Ariya Pyaar ka Farz - Page 6

Created

Last reply

Replies

338

Views

182.4k

Users

36

Likes

1.3k

Frequent Posters

RiyaA123 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#51
Awesome update
Arjun antics were super cute
N Riya Wow
Arjun kissed her cheek
N Riya ka order
The whole update was superb
Loved it
Continue soon
N thanks for the pm
RiyaA123 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#52
Awesome update
Arjun antics superb
Loved riya character
Wow arjun kissed her cheek
Loved the update
Continue soon
N thanks for the pm
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#53
Amazing
Continue soon. Thanks for pm
sana1819786 thumbnail
Love Couple India Season 2 Thumbnail 8th Anniversary Thumbnail + 4
Posted: 8 years ago
#54
Wow fantastic update yar
Ariya moments are too lovely
Arjun sakshi ko muh tod jawab diya yipee
Very interesting
Cont soon
Bye take care
syndeyshine00 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#55
Yeyyy
Riya back in etf
Arjun ne plzzz bola
Awesome update
Continue sooon
hijabEfajr thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#56
arjun hi nai man mei khush hota hum bhi baryyy khush,
woohooo
bloomie thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 9
Posted: 8 years ago
#57
Part 4


Arjun man mein khush hota hai mv "woohoo!!"...

Riya Arjun ki chai aur baakhi sab ke liye coffee lekar aati hai. Sameer aur Shree apni coffee taste karte hai, aur fir mugs exchange karte hai, sab confuse hote hai

Ayesha: aap dono ne coffee kyun exchange ki?

Rathore: kyunki ye Riya ke haathon bani hai

Riya(embarrassed) : I'm so sorry maine firse aap dono ke mugs exchange kar diye?

Shree: nahi toh!

Riya(confuse): toh fir apne mugs adla-badli kyun kiye?

Rathore: kyunki Riya tumhare haathon ki coffee ulti peene ki aadat ho gayi hai...kyun Shree?

Shree: ha sir!

Riya sharmakar apna chehre haathon mein chupa deti hai. Teeno ladke haste hain, Arjun bhi man hi man muskurata hai par ladkiyaan aur confuse hoti hai.

Ayesha: aap log kya keh rahe hai

Shree: are kuch nahi, ye hum teeno ka secret hai..haina sir?

Rathore: bilcul!!

Tabhi security uniform pehne ek admi ek lifafe ko haathon mein lehraatein hue andar aata hai

Watchman: saab! Ye lifafa koi niche chod ke gaya

Rathore usse envelope leta hai: kaun?

Watchman: pata nahi saab, main do minute ke liye bathroom gaya tha, waapis aaya toh yeh table par rakha hua tha, ETF ka naam likha hai toh main aapke paas le aaya

Rathore: acha?...theek hai..tum jao

Watchman nod karke chala jaata hai

Riya samaj jaati hai ki usme kya hai ,Arjun ko doubt hota hai, woh confirmation ke liye Riya ki taraf dekhta hai, Riya aakhon se ishara karke uska doubt confirm karti hai.

Baakhi sab confused hai, Rathore envelope kholta hai...usmein ek paper...use dekhkar Rathore aur confuse hota hai aur table par rakhta hai taaki sab dekh sake

Sakshi: ye toh sirf dots aur blanks hai...lagta hai kisine mazak kiya hai, humare saath

Rathore: nahi Sakshi! Ye morse code hai

Shree: ha sir, main decode karta hun

On the other hand Riya ne apne mind mein already decoding shuru kar diya hai, lekin apna face normal rakhti hai aur sirf paper par concentrate karti hai mv "ughh!! Is gadhe ne teen codes kyun lagaye hai? Yaha sabko samaj nahi aayega...nahi main kya soch rahi hun ekto bichara information secure kar raha hai aur main usiko gaali de rahi hun" woh pura message decipher kar leti hai aur baakhiyon ka wait karti hai

Shree decode karke likhta hai

Paper par -

1,24,11,26,16 24,17 26,18,15,1,5,2,24,1 11,24,8,24

Ayesha: ye toh numbers hai...iska ka kya matlab?

Sakshi: main keh rahi hun na koi hume tang kar raha hai

Arjun: Shree!! In numbers ko letters se replace karo

Shree: ji...(fir ruk kar) matlab?

Arjun: matlab ki 1=a, 2=b...samjhe ya samjhao?

Shree vigorously nods his head and does as he was told

The result-

AXKZP XQ ZROAEBXA KXHX

Liza: it still dosen't make sense...shayad koi aur code ho?

Arjun bhi soch mein chala jaata hai: maybe

Sab confused hai aur code crack karne ki koshish kar rahe, kuch der baad Riya se aur wait nahi hota aur Shree ke hath se pen paper almost grab karti hai

Riya: it's a Caesar's cipher !!!

Aur ek minute ke andar- andar pura message change ho jaata hai -

Dancers at curdhead naka

Chotu: matlab?

Riya: dancers matlab ladkiyan aur curdhead matlab dahi - sar naka

(sorry guys aur kuch sujha nahi, I know curdhead thoda nahi kuch zyada hi silly hai)

Rathore impressed look deta hai

Rathore: good job Riya!

Riya: thank you sir!

Arjun: lekin kab aur kaha?

Riya: ye bhi isi mein hai...Liza..is par phenolphthalein laga kar dekho

Liza: use kya hoga?

Arjun: just do it!

Riya Arjun ko appreciating look deti hai

Liza paper lekar us par phenolphthalein add karti hai aur immediately ek pink text dikhta hai -

Thursday 10:30 pm

Sab use chouk kar ghurne lagte hai, Arjun amused look deta hai

[ok, I don't know yaha par kitne science students ya graduates hai so...phenolphthalein ek indicator hai jo bases ke contact mein aakar pink ho jata hai, and bases colorless hote hai..in most cases, so woh paper par nahi dikha, aur indicator lagate hi woh writing pink ho gayi]

Sakshi: tumhe kaise pata is sab ke baare mein?

Riya ke paas bahana ready tha: main research karti hun Sakshi mujhe apni general knowledge har field mein rakhni padti hai

Arjun: iska matlab Thursday raat ko ladkiyon ka consignment jaanewala hai dahisar naka cross karke

Rathore: hume waha ki authorities ko inform karna chahiye...

Riya: sir...ho sakta haina ki waha koi us gang ke saath mila hua ho?

Arjun: Riya sahi keh rahi hai...hume aisa risk nahi lena chahiye! Jisne hume inform kiya woh authorities ko bhi kar sakta tha

Rathore soch mein chala jaata hai, dono ki baat sahi toh thi par najaane kyun use daal mein kuch kaala lag raha tha: theek hai!..isse hum hi nipat lenge..taiyaari karo raid maarne ki!!

Sab nod karke orders follow karne mein lag jaate hai

Later raat ko Arjun Riya ko ghar drop karne jaata hai, car mein -

Arjun: tum log humesha aise codes aur ciphers mein hi information transfer karte ho?

Riya: ha..aise agar information kahi aur chali jaaye toh koi aur use pad nahi paata aur isme toh sirf teen ciphers lage the, hum toh usually 6-7 ciphers lagate aur fir do teen codes

Arjun: lekin zaroori toh nahi ki sabko saare codes aur ciphers pata ho?

Riya: ha! Aise chote- chote aasan waale pata hote hai aur baakhi ke liye cryptography department haina?

Arjun: I see...chalo tumhara ghar aa gaya

Riya: ya..thank you...good night

Arjun: good night!

Riya ke andar jaane ke baad, Arjun bhi ghar chala jaata hai

Thursday night -

Raat ke 10:30 baje hai, dahisar nake ka traffic almost khatam ho gaya hai, compared to 20 vehicles crossing the toll booth per minute the number had reduced to 3 and 4. Amidst this a heavy-duty 14 ton truck came rambling along the highway. Slowing down the dusty wheels braked as the driver's cabin came in line with the booth window.

The driver knew the tolling guy and was sure it was not him.

Driver: tum kaun ho? Rajesh kaha hai?

The curly - haired guy answered: uska transfer ho gaya hai...truck mein kya hai?

Driver mv "transfer? Lekin usne toh kuch bataya nahi"

The boy asked again: oh!! Bhaisaab?? Kaha kho gaye? Truck mein kya hai?

Driver: woh...tel...tel hai, sarson ka tel

Boy(Shree): sarson ka tel?...bhaiya sarson ka tel toh baahar se shehar mein late hai, shehar ke andar kaunsa sarson ka tel banta hai jo tum baahar le ja rahe ho?

Driver irritate hota hai: sarson ka tel lekar aaya tha ab khaali drum waapis le jaa raha hun!!

Shree: acha...acha aise...chalo koi nahi..pass dikhao

Driver(confuse): pass?

Shree: ha pass...(woh abhi bhi confused hai ye dekhkar) are bhai subah jab aaye the toh jaane ke saath - saath aane ki bhi ticket li hogi na? woh dikhao

Driver(nervous): woh...woh...

Tabhi uske side ka door khulta hai aur Rathore use niche ghasit tha hai, uske maathe par gun point karte hue : kaho toh hum dede?

Driver ek pal dar jaata hai par fir: Hari!!! Jadhav!!!. Aur Rathore ko push karke apne seat ke nichese gun nikaalta hai.

Truck ke carrier mein se do log aur guns ke saath baahar nikalte hai aur teeno fire karne lagte hai. Etf bhi apni hiding se baahar aakar retaliate karti hai...kuch hi der mein teeno ko overpower kar diya jaata hai.

Arjun: Shree!! Riya!!! Truck ka saaman check karo!!

Shree aur Riya truck ke piche chadte hai, andar bahot saare drums hai, unme se tel ki smell a rahi thi

Shree: ye kya sach mein tel le ja raha tha?...toh phir uske paas gun kaha se aayi?

Riya: tel hota toh drums mein ched nahi hote

Shree bhi dekhta hai, har drum mein pin hole jaise chote - chote holes hai air pockets ke liye. Dono ek drum ka dhakhan uthate hai, usme opening ke paas bina zyaada depth ek plate hai jispar sarson ka tel hai...Shree use hatatha hai...andar ek behosh ladki..dono glance exchange karte hai

Baahar ETF crime scene se evidence ikatha kar deti hai, Shree aur Riya bhi baahar aate hai

Riya: sir!...andar ladkiyaan hai...saari behosh

Rathore nod karta hai: Rawte ! Riya! Ayesha! sab ko hospital le jaao!...Shree! Chotu! Tum dono mere saath chalo inki interrogation karni hai, Liza evidence ko lab le jaao!!

Sakshi: main kya karu?

Arjun: for a change apna muh band rakho! Aur dusro ko kaam karne do!...(Ayesha aur Riya ko) Lets go!

Teeno ladkiyon ko hospital le jaate hai. Doctor unhe treat karke hosh mein laate hai. Ayesha aur Riya unke statements lekar unke gharwaalon ko inform karti hai, unke parents aate hai, Arjun sab ko verify karke unhe apni betiyon, behno aur biwiyon ke paas jaane dete hai, fir Rathore ko phone karta hai

Rathore irritatedly phone utatha hai: kya hai Rawte!! Shanti se sone bhi nahi deta!!

Arjun: tu interrogation karne gaya tha ya sone gaya tha??

Rathore: are ho gaya interrogation! Koi Saddam naam ka admi hai .Ladkiyon ko ghar chod de aur bol ki kal aaram se aaye lekin lunch se pehle report kare..good night!!

Aur bina Arjun ka jawab sune phone kaat deta hai

Arjun mv "What The Hell! Isne kyun phone kaata ye toh mera kam hai...ye admi neend ke liye toh kisi ka khoon bhi karde!!"

Woh apna sar disbelief mein hilata hai, Ayesha aur Riya bhi formalities puri karke waha pahunchti hai

Arjun: chalo ghar jaate hai. aur bina aur kuch kahe ya sune woh parking ki taraf chala jaata hai

Ayesha aur Riya thak gayi hai, toh bina soche hi use follow karte hai, Arjun pehle Ayesha ko ghar drop karta hai aur fir Riya ke ghar ki taraf jaata hai, uski lane ke paas pahunchti hi

Riya: are bas Sir! Yahi rok dijiye!

Arjun: yaha kyun?

Riya: woh mujhe kuch saaman lena hai, aap jaiye main lekar chal lungi

Arjun: Riya its 4:15

Riya: are bhai, day and night chemist hai

Arjun: Riya!!!

Riya startle hoti hai: kya?

Arjun(sternly): Main Tumhara Bhai Nahi Hun Ok?

Riya: par maine toh aise hi...

Arjun: Aise Hi Waise Hi Kaise Bhi MAIN TUMHARA BHAI NAHI HUN !! Kuch Bhi Lekin Bhai Nahi Samjhi Ya Samjhao??

Riya(weirdly): o..ka..y!...umm..bye

Arjun: ruko!

Riya: kya hua?

Arjun: tumhe jo lena hai lelo..main wait karta hun

Riya: par sir do min ka toh rasta hai...

Arjun: par war kuch nahi raat ka samay hai aur...

Riya use glare karne lagti hai: aapne mujhe koi 14 - 15 saal ki chui-mui bachi samaj kar rakha hai?? Aurat ki kabilyat par kabhi shak nahi karna chahiye samjhe ya samjhao??

Arjun uska gussa dekh kar thoda shant hota hai: Riya mera woh matlab nahi tha..main toh bas...

Riya: matlab- watlab kuch nahi aap seedhe -seedhe jaiye warna...

Arjun (confusedly): warna?

Riya: warna...(use kuch sujhta nahi)...warna main..haan...warna main aapse baat nahi karungi!!

Arjun immediately engine on karta hai: good night! Sweet dreams!bye!!

Aur gadi ko turn karke bhag jaata hai, Riya disbelief mein apna sar hilata hai aur chemist mein jaati hai

Riya: ek shampoo aur crocin dena

Admi nod karke uska saaman laakar bill banata hai

Riya ko neend aa rahi hai: thoda jaldi bhaiya!

Counter ke paas ek awaaz aati hai: jaldi ka kaam shaitan ka hota Riya

Riya alert hokar turn karti hai, tabhi uski nazar counter ke paas ek black coat aur Hat pehne ek admi khada newspaper pakde jisse uska chehre chupa hua hai lekin Riya use pehchan jaati hai

Riya(chouk kar): aap?...

Shanafr thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#58
Awesome amez fantastic update
Loveit
Thanks for pm
Cont soon
zubiya92 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#59
Awesome update
Love it
Cont soon
Thanks for pm
Ariya_1325 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#60
Awesome update
Wo admi kone hai Jo chemist ke shops me tha
Love it
Continue soon
Thanks for the pm

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: heavenlybliss · 7 months ago

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".