*** Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***
Part 31
naina:- ab yahi ant hai meri prem kahani ka... (tears flows down to her cheeks...)
naina wo papers lekar apni window ki taraf jati hai... aur chand ko dekh rahi hai... usne rajveer ko divorce dene ka faisla toh kar liya tha...
par kya woh sach me rajveer ko divorce de payegi...?
naina:- nahi... main aisa nahi kar sakti... kuchh nahi bacha mere pass ... sirf aapka naam hai... kya ab wo bhi gawa dun main...? kya main
aisa kar... (tabhi peeche se naveen aata hai...)...
naveen:- tujhe karna hoga naina... (naina naveen ki ore dekhti hai... fir wapas un papers pe then fir chand ko...)... main ya papa tere
dusman nahi hai naina... par tu khud soch kya kabhi tu use manf kar payegi... kya wo kabhi bhi tujhe dil se apna payega... kya kabhi tune
jo sapne dekhe the wo rajveer pura kar payega... kitna dard sahegi naina... papa aur maine jo socha hai wo sahi hai...
naina:- kya socha hai...?
naveen:- ek baar tera aur rajveer ka divorce ho jaaye fir main tere liye bahut achha ladka dhundhuga... (dhamaake on naina's face ) jo
tujhe bahut khush...
naina:- bhaiya... yeh... yeh aap main kisi aur se... kabhi nahi...
naveen:- to kya zindagi aise hi guzaregi... (naina kuchh bolne wali hoti hai ki naveen use bolne nahi deta)... aur rajveer ka naam to lena
mat...
naina:- bhaiya...
naveen:- u have to decide naina,... rajveer ya main...?
naina:- yeh aap... wo mere pati hai... aap mere bhai ho... how can i...?
naveen:- u have too... kyuki main tujhe uske sath dard me nahi dekh sakta hai... wo har bar aata hai aur tujhe ek naya dard dekar chala
jata hai... jo ab mujhe gawara nahi... (he held her by her soulder) tera dard main samajh raha hu naina... aaj dekh main aur tu ek hi kagaar
pe khade hai... papa humesha chahte the ki hume sab best mile... kahin na kahin humare dard ki wajah papa bhi hai... na tujhe ek sachha
jeevan shathi mil paya na mujhe... mera to theek hai... but tere sath kuchh bura nahi hone dunga... ma ne jate waqt mujhe teri zimmedari
di thi... main har gaya naina... ma ka sapna pura nahi kar paya... tere liye sahi insaan nahi dhoondh paya... i m sorry ma... ( he is crying...
naina hugs her...)...
naina:- nahi bhaiya mujhe aapse koi sikayat nahi hai... koi sikayat nahi hai... (tabhi naina ka cell ring hota hai... wo jakar pick karti hai...)
ha... theek hai... (she cuts...)...
naveen:- kiska phone tha...
naina:- woh bani ka...
naveen:- take care bachha... ( naveen kissed her fore head n left...)...
next day...
almost evening time...
naina ne divorce papers sign karke shekhawat house bhej diye the... wo paper viren ke hath me the... tabhi rajveer aur aalekh aate hai...
rajveer:- dad kya hua... aise kyun khade hai... ( viren looks at him... and handed over those papers to him... rajveer looked those papers
got a biggest shock of his life...)
aalekh:- kya hai isme...? aise kyun khada hai...
rajveer:- naina mujhse... divorce chahti hai... usi ke papers hai... ( aalekh was also shocked...)...
a vacant area...
ritu:- good naina... jaisa hum kahe waisa karti jaao... atleast tumhara raj zinda rahega... aur tumhare wo bewakoof frnds bhi...
huda:- naina kaha tha na... mere pass aa ja... par tu nahi mai... ab bhugat...
naina( hatered):- kitani azeeb baat hai na huda... jis insaan ko main kabhi apna sabse achha dost manti thi... mujhe yakeen tha... ki zindagi
ke har mod tu mera sath dega... teri bachakani harkate hasaati thi... mujhe lagta tha... ki jaisa bhi hai par huda dil ka bahut achha hai...
uska dil saaf hai... par aaj samajh aata hai... huda ke pass to kabhi dil hi nahi tha... mujhe to tune nahi baksha... kam se apne un doston ko
toh...
huda;- achha... itna pyar kia maine tujhe... par tune... us rajveer ke liye...
naina:- ha... us rajveer ke liye... pyar wo nahi hai huda... jo tu mujhse karta hai... pyar wo hai jo rajveer mujhse karte hai... tune mujhe
kabhi pyar nahi kia... main teri sirf ek zid hu... jaise bachhe kisi khilaune ki zid karte hai... waise hi main tere liye khilauna ban gayi hun...
aur meri zindagi tere liye ek khel... par mr amardeep huda... na main khilauna hu na hi meri zindagi koi khelne ki cheez... tune mujhe
kabhi pyar kia... maan le teri bhalaai hai isme... pyar me dia jata hai... cheena nahi...
ritu:- oh cut the crap naina... aur jaha tak sawaal rajveer ka hai... usne tumhe kabhi nahi chaha...
naina:- ab chahte hai... jo pyar main humesha se unki aankhon me dekhna chahti thi... wo mujhe dikhata hai... mana... mana huda ki
rajveer ne badle ki aag me mujhse shadi ki... par aaj tak unhone mere sath kuchh galat nahi kia... kabhi mujhe physically harm karne ki
kosis tak nahi ki... ha mera dil dukhaya... mujhe dard diya... par sirf man ka dard... aur aaj main wo pachhtava unki aankhon me dekhti
hu... aur aaj mujhe yakeen hai ki mera decision sahi tha... tu kehta hai ki tu mujhse pyar karta hai... pyar ka matalab bhi pata hai tujhe...
pyar kabhi chhinna nahi sikhata... pyar me sirf diya jata hai... tune mujhe humesha rajveer se chhinne ki kosis ki... par rajveer meri khushi
ke liye mere raste se hat gaye... unhe main kya chahti hun... is baat se fark padta hai... par tu... tere liye tera yeh jhutha swabhimaan
mayne rakhta hai...
ritu:- hey naina... naina... m not interested in ur boring lecture ok... ball humare cout me hai...
naina:- tum to chup hi raho... kyuki tum to is huda se bhi gayi guzari ho... aur tu huda... tu chahta hai na ki main raj se alag ho jaaun...
kar dia hai maine aisa... bhej diye hai maine unhe divorce papers... par yaad rahe ab raj ko zara si bhi chhot pahuchaai na... toh... mujhse
bura koi nahi hoga... aur ali aur bani ko chhod de... un dono ne tera kya bigada hai... teri dusmani mujhse hai na... to mujhe saza de... un
dono ko nahi...
ritu:- we promise u... tumhara raj ab sahi salamat rahega... waise right time pe kar diya tumne warna rajveer ka ek aur accident hone wala
tha.. aur jahan tak sawaal un dono ka hai... toh jab kaam nahi ho jata... tab tak we humare pass raheinge... aur galti kisi kuchh batana nahi
warna... pati ke sath dosto ko bhi kho dogi...
naina:- you...
ritu:- hold it... naina ab rajveer ali aur bani ki zindagi tumhare hath me hai... bas jaisa hum kahe waisa karo... ek bar bach gaya hai
rajveer... bar - bar nahi bachega... aur ha... suna hai mere pyare sasur ji tumhare liye ek ladka dhoondh rahe hai... shadi karlo us
ladke se...
naina:- kya milega tumhe isse...?
ritu:- simple... tum kabhi khush nahi rahogi... rajveer tumse alag rahega... aur mera maksad sirf ab tumhe aur rajveer ko dard pahuchana
hai... now get lost... (naina turns to go...)...
naina:- huda sambhal ja... jo apne pati ki na ho saki... wo tera kya bhala sochegi... (she left with tears...)...
night time... alhuwalia house... main gate...
naina ander jane ko karti hai... ki ek awaaz use rokti hai...
rajveer:- naina... (naina turns n find rajveer n aalekh there...)... yeh... yeh... papers... naina plzz naina... (naina apna face turn karke
jaane lagti hai... rajveer uska hath pakad leta hai... naina apni aakhien band kar leti hai...) naina plzz... ( rajveer have tears...) dont do
this... tumhe mujhe jo saza deni hai dedo... par yeh saza mat to naina...
aalekh:- naina ek baar aur soch lo plzz...
rajveer:- naina main tumse bahut pyar karta hun... tum jo kahogi main karunga... par mujhe apne aap se alag mat karo naina... main janta
hu,... tum aaj bhi mujhse pyar karti ho... plzz naina... ( naina apna hath chhuda kar jane lagti hai... but rajveer fir pakad leta hai...)...
naina plzz... agar yeh sab karogi to... tumme aur mujhme kya fark reh jayega naina... mar chuka tha main... tumne mere dil me fir se
ehsaas jagaye hai... jeena shikha diya mujhe... mehsoos karna shikha diya... mujhe fir se mat maro naina... ( ab naveen ragini aur rishabh
bhi aa jate hai...) jis dil me kabhi sirf nafarat thi... aaj wahi dil dhadakta hai... sirf tumhari wajah se tumhare liye... main yeh nahi kehta ki
main mar jaunga... par jee bhi nahi paunga... plzz...
naina:- mujhe aapse... di... di.. divorce chahiye... yehi mera aakhiri faysla hai...
rajveer:- naina...'
rishabh (shouting):- bas,,,, bahut tamasha kar liya... tumne suna nahi naina ne kya kaha... wo tumse koi rishta nahi rakhna chahti... kyuki
wo ab tumse pyar nahi karti... (naina apne aanshun pochh kar jaane lagti hai...) now get lost... (rishabh pushed him a bit... rajveer ki
nazar sirf naina pe thi... jiske aanshun use yeh manne hi nahi de rahe thi ki she doesnt love him anymore...)
rajveer(tears were flowing down to his cheeks...):- main sirf tumse pyar karta hu... (naina stops... )I Love You Naina... i love u.. i love
u very very much Naina...
aankhien band karta hun to tumhe dekhta hu...
aankhien kholta hun to tumhe dekhna chahta hu...
tum paas nahi hoti to... tumhe charon taraf mehsoos karta hun...
har pal.. har ghadi... har waqt...
mere naina... meri naina ko dhundhte hai...
ise pyar kaho ya paagalpan...
ya mere dil ki dhadkan...
mere liye toh ek hi baat hai...
pyar to bahut log karte hai...
par mere jaisa pyar koi nahi kar sakta...
kyuki kisi ke pass tum jo nahi ho...
(naina bas rajveer ki aankhon me dekh rahi hai...)
main tumhe kho nahi sakta naina...
main tumhe khona hi nahi chahta...
tum meri ho... main tumhe zindagi bhar pyar karunga...
aur marte dam tak pyar karunga... aur uske baad bhi...
sach...
plzz naina... plzz dont go... come back to me... i cant... i cat imagine my life without u... plz... ( he kneeled down and crying with his
head lower naina forwarded a bit but stay back as huda - ritu's words echoed in her ears... ragini closed her eyes tears were pouring her
face... she ran inside... aalekh held rajveer)...
aalekh ( with tears n anger):- naina tum sahi nahi kar rahi ho... aaj tum galat ho... chal veer...
rajveer:- naina... naina plzz... ( aalekh use khada karta hai jabardasti le jane lagta hai...)...
naina:- bahut pyar karte hai na aap mujhse... (both aalekh n rajveer looked at her...)... to divorce papers pe sign kar dijiyega,... kehte
hai aapke pyar ki khushi me aapki khushi hoti hai... aur meri khushi aapse koi bhi rishta na rakhne me hai... (rajveer wiped his tears...
aalekh se wo papers cheenta hai... aur pen nikal kar sign kar deta hai... aur naina ke pass jakar uske hath me rakh kar chala jata hai...
)...
aalekh:- veer... (aalekh rajveer ke peeche daudta hai... )...
rishabh:- mubarak ho beta... finally aaj tumhe isse chutkara mil gaya... ( rishabh ander chale jate hai... naveen aakar naina ke soulders pe
hath rakhta hai...)...
naveen(with tears):- naina... (naina still looking at that side from where rajveer left)...
naina:- today i lost everything...
naveen:- naina... he loves u truely...
naina:- janti hun... leave me alone bhaiya...
naveen:- naina... tu...
naina:- i said leave me alone... (naveen naina ke sir pe hath rakh kar chala jata hai... naina apne hath pe rakhe un papers ko dekhti
hai... aur wahi ground pe baith jati hai...)...
on the road...
rajveer aage chal raha tha... aur aalekh uske sath...
aalekh:- tu pagal ho gaya hai... kya kia tune... un papers pe sign kyun kar dia... ab tu aur naina...
rajveer :- pati - patni nahi hai... wo yahi chahti hai... jisme uski khushi usi me meri...
aalekh;- mana par aaj naina galat hai.. use koi hak nahi tujhe yun dard dene ka...
rajveer:- mujhe bhi koi hak nahi tha... use dard dene ka... i dont deserve her,,,
aalekh:- nahi manta main... only u deserve her... aur main aisa nahi hone dunga...
rajveer:- aalekh mujhe akela chhod de...
aalekh:- veer...
rajveer:- plzz aalekh... (aalekh wahan se chala jata hai...)
aluhwalia house...
ab koi aash na... ummeed... bachi ho jaise...
ab koi aash na... ummeed... bachi ho jaise...
teri fariyaad magar... mujhme dabi ho jaise...
(naina wahi apne ghar ke garden type area me baithi hai... aur uske hath me wo papers hai... she clinched those papers... and crying
silently... )
jaagte - jaagte ek umra kati ho jaise...
jaagte - jaagte ek umra kati ho jaise...
(rajveer road pe chal raha hai... bina kisi manzil ke bas chalta ja raha hai... uske agal bagal se vehicles guzar rahe hai... but use koi fark
hi nahi pad raha tha...)
ab koi aash na... ummeed... bachi ho jaise...
(rajveer ruk jata hai... aur apni aakhien kas kar band karta hai... aur apne knees ke bal baith jata hai...)
raste chalte hai... magar paav... thame lagte hai...
hum bhi is... barf ke manzer me... jame lagte hai...
(naina uth kar besudh si apne room me jane lagti hai... rishabh use pukarta hai but wo sun hi nahi rahi thi... aur apne kamre me chali jati
hai... aur door ko peeche band karke baith jati hai...)...
jaan baaki hai... magar saans ruki ho jaise...
(rajveer ko wo pal yaad aata hai jab usne divorce papers sign karke naina ko diye the...)
waqt ke paas... lateefe bhi hai... marham bhi hai...
kya karun ki... mere dil me tera... gum bhi hai...
(naina uthti hai... aur apni cupborad se apni aur rajveer ki pic nikaalti hai... aur use touch karti hai... naina ka aanshun rajveer ke face pe
girta hai... she huged that pic...)
meri har saans har tere naam likhiii ho jaise...
koi fariyaad... tere dil me dabi ho jaise...
(rajveer apni aakh kholta hai... aur use aisa mehsoos hua jaise abhi kisi ne use touch kia... use naina ki wo aankhien nazar aa rahi thi...
jisme dard hi dard tha...)
kisko... naraaz karun... kisse khafa ho jaaun...
aks hai... dono mere... kisse juda ho jaaun...
(naina apne aanshun pochti hai... uski nazar saamne apni family pic jisme naina naveen aur rishabh hai.. uspe padti hai... naina ko ek taraf
rajveer ka chehra dikhta hai... to dusri taraf naveen aur rishabh ko...)
mujhse kuchh teri nazar... puchh rahi ho jaise...
(rajveer naina ki un aankhon ko yaad kar raha hai... abhi bhi use yakeen nahi ho raha tha ki naina aur uska divorce ho gaya hai... now he
lost her...)...
raat kuchh aise kati hai... ki seher hi na ho...
jism se, jaan nikalne ki... khabar hi na ho...
(agla din yunhi aa gaya,... naina floor pe baithi hai... uske hath me uski aur rajveer ki pic hai,... aur dusre side pe pade divorce papers...)
zindagi tez... bahut tez... chali ho jaise...
zindagi tez... bahut tez... chali ho jaise...
(rajveer road pe leta tha... subah ho chuki thi... par uski nazar to aasman pe hai... use koi fark hi nahi pad raha tha ki log use dekh rahe
the ya kuchh keh rahe the...)
kaise... bichhdun ki... wo mujhme hi... kahin rehta hai...
(naina apne aanshun pochti hai... aur papers ko bed pe rakhti hai... ek bar fir se pic ko dekhti hai... aur wash room chali jati hai...)
usse jab... bach ke guzarta hu... to yeh lagta hai...
(koi aakar rajveer ko uthne ko kehta hai... rajveer uthta hai... aur samne chalne lagta hai ki use naina nazar aati hai... rajveer halke kadmo
se uske pass jata hai... wo muskura rahi thi...)
wo nazar, chhup ke, mujhe dekh rahi ho jaise...
(rajveer ke face pe ek smile aa jati hai... aur wo uske face ko touch karne wala hota hai ki naina gayab ho jati hai...)
hhhmmm,,,,,,,hmmm...hmmm...
(rajveer closed his eyes and tear flows down to his cheek...)...
shekhawat vila...
bahut der ho gayi thi... sabhi ko rajveer ki chinta ho rahi thi... aalekh ne sabko sab bata diya tha... sabhi rajveer ka wait kar rahe the...
shalini:- aalekh tune use waha chhoda hi kyun...? tu use janta hai na... mujhe uski bahut fikra ho rahi hai.. pata nahi kaisa hoga,,,,,,
aalekh:- di main use wahan chhodna nahi chahta tha... but uski wo haalat... he really loves naina... par naina ne,,,, mujhe aaj naina pe
bahut gussa aa raha hai... wo veer ke sath... ( he banged his fist on the sofa...)...
ishita:- viren aap veer ko lekar aaiye... jaiye...
viren:- kahan...? kahan se laaun main... sab kuchh khatam ho gaya ishita... janti ho mujhe ek ummeed thi ki veer naina ko mana lega,...
aur mera pariwaar par... sab kuchh...
voice:- waisa ka waisa hai... (he turned n find rajveer there...) sab kuchh waisa hai... even better... (shalini ke pass jata hai.. aur use side
hug deta hai...)... di... ab theek ho gayi... aur kya chahiye... now be like we were 5 years back... so let get back to work... aalekh main
ready hokar aata hai office chalna hai... and dad aap ab araam kariye... office main aur aalekh sambhal lenge... (rajveer smile ke sath
apne room me jane lagta hai...)...
aalekh:- tu theek hai na,,,,? (rajveer turned and smiles)...
rajveer:- perfectly koi sak... (winks at him) i'll be back... (and left...)
aalekh in his heart :- tu theek nahi hai...
rajveer's room...
rajveer apne room me aata hai... aur uske face ki smile gayab ho jati hai... wo apne bed ke side pe dekhta hai jahan par uski aur naina ki
shadi ki pic rakhi hai... wo us pic ko hath me uthata hai... aur naina ke face par hath ferta hai... aur pic ko utla rakh kar washroom me
chala jata hai... ready ho kar neeche aata hai...
rajveer:- aalekh chale...
dadi:- ha... aalekh ja... aur ha puttar aaj nasta nahi ban paya hai to office me...
rajveer:- its ok dadi... hum office me kha leinge... chal... (rajveer office chala jata hai... aur peeche - peeche aalekh)...
in car...
aalekh:- tu kar kya raha hai... sirf chand ghanto me aisa kya ho gaya...?
rajveer( driving):- kuchh nahi... bas ehsaas ho gaya hai ki mere sath kuchh achha hona hi nahi hai... so mujhe khud ke liye nahi ab apni
family ke liye jeena hai... main udas rahunga unhe takleef hogi... which i cant offord... apne liye to kuchh bacha nahi atleast apni family
ke liye i can be happy... right...? (aalekh smiles n nods in yes...) tu mere sath hai na...?
aalekh:- batane ki jarurat hai...? (rajveer nods in no... both reached office...)
next day...
naina ek office se nikal kar us jagah pahunchti hai jahan use ritu ne bulaya tha...
naina:- kaha tha yeh koi solution nahi hai... yeh lo ab... (ek letter deti hai...)...
ritu:- yeh kya hai...?
naina:- judge ka order...
huda:- kaisa order... tum dono ka divorce to ab ho chuka hai...
naina:- ha... on papers... hum dono ne sign kar diye hai par...
huda:- par kya...
ritu:- in dono ko for mutual understanding 6 mahine sath rehna hoga,,,,,,,, danm...
huda:- nahi aisa nahi hoga... naina nahi jayegi...
naina:- theek hai... to fir court humara legally divorce approve nahi karegi...
ritu:- naina tum jaogi... aur jo hum kahenge tum wo karogi...
naina:- matalab... look main...
ritu:- karna hoga... jao pack ur bags aur apne sasural jaao... par ha khush hone ki jarurat nahi hai... aur na hi rajveer ke kareeb jane
ki... warna...
naina:- dekho main sab karungi undono ko ab to isme unki kya galti hai... wo dono...
ritu:- unki galti yeh hai ki wo tumse jude hai... ab jaisa kehte hai waisa karo... jaao... aur us pariwaar ko tod do... itani nafarat paida karo
us ghar me ki rajveer ki saat puste use jod na paaye...
naina:- main aisa kuchh...
huda:- karna hoga... warna... un dono ko kho dogi... aur rajveer pe abhi bhi humare aadmi ki nazar hai...
naina:- huda wo dono tere bhi...
huda;- dost the... hai nahi... un dono ne mera sath kabhi nahi dia... aur ha aalekh se bolo ki bani apne relative ke yahan hai... wo use
phone na kare... and make some excuse to pooja too... ab jaao naina... aur hum jo kehte hai wo karo... (naina left with tears...)... isse
milega kya...? kya jarurat thi...
ritu:- jarurat thi... ab naina jo us ghar me sabki fav hai... ab sabke dil me uske liye nafarat paida ho jayegi... aur rajveer ke liye uski family
hi sab kuchh hai... so wo fir se...
huda;- naina se nafarat karne lagega...
ritu (evil smile) :- right... bas wo dono ali aur bani humare trumph card hai... jab tak wo humare kabje me hai... naina kuchh nahi karegi...
huda:- hmmm ( both smiles)...
a resturant...
naveen apni car se utarta hai... aur jaldi me ander jata hai... aur ek table pe jakar rukta hai...
naveen;- hi... wo tum mujhse milna chahti thi... ( not meeting his eyes with her...)...
shalini:- ha... baitho... (naveen baith jata hai...)... mujhe veer aur naina ke bare me bat karni hai... dekho naveen naina ko plzz
samjhao... veer usse bahut pyar karta hai aur kisi bhi problem ka ant rishta todna to nahi hai...
naveen:- ha kisi bhi problem ka ant rishta todna nahi hai... yahi main tumse...
shalini:- just stop it.. yahan main veer aur naina...
naveen:- shalini mana maine galti ki... to tum mujhe saza de rahi ho... waise hi tumhare bhai ne bhi galti ki to naina bhi to use degi na,...
agar meri galti pe mujhe saza... to tumhare bhai ki galati pe use saza kyun nahi...?
shalini:- oh really mr naveen... kya sach me tumhara aur veer ka gunaah ek hai...? kabhi sochna bhi mat... mera bhai chahe jaisa bhi ho...
wo kabhi tumhare jaisa nahi ho sakta... naina ko dard dena chahta tha wo... socho naina itane mahino se uske sath ek kamre me rehti thi...
uska apni biwi pe hak bhi tha... wo apne badle ki aag me kuchh bhi kar sakta tha... ya naina ke sath kuchh bhi bura ho sakta tha... par
usne naina ko kharoch tak nahi pahuchai... aur tumne mere sath jo kia... mere sareer ko nahi meri aatma ko zakhmi kia tha tumne... (
naveen ka sir jhuka tha) aur tum apni barabari mere bhai se kar rahe ho... tum sau janam bhi le loge na naveen to bhi mere bhai jaise nahi
ban sakte... aur na veer jaisa pyar kar sakte ho... (tabhi yudi aata hai...)...
yudi:- hey shalini... hows u...?
shalini( smiles);- hi yudi... i m fine... kaise hai aap aur yahan...?
yudi:- i m perfectly fine... and actully m here with...
shalini:- ur date right...
yudi:- right... tumse kuchh nahi chhipta... hey naveen hows u...?
naveen:- m fine...
yudi:- i think maine aap dono ko disturb ki... plzz enjoy... and naveen m really happy ki aap dono apna past bhula sath aage...
shalini:- yudi aisa... (some one indicating yudi...)...
yudi:- sorry guys got to go... bye... tc see u later... ( yudi left... shalini wapas chair pe baith gayi...)...
naveen:- kya galat kaha usne...?
shalini:- kya... ?
naveen:- ek mauka nahi dogi... i know meri galati bahut badi hai shalini... par kya kabhi kisi aur ke sath aage badh paogi... ( shalini looks
at him horribely)... aise mat dekho.. ab tum bilkul theek ho... ab tumhare parents tumhari shadi ke bare me socheinge... kya kar paaogi...
think about it... aur jahan tak sawaal rajveer aur naina ka hai... to ha... pehle main nahi chahta tha ki rajveer naina ek ho... lekin ab mujhe
pata hai ki rajveer meri behen se bahut pyar karta hai... aur ab main chahta hu ki wo dono ek ho jaaye... ( shalini looks at him...) kyuki
naina sirf rajveer ke sath khush reh sakti hai... jaise tum sirf mere sath... (shalini ki aankhon me gusaa tha... naveen smiles n left...)
night time...
aluhwalia house...
rishabh:- aisa kabhi nahi hoga...
naveen:- par isme galat kya hai...?
ragini:- ha uncle... agar raj aur naina sath nahi raheinge to court kabhi unka divorce approve nahi karegi... aur jab tak divorce nahi hoga...
naina kisi aur se shadi nahi kar sakti hai...
naveen:- she is right papa..court ke orders hai... she has to... aur fir 6 mahine ki toh baat hai... naina aapki beti hai... wo kabhi rajveer ko
manf nahi karegi m sure... hai na naina... ( he winks at her...) plzz papa...
rishabh:- theek hai... ise wahan chhod aao... aur ek FIR darz kar do taki wo shekhawats naina ko kuchh nuksaan na pahuncha sake...
navee:- ji papa... ( rishabh left to her room...) thankgod... chal naina packing kar... ( naveen khushi se naina ke room me chala
jata hai...)
naina in her mind:- yeh bhaiya ko kya ho gaya hai... wo to mere us ghar jaane ke khilaf the... to fir...
ragini:- naina chalo...
naina;- ha...
naina's room...
naina:- bhaiya aap to nahi chahte the ki main us ghar jaun to fir...?
naveen ( held her by her soulder):- kyuki mujhe ab samajh aa gaya hai ki tu rajveer ko kabhi nahi bhool paayegi.. aur maine rajveer ki
aankhon me sachhai dekhi hai... wo tujhse sach me pyar karta hai... warna teri khushi ke liye sign kabhi nahi karta... aur yahi to pyar hai
naina... hai na... jahan aap apne se apne pyar ki khushi dekho... ja naina... 6 mahine bahut hote hai naina... ab tujhe apna rishta bachana
hai... apna pyar bachana... apna ghar basana hai... ja... (naina hugs him... crying)...
naina:- thankyou bhaiya... (in her mind) ab main aapko kaise bataun ki wo log mujhe aisa karne nahi deinge...
naveen:- chale... (naina nods in yes)... to jaldi packing kar...
naveen aur naina jaldi se packing karte hai... aur naveen naina ko lekar shekhawat vila pahunchta hai...
watch man:- bahu rani aap... hume to yakeen nahi ho raha ki... aaiye... aaiye... (naina smiles naveen too... both entered)...
dinner table sab dinner kar rahe the... rajveer bhi tha... but wo kha nahi raha tha kuchh soch raha tha... aur pooja bhi udaas thi...
dadi:- oye pooja... tujhe kya hua hai...
ishita:- kuchh nahi ma... ali jo nahi hai... out of india gaya hai na... to inki baat nahi ho pa rahi hai...
pooja:- kya ma,... aisa kuchh nahi hai main to bas... but yeh ali aur bani dono ko ek time pe jana tha... main bore ho jati hu... yeh veer aur
wo aalekh jab dekho busy... wahi dono the jo...
ishita:- are... aa jayeinge dono... aur veer tu pooja ke sath time kyun nahi bitata...?
shalini:- kya mom... ali ki kami to koi puri nahi kar sakta... kyun puji... ( she winks,,,,)
pooja:- di... (pooja ki nazar enterance pe padi...) Naina... (all turned and find naina with naveen... naveen smiles... sabhi uth kar aate
hai... rajveer sabse peeche tha...)
ishita:- naina kaisi ho beta...
naina:- theek hun...
ishita:- are khadi kyun hai aao baitho... naveen aao tum bhi... (naveen smiles)...
naveen:- aap sab kaise hai...
ishita:- theek hai... naina yeh bag...
naveen:- aunty wo... main naina ko yahan chhodne aaya tha... ( a big smile appears on everybody's face... rajveer has wide grin... tears
appears in his eyes... but he controlled rajveer saamne aata hai...)...
rajveer:- matalab...?
naveen:- matalab... ab naina yahi rahegi tumhare sath...
pooja:- sach oh m so happy...
rajveer:- naina tumne mujhe manf... ( naina khadi ho jati hai... aur rajveer ke pass jakar use paper deti hai...) yeh kya hai... (rajveer
papers read karta hai...)...
naina;- court ke orders,,,, (to naveen) bhaiya... i m ok... aap jaao...
naveen:- take care... ( naveen left)...
viren:- court ke orders...? matalab...?
naina with attitude:- matalab yeh pa... i mean mr viren singh shekhawat... ( all were actually shocked,,,, naina apne papa ko nam se bula
rahi thi...) ki court ke orders hai... aur aapke bete ka divorce tabhi approve hoga... jab hum 6 mahine sath reh kar ek aur chance nahi de
dete apni so called shadi ko... to ab mujhe to inse chutkara chahiye jiske liye... mujhe abhi 6 mahine inhe aur aap sab namuno ko aur
jhelna hoga...
rajveer:- naina... mind ur language...
naina:- nahi karungi... kya kar leinge...
viren:- veer rehne de... beta hum jante hai... tumne humari wajah se bahut saha hai... but hum khush hai tum wapas aa gayi ho... aur
mujhe pura yakeen hai ki in 6 mahino me tum apna faysla badal dogi...
naina:- aisa kabhi nahi hoga... kyuki main aapke bete se nafarat karti hu... ( all were shocked... aur naina rajveer ke hath se papers
chheen kar... aur apna bag lekar oopar apne kamre me chali jati hai...)
ishita:- yeh aise kyun... mana ki... par naina hum sab se aise baat...?
pooja:- mujhe to yakeen nahi ho raha hai yeh naina hai...
shalini :- kahin koi aur baat to nahi hai veer jis wajah se naina is tarah... (rajveer looks at shalini...) kyuki jitna hum use jante hai... jab wo
itani takleef me thi tab bhi usne kabhi bhi kisi se battamizee se baat nahi ki... to fir ab to sab theek hai... to wo...
pooja:- ha veer... kuchh gadbad hai... ( rajveer clintched his fist )...
rajveer:- aap log tension mat lo... main dekhta hun... (all nods in yes,,,,, n rajveer left to his room...)
End of Part 31
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
***********************************************************
***********************************************************
Edited by rkchandni - 8 years ago
204