh............woh saree........ha achchi thi lekin itni nahi.......

Angad: agar Chandni chowk me jaoge to aisa hi hoga........

Kripa: woh jagah aisi waisi nahi.......sari duniya ke log use dekhne aate hai........

Angad: sari duniya ke aate honge lekin is waqt mere pet me cuhe daud rahe hai...........

Prerna: chalo.........khana taiyaar hai..............

************************************************************ ***********

sab log dinner kar rahe hote hai.........

Prerna: Anjali..........karwa chouth kab hai.....

Anjali: Mama.......teen din baad Karwa chouth hai.........

Prerna: aur yeh karwa chouth to tum sab ka pehla hai...........is bar to bahot bada jasn hoga.........bahot sari taiyaariyaan karni hai...........parso tum charo me se koi kahi nahi jayega.........sab meri madad karoge.......sivay Kashish ke........

Kripa: thik hai mom.......lekin ek shart pe.......

Prerna: woh kya.............

Kripa: agar yeh sab mard log bhi hamari madad kare to.....

Angad: Kya pagal ho gayi ho......main aur tumhari madad.........

Charu: kyun hum sab aap ki madad kar sakte hai to aap log kyun nahi.......

Akshat: kyunki yeh sab kaam aurat karti hai........

Anjali; jee nahi........is bar ab yeh sara kam aap karenge........

Akshat: bhiyaa.......kuch kahiye na......

Sujal: muje lagta hai is bar hamari biwiyaan sahi hai.......

Angad: dekha...........kis tarah bazi mod li isne.........Ab Kavya tum hi kuch kaho.........

Kavya: main to us din Khushi ka sambhlne wala hoon........is liye..........i have a better excuse...........

Akshat: aur bhiyaa aap..........

Sujal: muje Kashish ka khyal rakhna hoga..........

Angad: Akshat..........kuch soch........warna hume pure din in aurato ki sewa karni hogi...........

Prerna: chup..........main abhi zinda hoon ......main hi tai karti hoon..........sare ghar ki aurate Shopping pe jayengi..........main Khushi ko sambhalungi..........aur tum charo mil ke iski taiyariyaa karoge.........aur muje yeh Ghar Dulhan ki tarah saja hua chahiye..........samje tum............

Prerna waha se chali jati hai........

************************************************************ ***********

Kavya: Anjali main........

Anjali: Kavya.........muje lal rang bahot pasand hai.......ho sake to sare ghar ko lal rang ki chunari me saja dena.........main khushi ko sulane ja rahi hoon..........

Angad: Kripa........meri pyari biwi.........

Kripa: nahi......main to pagal hoon.........aur jante ho muj jaise pagal ko yeh ghar ek dum saaf sudhra chahiye.........samaj gaye.......main chali apne kamre me........

Akshat: Charu........tum to muje samaj sakti ho..........

Charu: Akshat.........agar us din ki tarah bahar se tumne khana magaya to mujse bura koi nahi hoga...........aur main aaj hi ghar ke sare naukar se keh deti hoon ki woh tumhari koi madad na kare.............ab main ja rahi hoon........muje abhi Shopping ki list banani hai............

Sujal: Kashish........

Kashish: kuch kehne ki zaroorat nahi.......tum jaisa bhi karoge muje bahot hi pasand aayega.......I am Sorry.....main tumhari madad nahi kar sakti is bar.....lekin phir bhi aap me se kisi ko bhi madad ki zaroorat ho to muje bata dena.........

Sujal: thanks kashish........

Kashish: main thak gayi hoon aur meri dawai ka waqt ho gaya hai..........main apne kamre me ja rahi hoon.............Sujal woh........

Sujal: tumhe diye pasand hai na.........

Kashish: haa.........bahot.......

Sujal: tum jaisa chahogi waisa hi hoga..........tum jao main kuch dair main aata hoon........

************************************************************ ***********

Akshat: bhiyaa yeh aapne.......

Angad: yahi sikhna tu apne bhai se........ki kaise biwi ki gulami karte hai.......

Sujal: ha main Kashish ki gulami karta hoon lekin kaun nahi karta........

Kavya: yeh sahi kaha.......aur khas karke bacha hone ke baad..................

Angad: lekin Kavya........sab ki biwi Sujal ki tarah nahi hoti.............

Sujal: kyunki sab mere jaise kismatwale nahi hote............Kashish ek hi hai..........jo is Sujal ki ho gayi hai agale saat janam tak.........

Angad: Akshat............tu mera assistant banega.....

Akshat: Assistant......

Angad: main ek film bana raha hoon........Aaj ke Laila Majnu........jiski laila Kashish aur Majnu Sujal hoga.........kya Super Hit film hogi......

Sujal: agar tu banayega to sab se super flop hogi..........audience me sirf char log honge......hum char.........kyunki agar hum apni biwi ko leke jayenge na to joothe padenge samje.........ab yeh socho ki kaha se shuru karenge..........

Kavya: sab se pehle hume yeh dekhna hoga ki kaise sajaye jaye is gahr ko...........

Akshat: woh aap sab muj pe chod dijiye.......main Internet pe se koi design nikal lunga.........

Sujal: thik hai.........ab hum sab ko chalna chahiye......bahot raat ho gayi hai...........

Kavya: kal office me aage ka plan discuss karte hai........good night guys........

Sujal: good night........

Angad: ab kahe ki Good night..........

Akshat: chodiye na Angadbhiyaa......chaliye.........

************************************************************ ***********

Jab Sujal apne kamre me aata hai to Kashish khidki ke pass khadi kuch soch rahi hoti hai..........

Sujal: hey.....kya soch rahi ho........mere bare me hi soch rahi thi na........

Kashish: Sujal.........I am Sorry..........

Sujal: kis liye.......

Kashish: kyunki aaj maine tumse jooth bola.............maine tumse vaada kiya tha ki main kabhi tumse koi baat nahi chupaungi.........lekin......

Sujal: Kashish........meri aur dekho........aur batao..........kya baat hai........

Kashish: Sujal.........yeh lo.........ise padho........

Sujal Kashish ke haath se letter leke padhta hai.........

Sujal: Kashish..........itni badi baat tumne mujse chupayi........

Kashish: muje laga ki tum us din ki tarah mujse naraz ho jaoge..........is liye main khud aaj Kripa aur Charu ke saath Chandni Chowk gayi thi is letter ki puchtan karne........waha se pata chala ki yeh kisi Shaiyad Aslam ka kaam hai lekin woh waha nahi hai aur kitne dino se ghar hi nahi aaya.........

Sujal: yeh baat itne aage badh gayi aur tumne muje bataya nahi..........

Kashish: Sujal.......muje bahot darr lag raha hai............agar tum dono me se kisi bhi ek ko kuch ho gaya to main apne aap ko kabhi nahi maff kar sakugi.........shayad main tum dono ke bigar jee bhi nahi sakti........Sujal..........muje bahot darr lagta hai........

Sujal: Kashish.......meri aur dekho.........kuch nahi hoga.......samji.......humne itne imtihaan pass kiye hai........yeh ek aur hi sahi.......lekin mujse vaada karo ki tum isi tarah mera saath dogi......main is imtihaan ko akele nahi lad sakta.........dongi na mera saath..........

Kashish: haa.......lekin mujse vaada karo ki tumhe ya hamare bache ko kuch nahi hoga.......

Sujal: Kashish...........main vaada karta hoon ki muje, tumhe ya is bache ko koi alag nahi kar sakta.........mujpe yakeen hai na tumhe........

Kashish: khud se jyada.........

Sujal: to ab tum bilkul bhi pareshan nahi hogi........kyunki tumhari sehat ke liye yeh achcha nahi......thik hai..........

Kashish: hmm........Sujal.......

Sujal: hmm.........

Kashish: I love you...........

Sujal: I love you too Kashish...........

************************************************************ ***********

Jab achanak se light chali jati hai.........Kashish darr ke Sujal ke gale lag jati hai..........

Sujal: Kashish.......meri aur dekho..........

Kashish sir uthake Sujal ko dekhti hai............khidki se Poonam ki chandni Kashish ke chehre pe girti hai........Kashish ke bal kuch uske chehre pe hote hai.......Sujal Dheere se Kashish ke baal ko hatata hai.....Sujal dheere se apni ungli Kashish ke hoth pe rakhta hai.............

Sujal: shhhhhhhhhh..................

Sujal kashish ke baal hatake Kashish ke neck pe kiss karta hai........Kashish apne dono haath se Sujal ko apni aur kareeb pakad ke rakhti hai........Sujal moves from neck to her lips..........when their lips met, it was like the time was stopped for two lovers..........this was the first kiss after so much time have been past and so much had happened..............it seems like it was forever..........Sujal move his hands little bit to open the string of her choli ..........when Kashish pushed him.............

Kashish: Sujal........

Sujal: I am sorry ..........i forget.......that you are pregnant........

Kashish; it is ok........main bhi kuch pal ke liye bhool gayi thi.........

Kashish was feeling embarrising ..........sujal use apni baahoin me khichta hai......

Kashish: Sujal kya kar rahe ho.......

Sujal: ghabrao mat..........sirf gale lag raha hoon........

Kashish: janti hoon......lekin muje tumpe yakeen hai khud pe nahi......

Sujal: kya kaha......

Kashish: tumhare chute hi main sab kuch bhool jati hoon........ab muje jane do ise pehle main apna hosh kho bethu.........ple........ple.........

Sujal: ek shart pe..........pehle kaho Sujal I love you.......

Kashish: I love you.......

Sujal: nahi aise nahi........Sujal I love you........

Kashish: I love u........my dear husband Sujal.........

Kashish kiss sujal on his cheek and went to the bed..........Sujal keeps smiling and returns to bed and Kashish puts her head on his chest and went to sleep in his arms..........

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#29

Part-1

We see a dining hall and a lady is talking on the phone.

Lady: Kya baat hai Kavya aaj subaah subaah meri yaad aa gayi.

Kavya: Wah Anjali! Agar main subaah phone nahin karoon to tum naraz hoti ho aur phone karo to bhi tum.

Anjali: Aisi koi baat nahin hai aur haa pyaar kiya hai to hume bhi to jelna padega.

Kavya: Kambakt yeh pyaar hi to hai jo hume subaah subaah tumhare aur khichta hai.

Anjali: yeh pyar vyar ki baatein chodo aur main tumhe office me aakar milti hoon. abhi papa aate hi hoge breakfast ke liye.

Kavya: to pehle kaho ki tum mujse pyaar karti ho..

Anjali: kya subaah subaah pili hai tumne.........

Kavya: Majak mat karo......

Anjali: I Love........main office aakar bataungi.

Kavya: Anjali this is not fair......

Anjali: Bye kavya........i love you.........

Kavya: that's like my anjali............i love you too........

Someone from back " Hmmmmmmmmm...........Hmmmmmmmmmmmm......"

Lady: Kya anjali aaj subaah subaah hi tum dono suru ho gaye.

Anjali: tu nahin samjegi ki pyaar kya hai. Jab tuje pyaar hoga to pata chal jayega.

Lady: Pyaar aur woh bhi Kripa ko..impossible.

Anjali: impossible kuch nahin hai. tu jaldi se beth breakfast kar aaj muje office me meri important meeting hai.

Kripa: Janti hoon kiske saath hai. Of course kavya right. Anjali tum muje ek baat batao ki pyaar kya hai. aur woh bhi sachcha.

Somone comes from the back and puts her hand on Anjali's shoulder.

Lady: Pyaar woh lamha hai jis ke liye hum puri zindagi uska intazaar kar sakte hai........................Pyaar woh ehsaas hai jis ek pal me hum apni puri zindagi ji dete hai...........Agar aap is duniya me pyaar na kiya to kya kiya.................Aur sachcha pyaar dhundha nahin jata woh to bas aapko mil jata hai kahi bhi..................

Kripa: Lekin kashish hume pata kaise chalega ki yehi woh hai jis ka hume barso se intazaar tha.

Kashish: Pyaar ko parkhane ke liye bas ek nazar hi kafi hai..........aur phir hamara dil hai na woh hume sab raste batayega............Jaise tum aankhe bandh karo.........

Kripa: Per kyun........

Kashish: Tum sawaal bahot karti ho.........

Kripa closed her eyes.

Kashish: Tumhe koi chehara dikhai de raha hai........

Kripa: Nahin....

kashish: jab tumhe bandh aankheon se bhi ek hi chehra nazar aaye uska matlab hai ki wohi hai tumhara pyaar.........samji......

Kripa: pata nahin lekin mere dimag me tere yeh philosophical thoughts ke liye koi jagah nahin hai.

Anjali: Ab tum dono ladna bandh karo aur breakfast karo.....papa bas aate hi honge.........meri ek baat samaj me nahin aati ki tum dono ke vichar aur aadte bilkul ek si hai to tum dono hamesha kyun pyaar ko lekar behas karte ho..........Tum Dono pyaar ke mamle me utter dakhin ho.......

Kripa: Anjali tum chinta mat karo....agar yeh kuch din mere saath rahegi to mere jaisi ho jayegi.........

Kashish: Aisa kabhi nahin hoga........tum kitna bhi muje badal ne ki koshish karo lekin mere pyaar ke jo maayne hai usko tum badal nahin sakti.......

Anjali: Shut up you both and eat your breakfast....

Kashish & Kripa: Yes maam........

And anjali just put her hand on her head " Oh god ple help me"

End of the first part

Edited by goodkashish - 17 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#30

Part-4

It is 4o' clock in the clock and prachi still didn't come to the boutiqe.

Kripa: Kashish muje nahin lagta yeh ab aayengi. Aakhir kab tak hum uska intazar karte rahenge. Aur waise bhi ab aadhe ghante me Anjali aati hi hogi.

Kashish: Jahaan panch ghante intazaar kiya wahin aadha ghanta aur tabhi someone enters the office.

Kripa: Kahiye hum aapki koi help kar sakte hai.

Prachi: Jee haa. woh mera naam Prachi Shah aur meri aaj subaah ki 11 baje ki appoinment thi.

Kripa: To aap hi hai miss Prachi shah.

Prachi: Main aapse maafi chahti hoon dair se aane ke liye lekin main Delhi se aa rahi hoon aur meri flight late thi aur phir Mumbai ka traffic to aap janti hi hai.

Kashish: It's ok Miss Shah. Aap khadi kyun hai bathiye.

Prachi: Ple muje sirf prachi hi kahiye ga apnapan lagta hai.

Kashish: To prachi aapne kuch soch ke rakha hai aapke wedding dress ke liye.

Prachi: Waise kuch socha nahin lekin maine phone pe kisise baat ki thi ki who kuch scatches banake rakenge.

Kripa: Woh tumne mujse hi baat ki thi. Tumhare batane ke baad humne yeh kuch designs taiyaar kiye hai aur yeh hai fabric materials.

Prachi is going through designs.

Prachi: Muje yeh wali design pasand hai lekin muje do hafte ke baad taiyaar chahiye.

kashish: Kripa, yeh design yahaan kaise aaye. I am so sorry prachi yeh design to hum aapko nahin de sakte.

Prachi: It is ok. main koi aur dekh loongi.

kashish: Thanks woh yeh design meri badi behen ki shaadi ke liye hai. i hope you understand.

Prachi: Koi baat nahin muje yeh design bhi pasand hai.

Kripa: Thik hai aap do hafte ke baad aayiga aap ki dress taiyaar hogi.

Prachi: I am so sorry lekin main to nahin aa paoungi kisi tarah aap yeh dress pahocha sakte ho.

kripa: Hum to kaise yeh dress dehli tak. Koi to hoga aapka jo yeh dress lene ke liye aa sake,

Prachi: WOh rasam ki waje se muje ghar se bahar nahin nikal ne denge.

Kashish: Koi baat nahin main kud yeh dress aapke ghar tak pahuncha dongi.

Kripa: Lekin Prachi ke thik teen din baad Anjali ki shaadi hai.

Kashish: Don't worry. Main subaah ki flights chali jaungi aur dopahar ki flights se vapas aaungi. Prachi tum befikar hoke jao. Aisa samjo ki tumhari amant mere pass hai.

Prachi: Chalti hoon aur haa phir se maafi chahti hoon dair se aane ke liye.

Kashish and Kripa: It's ok. thanks.........Bye............

Let's see what is happaning in Delhi.

Sujal is working in his office when someone knocks the door.

Sujal: Are papa aap aayina.

Anurag: Kya sujal har waqt kaam hi karte rahoge ya apne liye bhi waqt nikaloge.

Sujal: aisi koi baat nahin hai woh main bas yeh file ko khatam karke nikalne hi wala tha.

Anurag: Woh tumhe yaad hai na humne aaj is project ki kushi me ek choti si party rakhi hai.

Sujal: I am so sorry papa woh main bhul hi gaya. main bas abhi nikalta hoon party ki taiyaariyaan ke liye.

Angad: Uski koi zaroorat nahin kyunki party ki taiyaariyaan ho gayi hai. ab aap chalenge to aap ki maherbani hogi.

Anurag: That's like my boy. Jo zindagi ko jita hai. I think sujal tumhe Angad se kuch shikhna chahiye.

Angad: Yahin to main kab se kehne ki koshish karta hoon lekin yeh meri baat manta hi nahin.

Sujal: Shut up angad. Aur chalo ghar pe mom sab ka intazaar karti hogi.

And they all left the office.

Back to Mumbai

(In coffeehouse)

Kripa and kashish are sitting when Anjali and kavya enters.

Kashish: Hi kavya. Kitne dino ke baad milne aaye ho. Ab to tumhe Anjali hi dikhai deti hai.

Kavya: Aisi koi baat nahin aur dekho tumse milne to aaya hoon. lekin is Kripa ko kya hua hai.

Kripa: Pucho mat kya hua.
Anjali: thik hai nahin puchenge lekin tu pehle bata to sahi.

Kripa: Woh aaj subaah ki client ne hume paanch ghante intazaar karvaya. Lekin dekho na Anjali yeh ek Kashish hai jise kisi baat ka bura hi nahin lagta.

Kashish: Isme bura mannewali kaun si baat thi. Prachi ne humse maafi to mang li naa to phir. Tune dekha nahin itni paisewali hokar bhi kitne saaf dilki aur masoom thi. Prachi ko dekhkar zara bhi aisa nahin lagta ki woh itne bade indusry ke malik ki beti hai. Kabhi kabhi hum log insaan ko pahechan ne me bhul karte hai lekin mauka milte hi hum us bhul ko sudhar bhi sakte hai.

Kripa: Bas kar haa. abhi muje tera lecture sunne me koi interest nahin hai.

Kavya: Hey chill both of u. Tumhe yaad to hoga ki hum yahaan kyun mile hai. to phir shuru kare.

Kashish: Yeh lo di aapke dress ki design.

Anjali and kavya both look at the design.

Anjali: Kashish yeh to bahot hi achchi hai. main nahin janti thi ki meri behen itni badi designer hai.

Kripa: Hello maine bhi kashish ki madad ki hai.

Kavya: Haa baba. yeh credit tumhe bhi jati hai.

they all laugh looking at Kripa.

End of part 4

Edited by goodkashish - 17 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".