Kuchh Rang Pyar ke Aise bhii - RaiNa ff thread 1 - Page 90

Created

Last reply

Replies

951

Views

82k

Users

52

Likes

1.4k

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago


*** Kuchh Rang Pyar Ke Aise bhi...***

Part 25

aalekh ( shouting):- warna kya ha... warna kya...? marega mujhe... le maar... (rajveer apna muh fer leta hai...)... mujhe pata

hai maine jo kuchh bhi naveen se kaha wo tujhe zara bhi pasand nahi aaya... bhaag veer bhaag jitna bhagna hai bhaag... lekin jo hona

hota hai... ho ke rehta hai... tu shalu di ko lekar bhagta raha lekin dekh unka ateet tere saamne khada hai... tu apne ateet se bhagta raha

par dekh aaj wo bhi tere saamne aa gaya... tu naina ke pyar se bhaag raha hai... maan nahi raha ki wo tujhse sachha pyar karti hai... tu

apne jajbaaton se bhaag raha hai... mark my words veer tu pachhtayega... tu sahi nahi kar raha... ek baar soch yeh sab karke kya mil

jayega... kya... tu...

rajveer:- main ghar ja raha hun... tujhe jo sochna hai tu wo soch,,,,,, tujhe jo karna hai kar... ( aur rajveer apna bag lekar chala jata

hai...)...

aalekh:- wo to main kar raha hu veer... bas ek bar pura sach pata chal jaaye... ( tabhi uska cell ring hua...) ha bolo... kya... theek

hai... hmmm... ( cuts the call...) oh to huda ragini se milne wala hai... kahin yeh ragini fir se toh... nahi main aisa nahi hone

dunga... sorry veer abhi tujhe maine huda ka sach nahi bataya hai... par ek bar puri sachhai jaanne ke baad is huda naam ke kante ko tere

aur naina ke beech se nikal kar rahunga... ( he also left...)...

shekhawat vila...

yudi shalini ka treatment kar raha tha ki naina aati hai...

yudi:- are naina ji...

naina:- sirf naina... ( yudi smiles...) achha yudi ji...

yudi:- sirf yudi...

naina:- ok... to yudi... itane din ho gaye beech me to di bahut achha response kar rahi thi... fir ab...? i mean...

yudi:- i understand... mujhe khud thoda to azeeb lag raha hai... achanak se shalini kam response kar rahi hai... recovery rate badhne ki

jagah ghat raha hai... isiliye maine kafi study kia hai... agar shalini ko shock dia jaaye to may be wo turant theek bhi ho sakti hai...

naina:- what shock...?

yudi:- dekhiye naina physically she is now 100% fine like u n me... even she can think... but abhi bhi sadma ander hi ander inhe jeene

se rokta hai... sayad jo hadsa inke sath hua hai... yeh jeena chahti hi nahi hai... agar yeh khud chah le na to ek hafte me bhi theek ho

sakti hai... nahi to aise hi time lagega... ( kuchh soch kar) naina aap inhe theek karne ke liye kya kar sakti hai...

naina:- kuchh bhi... main di ke liye kuchh bhi kar sakti hun... but shock nahi... inhe dard ho mujhe gawara nahi...

yudi:- m not talking about electric shock yaar... just sadma wale shock... like inke sath kuchh aisa ho jise dekh yeh instant react kare yeh

jeena chahe... aap to inke sath hi rehti hai... agar aap kuchh aisa kare to...

naina:- ofcrz... i promise u yudi main di ko aise nahi dekh sakti... main inhe theek karungi,,,, aur inhe theek hona hoga...

yudi ( naina ke peeche dekh kar):- are rajveer aap...? ( naina also turned and find disturbed raj...)

rajveer;- hello yudi... ( n left...)...

yudi:- he is not well...

naina:- kya... matalab...

yudi:- yar aapke pati hai... khair... he is totally stressed out... unki tie se pata chal raha tha aur aakhien to dil ka aayina hoti hai... waise

rajveer ki aankhien bahut expressive hai... saf pata chal raha tha... ki he cried...

naina:-raj...

yudi:- yup... he needs you... go... ek jeevan sathi jyada achhi medicine hoti hai... (naina just smiles...) m with her dont worry... (

naina left from there)...

naina kamre me jaldi me aati hai... dekhti hai ki rajveer apni window ke bahar khada hai... uska bag cout sab floor pe pada hai... naina

rajveer ke kareeb gayi... to usne dekha ki rajveer ki aankhon se continusly aanshu beh rahe the... this was the first time jab rajveer ko

naina ne rote hue dekha tha...

naina ( slowly) :- raj...? raj... ( rajveer naina ki ore dekhta hai... aur turn hoke jane lagta hai... naina uska hath pakad leti hai...)...

rajveer:- hath chhodo mera...

naina;- nahi chhodungi... chhodne ke liye yeh hath nahi thama tha maine... main to humesha se aapke dard ko batna chahti thi... aur

chahti hu raj... par aap... aap kyun aisa kar rahe hai apne sath mere sath... kya hua hai raj... aap is tarah...

rajveer ( hath jhatak kar);- just shut ur mouth... dard dene wale hi dard ki wajah nahi puchha karte...

naina:- maine... kya... kya kiya hai maine...?

rajveer:- oh really... to naveen bina tumhe bataye mere pass aaya tha...

naina:- bhaiya...? wo aapke pass...

rajveer:- oh stop it naina... kya tumpe hone wale zulmo ke bare me tumne apne bhai ko nahi bataya... ( naina sab samajh gayi...)...

you know what... mujhe nahi pata ki usne tumhe kya bataya... lekin wo meri di ke gunehgaro ko saza dila sakta tha... par wo tab bhi

chup tha... wo aaj bhi chup hai... usne tab apna bayaan di ke fovur me nahi diya tha... wo yeh kehne to chala aaya ki naina ko kuchh

mat karna... kyuki wo tumhara bhai hai... fikar hai use tumhari... but usne na tab ek baar socha tha... na ab ki shalini bhi kisi ki behen

thi aur hai...

naina:- main janti hu... main sab janti hun... bhaiya ne kal mujhe sab bata dia hai... sara sach... aur yakeen maniye main... ( rajveer

wahan se chala gaya)... raj... raj suniye... aap mujhe kab samjheinge... ( tears flows down to her cheek...)...

saai chhaya cafe...

ragini huda ka wait kar rahi thi... ki huda aata hai...

huda:- hello...

ragini:- hi... bolo...

huda:- badi jaldi hai...

ragini:- dekho huda agar raj ka sawaal nahi hota na... to main yahan kabhi nahi aati... par ab tum batao... ab tak kya kia hai... aur aage

ka kya plan hai...

huda:- tum mujhe bewakoof samajhti ho... kya gurantee hai ki tum rajveer ko kuchh nahi...

ragini( with smile):- huda jab tumne itna sab pata kia... to tumne abiously mere aur raj ke bare me bhi sab pata kar lia hoga... jo kuchh

bhi maine apni nadaani me raj ke sath kia tha... uske baad ek baar wo saitaan par yakeen kar lega par mujhpe nahi...

huda:- wo toh hai... but sach me yar bechare ke sath sahi nahi kia tumne...

ragini:- tabhi to apni galti sudhar rahi hun... aur ha... wo aaj bhi mujhe chahta hai... naina ne mujhe bataya tha ki sirf wo raj se pyar

karti hai... raj nahi...

huda:- kya... iska matalab...

ragini:- yes... aur ab main raj ko pa ke rahungi... main naina ko apni khusiyan chheenne nahi dungi... raj sirf mera hai... sirf

mera...

huda:- aur naina sirf huda ki... to suno... ( they have a secret convo... which was heard by aalekh... jo ki unke peeche

hi sir jhuka kar hat laga kar baitha tha... uske expressions se saf - saf pata chal raha tha ki wo khush to tha sach jaan kar... but shocked

bhi...)...

next day...

shekhawat vila...

sabhi dining area me baithe the... including aalekh wo raj se kuchh bat karne aaya tha but ishita ne use khane pe bitha diya... sabhi

dinner kar rahe the ki kuchh log tez kadmo se ander aate hai...

voice ( shouting):- rajveer... ( all turned and find rishabh, ritu naveen there...)...

viren;- are rishabh... kya hua bhai... aao - aao...

rishabh:- bada achha tarika nikala hai tumne viren mujhse badla lene ka...

viren:- kya... yeh kya...?

rishabh:- maine apne bete ke shadi tumhari is beti se nahi hone di to tumne apne bete ke jariye meri beti ko fasaya... ( dhamake on all's

face... but naina aur rajveer sab samajh rahe the... actually naveen ne sara sach rishabh aur ritu ko bata diya jise sun jahan ritu bahut

khush thi wahin rishabh... gusse se pagal ho rahe the... naveen ke bahut mana karne ke baawzood... rishabh shekhawat vila aa gaye...

naina ko lene,,,,)...

viren ( gusse se):- jabaan ko lagaam do rishabh...

naina:- papa aap yeh... aur bhaiya... aap inhe yahan lekar kyun aaye hai... maine aapse kaha tha na...

ishita:- ek minute naina... bhaisaab kahiye aap kehna kya chah rahe hai...

aalekh in rajveer's ears:- veer maine kaha tha na... ki in sab ka ant achha nahi hoga...

rishabh:- wahi jo aapne suna... puchhiye apne bete se usne meri naina se shadi kyun ki... puchhiye...

dadi:- yeh kya bakwaas kar raha hai tu... veer aur naina ek dusre ko chahte hai...

ritu:- galat fehmi hai yeh aapki... aapka veer nahi sirf humari naina usse pyar karti hai... isne to naina ko apne pyar ke jaal me sirf isiliye

fasaya taki yeh naina ko takleef de sake hume barbaad kar sake aur humse naveen se shalini ka badla le sake... ( dhamaake on dadi's

viren's ishita's n pooja's face)...

ishita:- nahi aisa nahi ho sakta... mera veer...

ritu:- achha itna vishwaas hai apne bete pe... aur apne diye hue sanskaaro pe to puchhiye rajveer se ki hum jo bol rahe hai wo sach hai ya

nahi... puchhiye...

naveen:- ritu plzz...

rishabh:- bilkul sahi hai wo... viren tumne mujhse badla lene ke liye meri naina ki zindagi...

naina:- papa plzz...

rishabh:- tu chup reh... teri aankhon me is ghatiyaa insaan ke pyar ki patti badhi hui hai... hazar baar maine mana kia tha ki is ghar me teri

shadi nahi hogi... par tu... tu na mani... ab bhugat... badi duhaai dete the tum viren apne sanskaaro ki... tumhari pehli aulaad bhi waise

nikali... aur dusri bhi... na shalini ka koi zameer...

rajveer:- BAS... khabardar jo meri behen ka naam bhi lia to... kya sunna hai ha... ki maine naina ka istemaal kia tum sabse badla

lene ke liye... ha kiya... ( again dhamake on shekhawats...) koi pyar wyar nahi karta main aapki beti se... nafarat karta hu main

usse... maine usse shadi sirf isiliye ki taki uske zariye main naveen ko tadpa saku... aapko tadpa saku... tum sab ko barbaad kar du...

jab se meri di ke sath wo hadsa hua hai... koi aisa pal nahi gaya jab maine naveen ki barbaadi ka na socha ho... ha kia maine naina ko

use... diya hai maine use dhokha... par khabardaar meri behen ko kuchh kaha to... abhi isi waqt jaan se... ( tabhi ishita rajveer ko turn

karti hai... aur kheech kar thappad marti hai... sab shocked the...)...

ishita:- kya... ha kya kaha tune... tune itna bada naatak kia... tune us bachhi ke sath... ( naina is crying...)... uski kya galti thi... mujhe

laga tha tu khush hai... sirf teri khushi ke liye hum sab bhul gaye the par tu,... veer yeh sab maine to tujhe kabhi nahi sikhaya to fir yeh

sab kaha se seekha tu... humne tujhe sirf dena shikhaya tha veer... kisi se kuchh chhinna nahi... kyun kia bol...?

rajveer:- mom... aap iska sath de rahi ho... bhool gayi ise ke bhai ne aapki beti ke sath, meri behen ke sath kya kia tha... aaj iske bhai ki

wajah se meri behen ek zinda lash hai...

ishita:- to kaha likha hai ki bhaai ke kiye ki saza behen ko mile ha...

rajveer:- are to is naina se puchhiye... jis tarah maine isse badla lene ke liye shadi ki... waise hi isne bhi mujhse sirf isiliye shadi ki taki yeh

hume barbaad kar sake... ( dhamaake... naina was hell shocked...)... yeh mujhse koi pyar wyar nahi karti... sirf hume business me

harane ke liye isne mujhse shadi ki hai...

dadi:- hey bhagwaan...

viren:- tu pagal ho gaya hai...

naveen:- kya bakwaas kar rahe ho... meri naina...

rajveer:- puchho apni behen se... kya iska chakkar huda se nahi chal raha hai... puchho apni biwi se... kya wo yeh sach nahi janti... (

bade wale dhamake...)...

ritu:- yeh... yeh tum...

naina in her mind:- huda...

rajveer:- itna hi nahi... maine aaj tak ise hath tak nahi lagaya hai... aur iska fayda utha ke yeh aur wo huda court me yeh saabit kar

deinge ki main namard hu... ( sabse bade wale dhamaake)... aur fir ise mujhse talaak mil jayega... meri property aur shekhawat's ki

barbaadi aur badnaami,... par yeh bhul gayi ki main mar jaunga... aisa kuchh bhi nahi hone dunga...

naina:- yeh aap... kya... kya keh rahe hai... mere aur huda ke beech... humare beech aisa kabhi kuchh na tha... na hai... na hoga...

aapko yeh sab kisne kaha...

rajveer:- ya tum apne aap ko bahut smart samajhti ho... ya sari duniyaan ko bewakoof... tumhari har ek asaliyat se waakif hu main...

naina:- mera huda se koi vasta nahi hai... wo sirf mera dost hai...

rajveer:- oh really...

dadi:- ek minute... ( naina ke samne jati hai...) tu janti hai naina... naveen ke behen hone ke bawjood maine tujhe kyun apnaya

tha... (naina bas unhe dekh rahi thi...) kyuki tujhme maine apni parchhai dekhi thi... teri aankhon me mujhe humesha se kuchh kar

dikhane ka jajba dikta hai... mujhe humesha aisa hi lagta tha... ki ek tu hi hai jo mere veer ko jeena sikhayegi... use wo purana veer bana

degi jo wo shalu ke hadse ke pehle tha... tujhe tere suhaag ki kasam naina... sirf ha ya na me jabab dena us huda se tera koi rishta

hai...?

naina:- ha hai...? (all were shocked...)... wo mera dost hai... school se... usse jyada kuchh nahi... maine sirf ek bar pyar kia hai... wo

bhi sirf raj se...

dadi:- naina mujhe tujhpe vishwaas hai...

rajveer:- dadi aap yeh...

viren:- mujhe bhi naina pe vishwaas hai veer...

pooja:- mujhe bhi... veer tujhe koi galatfehmi hui hai...

naveen:- dekho rajveer... tumne mere bare me jo bhi kaha hai... main manta hu sab sach hai... main gunehgaar hu... shalini ka

tumhara... is ghar ka... par meri naina ka in sab se kabhi koi vasta nahi tha... aur aaj tum uska nam us huda se... tum apni patni ke

sath...

rajveer:- nahi manta ise main apni patni...

viren:- veer... chup kar... ab naina unki beti nahi... meri bahu hai...

rishabh:- naina sirf meri beti hai... ab wo is ghar ki bahu nahi hai... ( dhamaake on naina's viren's dadi's pooja & aalekh's face...)... bahut

galat kia hai tumne meri beti ke sath rajveer... ab naina ek pal ke liye yahan nahi rahegi... jo sab tumne kaha bhale wo sab naina ke

man me nahi tha... lekin ab main iska talaak tumse kara ke rahunga.,... ( naina was hell shocked)...

naveen:- papa aap yeh...

viren:- sahi keh rahe ho rishabh... le jaao naina ko... is baar galat hum hai... galti mere bete ne ki hai... saza to milani hi chahiye...

par aaj to ehsaas hua hoga na... ki jab kisi aur ki saza aapki beti ko mile to kaisa lagta hai... jaao naina... apne asali ghar jaao... (

rishabh naina ka hath pakad kar aage badhne lagte hai... par naina nahi hilati...)...

rishabh:- chalo naina... (naina kuchh nahi kehti... na hi hilati hai...) naina i said move... ( naina apna hath viren se chhuda kar

rajveer ke pass ja kar khadi ho jati hai...)...

naina:- nahi papa... mera asali pariwaar yeh hai... mera ghar yeh hai... mere apne yeh hai...

rishabh:- itna sab hone ke baad bhi tu is ghatiya insaan...

naina:- aap bhool rahe hai ki aap mere pati ke bare me baat kar rahe hai... aur ha yeh mere ghar ka mamla hai... aap log beech me na

pade to hi behtar hai... aur bhaiya mujhe aapse yeh ummeed nahi thi ki aap papa ko is tarah lakar mere pariwaar ki beizzati karenge...

ritu:- naina tu chahti kya hai... yeh tere bare me itna sab kuchh keh raha hai... aur tu hai ki...

naina:- bhabhi maine kaha na... yeh mere ghar ka mamla hai... aap loge jaaiye...

rajveer:- kyun naatak kar rahi ho... itna achha mauka mila hai tumhe ja sakti ho...

naina:- kash aap mujhe samajhte...

naveen:- papa ritu chaliye... par ha naina... aaj sirf tere liye... agar mujhe pata chala ki isne ya kisi ne bhi tere sath kuchh galat kia hai...

to main use chhodunga nahi...

naina:- kitani azeeb baat hai bhaiya... kash aapne tab bhi yeh soch lia hota ki shalu di bhi kisi ki behen hai... to aaj main is mod pe na

hoti... ( naveen wahan se chala jata hai...) papa maine kaha na jaaiye... ( rishabh gusse se wahan se chala jata hai... aur unke

peeche ritu bhi...)...

ritu in her mind:- naina ke sath - sath tum bhi kahin ke nahi rahe rajveer... ( finally steped out from the house...)...

dadi:- naina... tu kyun nahi gayi... yeh ( rajveer) tere pyar ke laayak nahi hai...

viren:- ha beta... yeh badal gaya hai... yeh mera veer ho hi nahi sakta... jo kabhi kisi se nafarat nahi kar sakta tha... aaj uske man me

itani kadwaahat hai... sach kaha hai ma ne yeh tere kya kisi ke pyar ke laayak nahi hai...

naina:- main ab inse pyar karti bhi nahi hu dadi... kabhi ek waqt tha... jab inhe toot ke chaha tha... par jab inhe mere pyar ki kadra nahi

to main kyun apne aap ko dard pahunchaaun...

aalekh:- to tum chali kyun nahi gayi,...

naina:- kyuki main kaayar nahi hu... jis din mera maksad pura ho jayega main chali jaungi... ( dono hi rajveer aur naina door - door

khade hai... par sirf ek dusre ki aankhon me dekh rahe hai... jinme sirf dard aur takleef hai...)... aur wo hai... di ke asali gunehgaar

ko saza dilwana... joy aur uske dost... di ko theek karna... aur apne daman me lagaye gaye daago ko mitana... us din humesha ke

liye chali jaungi... tab tak... ( dadi ke samne hath jod kar...) mujhe is ghar me rehne ki izazat de dijiye... ( dadi naina ka hath pakad

leti hai...)...

dadi:- nahi puttar... yeh ghar tera hai... samjhi... ise to akal nahi hai... par main chahti hu ki tu humesha yahi rahe...

viren:-ha beta... is ladke ne to apni jagah kho di hai... par tum pehle bhi is ghar ki bahu aur meri beti thi... aur aaj bhi samjhi...

naina:- kash mere papa bhi aap hi ki tarah hote papa... ( she hugs him... n cried... rajveer wahan se gusse se chala jata hai... in sab

baaton ke beech ishita ne kuchh na kaha... wo bas aanshu liye rajveer ko dekh rahi thi... naina ishita ke pass aati hai...)... ma... kya

aapko mujhpar vishwaas nahi hai... (ishita naina ko dekhti hai... aur uske sir pe hath rakhti hai...)...

ishita:- khush raho... ( n she left...)...

aalekh:- naina main tumhare sath hu... ( she smiles a bit,...n looks at pooja...)...

pooja:- jeet tumhari hogi naina,,,,,, aur main chahti hu ki veer ki galat fehmi jald se jald door ho jaaye... aur tum dono ek ho jaao...

naina:- thanku... jab mera pariwaar mere sath hai,... to sab theek hoga... vishwaas hai mujhe... (sab ek - ek karke chale jate hai...)

huda...

pooja's room...

pooja:- hume veer ke sath hona chahiye... papa aur ma ne uske sath... wo theek nahi hoga aalekh...

aalekh:- janta hun... par abhi nahi... use khud waqt de pooja... use khud samajhna hoga ki wo galat hai... mujhe ab apne aap par gussa

aa raha hai kash main rok leta use,,,,,,,,

pooja:- tu sab janta tha na...?

aalekh:- ha...

pooja:-mujhe kyun nahi bataya...?

aalekh:- usse kya hota,... itna samjhaya use... par uski zid... ab wo khud samjhega... use samajhna hoga,... dheere - dheere karke

wo sab kuchh kho raha hai... aur... ( he banged his hand on the wall...)...

pooja:- aalekh sambhal khud ko...

after some time...

naina pooja ke room me aati hai... jahan aalekh aur pooja baithe hai,,,,,,,,,,

pooja:- naina tum...

naina:- wo raj kahan hai... mujhe laga tum dono ke sath honge... maine pura ghar dekh lia kahin nahi hai...

aalekh:- ho sakta hai bahar gaya ho... naina use kuchh waqt do aa jayega...

naina:- par itani rat ko...

pooja:- wo aa jayega naina... jaao so jaao...

naina:- hmm... aalekh tumhe sab pata tha na...? ( he nods in yes,,,,,)... huda ke baare me kya jaante ho... raj ko aisa kyun lagta hai

ki... ( aalekh kuchh nahi bolta...) ab to bol do aalekh... tumhari chuppi ka nateeza sab bhugat rahe hai... jiski khushi ke liye sab kar

rahe the tum... yakeen mano mera... raj hi sabse jyada dukhi hai... wo kuchh bolte nahi hai... iska matalab yeh nahi hai mujhe kuchh

pata nahi hai...

aalekh:- actually naina tumhari sadi se ek ya do month pehle... ( tab aalekh naina ko huda aur rajveer ke beech ki sari baat batata

hai,...)

naina:- bhabhi... par...

aalekh:- ek baat kahun naina... ritu ji pe tumhara vishwaas sahi nahi hai... ho sakta hai na ki wo bhi veer ki tarah hi...

naina:- aalekh kya bakwaas kar rahe ho... bhabhi hai wo meri... meri ma ke baad unhone mujhe ma ki kami mehsoos nahi hone di...

aalekh:- naveen tumhara bhai hai... rishabh uncle tumhare papa hai... unse yeh umeed ki thi tumne jo sach nikla...? (naina kuchh nahi

bolti...) are inhe chhodo... jab tumhare pyar ne hi tumhe dhoka dia hai... to tum kisi aur pe vishwaas kaise kar sakti ho naina... sochna...

naina:- aalekh aisa kuchh hai jo main nahi janti...?

aalekh:- ha aisa bahut kuchh hai... jo tum nahi janti...

pooja:- to tu bana na...

aalekh:- nahi bata sakta... veer ki kasam se bandha hu,... par naina ho sake ho sach ka pata lagao... ritu ka sach... aur bahut

kuchh...

naina:- theek hai aalekh... pata to main laga ke rahungi... (naina left...)

aalekh:- pooja main chalta hu... veer ko sambhal lena... main usse kal bat karunga... ( aalekh also left to his house...)

rat ke 3 baj chuka hai... rajveer ka kuchh pata nahi tha... naina pareshaan thi... aur apne room ke chakkar kat rahi thi... fir jakar bed

pe baith jati hai...

naina:- kahan hai aap...?

store room...

ishita ander aati hai... to dekhti hai ki rajveer floor pe apni knees pe hath rakh kar baitha hai... aur window se bahar aasmaan ko dekh

raha hai... ishita ja kar baith jati hai uske bagal mein...

rajveer-naina's room...

naina:-bahut hua... main ma aur papa ko batati hu... mujhe bahut tension ho rahi hai... ( uth kar ishita ke room me jane lagti hai...

par raste me hi ruk jati hai... uski nazar store room ke door pe padti hai jo khula tha... wo wahan jati hai... aur aa rahi awaazo ko sunne

lagti hai...)...

rajveer:- aap bhi yahi kahogi ki main galat hu... ha galat hu... bahut galat hu... bahut bura hu... mujhme to koi feelings hi nahi hai...

main to insaan kehlaane ke laayak nahi hun... sab sahi hai... sab, siwaay mere... to kya hua ki mere pyar ne mujhe dhoka dia... jis

ladki ko maine apni jaan se jyada chaha tha usne mere pyar ka mazak bana dia... usne mujhe kahin ka nahi chhoda... to kyun karun main

pyar par vishwaas... usi pyar ki kadvi yaadien pichhle kai saalon se mere dil me nasoor ban kar baithi hai... kyun karun main kisi pe

bharosha...( jahan ishita shocked thi... wahin naina hell shocked)...uski wajah se maine aalekh tak pe vishwaas nahi kia... mujhe

apne pyar par itna bharosha tha... uski wajah se aalekh pe hath tak uthaya tha maine... par kya hua mera bharosha hi toota... is

zakhm se ubhara bhi nahi thi ki khabar mili di ka accident... jab di ko dekha... to mujhe aisa laga ki kisi ne meri saans rok di ho... ji

jaan ek kar di sach pata karne ke liye... sab kuchh hone ke bawzood bhi un logon ko saza nahi dilwa paya... kyuki us naveen ne apna

bayaan di ke khilaaf diya... fir... fir se pyar karne ki saza mili meri di ko... to kyun karu main pyar par vishwas... kyun... is

pyar ne mujhse to har baar chheena hai na... sirf chheena hai... aalekh kehta hai ki main naina se pyar karta hu... nahi kabhi

nahi... nahi kar sakta main kisi se pyar... nafarat hai mujhe pyar se... jab us naveen ko meri behen pe taras nahi aaya... to main

uski behen pe taras kyun khaaun... kyun... mom... kyun... us pariwaar ne mujhse sirf chheena hai... dekho na mom... aaj naina

ne mujhse mere dad, dadi aur aapko bhi chheen liya... aaj aap sab ke liye wo sahi aur main galat... ha galat hu main... janta hu...

janta hu sirf gunaah kar raha hu main... aur in sab ke liye kabhi bhi khush nahi rahunga main... ( ishita bas uske bagal me baithi... uska

hath pakade use sun rahi hai... wahin naina door pe khadi hai...)... aur khush rehna chahta kaun hai mom... mere pass kabhi kuchh

nahi tha... kabhi nahi... aur aj jo ek cheez thi mere pass... use bhi naina ne mujhse cheen lia... mere apne... mere rishtey... kuchh nahi

bacha... kuchh bhi nahi... mom... theek hai... mana mom... mana galat hu... par wo bhi to galat hai... use koi haq nahi hai... us

huda ke sath... i hate him... i hate him mom... ( rajveer hugs her n crying...naina apne aanshun poch kar wahan se chali jati

hai...)...

ishita:- usse pyar karta hai tu veer... is nafarat ki aag me tujhe kab naina se pyar ho gaya tujhe khud pata nahi chala... ( he broke

the hug...)

rajveer:- i hate her...

ishita:- kehte hai... pyar ki buniyaad dosti aur vishwaas pe hoti hai... par kabhi - kabhi pyar ki buniyaad nafarat bhi hoti hai... aur jo

pyar nafarat se suru hota hai na... wo ibadat ban jata hai... ( rajveer apna muh fer kar khada ho jata hai...) jahan tak sawaal galat

sahi ka hai... tu galat hai... aur agar sach me huda aur naina ke beech kuchh bhi hai... to wo bhi galat hai... beta hai tu mera...

tujhse naraz ho kar main kahan jaungi... bas itna kahungi... ho sake to apne aur naina ke rishtey ko bacha lena... aur apne papa

aur dadi ko waqt de... ( uske sir pe hath rakhti hai...) koi aur bhi hai... jo tere liye jeeta hai... maine yeh mehsoos kia hai... ja apne kamre

me... ( ishita rote hue wahan se chali jati hai...)...

rajveer- naina's room...

yahan naina bed pe baithi hai... uski aankhon se lagatar aanshun beh rahe the... use abhi rajveer ki ishita se kahi saari baat yaad aati

hai... wo apne aapko ko curdle karke baith jati hai... aur floor ko dekh rahi hai...

naina in her mind:- unke dil me unka past aaj bhi jinda hai... par kaun hai wo... kaun... tab mujhe nahi janna tha... par ab jaan kar

rahungi... aur agar wo bhi raj ko chahti hai to main wada karti hun raj aapko aapka pyar dila kar rahungi... kyuki jab aap apne pyar se

door hote ho tab kitani takleef hoti hai... yeh mujhse behtar koi nahi janta...

aha aha ha ha ha ha...
na na na na... naaa...
kuchh rang pyar ke aise bhi...
kuchh rang pyar ke... ha ha ha...

tabhi rajveer ata hai... door ki awaaz se naina use dekhti hai... dono ka eyelock hota hai... fir naina uth kar washroom me chali jati

hai... aur rajveer bed pe jakar so jata hai...

next day...

End of Part 25
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
*************************************************************
*************************************************************
Edited by rkchandni - 8 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
385641 thumbnail
Posted: 8 years ago
Very well written..I just Hope Naina doesn't give up.
kajalkalwani thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
Such an emotional update.. hope sab theek hojaye
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Awesome and emotional update
Loved it
Lets see aage kya hoga
Continue soon and thanks for the pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: kajalkalwani

Such an emotional update.. hope sab theek hojaye


yup thanks for reading
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago

Originally posted by: vssdp

Awesome and emotional update

Loved it
Lets see aage kya hoga
Continue soon and thanks for the pm


thanks dear...😊
Jayeeta_06 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
mind blowing update...⭐️⭐️⭐️...Ragini and Huda both are selfish...😡...glad that Alekh overhears their convo...😎...Rishabh admits to Shekhawat family that Raj married Naina to take revenge...😲...everyone supports Naina which hurts Raj......He blames himself...🤔...Naina defends her in-laws......Ishita asks Raj to save his and Naina's relation...👍🏼...she decides to know the truth about Huda and Raj's ex...👏👏👏...waiting 4 the next update......thank u 4 pm...😃...
K2kaoK2 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
Amazing update ..plz continue soon
PriyaKABHI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
Thanks for PM,Dear.😊
It was so Interesting Part.😊
Naina Outburst on Rajveer was so Nice.😊
It was so sad to see that Rajveer didn't trust Naina.😭
Ishita was so Nice.😊
The way Ishita tried to convince Rajveer about Naian was so Nice.😊
I hope the truth will come soon.😊
Please Update Next Part soon.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaSweety-Anu

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya and Raina ff - Love me like you do

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42

8 years ago

Rivanya,Ishveer,Raina,Ragsan and Vikresha ff - My love is only for u

Let's me introduced the Characters Ritik Raheja (Arjun Bijlani) : A very rich business tycoon and elder brother of Ranveer and Ragini Ranveer

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

5 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

7 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Koeli

5 years ago

Comment Migration Request Thread #1

Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".