
Part 10
rajveer in his mind:- bas ab tum dekhte jaao naveen singh alhuwalia... ki tumhari is behen ko hathiyaar bana kar
main tumhe kaise todta hu... ( a negative music of rajveer is playing in background...)
naina's room...
naina yeh jaan kar ki rajveer hi RV hai... bahut jyada upset ho jati hai... use baar - baar kuchh baatein yaad aa
rahi hai...
{naveen's word:- wo Rv humara sabse bada dusman hai... ( then she remembers how rajveer helped her...)...
naveen's word:- rajveer, he is nice man... ( then she remembers how... rajveer made her wear his jacket in that
night...)
rishabh:- jabse RV aaya hai... in shekhawat's ki taakat badh gayi hai... humein unhe harana hai naina... ( then
she remembers how rajveer sacrifices contract for her...)
naveen's word:- naina main abhi tak RV se mila nahi hu... par jitna janta hu wo jeetne ke liye kisi bhi had tak ja
sakta hai... ( then she remembers rajveer's words:- its a business yeh sab to chalta hi rehta hai..haar jeet to lagi hi
rehti hai...)}
naina to herself:- kya sach hai aur kya jhuth... samajh nahi aa raha hai... agar main apni man ki aankhon se
dekhun to mujhe kuchh bhi jhuth nahi dikh raha hai... to kya iska matalab papa aur bhaiya ko raj ke baare me
galatfehmi hai... ha... yeh ek galatfehmi hi hai... kyuki raj se achha to koi ho hi nahi sakta... unhone sirf mere
liye, hath me aaya hua itna bada contract jaane diya... agar wo galat hote to aisa kabhi nahi karte... aur jahan tak
sawaal hai dosti ka to...uski pehel bhi to maine ki... ha bhaiya... papa aap dono galat soch rahe hai raj ke baare
me... maine aap dono ki yeh galatfehmi door karke rahungi kyuki... kahin na kahin main... main... main khud
nahi jaanti kyun par... main raj ko bahut like karti hun... wo bahut achhe hai... aur koi unhe bura kahe yeh
mujhe gawaara nahi... ( with determined face naina wapas hotel ke bahar chali jati hai...) oh no... lagta hai raj
chale gaye... naina tu bhi na...
naina to driver:- chaliye bhaiya...( wo car me baith jati hai... driver kafi der se car start karne ki kosis kar raha
hai... par car start nahi ho rahi thi...) kya hua bhaiya...?
driver:- mam... lagta hai car me koi fault aa gaya hai... start hi nahi ho rahi hai...
naina:- oh no... plzz dekhiye aur sahi kijiye... is project ko lekar meri meeting hai...( kareeb 5 minute tak driver
car theek karta hai... bas use fault nahi milta...)
driver:- mam... kuchh samajh nahi aa raha hai... ki kya fault hai... i think machanic ko dikhana padega...
naina;- oh nooo... ( tabhi ek car speedly naina ke pass akar ruk gayi...) are aap...
rajveer:- ha wo... main to chala gaya tha par... i dont know why par... aisa laga tum kisi problem me ho to... wo...
to... tumhe dekhne aa gaya... ( a sweetest smile appears on naina's face...) i m sorry...
naina:- are nahi - nahi... aap bilkul sahi waqt pe aaye ho... meri car kharaab ho gayi hai... and like u meri bhi ek
important meeting hai so... ( naina rajveer ki car ki front seat pe jakar baith jaati hai) mujhe delhi tak lift mil hi
jayegi... ( she smiles... and rajveer too... naina driver se kuchh baat karne lagti hai... aur dusri side raj apni pocket
se naina ki car ka ek spare part nikalta hai... jo usi ne nikaal liya tha... uski car kharaab karne ke liye... aur ek evil
smile ke sath wo part gadi ke baahar fekta hai... aur apni car start karke naina ko lekar nikal jata hai...)...
in car...
rajveer drive kar raha tha...aur corner se naina ko dekh bhi raha tha... naina window ke baahar dekh rahi thi...
sayad abhi bhi naina ke dimaag me RV ko lekar sawaal chal rahe the... par fir wo khud ke sir pe halke se marti
hai... aur rajveer ki taraf dekhti hai... jo sirf saamne dekh raha tha...
naina:- raj...
rajveer:- hmmm...
naina:- raj...
rajveer:- ha bolo na...
naina:- kya bolo na... sach me aap bahut sadu ho... ( rajveer looks at her...) i mean... itani khubsurat ladki aapke
gadi ke front seat pe baithi hai... aur aap ho sirf driving pe dhyaan de rahe ho... baat karni nahi aati...?
rajveer:- oh really... khubsurat ladki... mujhe to nahi dikh rahi hai... ( naina gave him... i will kill u look... on
which a real sweet smile appear on rajveer's face...) ok baba... kahiye aapko kya baat karni hai...?
naina:- kuchh bhi apne baare me bataiye...?
rajveer:- kyun us din jab tum, tumhare bhai ke sath thi... tab bataya to tha...
naina:- ha wo sab nahi... kuchh diff... like how was your college days... your hobbies and all...
rajveer:- college days... normal the... nothing special... yahan se graduation karne ke baad... abroad se MBA kiya
hai... bas...
naina:- wow... abroad kaha se...?
rajveer ( with stern voice ):- sydney...
naina:- wow...aur aapki hobbies...?
rajveer:- as sach kuchh nahi hai... but mujhe apne aap ke sath waqt guzarana achha lagta hai... bheed bhad se
door... bas main aur mera guitaar... sabse jyada sukoon mujhe tabhi milta hai...
naina:- guitaar... matalab aap musician ho... tab to aapko gana bhi aata hoga na...?
rajveer:- not so great but yaa... kabhi - kabhi ga leta tha... but ab nahi... maine gana aur guitaar dono chhod diya
hai...
naina:- kyun...? not fair... mujhe aapka gana sunna tha...
rajveer;- not possible naina... maine kaha na... main gata tha,... ab nahi gata...
naina:- par kyun...?
rajveer:- jab kuchh achhi cheezo ke sath, kuchh kadvi yaadien jud jaaye to behtar hai ki hum un kadvi yadon ke
sath un cheezo ko bhi peeche chhod de...
naina:- aapse kisne kaha ki un cheezo ko peeche chhod dene se... we buri yaadien bhi humara peecha chhod deti
hai... aap khud bataiye ki kya wakai aap un kadve palo ko bhul gaye jo aapko pareshaan karte hai... ( rajveer soch
me gum ho jata hai...) kaha kho gaye...? yehi soch rahe hai na ki main sahi keh rahi hu... raj aap dard se bhaagne
ke liye... unse judi cheezo se bhi bhaag rahe hai... jo galat hai... balki aapko un cheezo ke sath kuchh nayi yaadien
banani chahiye... taki aap apne purane jakhmo ko bhool jaaye...
rajveer:- aisa nahi ho sakta naina...
naina:- achha... then stop the car...
rajveer:- what... par kyun...?
naina:- gadi rokiye...( rajveer stops aur naina gadi se bahar aakar muh fula kar khadi ho jati hai... rajveer bhi
bahar aata hai...)...
rajveer:- kya hua,... bahar kyun aa gayi...??
naina:- ab main tabhi aapke sath jaungi jab aap mujhe kuchh gakar sunayeinge...
rajveer:- what... are u out of ur mind...? main aisa kuchh nahi karne wala...
naina:- agar aap ziddi ho to main bhi hun... main bhi aapke sath nahi jaungi...
rajveer:- to kya karogi... yahi rahogi...
naina:- ha... ( rajveer is getting angry...)...
rajveer:- fine... ( naina smiles...) yahi raho main ja raha hu... ( her smile faded away... aur rajveer apni car me
aakar baith jata hai... do se teen horn marta hai... par naina bhi to naina hai... nahi baithi... to rajveer ko aur
gussa aa gaya... aur wo sach me naina ko beech road pe chhod kar chala gaya... naina muh khulla karke rajveer ki
gadi ko dekh rahi thi...)...
naina:- OMG... yeh samajhte kya hai apne aapko... sach me chale gaye... oh know... ab main yahan akele kya
karu... kaise jaaun...? naina kya jarurat thi is khadus se faltu ki demand karne ki... ab tak tujhe samajh jana
chahiye... yeh wahi karte hai... jo khud chahte hai... oh nooo...
naina udaas hokar... wahi ek distance indicator rock ke upar baith jaati hai... aur bas apne aur rajveer ke beech
hui sabhi baaton ko yaad kar rahi hai... naina ko dar bhi lag raha hai kyuki... wo bilkul akeli thi... wo kafi der tak
wahi baithi rahi... use koi nahi mila jisse wo lift le sake... tabhi uske kaan me ek awaaz padi... jisse uska chehra
khil gaya...
hum jo chalne lage... chalne lage hai... yeh raastein...
aa ha ha ha... manzil se behtar lagne lage hai... yeh raastein...
(naina ne peeche mud kar dekha to rajveer ki car thoda door khadi thi... aur rajveer apni car ke bonut pe baitha
tha... aur naina ko dekh kar ga raha tha...)...
hum jo chalne lage... chalne lage hai... yeh raastein...
aa ha ha ha... manzil se behtar lagne lage hai... yeh raastein...
(rajveer car se utar kar gate hue naina ke pass aa raha tha... naina khush to thi... but naraaz hone ka nataak karke
muh fula kar baithi thi...)
aaao kho jaayein hum... ho jaayein hum... yun laaapta...
aaao milo chalein...jaana kaha... na ho pata...
( rajveer naina ke kareeb aaya... bahut kareeb naina ke peeche khada hua aur thoda jhuka... just uske kaano ke
bagal me rajveer ka face tha... naina uski saansein mehsoos kar rahi thi... rajveer ga raha tha... aur naina apni
aankhon ko band karke baithi thi... jise dekh rajveer ke face pe ek smile aa gayi...)
hum jo chalne lage... chalne lage hai... yeh raastein...
aa ha ha ha... manzil se behtar lagne lage hai... yeh raastein...
(rajveer naina ke saamne gaya... aur gate hue hi wo naina ke back pe apna back tika karke baith gaya... na chahte
hue bhi naina ke face pe ek cute si smile aa gayi...)
baithe - baithe... aise kaise koi... rasta naya sa mile...
tu bhi chalein... main bhi chalun...
honge... kam yeh tabhi faslein...
(naina bas rajveer ki awaaj me khoyi si thi... aur rajveer use bhi itane dino baad kuchh ga kar achha mehsoos ho
raha tha...)
hmmm...baithe - baithe... aise kaise koi... rasta naya sa mile...
tu bhi chalein... main bhi chalun...
honge... kam yeh tabhi faslein...
(naina mudi aur rajveer ko dekhne lagi... rajveer ne bhi ek cute si smile di... naina ke face pe aa rahe uske baalon
ko uske kano peeche kiya... aur cutely apne kaan pakde... like saying sorry...naina ne rajveer ke hath ko neeche
kiya... aur khud khadi hui... aur rajveer ko bhi hath dekar jhatke se khada kiya...)
aaao... tera - mera na ho kisi se waasta...
aaao milo chalein...jaana kaha... na ho pata...
( rajveer aur naina dono hi ek dusre se takra gaye... rajveer ne naina ko uski kamar se pakad liya... taki wo gire
na... aur naina ne rajveer ko uske kandho se...)
hum jo chalne lage... chalne lage hai... yeh raastein...
aa ha ha ha... manzil se behtar lagne lage hai... yehhh... raastein...
( rajveer ne apna hath hataya... aur aage - aage car ki taraf chalne laga... naina bhi uske peeche chal rahi thi...
aur dono car me baith gaye...)
[aahhh thare... kai - kai main samjhaaun...
aahhh thare... kai - kai main samjhaaun...
ki thaare bina ji naa lage...
ki thaare bina ji naa lage... ]
( naina window se bahar dekh rahi hai... rajveer drive kar raha hai... apni palke jhuka kar naina side se rajveer
ko dekh rahi hai... aur bas dekhe ja rahi hai... is baat ka ehsaas rajveer ko hai...)
aankhien khole... neendien bole... jaane kaisi jagi bekhudi...
yahan - wahan... dekho kahan... leke... jaane lagi bekhudi...
(raj fir gaana suru karta hai... naina saamne dekhne lagti hai... aur halke se apne sir par hath marti hai... rajveer
uski taraf dekhta hai... aur phir aage dekh kar drive karne lagta hai...)
aankhien khole... neendien bole... jaane kaisi jagi bekhudi...
yahan - wahan... dekho kahan... leke... jaane lagi bekhudi...
(rajveer aage jakar ek handpump ke pass me gadi rokta hai... aur pani nikal kar... wo apna face clean karta hai...
aur naina ko apna hath aur muh dhulne ke liye ishara karta hai...)
aaao... mil jaayega... hoga jahaan... pe raastaa...
aaao milon chalein...jaana kaha... na ho pata...
(rajveer gaate hue hi hand pump ka pipe up down kar raha hai... aur naina pani lekar apne face par dalti hai...
rajveer ki nazar sirf naina ke face pe hai... jo bilkul kisi chand se kam nahi lag raha tha...)
hum jo chalne lage... chalne lage hai... yeh raastein...
aa ha ha ha... manzil se behtar lagne lage hai... yehhh... raastein...
(dono hi fresh hokar wapas car me baith jate hai... aur rajveer speedly gadi delhi ki taraf bhagata hai... kyuki
anjaane hi sahi... uske man me ajeeb sa khayaal aaya... jo nahi aana chahiye tha... kabhi nahi...)...
movie:- Jab we met...
naina:- awmmm... u r too good... kitna achha gaate hai aap...
rajveer:- hmmm...
naina:- aap na bahut gande ho... kitna dara diya tha mujhe... mujhe laga aap sach me chale gaye ho...
rajveer:- main sach me hi chala gaya tha naina... ( naina looks at him...) tum abhi mujhe nahi jaanti... mere sath
yahi problem hai... jab mujhe gussa aata hai to main kisi ki nahi sunta... khud ki bhi nahi... aur gusse me wo kar
jata hu jo nahi karna chahiye...
naina:- to aap wapas kyun aaye...? aur meri wish kyun puri ki...?
rajveer:- obiously jab galti ka ehsaas ho jata hai to sorry bhi bol deta hun...( naina smiles...)...
naina- you know what aap na... aap na...( actually she is confused) aap na...
rajveer:- kyaaa...?
naina:- nothing...
rajveer;- tumne mujhse mere baare me to puchh liya par apne baare me nahi bataya...
naina:- mere bare me... kuchh khash nahi hai... raj main normal si ladki hun... jisne apni zindagi me bahut se
sapne dekhe hai...
rajveer:- sapne... hmmm... best business women banne ka na...? i m sure tum jarur banogi...
naina:- nahi kisi ki best wife banne ka... ( rajveer just looking at her with astonished expression...) aise kya dekh
rahe hai...? raj mana ki main... aluwalia khandaan ki beti hu... par main apni zindagi normal tareeke se jeena
chahti hu... apne pyar ke sath... us insaan ke sath jiske sapne maine bachapan se dekhe hai... main pyar aur shadi
in sab me bahut vishwaas karti hun...
rajveer:- oh... whose the lucky one...?
naina:- abhi kaha...
rajveer:- kyun tumhi ne to kaha... apne pyar ke sath... then...?
naina:- ha mere pyar ke sath... jiska sapna maine bachapan se dekha hai... ha yeh alag baat hai ki maine use kabhi
dekha nahi tha... use sapne sanjo liye... uska intezaar hai ki kab mera pyar shehra baandh kar aayega... aur mujhe
dulhan bana kar le jayega... aur main uski duniyaan me chali jaungi... jyada kuchh nahi chahiye mujhe... par ha
bas uske dil me ek chhoti si jagah chahiye... uski duniyaan me ek chhoti si jagah mil jaaye bas... yahi chaha hai
maine... aur jahana tak sawaal hai meri duniyaan ka... to meri duniyaan to usse suru hokar usi pe khatam ho
jayegi...kyuki mera pyar hi meri duniyaan hogi... bas yahi sapna hai mera...
rajveer:- hmmm... to koi mila...?
naina( looks at him from corner of her eyes):- nahi... par aisa lagta hai ki jald hi koi mil jayega...
rajveer:- ek baat kahu,... itne sapne jo tum dekh rahi ho... mano wo pure na hue to...?
naina( her smile faded away):- are aise kaise nahi honge... mujhe mere bhagwaan pe vishwaas hai... meri wish
jarur puri hogi...
rajveer:- hnnn... sirf kehne ki baat hai naina... pyar sirf dard aur dhokha dena janta hai... pyar pe aitbaar karna
insaan ki sabse badi galti hoti hai...
naina:- aap aisa kyun...?
rajveer( pain in his eyes):- mere kisi apne ke sath is pyar ne itna bada dhokha kiya hai ki mera pyar jaise labjo pe
ab aitbaar nahi raha... jis insaan ko aap toot kar chahte ho... wo insaan aapko tod kar rakh deta hai... us galti ki
saza milati hai aapko... jo galti aapne sapne me bhi na ki ho... isi liye is pyar pe vishwaas nahi karna chahiye...
mera mashwara mano to aise faltu ke sapne dekhna band kardo... bahut dard hoga... ( naina bas shocked si
rajveer ko dekh rahi thi...)...
naina:- to aap kabhi bhi kisi se...?
rajveer:- nahi pata... par yeh meri soch hai ... jise koi nahi badal sakta...
naina:- oh to iska matalab aap arrange marriage karoge...?
rajveer:- sayad ha... aur sayad na...
naina:- matalab... ?
rajveer:- kabhi socha hi nahi... but ha... mom is samay ladkiyaan dhoondh rahi hai... even kal to wo kisi se
milwaane bhi wali hai... lets see... ( dhamake on naina's face)...
naina:- oh to aap shadi kar rahe hai...(feeling very sad...) congratulations...
rajveer;- abhi nahi naina... pehle koi mil to jaaye...waise to main shadi karna hi nahi chahta hun... par family ke
liye i have to...( rajveer gadi rokta hai...) naina... ( but naina apne hi aap me khoyi hui thi...) naina... ( again no
response... rajveer halke se naina ke hanth ko touch karta hai...) naina...
naina:- ha... sorry... ha...
rajveer:- tumhara ghar aa gaya...( naina looks at her house...)... again congratulations for the tender...( naina
just smiles slightly...)... byee... have a good day...
naina:- aap ander nahi aaoge... chai or coffee...
rajveer:- no i m already getting late... meri meeting bhi hai... aur pehle ghar jana hai mujhe...
naina:- ok byee... ( rajveer wahan se chala jata hai...aur naina apne hi khayaalo me khoi hui si apne ghar ke
ander jati hai...)..
ritu:- are naina... tu aa gayi... naveen ne bataya tha ki tujhe contract mil gaya... congrats meri jaan... ( naina just
smiles...)... kya baat hai ha... tu theek to hai na... baith idhar... bol kya hua...?
naina:- bhabhi aapse ek baat puchhun...? ( ritu nods in yes...)... bhabhi agar aapko koi pasand ho... par aapke aur
uske khayaal bilkul opposite ho... tab baat kaise banegi... unke beech to kabhi pyar ho nahi sakta na...
ritu:- kisne kaha tujhe aisa... waise tune suna nahi hai kya opposite attracts... aur ek baat batau... mostly logon ko
wahi pasand aata hai... jo unki pahuch se bahar ka hota hai... jo ek dusre ke opposite hote hai... par jab aise do
loge milte hai na... to pyar apna rasta khud bana leta hai... aur... ek minute... tu yeh sab kyun...? kahin tujhe koi
pasand to...( naina apna sir jhuka deti hai...) naina... kaun hai wo...
naina:- raj...
ritu:- raj...?
naina:- rajveer shekhawat... wahi jisse hum us din restra me mile the...
ritu ( happyly) :- sach me... i mean he is such nice man yar... amazing naina... i mean... he is so handsome... smart
dashing... kya baat hai... naina teri toh nikal padi...
naina:- nahi bhabhi... ha yeh baat sach hai ki main rajveer ko pasand karti hun... par hum bilkul alag hai bhabhi...
main naina jo bachapan se sirf fairytales pe beleive karti hai... pyar pe vishwaas karti hai... wahi raj ko pyar se
parhej hai... jahan main sapno me jeeti hun... we sapne dekhna pasand nahi karte...
ritu:- naina tu sach - sach bata... are u sure u love him...? ya sirf ek infatuation hai... dekh naina yeh umra hi aisi
hoti hai ki,...jahan kabhi - kabhi hum... sirf infatuation ko pyar samajh baithte hai... tu khud apne aapko waqt de
naina... soch samajh... waise to pyar soch samajh ke nahi kiya jata but... tu agar is rishtey me aage badhna chahti
hai... to kadam tujhe hi uthana hoga... tune khud abhi kaha na ki rajveer pyar pe vishwaas nahi karta... to tu usse
kaise ummeed kar sakti hai ki wo tere saare sapne pure karega... ek baar tu khud sure ho ja naina... ki yeh pyar
hai ya nahi... phir main tujhse baat karungi... ( naina bas apna sir jhuka kar bade hi dhyaan se ritu ki baaton ko
sun rahi thi...) waise naina ek baat kahu... ek to pyar jaldi hota nahi hai... par jab ho jata hai na toh... saari
duniyaan badal jati hai... aap ke ander ke yeh ehsaas hai na... wo itane khubsurat ban jate hai ki aap ko pyar se
jyada khubsurat kuchh lagta hi nahi hai... aur ha agar really u r in love with him... to main tere liye bahut khush
hun... ( naina ritu ko hug kar leti hai... aur bas uski baaton me khoyi hui si thi...)...
naina:- thankyou bhabhi... aapne mere liye bahut kiya hai... kabhi aap badi behen ki tarah meri hifazat karti hai...
to maa ki tarah parwaah... to kabhi best frnd ki tarah meri har problem ko solve kar deti ho... i m so lucky to have
u in my life... i love u...
ritu:- i love u too... ab chal uth aur rest karle...
naina:- ha wo... noo... meri meeting... oh my god... i m late... ( naina jhat se uthti hai aur apne room me change
karne ko bhagti hai... aur fir jaldi se fresh hokar aati hai... aur office nikal jati hai...)...
yahan rajveer bhi fresh hokar meeting ke liye nikal jata hai...
shekhawat's... rajveer's cabin...
aalekh:- yeh kaise hua yaar... hum bar - bar un aluhwalia's se har rahe hai... aur wo naina... wo tujhse jeet gayi...
pata nahi kyun par...
rajveer:- its a business aalekh...hota hai yeh sab...
aalekh:- i dont believe this... yeh sab tu keh raha hai... kuchh to gadbad hai... veer tu kabhi haarta nahi hai... yeh
bhi yaad hai ya yeh bhi bhool gaya...?
rajveer:- kuchh nahi bhoola hu main... sab yaad hai mujhe... sab kuchh...
aalekh:- par mujhe aisa kyun lag raha hai ki jab se wo naina aayi hai... tabse tu...( aalekh pauses for a minute)
rajveer:- what do u mean ha...?
aalekh:-tujhe kya lagta hai... tu mujhse sab chhipayega aur mujhe kuchh pata nahi chalega... ( rajveer apni
nazare aalekh se nahi mila raha tha... bcz wo achhi tarah se jaanta hai agar wo chaahe bhi to aalekh se kuchh nahi
chhipa sakta... rajveer ko rajveer se jyada aalekh janta hai...) ab nazare kyun chura raha hai... dekh veer plzz...
tere dimaag me kya chal raha hai... sach - sach bata...
rajveer:- theek hai... but promise kar ki yeh baat sirf tere aur mere beech rahegi...
aalekh:- tujhe mujhpar trust nahi hai...?
rajveer:- hai... to sun...( then rajveer told aalekh, his entire plan... on which aalekh got a big
shock of his life...)...
aalekh:- tu, tu.. tu paagal hai kya... kya bakwaas kar raha hai...
rajveer:- isi liye... isiliye main tujhe nahi bata raha tha... kyuki duniyaan bhar ki bhalaai ka theka tune jo le rakha
hai...
aalekh:- bloody hell with what u think ha... i dont care about them yar... but i do care about you... main tujhe yeh
sab kuchh nahi karne dunga...
rajveer:- kyun wo teri behen lagti hai...
aalekh:- nahi... par tu mera bhai hai samjha... wo loge jiye ya mare i dont care... par jo tu karne ki soch raha hai
na... atlast tujhe hi takleef hogi... aur main aisa hone nahi dunga... main abhi isi waqt...( aalekh gusse me
bahar jane lagta...)...
rajveer:- aalekh tujhe meri kasam hai agar tune kuchh bhi kiya to... ( aalekh ke badhte kadam ruk jaate hai...)...
main jo karne ki soch raha hun... wo main karke rahunga... aur tu mujhe nahi rokega...
aalekh:- mat kar aisa veer... atleast apne pariwaar ke liye...
rajveer:- unhi ke liye to yeh sab kar raha hu... mujhe aaj sabse jyada teri jarurat hai... par dekh na aaj tune bhi
mera sath chhod diya... ja main tujhe nahi kahunga ki mera sath de... but mujhe rok bhi mat...
aalekh:- man to kar raha hai ki tujhe peet dun... par...( aalekh hugs him very tightly... both have tears...) i m always
with you veer... always...
rajveer:- thankyou...( both separates...)...
aalekh:- par kya sach tu jo soch raha hai wo hoga...
rajveer:- lets see...
aalekh:- ek baat puchhun...(rajveer nods in yes)... isme naina ki kya galati hai...?
rajveer:- uski galati yeh hai ki wo naveen singh aluhwalia ki behen hai... ( hatered for naveen is clearly visible in
both rajveer's and aalekh's eyes...)...
aalekh:- chale ab...? ( rajveer nods...) oh ruk... main yeh kaise bhul gaya...
rajveer:- kya...?
aalekh:- ek minute... ( wo ek card nikalta hai...) yeh hai dr shahni... bahut bade nurologist aur pshycologist
hai... di ke liye... maine bahut pata kiya hai inke baare... ek baar jis patient ko apne under lete hai use theek hi
kar ke dum lete hai...
rajveer:- par aalekh... london ke best dr se di ka ilaaz chal raha hai to fir yeh...
aalekh:- mana... par di me sudhar bahut kam hai yaar... ek chance lete hai na plz... pata nahi kyun par mujhe aisa
lagta hai ki... sayad yeh kuchh kar payega... aur yeh to di ka check up ghar me bhi kar sakte hai... aur agar tu
inse baat karega to yeh abhi mumbai me hai aur wahan se yahan aa sakte hai kabhi bhi...
rajveer:- sach...
aalekh:- ha...
rajveer:- theek hai... main inse baat karta hun... ( both left...)
shekhawat vila... night time... rajveer's room...
dinner ke baad rajveer apne room ki window pe khada tha... aur apni hi soch me gum tha... use kuchh baatein
bahut takleef de rahi thi... use bahut kuchh yaad aa raha hai...
{ naina' words:- meri duniyaan to usse suru hokar usi pe khatam ho jayegi...kyuki mera pyar hi meri duniyaan
hogi... bas yahi sapna hai mera...
aalekh's word:- isme naina ki kya galati hai...?
naina's word :- aisa lagta hai ki jald hi koi mil jayega...
naina's word:- mujhe mere bhagwaan pe vishwaas hai... meri wish jarur puri hogi... }
rajveer kas ke apni aakhien band kar leta hai...
rajveer in his mind:- yeh mujhe kya ho raha hai... kyun... kyun soch raha hu yeh sab... nahi main kamzor nahi pad
sakta.. kabhi nahi... jitne bhi dard aur takleefe meri behen ne sahi hai... us har ek takleef ka badla main tumse
lekar rahunga naveen... har keemat pe... par afsos tere karmo ki keemat teri behen ko chukaani hogi... i m sorry
naina... i know u r innocent... but i dont have any choice... i dont... ab tumhare bhai aur baap ke kiye ki saza
tumhe milegi... jo kuchh bhi tumhare bhai ne meri behen ke sath kia...jo kuchh bhi tumhare baap ne mere dad ke
sath kia... un sab ka hisaab main lekar rahunga... afsos ki ab tumhare har ek sapne ko tutna hoga naina... kyuki
unhe main todunga... (there was only one emotion in his eyes... hatered... hatered... and only
hatered...)
End of Part 10
press like if u really liked it
do comment
love Chandni
************************************************
************************************************
203