*** Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***
Part 28...
ragini:- naina raj ko bacha lo uski jaan ko khatra hai... (dhamake on naina's n all's face) huda aur ritu didi uski jaan lena chahte hai...
(double dhamaake on naina's face)... use marna chahte hai... (triple dhamaake on naina's face...)
naina:- yeh... yeh kya bakwaas kar rahi ho... pagal ho gayi ho kya...?
ragini:- main sach keh rahi hu naina... huda bahut khatarnaak ho gaya hai... aur didi uska sath de rahi hai... jab huda ko pata chala ki ab
uska koi chance nahi hai tumhe pane ka to usne mujhe dhamki bhi di thi ki wo raj ko chhodega nahi... par aaj abhi kuchh ghante pehle
maine ritu didi aur huda ki baat sun li... actually sayad didi ka phone nahi lag raha tha... to huda ne landline pe call kia... by chance maine
bhi ek reciever pick kia... didi ne huda ko sab bataya ki tumne kya - kya kia hai... aur ab tum yahan aa gayi ho... fir huda ne didi ko sab
bataya ki tum uske pass gayi thi... use dhamki dekar aai ho... aur wo bahut khatarnak sound kar raha tha... didi bhi use badhawa de rahi
thi... fir usne yeh kaha ki naina ki khushiyaa aur sabki barbaadi ka sirf ek hi rasta bacha hai rajveer ki maut... ( bade wale dhamake...)...
naveen:- aisa kya karne wale hai we loge...?
ragini:- mujhe nahi pata... huda ne plan discuss nahi kia... par mujhe itna pata hai ki Raj ki jaan ko khatra hai naina... yeh log...
naina:- nahi kabhi nahi... main unhe kuchh nahi hone dungi...
rishabh:- tu paagal ho gayi hai abhi bhi uske liye...
naina:- papa wo mere pati hai...
rishabh:- mana... par kya kar legi tu ha... dekh naina... main uske chakkar me teri jaan khatre me nahi dal sakta... tu kahin nahi
jaayegi...
naina:- papa...
naveen:- papa sahi keh rahe hai naina... agar main galat tha... to rajveer bhi galat hai... ha hum puri kosis karenge... use agaah karenge par
tu kahin nahi jayegi...
naina:- bhaiya aap aisa kaise... agar unhe kuchh...
naveen:- hota hai to ho jaaye... aakhir kar usne tujhe kya dia hai naina... sirf yeh dard yeh aanshu... main apni puri kosis karunga ki use
kuchh na ho par... ab tu nahi...
naina:- bhaiya...
naveen:- bas... bas naina... uske liye main tujhe aur tadapate nahi dekh sakta... pichhli bar tune sab chhod dia tha usse shadi ke liye... aaj
main tujhe kehta hun ki agar tu us ghar gayi to mera mara muh dekhegi...
naina:- bhaiya...
naveen:- ab bahut hua... kuchh nahi hai mere pass... tujhe nahi kho sakta... ja apne kamre me... ( naina nahi jati...)... naina maine kaha
ja... main rajveer se baat karunga... use kuchh nahi hoga... ( naina darte hue... bhari kadmo se chali gayi...)...
ragini:- jiju yeh aapne...
naveen:- tum bhi apne kamre me jaao...
ragini:- jiju aap samajh kyun nahi rahe hai... (naveen ragini ke pass ata hai uske sir pe hath rakhta hai...)...
naveen:- mere liye tum bhi naina ki tarah ho... bhale ritu ne kuchh bhi kia ho... tumhari mere dil me wahi jagah hai jo pehle thi... jo maine
naina se kaha hai... wahi tumse keh raha hu... jaao... ( ragini bhi chali jati hai...),,,,,,
Jab neend na aaye...
aa aa aa...
(naina apne kamre me hai... us man bechain hai...)
jab yaad sataye...
aa aa aa...
( rajveer apne kamre me khada hai... aur charo taraf dekh raha hai...)
Jab dil ghabraye...
aa aa aa...
(ragini ka man bechain hai... wo apne kamre me bed ke kone me baithi hai...)
jab gam tadpaye...
( rajveer closed his eyes,,,,, n tears flows down to his cheek...)
Ise kya kahiye, mere Rab tu bata...
Ishq hai, ishq hai, haan yahi, ishq hai...
( naina uth kar window pe khadi ho jati hai... aur aasmaan ki ore dekhne lagti hai...)
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai...
Dil ka dushman bhi hai, dil ka meet bhi hai...
( ragini apne aanshun rokne ki kosis kar rahi thi... but rajveer ka chehra uski nazar me aata hai... apni aankhien band kar leti hai...
aanshun uske face ko bhigo dete hai...)
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai...
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai...
(rajveer wahi khada - khada door se take laga kar floor me slowly - slowly baith jata hai...)
Kabhi ishq banke shama jagmagaye...
( ragini ko wo pal yaad aate hai jab rajveer uske sath sidney me tha...)
Kabhi banke gam ka andhera yeh chhaye...
( ragini ko wo pal yaad aata hai jab aakhiri bar rajveer usse sidney me mila tha... jab ragini ko apni galti ka ehsaas hua tha...)
Kabhi ishq banke shama jagmagaye...
(naina ko apne aur rajveer ki date yaad aati hai... kitani khush thi woh tab...)
Kabhi banke gam ka andhera yeh chhaye...
(fir naina ko wo pal yaad aata hai jab morititious me rajveer ne use apna sach bataya tha...)
Ishq hai geet bhi, ishq hai raag bhi...
( rajveer bas saamne ki ore floor pe baitha dekh raha hai... aur uski aankhon ke saamne se woh lamha guzra jab wo aur naina aagra se laut
rahe the... aur rajveer ne naina ke liye gana gaya tha...)
Dil jala de magar ishq woh aag bhi...
( rajveer ko morititious ka wo pal yaad aaya jab first time rajveer ne naina ko sach bataya tha...)
Aag lagaye ishq ishq...
( rajveer apni aankhien band karke door pe peeche ki ore push karta hai...)
Hosh udaaye ishq ishq...
(naina window ke curtains ko hold karke turn karti hai... uska man bechain tha...)
Dil ko sataye ishq ishq...
(ragini bed se uth kar bechain si window ke pass chali jati hai...)
Jaan ganwaye ishq ishq...
(rajveer apna hath kas kar floor pe marta hai...)
Ek deewangi hai, ise kya kahun...
(rajveer ko yaad aata hai jab uske isi hath me naina ne bandage ki thi...)
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai...
Ishq haar bhi hai, ishq jeet bhi hai...
(finally rajveer ke thehre hue aanshun uske pure chehre ko bhigo rahe the... use apni galtiyon ka ehsaas ho raha tha...)
Dil ka dushman bhi hai, dil ka meet bhi hai...
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai...
( naina slowly - slowly curtains ko hold kiye hue hi floor pe baith jati hai... aur roti ja rahi hai...)
... ... ... ... ...
Kabhi ishq dil mein khushi leke aaye...
(rajveer road pe chal raha hai... use naina ka propasal yaad aata hai... uske chehre pe ek smile aa jati hai...)
Kabhi ishq aansu in aankhon mein laaye....
(but agle hi pal us road pe wo khud ko akela paata hai... uski smile gayab ho jaati hai...)
Kabhi ishq dil mein khushi leke aaye...
(naina abhi bhi wahi baithi hai... use apne aur rajveer ke kuchh khubsurat pal yaad aate hai...)
Kabhi ishq aansu in aankhon mein laaye...
( agle hi pal use rajveer ka rude behaviour yaad aata hai... uski nafarat yaad aati hai...)
Ishq mein hai khushi, ishq mein dard bhi...
( ragini apni window pe baithi aasman ko dekh rahi thi... uske aanshu uske dard ko bayaan kar rahe the...)
Iske sau roop hain, ishq hai zindagi...
( ragini ko wo har pal yaad aata hai jab rajveer naina ke sath tha... uske chehre pe dard bhari smile aa jati hai...)
Khwaab dikhaaye ishq ishq...
Phir chaunkaye ishq ishq...
( naina ko sabhi pal yaad aa rahe the ki kitane sapne usne bune the... par sab ka nateeza sirf nafarat nikali...)
Dil ko dukhaye ishq ishq...
Chain churaye ishq ishq...
(ragini apne cupborad se rajveer ki pic nikalti hai... aur uspe apna hath ferti hai... aur seene se laga kar jameen pe baith kar rone lagti
hai...)
Ishq aakhir hai kya...
Main bhi hairan hoon...
(rajveer ko ek pal ragini ka dhokha to dusre pal naina ka pyar sab yaad aata hai...)
Ishq hai, ishq hai, haan yehi ishq hai...
(rajveer road pe baitha hai... uske hath pe sharab ki bottle thi... usne pi bhi hai... apna dard bhulane ke liye par koi fayda nahi... uska
guilt aaj sabse jyada bada tha...)
Jab neend na aaye...,
aa aa aa...
jab yaad sataye...
aa aa aa...
( rajveer ek aur sip leta hai... aur apni aankhien band karta hai... naina ka muskurata chehra uska saamne aata hai...)...
Jab dil ghabraye...
jab gam tadpaye...
(rajveer apni aakhien khol leta hai... aur khada ho jata hai... aur apne hath me li hui bottle road me fekta hai... aur cheekhta hai...)
rajveer:- Nainaaa...
naina:- Raj...
yahan naina ko aisa laga mano uske raj ne use pukara ho... naina yahan wahan dekhti hai... koi nahi hota sirf wo akeli apne kamre
me zameen pe baithi hai... use fir ragini ki baat yaad aati hai...
naina:- chahe jo ho main raj ko kuchh nahi hone dungi... main wahan ja nahi sakti par unhe agaah to kar hi sakti hun na... ha... ( naina
uth kar rajveer ka no dail karti hai... par koi pick nahi kar raha tha... kyuki rajveer apna cell ghar par chhod ke gaya tha... naina ghar ka
no dail karti hai... ishita phone pick karti hai...)...
ishita:- hello...
naina:- ma...
ishita:- naina... tu bina bataye chali gayi main abhi tujhe lene aane wali hun... tu taiyaar reh main aur viren aa rahe hai...
naina:- nahi ma... main nahi aaungi... aap loge mat aana...
ishita:- naina beta... ma kaha tha na tune mujhe,... ma ki baat nahi manegi... mera veer nadaan hai... use manf karde naina... apne ghar
laut aa...
naina:- ma jis ek insaan ke bharoshe main wahan aai thi... usi ne kabhi mujhe nahi samjha... aur ab aur nahi ma... nahi bardast hoti unki
nafarat... ab nahi dekh paungi... aur ab maine apni zindagi se samjhauta kar lia hai ma... main nahi aaungi,,,,,
ishita:- veer ko apni galti ka ehsaas hai... usne kaha nahi hai... but jab wo inspector aaya tha... tab maine veer ki aankhon me dekha tha...
plzz naina...
naina:- plzz ma... agar mujhe aapne ek pal ke liye bhi dil se apni beti mana hai to mujhe aane ko nahi kahengi... ( ishita chup ho jati
hai...)... Raj kaha hai ma...?
ishita:- pata nahi... ghar pe nahi hai... kya baat hai...?
naina to herself:- nahi main ma ko huda aur bhabhi ke intentions ke bare me nahi bata sakti we log pareshan ho jayenge...
ishita:- naina kya hua...?
naina:- ahh... kuchh nahi ma... bas yahi janna tha ki wo theek hai na...?
ishita :- ha bahar se to mere sabhi bachhe theek hai... ander se toot rahe hai... ( naina closed her eyes... tears were making path to her
cheek...)...
naina:- ma sabka khayaal rakhiyega... bye... ( naina ne phone cut kar dia... aur turn kia to ragini khadi thi...) tum...?
ragini:- raj se baat nahi ho paayi...?
naina:- nahi ragini... woh ghar pe nahi hai... aur phone bhi nahi utha rahe...
ragini:- hope so jo jiju ne kaha hai wo ho jaaye aur raj ko kucch na ho...
naina:- kuchh nahi hoga... thanku ragini... maine tumne bahut galat samjha par tum to...
ragini:- thanks mat bolo naina... apni galtiyon ko sudhar rahi hu... bas ek kaam baki hai...
naina:- kya...?
ragini:- tumhe aur raj ko milana hai...
naina:- aisa ab mumkin nahi hai...
ragini:- kyun kya ab tum raj se pyar nahi karti...
naina (turned her face):- nahi karti...
ragini:- yeh baat tum meri aankhon me dekh kar bhi keh sakti ho naina...( naina faced her...) kya tum wahi naina ho jo mujhe paris me
mili thi... nahi tum wo nahi ho... uski aankhon me sirf uska pyar tha...
naina:- ha tha... par tab main khush thi... jutha hi sahi main jee rahi thi... par sachhai to kuchh aur hai na ragini... sach yeh hai ki jis pyar
ke bal pe main jee rahi thi... usi pyar ne naina ko mar dala... uske pyar ko mar dala... jitne sapne maine dekhe the... unme se ek bhi pure
nahi hue balki main aur toot gayi... sab kuchh theek karte - karte... maine sab theek kar lia... bas mr rajveer singh shekhawat ko apne
pyar ka saboot nahi de paai,,,,,, shadi ke baad ek ladki ka sapna hota hai ki wo bas ek chhoti si jagah apne pati ke dil me bana sake... par
dekho na ragini main fail ho gayi... na ek achhi beti ban paai... na achhi behen... na achhi patni... main jinda thi ragini... raj se milne se
pehle tak main jee rahi thi... par ab... ab main bachi hi nahi hu... raj ne mera sab kuchh cheen lia... u know what ragini... raj ne mujhse
shadi sirf mujhe dard aur takleef dene ke liye ki thi... aur unhone wo bakhubi kiya... na unhone mujhe mentally sataya... na physically...
bas naina ke ander se naina ko hi nikal kar fek dia... naina ki aatma ko hi mar dala... ek bahut khubsurat ehsaas hota tha mujhe ragini par
in 6 mahino me... mere ander ke sab ehsaas mar gaye... jabse raj ne mujhe sach bataya... unke saamne main khush hone ka dikhawa karti
thi... lekin pal - pal mara hai unhone naina ko kyuki naina ko sirf pyar chahiye tha... jo na kabhi mila... na milega... aur ab main chahti bhi
nahi hu... bas... wo mujhse door rahe... aur jahan rahe... ( looks at ragini) jiske sath bhi rahe khush rahe... sahi salamat rahe... bas ab
beti aur behen ban kar zindagi kaat lungi...
ragini( smiles):- itna sab keh dia... upar se kehti ho pyar nahi hai... raj ne bahut badi galti ki hai... par kya tum dono apni shadi ko ek aur
mauka...
naina:- bas ragini... jaao yahan se...
ragini:- hmm... take care... (she turned to go... ki naina said...)...
naina:- ragini... mujhe to mera pyar nahi mila... ho sake to tum apne pyar ke sath khush rehna... aur unhe khush rakhna... unhone bahut
saha hai... sayad mujhse kahin jyada... ( ragini smiles... n left without turning...)...
on the road...
rajveer abhi bhi beech road pe baitha hai... uske agal - bagal se gadiya pass ho rahi hai... itna shor gul hai... par rajveer ko kuchh sunaai
nahi de raha hai... tabhi koi uske bagal me aakar baithta hai... rajveer apne side me dekhta hai... to khud rajveer tha... white outfit
me... like angel rajveer...
angel rajveer:- kya hua veer... aise kyun baithe ho...
rajveer:- toh kya karun...?
angel rajveer:- takleef ho rahi hai... ya fir aaj ander kuchh toot raha hai...
rajveer:- mujhe kyun takleef hogi... m fine...
angel rajveer:- kab tak... kab tak jhuth bologe khud se... ab to apne aap se sach bolna sheekh jaao... naina ko gaye 24 ghante bhi nahi hue
hai... aur khud ki haalat dekhi hai...
rajveer:- I... i dont care about her,,,,,,
angel rajveer:- oh really... fir yahan kya kar rahe ho...?
rajveer:- main khush hu... finally mere di ke gunehgaro ko saza mil jayegi,,,,, aur naveen apni saza bhugat raha hai... uski biwi use dhokha
de rahi hai... uske pass uski ma nahi hai... uski behen khush nahi hai... mera badla pura hua...
angel rajveer:- oh cut the crap... apni haalt dekhi hai... jab se tumhe sab sach pata chala hai... jabse naina gayi hai... tumhare dil me
sirf naina ka khayaal ghum raha hai... jhuth unse bolna jo tumse alag ho... main to tumhara ansh hu... mujhse juth bol ke kuchh nahi
milega... waise tum jhuth bol rahe ho khud se... mujhse... sabse... yeh keh kar ki tumhe naina ke hone ya na hone se koi fark nahi padta...
fark tab bhi padta tha... fark aaj bhi padta hai... bas akhiri baat kahunga... pyar hai tumhe naina se... she is just perfect for u... apni shadi
apna pyar bacha lo veer... waqt nikal raha hai tumhare hathon se... warna jo naina ne kaha wo sach na ho jaaye... ( rajveer looked
at side...) isse pehle naina tumhe bhool jaaye use apna bana lo... usne kaha tha ki ab wo tumhe nahi chahti... kahin aisa na ho ki wo rishta
bhi na chahe... (dhamake on rajveer's face...) ab apne liye jee lo... jee lo apne liye... ( and angel rajveer vanished...)...
rajveer:- der to ho gayi hai... bahut der... jab ragini lauti tab mujhe koi fark nahi pada kyuki mere liye uska koi astitava hi nahi bacha tha...
kyuki dil me naina jo bas gayi thi... der to kar di hai maine... sab khatam to chuka hai... jab wo mujhe chahti hi nahi hai to ab kya fark
padta hai ki kuchh sahi ho ya na ho... par ha... apni galti sudhar ke rahunga...
next day...
rajveer raat bhar ghar nahi aaya tha... sabhi pareshan the... ki rajveer ander aata hai... wo kisi se nazre nahi mila raha tha... aur apne
kamre me jaane lagta hai...
ishita:- ek minute ruk... ( rajveer ruk jata hai... ishita uske pass jati hai...)... tune sharab pi hai... kyun...?
viren:- kya ishita kise keh rahi ho tum... ise... is ladke ko kuchh fark nahi padta hai ki koi iski parwaah karta hai... aa rahe hai janaab
subah rat bhar ayyashi karke... na biwi ki kadra na ma - baap ki fikra... yeh badal chuka hai... yeh wo veer hai hi nahi jo kabhi humara
kaha nahi talta tha... jis par hume garv tha... yeh... toh... ( rajveer bina kuchh aur sune chala jata hai...)... dekha... dekha ise... jawaab
tak dena jaruri nahi samajhte tumhare sahab jaade... aur tum iski pairavi karti rehti ho...
ishita:- viren plz...
viren:- keh dena apne ladle se... aaj shalu ka check up karane le jana hai... le jayega... kyuki office to jayega nahi... subah ke 9 baje inke
ghar aane ka time jo hai... main office ja raha hu...( viren chale jate hai... ishita apna sir pakad kar baith jati hai... pooja aati hai... aur
uske soulder pe hath rakhti hai...)...
pooja:- ma... sambhalo khud ko...
ishita:- tu dekh rahi hai na pooja... is ghar ko kya ho gaya hai... jahan sirf pyar basta tha,,,, wahan sirf kadwaahat reh gayi hai... manti hu
veer galat tha... par kab tak yeh aur ma use tane marte raheinge... use apne pariwaar ki jarurat hai... aur yeh log...
pooja:- ma mujhe bhagwaan pe vishwaas hai... sab theek hoga... wo sab theek karne me veer ka sath denge... aap uske pass jao... (
ishita nods in yes went to him... dadi door khadi sab dekh aur sun rahi hai... aur mayush hai...)...
Rajveer - naina's room...
rajveer bed pe baitha tha... aur diwaar pe lagi apni aur naina ki pic ko dekh raha tha...
rajveer:- i m sorry naina... mere apne mujhe manf nahi kar sakte tum kya karogi... waise i deserve it... tumhe bahut rulaya hai maine...
saza to milni chahiye... aur meri saza yeh hai ki mere saare apne mujhse door rahe... tum door raho...
ishita:- kisne kaha ha... ?( ishita ander aati hai... rajveer ek nazar use dekhta hai... fir floor pe dekhne lagta hai... ishita lemon water deti
hai use...)...
rajveer:- i m sorry mom... i promise ab nahi piyunga...
ishita:- tujhe teri galti ka ehsaas hai kafi hai... aur saza se bada prayshchit hota hai beta... aur uski suruaat hum ma bete aaj se karenge...
chal ab jaldi se yeh pii le.. u will feel better... thoda rest karle... aur shalu ka appointment hai... le jana... ( he nods in yes...) aur fir
naina ke ghar jana... naina ko wapas laane... ( he looks at her...)... ha... ab mujhe meri bahu nahi mere veer ki biwi chahiye is ghar me...
rajveer:- wo nahi aayegi... she hates me...
ishita:- ek bar jana... tujhe pata chal jayega... jayega na...? ( he nods in yes...)...
ishita chali jati hai... rajveer lemon water pi leta hai,,,,, aur apna phone dhundhta hai... jo pillow ke pass tha... bahut se miss calls the...
but naina ke miss call ne rajveer ka dhyaan kheecha... usne turant naina ko call kia... naina jo rajveer ki hi chinta kar rahi thi... usne
turant call lia...
naina:- hello... aap theek hai na...? ( rajveer kuchh nahi bolta...)... raj... rajveer...
rajveer:- ha... m fine... kal call kia tha tumne...? kyun...? ( silent for a minute...) Naina...
naina:- nahi galti se lag gaya tha... rakhti hu...
rajveer:- galti ek baar hoti hai... 6 baar nahi... (naina phone cut kar deti hai... rajveer phone ko dekh raha tha...)
Evening time...
on phone...
rajveer:- ha aalekh bol...
aalekh:- kya bol... kal rat bhar kaha tha... aur fir subah bhi phone nahi uthaya...?
rajveer:- main so raha tha... phone silent pe tha...
aalekh:- tu theek hai na...?
rajveer:- ha m fine... achha abhi di ke checkup ke liye ja raha hu... yudi ne bulaya hai...
aalekh:- ghar aake checkup kar de na wo...
rajveer:- machines se karna hai... aur kuchh test bhi karne hai use... baad me baat karta hu...
aalekh:- naina se mila...?
rajveer:- nahi... bye... (both cuts the calls)...
aalekh:- oh god... ( he got busy in office)...
rajveer shalu ko lekar hospital jata hai... wahan uske check up n test hote hai...
yudi:- rajveer she is better now... bas reports aate hi i can say in a better way...
rajveer:-hmm... koi aur problem to nahi hai na,,,,?
yudi:- nahi... maine naina ko bataya tha... waise wo apne mayke me hai... unhone kaha tha unhe batane ko shalini ke bare me... aap hi bata
dena...
rajveer:- ji... chalta hu...
yudi:- ok... bye... tc shalini...
rajveer shalini ko lekar chala jata hai... dono hi aakar car me baithte hai... rajveer nikal jata hai... tabhi ek random man aata hai... wo ek
call karta hai...
man:- sahab ji... maine breaks fail kar diye hai... 5 minute ke ander aapka kaam ho jayega... ( he cuts the call...)...
yahan rajveer shalini se bat karte hue ghar ki taraf aa raha tha... gadi kafi speed me thi... usne break lagane ki kosis ki... but breaks kaam
nahi kar rahe the...
rajveer:- yeh breaks ko kya hua... oh god...
rajveer bahut kosis kar raha tha... gadi se logon ko bacha bhi raha tha... use khud se jyada shalini ki chinta thi... usne shalini ki taraf ka
gate khola... yahan shalini ko apne accident ki puri baatien yaad aa rahi thi... wo panic ho rahi thi... rajveer shalini ko push karne ki kosis
karta hai... but saamne se ek school bus aa rahi thi... wo bachho ko bachane ke liye galat turn leta hai... aur ek truck se bahut khatarnaak
accident hota hai... aas pass ke log ikaththa hote hai... dono rajveer aur shalini ki haalat kharab thi...
End of Part 28
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
************************************************************
************************************************************
Edited by rkchandni - 8 years ago
203