hi everyone... here is a small os from my side on raina... aap log meri runnig story se bore ho gaye honge to socha ki kuchh chhotu sa
aap sab ke liye post kia jaaye...
Naina naam ki mumbai ki ek bahut si pyari si ladki thi... bahut jyada khubsurat aur smart... uske liye to koi bhi apna dil de de... par bahut
reserve thi... bcz of her family... uske father mr aluhwalia jo itne strict the... par frnds ke presure ke kaaran unhone naina ko picnic
manane ki izazat di thi... isiliye naina apne frnds ke sath picnic manane shimla gayi...wahan bahut saare logon se uski mulaakat hui...sab
ne bahut masti ki... wahan par ek aur group picnic ke liye aaya tha... wo group mumbai ke boys ka tha... usme se ek ladka Naina ko
kab achha lagene laga use pata hi nahi chala... par naina apne dil ki baat manne ko taiyaar hi na thi... us ladke ka naam Rajveer tha...
Rajveer singh shekhawat... mumbai ke ek bahut bade industrist ka beta... jahan naina ki best frnd heer hai... wahi rajveer ka best buddy
hai prem... rajveer ko bhi Naina achhi lagi... dono hi ek dusre ko chhip chhip kar dekhte par kabhi dono me se hi koi kuchh na kehta...
dono ke frnds yani heer aur prem to sab samajh hi rahe the... aur kahin na kahin apne frnds ke liye khush bhi the... dono grps hi same
hotel me thehre the to kai baar inki mulaakat hoti...kabhi kabhi aisa hota ki Naina ko kisi ki help ki jarurat ho to Rajveer sabse pehle
wahan pahunch jata tha... Naina ko Rajveer ka yun uski fikra karna achha lagne laga tha... jab wo koi problem me hoti to uski nazar
Rajveer ko dhundhti... aur Rajveer use to Naina ki saadgi itani pasand aai...ki ab wo har ladki me Nainako dekhne laga tha... aise hi haste
khelete inka picnic khatam hua... aaj sabhi loge apni - apni nayi zindagi me chale jayeinge... in dono ki feelings koi samajh raha tha...
ha Naina ki best frnd heer aur Rajveer ka best frnd Prem... dono hi kai dino se Naina aur Rajveer ko notice kar rahe the... kabhi heer
Naina ko Rajveer ke nam se chidati to to Prem Rajveer ko... par heer ke man me ek dar tha...wo Nainaki bahut fikra karti thi...wo nahi
chahti thi ki Naina ka dil toote...isliye usne last day Prem ko milne bulaya...
Prem:- hey heer kyun bulaya...?
heer:- hi Prem...actually main tumse Naina aur Rajveer ke baare me baat karna chahti hun...
Prem:- kyun kya baat hai...?
heer:- ab bano mat ha... i know ki tumhe bhi wahi lagta hai jo mujhe lagta hai...par...
Prem;- par kya isme galat kya hai...they are just perfect for eachother...
heer:- par tum nahi jante...Naina ki saadi tai ho chuki hai... aur uncle yaani naina ke papa apne usoolo ke bahut pakke hai... aur tum
samajh nahi rahe ho... pehle to mujhe bhi achha hi lag raha tha ki finaly pehli baar naina apne liye ji rahi hai par,,,,,,
Prem:- kya.. par kisse kaun hai wo ladka... kya raj se better hai...? kya Naina bhi...u dont know Rajveer kis had tak Naina ko like karne
laga... ya yun kahun ki pyar karne laga hai,... subah sham bas naina - naina... wo naina se bahut pyar karta hai heer...
heer:- i know they both love eachother but bolte nahi hai...aur jis ladke se Naina ka rishta tai hua hai...us ladke ko usne dekha tak nahi
hai... bas uske papa ne sab tai kar diya aur... aur agle mahine hi uski sadi hai...
prem:- agar uske papa itne strict aur conservative hai to unhone naina ko yahan bheja hi kyun...?
heer:- naina ki ne pehli bar apne liye kuchh manga tha wo bhi kuchh pal... isiliye... aur maine bhi uncle ko promise kia tha ki...
Prem;- wo sab to theek but ...ab kya kare...?
heer:- i have an idea... unhe akela chodna padega taki we dono ek dusre se kuch keh paaye... to suno hume kya karna hai... agar we
dono ek dusre ko bata payeinge to hi sayad hum bhi kuchh kar paaye,,,, warna tumne dekha hai na... dono me se koi kuchh nahi bolta...
prem:- yes u r right...
heer aur Prem Rajveer aur Naina ko unki tarin ka exact time nahi batate aur unhe chakma dekar nikal jate hai... jab Naina aur Rajveer
hotel ke launge me aate hai to ye dekh kar shocked ho jate hai ki sabhi unhe chhod kar chale gaye...
naina:- yeh sab kahan gay...aur heer bhi...
Rajveer:- Naina dont worry...tum mere sath chalo...hum station chalte hai..sayad sab wahan ho...
naina:- ok...
phir Rajveer aur naina...station jate hai...par unki train ja chuki hoti hai...Naina rone lagti hai...
Rajveer;- hey...tum ro kyun rahi ho... dont worry yar..main tumhe tumhare ghar tak drop karunga...plzz stop crying...
naina;- main papa ko kya kahungi... wo mujhe bahut dateinge...
Rajveer:- ab jo ho gaya so ho gaya... Prem ne bhi mujhe nahi bataya...tum aisa karo...yahan wait karo... main next train ka pata karke
aata hun...
Rajveer next train ka pata karta hai...to pata chalta hai ki next train 3 ghante baad hai...Rajveer Naina ko batata hai...
Rajveer:- abhi to 3 ghante hai...tum chaho to hum bahar yunhi ghoom sakte hai...
naina:- nahi mujhe kahin nahi jana... ( still have tears...)
rajveer:- look naina is tarah se nahi karte ha... dekho... main hun na... tumhe sahi salamat pahucha dunga... plzz... come with me,... trust
me... (naina looks at his eyes... pata nahi kya tha Rajveer ki aankhon me jo naina humesha kho si jati thi... jo naina ko bahut jyada
attract karti thi...)
naina:- ok...
Rajveer aur Naina apna samaan rest house me rakh kar yunhi aas paas ghum rahe the... ki tabhi Naina ki nazar ek bahut hi khubsurat
church pe padi...
naina;- raj...(Rajveer looks at her...) i mean Rajveer wo dekho church mujhe wahan jana hai...
Rajveer smiles and nods in yes... dono church me jate hai... Naina pray kar rahi hai... aur Rajveer use dekh raha tha... phir dono bahar
aate hai...aur Naina bench me jakar baith jati hai...
Rajveer;- kya maanga...?
naina:- kehte hai ki jo bhagwaan se manga jaye wo kabhi kisi ko batana nahi chahiye duaa qubool nahi hoti...
Rajveer:- tum in sab me bhi believe karti ho strenge...
naina:- ha duniyan me chhoti - chhoti baton me vishwaas kar lena chahiye... kabhi - kabhi yahi chhoti baate aapko jeene ka hausala deti
hai...
rajveer:- mujhe aisa kyun lagta hai naina... mano tumne apne ander dard chhipa kar rakha hai...
naina;- koi dard nahi rajveer bas ek tees hai... ki kabhi jo chahti thi wo kia nahi... humesha wahi kia waise hi rahi jaise papa chahte the...
par ab lagta hai ki kash apne liye ji liya hota... you know what... aaj jab aap sab ko dekhti hu to lagta hai ki meri life kitani alag hai... kitani
alag hu main...
rajveer:- ha jeena apni marzi se chahiye... par ha tum alag to ho... aur yahi baat tumhe special banati hai... ( naina looks at him...)... ha
... duniyan ki bheed me gum ho jaaye aisi bhi kya sakshiyat... apni iraade to aise ho... ki duniyan door se pehchan le... aur salaam kare...
naina( smiles):- kisi ki kamzori ko uski khubi bana dete hai aap...
rajveer:- yup thats me... kyuki har ek insaan special hota hai... aur har ek frnd jaruri hota hai... ( rajveer winks n naina laughs ) ok... aur
batao... yahan se jakar kya karne ka plan hai...aage padhogi...ya job...?
naina;- job ka to pata nahi... par ha meri shadi jarur hone wali hai...( Rajveer was helll shocked)...
Rajveer:- kya shadi...?
naina:- ha...
Rajveer:- great... congratulations...waise kya naam hai uska...aur kaisa dikhta hai...mujhse bhi jyada handsome hai...?
naina:- hmm... amardeep naam hai uska... aur mujhe nahi pata wo kaisa dikhta hai... maine abhi tak use dekha nahi hai... but papa aur ma
ne dekha hai...wo chahte hai ki main usse saadi karlu bas...
Rajveer ( with shock):- tum aise ladke se shadi karna chahti ho...jise tumne kabhi dekha tak nahi...?
naina( wishper):- chahta kaun hai...(loud)... yup...chale... wana humari train fir chhut jayegi...
dono hi chale jate hai... Rajveer ko yeh bardast nahi ho raha tha ki Naina shadi kar rahi hai...
(imagine the scenes almost like Srk n kajol from DDLJ)
na jaane mere... dil ko kya... ho gaya...
abhi to yahi tha... abhi kho gaya...
( dono hi apni destination me khade the yahan se... dono ko apne ghar jana tha... dono akhiri bar ek dusre ko dekhte hai... aur hand
shake karte hai...)...
na jaane mere... dil ko kya... ho gaya...
abhi to yahi tha... abhi kho gaya...
( naina bas turn hokar aage ko badh rahi hai... uska dil to kahin chut gaya tha...)
na jaane mere... dil ko kya... ho gaya...
abhi to yahi tha... abhi kho gaya...
(rajveer bhi turn karta hai... aur bas besudh sa chal raha tha ki kisi se takra hai...)
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
( wo dekhta hai ki naina ek white dress me uske samne khadi hai)
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
dildaar sajna... hai yeh pyar sajna...
(naina rajveer ko apne pass bulati hai... aur gate hue apni baahe rajveer ke neck me dal deti hai... rajveer turn karke dekhta hai... to real
wali naina aage ja rahi thi... aur apne pass dekhta hai to koi nahi hota...)
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
dildaar sajna... hai yeh pyar sajna...
(jo hal rajveer ka tha wahi naina ka bhi... naina stairs scalator ki ore badhti hai... ki usme use raj dikhta hai... dono hi stairs pe the...
rajveer naina ke agal bagal ja kar ga raha tha... naina bahut hi azeeb sa mehsoos kar rahi thi...)
dekha na... tune mudke bhi peeche...
kuchh der to main ruka tha,,,,
(rajveer apni car drive karke apne ghar ki ore badh raha tha... uski aankhien num thi...)
jab dil ne tujhko rokna chaha...
door tu ja chuka tha...
(naina taxi me thi... aur bas rajveer ke baare me soch rahi hai hai... uski aankhien bhi bhari si thi...)
for raj naina:-
hua kya...
na jaana
dil kyun...
diwaana...
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
(naina dekhti hai ki uske side se hi bike ja rahi hai... jisme rajveer hai... aur gana ga raha hai...)
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
dildaar sajna... hai yeh pyar sajna...
( rajver apni gadi rokta hai... aur bahar aake khada ho jata hai ki naina peeche se aati hai... aur uski car ki diggi ke upar baith kar gane
lagti hai...
aye waqt ruk ja... tham ja thehar ja...
wapas jara daud peeche...
(rajveer no me sir hila kar wahi car se take laga kar road me baith jata hai...)
main chhod aayi... khud ko jahan pe...
woh reh gaya mod peeche...
(naina apna samaan liye bas... apne ghar se kuchh kadam door khadi hai... aur rajveer ko yaad kar rahi thi... kyuki wakai naina ka dil to
rajveer ke pass tha...)
for rajveer naina:-
kahan main...
kahan tu...
yeh kaisa...
hai jaadu...
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
(rajveer khada hota hai... aur car me baith kar fast speed se car bhagata hai...)
ho gaya hai... tujhko to... pyar sajna...
laakh karle... tu inkaar sajna...
dildaar sajna... hai yeh pyar sajna...
( naina apne ghar ki ore chal deti hai... ki use apne ghar ke bahar rajveer dikhta hai... hathon me guitar liye hue gaate hue... aur fir ojhal
ho jata hai... naina kafi der tak wahi khadi thi... uski himmat hi nahi hui ander jaane ki aur sach ko accept karne ki... usne jane ke liye ki
kadam badhaya ki tabhi ek awaaz ne use roka...)
voice:- naina... (naina turned n find rajveer there...)...
naina:- raj...
rajveer (in his heart):- kitna achha lagta hai tumhare muh se mera naam... (loudly) naina woh...
naina:- tum... i mean aap sach me yahan hai...
rajveer:- u can call me tum... woh... mera kuchh bahut jaruri samaan tumhare pass reh gaya hai...
naina apna hand bag dekhne lagti hai...
rajveer in his heart:- mera dil...
naina:- isme to kuchh bhi nahi hai... aapka kya kho gaya hai... khair aapko mera address...
rajveer:- wo wahan ek counter pe tumne bataya tha yaad reh gaya... chalo koi baat nahi agar tumhare pass nahi hai... maine kahin aur rakh
dia hoga...
naina:- ya... achha ander chaliye na...
rajveer:- nahi wo...
Rajveer;- so finally tumhara ghar aa gaya... par mujhe abhi bahut lamba safar tai karna hai...
naina:- ji...?
rajveer:-nothing...
naina:- thanku...mere safar me mera sath dene ke liye...
Rajveer:- main to humsafar banna chahta tha...
naina:- kyaa...
Rajveer:- kuchh nahi byee...
naina;- hey... tum mujhe apna address to do.. main tumhe shadi ka card bhejungi... tum aaoge na...?
Rajveer:- nahi,... main nahi aaunga...( Rajveer turns to go...)
naina:- Rajveer...( now Rajveer turns towards naina...)...kyun nahi aaoge,...kya main tumhari dost nahi...
Rajveer:- dost nahi dost se badhkar ho... pyar karta hu tumse... aur itani himmat nahi hai mujhme...ki tumhe kisi aur ka hota hua dekh
saku...
ho gaya hai tujhko to pyar sajna...
laakh karle tu inkaar sajna...
ikaraar sajna... hai yeh pyar sajna...
la la la la la la la la... ah ha ha ha ha...
(dono ki aankhon se aanshun beh rahe the... Rajveer jaane laga... ki Naina jore se cheekhii,...)
naina:- raaj...( Rajveer turns... Naina bhaag kar gayi aur Rajveer ko hug kar lia... they both are feeling complete today...) i love u
Rajveer... i love u...( Rajveer ke chehre me bahut badi smile aa gayi...)
Rajveer:- i love u too... i love u alot...
dono hi ek dusre ki baahon me the... ki achanak se koi aaya... aur usne Naina ko Rajveer se alag kiya...
N'f:- ye kya ho raha hai...?
naina:- papa...papa wo...
N'f:- kaun hai yeh ladka aur...
Rajveer;- uncle... uncle meri baat to suniye...uncle... main Naina se bahut payr karta hu... main usse shadi karna chahta hu... plzz
uncle...
N'f:- khabardaar jo aaj ke baad meri beti ke aas pass bhi nazar aaye...
naina:- papa... i also love him...
N'f;- chup... yeh sab karne nahi maine tumhe wahan bheja tha...
aur Nainake father use kheech kar ander le gaye... aur rajveer hara hua sa laut aaya apne ghar...
Rajveer ne yeh baat apne ghar me bata di...kisi ko koi problem nahi thi... Prem khush tha ki uska aur heer ka plan successful raha par..
Naina ki shadi ko kaise roka jaye... yahan heer aur Naina dono hi udaas hai...
naina:- main uske bina nahi reh sakti heer..main usse bahut pyar karti hu.. main yeh shaadi nahi karungi... main mar jaungi...
heer:- chup khabardar jo aisa kaha to... tu chinta mat kar...teri shadi hogi to sirf Rajveer se...aur yeh mera wada hai...
2 din baad Naina ki shaadi hai... heer Naina ke father ke pass jati hai...
heer:- uncle...plzz uncle meri baat sun lijiye...
N'f:- mujhe tumhari koi baat nahi sunani... tum uske saath thi na...fir bhi wo ladka...
heer:- koi aisa waisa ladka nahi hai wo... bahut hi izzat dar ghar ka ladka hai... jo aapki beti se bahut payr karta hai... uncle...kya
gurantee hai ki amardeep Naina ko khush rakhega...par is baat ki puri gurantee hai ki Rajveer khud mar jayega par Naina ko aanch tak
nahi aane dega... aur ek baap ko kya chahiye uncle...kehte hai ki ek pita se jyada uski beti koi nahi pyar kar sakta... par aapki beti ko koi
apni jaan jyada pyar karta hai... dono chahe to bhag sakte hai... par wo aisa nahi kareinge...jante hai kyun... kyuki Naina apne jeete
ji...apne maa baap ki izzat ko daav pe nahi laga sakti... theek hai kar dijiye aap uski saadi par... yaad rakhiyega meri yeh baat ki wo
amardeep ke sath kabhi khush nahi rahegi...
heer chali gayi aur Naina ke pita ke aankhon me kai saare sawaal chhod gayi...dhekhte dekhte aaj shadi ka din bhi aa gaya... Naina bilkul
khush nahi thi... par wo apne papa ke khilaaf bhi nahi jana chahti thi...
dulha shaadi ke mandap me baitha tha ki heer Naina ko taiyaar karke mandap me laati hai... Naina ne apni aankhien neechi kar rakhi
thi...
heer:- naina...ek baar apne hone wale pati ko dekh to le,...( par Naina apni nazare nahi uthati...)...plzzz...( Naina dheere se apni palke
utha kar apne hone wale pati ki ore dekhti hai...aur shocked reh jati hai... uske saamne uski zindagi.. uska Rajveer tha...) ha teri shadi
Rajveer se ho rahi hai...
Naina turant apne papa aur maa ki ore dekhti hai...unke chehre pe muskaan to aankhon me aanshun the... uske papa dheere se haan me
ishara karte hai... aur Naina sab samajh gayi... fir rajveer aur Naina ki shadi hui...sabhi rasmo aur riwaajo ke sath...
naina:- papa...
N'f:- mujhe manf kardo tum dono... main tum dono ko...( Naina hugs her father and crying bitterly...)
Rajveer:- i promise u papa...main aapki beti ko duniyaan bhar ki khusiyaan dunga...
N'f:- yeh tujhe bahut pyar karta hai... aur mujhe kya chahiye ki meri beti ko koi itana pyar kare... jahan raho khush raho...
is tarah Naina ki vidaai hui apne pyar ke sath... jahan ek taraf use apne ghar ko chhodne ka gam tha to wahi apne pyar ko paane ki
khusi... heer un dono ko jata dekh rahi thi... ki dono wapas aaye...jahan Rajveer ne Prem ko gale laga lia...to Naina ne heer ko...
Naina to heer;- mujhe pura yakeen hai ki tune hi kuchh kiya hoga...
Prem:- right... sab kiya dhara isi ka hai...
Rajveer:- thanku heer... actually thanks to both of u... jiske pass tum dono jaise dost ho...unka koi kuchh nahi bigaad sakta...
heer:- oh common Rajveer...thanks kehna hi hai to tum dono humesha khush rehna...
Rajveer aur Naina chale gaye...
Prem( looking at heer):- kitani achhi jodi hai na...
heer:- ha they are made for each other...
Prem:- are main teri aur meri baat kar raha hu...
heer:- oh haan... kyaaa...
Prem:- kyun kya khayaal hai...
heer:- shut up... paagal...( heer wahan se bhag gayi...)
Prem:- oh god tune Rajveer aur Naina ko to set kar diya mera bhi kuchh karde yaar...
after 1 year...
its about 12 in the night...
Rajveer:- happy anniversary wify...
naina:- happy anniversary hubby...
Rajveer:- ek saal ho gaya... jinadgi kitani khubsurat bana di tumne...
naina:- maine nahi humne... i love u raj...
Rajveer- i love u nia...
tabhi there are knock on the door...
Rajveer:- lo aa gaye...come in... tabhi Prem aur heer ander aaye...
heer & Prem:- wish u both a very happy marriage anniversary...
Naina & Rajveer:- thanku...
Rajveer:- are aao baitho...
heer:- nahi hum jayenge...hum aap dono ko disturb nahi karna chahte...wo yeh Prem...
Prem;- yahan bhi meri galati hai...Naina ise keh do ha...
naina:- oh god kitna ladte ho tum dono... tum dono ki shadi hone wali hai...ab to sudhar jaao...
Rajveer heer & Prem:- nhhh...( all laughs... fir prem aur heer chale gaye...)
rajveer:- so kya khayaal hai... ( naina ko apni ore pull karte hue...)...
naina:- kaisa khayaal...
rajveer:- are samajhti nahi ho yar... ( he placed his lips on hers... and they spend a blissful night together...)
aur aise hi haste khelte inki zindagi aage badhti rahi...jo bhi muskile aai...uska saamna in dono ne hi aapsi samajh aur pyar ke sath
kiya... aur humesha ki tarah jeet pyar aur sach ki hui...
thankyou...
press like if u really liked it...
plzz do commet...
Love chandni...
***********************************************************
***********************************************************
Edited by rkchandni - 8 years ago
203