🏏T20 Asia Cup 2025 India vs Pakistan, 6th Match, Group A, Dubai🏏
TRAUMA DRAMA 15.9
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 15th Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 15, 2025 Episode Discussion Thread
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Oman, 7th Match, Group A, Abu Dhabi🏏
Malla and ARS running crime list
Did Karishma deserve the best actress award for Raja Hindustani?
🏏T20 Asia Cup 2025: SL vs HK, 8th Match, Group B at Dubai🏏
Kaun banege PL ke Mummy and Papa?
Which movie is your 1st choice on 2nd October?
Anupamaa 15 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Conceiving of PL…
Sidvi FF: Chocolate (continued)
Katrina Kaif Is Pregnant
BALH Naya Season EDT Week #14: Sept 15 to 19
Welcome Baby Boy ❤️🧿
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 16, 2025 Episode Discussion Thread
The Armaan Poddar Unappreciation Thread
which new Bollywood movie should i watch ....
Part -19 New family enters sunshine colony
@ orphanage garden...
Samar and Megha were playing with kids...
Samar- megha ek baat puchu..tum bura toh nahi maanogi...
Megha- (laughs) agar tum nahi nahi puchoge toh mein bura
maanjaaogi...
Samar - haha..acha yeh toh mujeh patah hai ki tum aur sharad ek dusro ko bahut pehle se jaante ho par yeh batao..tum aur sharad mile kaise ...aur kaha mile ...?
Megha- (blushes a little) ooo kya hua na samar woh hamare numbers mil Gaye the na tab hum mile..
Samar - (surprised) kya??? numbers mil Gaye matalb??
Megha realised what she spoke...
Megha- (in mind) ishaka ha ho 78 sq( kya karti hai megha.)..jabhi sharad ka naam sunti hai sab bhul jaati hai..ab kya bahana bolu (to..samar )numbers mil Gaye matalb ki ...hamara Jo colony tha na uske numbers same the toh issilye numbers mil Gaye na.. colony ke...
Samar- oh acha acha hai mujeh kuch aur hi sunaai diya..lekin yeh toh kitna acha hai tum dono ek hi colony mein rehte ho...acha yeh batao ki tum dono ek dusre ko colony mein kab mile I mean dosti kaise hui...
Megha turns around
Samar-(in mind) yeh akele akele ghumjao ghumjao kyu kar rahi hai
Megha- (in mind) hey patharwale bhagwan ab kya bolu mein..aur aise waqt pe sharad bhi nahi hai...sach bhi nahi bol sakti ke pehli baar jab hum mile the toh kya hua..tha..
Megha remembered when she first met sharad on their grah..
Megha-(in mind) jab pehli baar mili thi toh sharad ko dekh ke hi mera dil zor se dong dong karne lagaa tha..kitna cute lag raha tha jab woh mil ne aaya tha woh tutti hui cycle spaceship pe ..mere liye grah ka sabse pyaara sab se khubsurat phool laaya tha. aur phir bichare ko bhul se electric shock De diye tha mein khushi ke maare mein.. lekin usne gussa nahi kiya
Megha's chain of thoughts is broken as Samar was calling her.
Samar - kya hua megha ...kaha kho gayi
Megha - actually woh...kya hua na ki hum jab pehli uski story bahut funny hai...toh mein soch rahi thi ki mein story batao ya na batao..
Samar- areee funny hai toh kya hua mujeh batao toh sahi kya hua
Megha - thik hai batati hoon..par please hasna mat tum...
...
Next day...
While going towards orphange...
Grishma sees a toy airplane in a shop.
Grishma- chacha mujeh woh khilona chahiye
Sharad- konsa khilona Grishma ..?
Grishma- (pointing towards aeroplane) woh wala chacha ...
Sharad- achaa woh wala chalo ...chalke kharidte hai...
Sharad and Grishma goes to the shop
Sharad- Grishma konsa khilona chahiye...
Grishma- (pointing towards airplane) chacha yeh wala Insaani spaceship.
Sharad and shopkeeper gets shocked...
Shopkeeper - insaani .. spaceship ???
Sharad- logically.. bhaisaab woh..woh kya haina meri bhatiji ke kehne ka matalb hai ki yeh kilone wala plane ...usse chahiye... Woh kya nai uske paas Jo plane hai uska naam ussne insaani spaceship rakha hai toh issliye uske much se nikal gaya...aap ...aap aeroplane dijiye..
Shopkeeper- lekin insaani spaceship ...kitna ajeeb naam rakha hai pehle kabhi nahi sunna?
Sharad- areee bhaisaab aapne nahi sunna hoga ...aap woh serial nahi dekhte aaryan Kumar ka serial uss mein aata hai na uss mein aaryan Kumar plane ko insaani plane kehta hai...
Shopkeeper- hmmm
Sharad- aap sochiye mat aap yeh khilona wala 4 aeroplane dijiye ...???
Shopkeeper- thik hai yeh lijiye bhaisaab...
After leaving from shop...
Sharad- Grishma ...Aaj toh bahut badi gadbad hojaati...aage se insaani spaceship mat bolna sirf ghar mein hi insaani spaceship bolna...yaha yeh insaani spaceship ko aeroplane kehte hai... hoon?
Grishma-hooon.
"...
They reach orphange ...
Samar- hiii sharad and hey sweetie... sharad yeh kon hai??
Sharad- Samar yeh meri bhatiji hai.. sab se chotti
.hai..abhi hi kuch din pehle suryanagar se aayi hai...
Samar- aapka naam kya hai?
Grishma- Grishma...aur aapka ?
Samar- Mera naam samar hai ...
Sharad gets a call from Shruti...
after call
Sharad- Samar mein shruti se milke usse kuch kaam that mera..mein just abhi aaya 10 minute mein tab tak tum Grishma ... ko
Samar cuts in...
Samar- mein Grishma ka pura khayal rakhunga ..usse ek min ke liye apni se door nahi rakhunga...
Sharad- haan..okay thank you aur Grishma..tum bhi masti mat karna aur Samar bhaiya ko pareshan mat karna ...woh tumhare bade Bhai jaise hai..thik hai ..aur shaitaani mat karna aur idhar udhaar mat jaana... aur haan gadbad mat karna thik hai?
Grishma- thik hai chacha mein kahi ...nai jaaungi
Sharad- good ...mein abhi aaya Samar bas 2 Min mein aaya ...
Samar- sharad chinta mat karo kuch nahi hoga...promise... ab jaao warna shruti tum par gussa hojaayegi.waise bhi woh aajkal kuch jyada hi gussa rehti...
sharad -(laughs) acha thik hai mein jaldi jaata hoon..
Sharad leaves...
Samar-hmm Grishma Tumhe yaha Mumbai mein rehna acha lagaa...?
Grishma- haan ..samar bhaiya mujeh bahut acha lagaa...aur aapko ???
Samar- mujeh bhi acha lagaa..mujeh yahaa bahut acha lagaa...
Grishma- Samar bhaiya aap yaha rehte ho?
Samar- haan...
Grishma - Samar bhaiya mujeh Woh jhulle pe khelna hai...
Samar takes Grishma towards swing...and swings her
Samar is emotional as he remembered his little sister...
Samar-(controlling his tears) (in mind) patah..hai..tumhari tarah hi meri ek pyaari ..chotti behen hai...par woh bahut door hai...badi door hai mujeh se...itni door ki mein mil bhi nahi sakta usse..mein chah ke bhi mil nahi sakta.
Grishma sense that samar is sad..
Grishma- (in mind,) Samar bhaiya . Udaas hai. Ek kaam karti hoon unhe mein waise hi karti hoon jaisa kal insaani movie dekhta isse phir se woh eeeh hojaayenge...
Grishma gets down from swing and hugs Samar .. Samar is surprised...but then he ... hugs Grishma back..Tears welled up in his eyes remembering his own little sister...he missed her badly...
Samar-(in mind) kaash mein waqt piche kar sakta toh wapas chala jaata ... ..kaash ..woh yaha hoti.
..
Samar controls his emotions and breaks the hugs...
Samar takes Grishma in arms...
Samar- Grishma ...chalo hum shruti didi se milke aate hai...
At rustogi office...
Rustogi- areee Bhai..aap bologe toh mein aapko woh Amitabh Bachhan ke ghar ke baaju mein dila doonga aap kahoge to woh Anil aur Mukesh ambaani ka apdosi banadoonga ... par sunshine colony toh bilkul nahi...
P1-kyu??hame reason chahiye ki aap kyu Hame woh sunshine colony mein hi ghar nahi de sakte ?? Hame toh woh sunshine colony mein hi ghar chaiye
Rustogi- areee mein aapko nahi bata sakta reason...aap sunshine colony ko chodke koi bhi ghar bolo dila doonga..
P3- dekhiye hame zyada behas nahi karni..hum aapko pura 5% commission denge aap hame sunshine colony mein koi ek ghar delay dijiye..agar aap nahi dila sakte koi baat nahi hum dusre kisi broker ke paas chale jaayenge ...
Rustogi-(in mind) 5% commission rustogi paisa haath mein aa raha hai ..woh pagal colonywalo ki wajah se deal jaane mat De... (To that person) rukiye rukiye bhaisaab aapko ghar chahiye mein dila doonga aap woh .. commission ka cheque tyaar rakhna...
P2 (lady)- hum tyaar rakhenge...aap hame bas sunshine colony mein ghar De dijiye...
After few days...
@ colony garden...
Ghotala family, ohja uncle and pritesh mitesh are sitting in with Ronnie and trying to console him
Varsha- Ronnie bhaiya please roye mat dekho hemant bhi aapko company..de raha hai..
Sharad - haan Ronnie bhaiya aap kuch kha lijiye ...yeh dekhiye humne aapke fav..aaloo ke paratha laaye hai...
Ronnie - nai .mein nahi kahaayega...mein nahi kahaayega...
Ohja uncle-(taking plate) oyeee logical Ghotala laa maareh ko de mein kha loonga...aur megha bitiya jaraa Woh tumhara nimbu ka achaar dena
Before ohja uncle could take a bite... Ronnie take plates from ohja uncle.
Ronnie -(crying) on the other hand ..(taking plates from ohja uncle) mein kahaayega ..aaloo paratha..kyuki mein aaloo paratha ko na nahi bol sakta
Ronnie starts eating...
Megha- hemant... Tum kyu Ronnie bhaiya ko company de rahe ho dekho ab toh woh ro nahi rahe
Hemant - megha chachi...mein toh sirf wohi kar raha hoon Jo Ronnie uncle ke keh rahe hai...
Vasnat- toh isska matalb Ronnie ne tumhe company dene ke liye kaha ?
Hemant- haan papa..Mein toh Ronnie uncle ko chup Kara raha tha ...par unhone kaha ki company de...
Ronnie- haan mein ne bola hemant ko company dene ke liye kyuki mera koi saath nahi deta..sirf hemant hi hai Jo mera sadness samjhta hai aur koi nahi samjhta mera sadness...
Jacky- areee par Ronnie bhaiya hua kya ki aap yaha baitha ke ro rahe hai...
Ronnie- (crying) aise thodi chalta hai man..mere saath hamesha sab log aisa karta hai...
Grishma - kya karta hai Ronnie uncle..sab log aapke saath ?
Ronnie- help ...help ..nai karta ..grishma beta .koi mera ..help nai karta...Liza mera woh ba woh ba woh ba...
All- tch tch tch
Ohja uncle -(eating sandwhich) hi...hi ...hi... Atka jhallar...oye gajar ke beej bataa jaraa Ronnie uncle abhi kitni baar atke ...
Pritesh- ohja uncle ...15 time...atke Ronnie uncle..
Mitesh - woh bhi sirf 10 min..mein...
Ronnie - areee tum Gino mat mera help karo man.. woh...woh... bhadresh Take oil and massage your feet ko Hindi mein kya bolte hai mitesh pritesh tumhara dadi ...
Mitesh- dadi yeh kehti hai ki " Baba le Tel le aur apne pair mein massage kar le "
Ronnie - haan toh ab toh Liza mera letel SA bhi help nahi karta...
No one understands what Ronnie spoke...
Pritesh - little...hai little aur naahi letel...
All looks angrily at ronnie..
Ronnie- haan toh mein kabhi bhi atak sakta hai man...
Vasant- Ronnie tum Hindi mein atkte ho toh woh patah chalta haii ..par english mein kaise tum atak sakte ho...issliye Liza tum pe gussa. Hai...
Ronnie - areee par mein kisi mein bhi bhi atak sakta hai..mera koi...Woh...Woh..Woh...
All- tch tch tch...
Sharad - logically yeh ronnie bhaiya 16th time atke aur bhi pichle 11 min mein...
Ronnie- areee tum sab Mera help...
Ronnie stops speaking and sees someone coming ..in Colony...
Vasant- achanak kya hua Ronnie ... Ronnie..
Vasant waves hand in front of ronnie
Ronnie - aeee yeh rustogi ka bacha yaha kya kar raha hai..man...
All looks towards colony gate..
Vasant - Varsha ...Kahi yeh hamara Ghar toh khaali karvane toh nahi aaya.
Varsha- humne toh kiraaya bhi bharaa tha vasant.. toh phir hamara Ghar kyu khaali karvaa rahe hai
Shishir - papa Rustogi uncle ke face pe smile dekh ke toh yahi lag raha hai ki woh hamara ghar khaali karvane aaye hai
Ronnie-agar aisa hua na toh mein rustogi ko chodega nahi... Mein usko bahut pitega..aur usko itna pitega ki uska ...Woh...ba woh...ba
Ohja uncle- phir se atka jhallar..hi hi..hi..ek kaam kar tu yaha baith ke apne aap SE puch tab tak mein aur baaki sab rustogi SE puch ke aate hai...huh..chalo ghotala and co..
All walks towards row house no..7 except Ronnie...
Ronnie-(crying) yeh...yeh cheating hai...musibat ke waqt koi...mera saath nai diya..ab sabko mein dikhaayega ki mein atakta nahi hai .mein pura ek page ka essay likhega mere pyaara teakwood ka dinning table par aur sabko sunnayega Aaj raat ko aur yeh Mera surprise hoga...so it's decided man..mein in sabko Surprise dega sabko Hindi mein essay sunnayega.. ab sab se pehle mein woh rustogi ka salad nikalega...
Ronnie walks towards row house no 7
Here colonywala are arguing with rustogi...
Ohja uncle- nai nai ..hum kuch nahi sunnenge .aur rustogi taarih toh koi behen na hai ..
Rustogi - kya nahi hai..ohja bhai..meri behen hai..abhi Aapke saamne khadi toh hai..
Ronnie- aree rustogi jhut mat bol tumhi bola tha ki tumhara behen nahi hai..toh achank kaha se tumhara behen aagaya...
Rustogi - dekhiye Ronnie Bhai agar behen nahi hui toh kya hua muh boli toh ho sakti hai na..jaise hemant bhairavi ka muh bola Bhai hai ki toh kya meri much boli behen nahi ho sakti kya...
Vasant- Ronnie aise rustogi ki baat sahi hai... Hum kisi ko rok toh nahi sakte hai
Ronnie- sahi kaha ..man...lekin rustogi agar itna SA bhi gadbad hua na toh mein tumreko nahi chodega..
Ohja uncle (towards lady) - hi hi hi.. namaste namastey padharo...colony mein aapka naam kya hai
...
Lady - Ji mera naam sulochna hai...sulochna Mathur..aur yeh mere husband hai Viren mathur aur mera chotta bhai Rahul Mathur...aur hum aapko vishwas dilaate hai ki hum ache hai...hum aapko pareshaan nahi karenge
Ohja uncle- sulochna ..waah bada Rajasthani naam rakha hai ...waise mein Murlidhar ohja..aur baaki sab aaltu faltu...
Sulochna -(laughs) hahaha aap bade funny I hai Mr.ohja well ab hum chalte hai..saman shift karna hai aur aap sab Aaj raat hamre Yaha khaana khaane aayega...
Bhadresh - jaroor jaroor hum sab aajayenge
At night...
After having dinner at Mathur's house...
@ bhatt house ...
Megha - Liza bhabhi shaant hojaaye ... please shaant hojaaye
Liza- (taking a statue from table) nai megha Aaj mein shaant nahi hoyega..pura ek ghanta ek ghanta Ronnie me apni table pe speech sunnaya
Ohja uncle- Haan Liza shaant hojaa shaant hojaa..Varna yeh maarah 80 Rs.. barbaad hojaayenge..agar jhaadu tut gaya toh...
Bhavna aunty - aeee haaye haaye hamre ghar ke jhaadu ko apne ghar ka jhaadu bolte hai..
Bhairavi - toh pacchi..agar aisa bola hota ki woh table pe padi murti tut gaya toh mera 1000 Rs ka nuksaan hota toh samjh aaya hota ...
Bhadresh- meri qutub minar Woh murti toh hamari hai hmne jaamnagar se kharidi thi phir Woh Kaka murli ki kaise hui...
Bhairavi - Mitesh pritesh ke papa..nai woh murti toh nakli hai...Woh toh Chor bazaar se kharidi hui hai...Kaka murli bataa rahe the ki Gujarati bahurani Woh murti toh nakli hai Chor bazaar se kharidi hui hai...
Mein ne aisi same to same murti Chor bazaar mein dekhi hai ..phir Kaka murli ne kaha ki hum isse 2000 mein bech dete hai..aur 1000 rupee Taareh aur 1000 rupee maareh...
All looks at angrily ohja uncle...
Ohja uncle - hi hi hi. Mein...toh hi hi hi woh zaraz..mahol mahol..hi hi..Liza tum Ronnie ko daanto Aaj jhallar ne ek ghanta speech sunnai hai...
Liza - sahi kaha ohja man..Aaj Ronnie mein tumko chodega nahi...ek toh pehle speech sunnaya furniture pe...dusra tum Hindi words toh thik English word mein tum atak ta hai..Aaj mein tumko nahi chodega...
Varsha- Liza.. Bhabhi... Kuttu kuttu..Ronnie bhaiya se galti hogayi ...ab Woh nahi sunnayega speech...
Ronnie-(scared) Haan sahi kaha Varsha...mera behen ne...aur mein ne issliye yeh sab kiya kyuki koi Mera nahi Sunnta ..koi mereko help nahi karta...
Bhavna aunty- ooo ronnie jhut mat bol ...hum sab Teri madd karte hai..jab tu Hindi mein atakta hai..par Ab toh tu English mein atak ta hai..toh hum kaise Teri help kare..
Vasant- Haan Ronnie tum English words ke liye hemant se bhi zyada bhayanak bhayanak words ka meaning puchte ho aur bolte ho...
Ohja uncle- Haan...jhallar ...aajkal toh maareh maarwaadi Mann ko bhi nahi patah chalta ki me bola jhallar..
Ronnie- Acha thik hai ab mein gadbad nahi karega...I promise ..ab mein nahi atakega
Liza - oh very good .. Ronnie Acha hai .. tum atakega nahi kyuki tum ab atakne ke liye bachega bhi nahi...
Liza takes a pillow and throws towards Ronnie...
Ronnie goes behind Sharad and Jacky..
Ronnie - aeee bachao mereko.. please mereko bachao... Liza darling maaf karo mereko
Liza - (angrily) sharad ..Jacky hat jaao mein warna tum dono ko lag jaayega
Sharad and Jacky gets scared...
Sharad- Ronnie bhaiya logically aap aage aaye hum piche hojaate hai..
Sharad and Jacky moves asides...
Pritesh- Shishir..Mitesh bhaiya yeh senior citizen aise hi time pass karte rahenge...aur mudded ki baat nahi karenge...
Grishma- konsi baat Pritesh...
Pritesh - kya Aaj ek baat notice ki woh naye neighbors aaye hai hamare colony mein...
Mitesh- pritesh woh log toh thik lagte hai..tu phir se shaq Karna start kar raha hai na
Pritesh- oh ho mitesh bhaiya meri puri baat sunniye..Aaj jab Ronnie uncle apni itni lambi ek ghante waali furniture pe speech sunnaya rahe the..toh woh naye neighbors ka reaction dekha tha?
Shishir - Haan woh log toh bahut khush ho rahe the..aur Ronnie uncle se Kaha bhi aur sunnaye speech..
Pritesh - haan toh hui na yeh baat ajeeb...
Hemant- kaise pritesh..?
Pritesh- mein samjhata hoon Hemant bhaiya ..
Shishir tum sab jab yaha pehli baar aaye the aur jab Ronnie uncle ne apne furniture ke baare speech dete the aur jab woh Hindi mein atakta the toh aap sab ko kaisa lagta tha?
Shishir - pehle toh hame ajeeb lagta tha pritesh ki koi insaan bolte bolte kaise atak sakta hai..phir patah chala ki hat koi insaan aisa nahi hota aur Ronnie uncle ko problem hai yeh..
Pritesh - good aur jab ronnie uncle option puchte hai..tab kaisa lagta tha tum sabko?
Shishir - tab hame darr lagta tha thoda kyuki Kai saari chizze hame patah nahi thi...
Pritesh- good..aur ab sab yeh socho ki woh naye neighbors aaye hai unka kya reaction tha...
Hemant thinks something
Hemant- heeein pritesh woh naye neighbours toh bahut khush the aur unhone toh ronnie uncle ko unke ghar ke furniture ke baare mein speech likhne ko kaha
Pritesh - Haan toh Mitesh bhaiya ab samjhaya ki kya gadbad hai..
Mitesh - Teri Baat mein sachai toh hai pritesh kyuki normal insaan toh Ronnie uncle ki speech sunnke hi senior citizen jaise gusse mein aa Jayenge aur Woh log toh ulta khush ho rahe the..unka behavior thoda ajeeb tha...
Shishir - par pritesh yeh bhi toh hosakta hai ki woh log Ronnie uncle ka Mann rakhne ke Liye khush ho rahe ho.
Pritesh - ho sakta hai shishir ..par hum sab ko especially tum sabko alert rehna hoga..tum sabki sachai bahaar nahi aani chahiye ..
Shishir - sahi kaha pritesh hame chaukna rehna hoga...
Pritesh- ab yahi baat hame senior citizens ko samjhane hai .
Pritesh stands on table...
Pritesh- shaanti...shaanti...shaanti...shaant hojaaye sab...
Lajo aunty - ke hua Pritesh..tu table par kyu Chad gaya hai...
Pritesh- batata hoon lajo aunty..pehle sab shaant hojaaye...mujeh ek important announcement karni hai
Bhavna aunty - bol priteshiya konsi jaroori baat karni hai..
Mitesh - dadi...Aaj jab Ronnie uncle ki speech Puri hui uske baad mathur family ka reaction ajeeb tha kya Aap Sab me notice nahi kiya...
Bhavna aunty - kaha se karenge Mitesh beta..yeh Ronnie uncle ki speech sunn ke toh mujeh aisa lag raha tha ki mein Ronnie uncle ka sar phodu ...
Liza -sahi kaha Bhavna aunty Ronnie ki wajah se konse reaction hum dekhte..
Pritesh- (joining hands) hey Bhagwan kya Hoga iss colony ke senior citizen ka...
Vasant - pritesh mein ne dekha tha mathur family ka reaction...Woh log sab heeein hogaye the Ronnie ki speech...
Varsha- Haan Maano ko unhe taazgi mehsoos hui ho..aisa reaction tha..
Megha - itna hi nahi bhabhi inlogo toh request bhi kiya Ronnie bhaiya unke ghar ke furniture ke liye aur speech likhe...aur uss waqt mein ne Sharad se Kaha bhi Mathur family bahut ache ..Woh log Ronnie bhaiya ki buri speech ko bhi Acha kaha...
Pritesh- sahi kaha ...megha chachi...(joining hands) haash kisine toh dhyan diya...
Bhadresh -(yawing) aeee pritesh beta tu ghotala family ki tarah baat mat ghuma beta jaldi bol beta kya bol raha hai...
Pritesh- batata hoon...papa..sabse ghotala family aap sab Dhyaan se suniye...aap sab ko alert rehna hoga... Mathur family..se unhe patah nahi chalna chahiye ki aap (doing action of badi door se aaye hain) badiii dooor se aaye haain...
Ghotalas - hooon
Pritesh-- aur ab sab se important baat... Mujeh mathur family pe shaq hai..Woh log Jo dekhte hai woh hai nahi ..Aaj unhone ronnie uncle ki speech ko Acha kaha aur unke ghar ke furniture ke baare speech likhne ko kaha ..
Mitesh- ab aap hi sochiye kya koi normal insaan kya itna sunne ke baad koi speech likhne ko kahega kya...toh hui na baat ajeeb
Lajo aunty- baat toh pateh ki hai.. Mitesh pritesh par yeh bhi toh hosakta hai woh Ronnie Ka Dil dukhana nahi chahte the issliye jhut Kaha ho
Ronnie -haan yahi reason hosakta hai...man.woh log...
Liza glares at Ronnie and Ronnie keeps mum
Jacky -(whispering ) Ronnie bhaiya...shsss aap baith jaaye ..Liza bhabhi bahut gussa hai
Bhairavi - (taking balayein of pritesh mitesh) waah mere baccho kitna acha socha hai..tum dono ne..bikul mere pe gaye hai ...baa...
Bhavna aunty- chakudi tu jaa sabke liye mast garama garam masala wali chaai banna ke laa...aur Dhyaan se sunna na..masala wali chaai...iska matalb yeh nahi ki..tu...
Bhairavi cuts in
Bhairavi- Haan Haan baa mujeh patah hai masala waali chaai kya..hai...mein itni buddhu nahi hoon...Aaj aapne ache se instruction Di..hai..bolne mein gadbad nahi ki hai
Bhavna aunty - iska matalb mein hamesha gadbad karti hoon bolne mein chakudi..
Bhairavi - Haan baa...
Bhavna aunty- Acha aisa ?? Acha toh bata ke Aaj mein ne gadbad ke nahi ...
Bhairavi - nai baa..Aaj aapne saaf saaf warna aap hamesha ...gadbad karti hai..baa.hamesha shabd mix kar deti hai...
Bhavna aunty- haaye haaye..dekh toh lajo chaukdi kitna jhut bol rahi hai..Tu hi bol lajo kya mein ne kabhi bhi gadbad ki hai ya phir saare aise words mix kare hai mein ne???
Lajo aunty - Bhavna bhabhi...aap in sab baato ko chodiye..(towards bhairavi) bhairavi to jaa aur jaisa Bhavna bhabhi ne kaha waisa kar ...
Bhairavi - toh barobar
Megha- mein bhi aati bhairavi didi.. aapki madadd karne ...
Bhairavi and megha leaves...
Lajo aunty- ab sab mudded ki baat pe aaye...ghumne bina...
Sharad - pritesh ki baat mein logic hai ...lekin hum patah kaise lagaayenge ki woh log ajeeb hai ya nahi hai...
Vasant -hum thode din unke bartaav dekhenge... Aur hame chaukna rehna. Hoga ...aajkal hamare powers kuch zyada hi FLuctate kar rahe hai ..
Varsha - Haan vasant ...sahi kaha aap ne.aur Hemant beta unke saamne hamare secret baare mein kuch mat bolna... Yeh hamara secret hai...hoon?
Hemant - hoon...
After few days...
@ orphange ...
Viren and sulochna visit orphange...
Samar doesn't get good vibe from them
After they leave...
Samar- shruti...sunn tu woh mathur family se door rehna...
Shruti - kya hua bhaiya..aap aisa kyu bol rahe ho ...Woh log kitne ache hai..Aaj baccho se kitna mix up hogaye the...
Samar - tu samjhi nahi shruti..mujeh patah nahi kyu par woh kuch acha nahi lagaa unse Milne ke baad...patah nahi kyu par mujeh ander se aisi feeling aa rahi hai ki kuch thik nahi hai
Shruti- thik hai bhaiya ..mein Dhyaan rakhungi..aap tension mat lijiye...hoon?
Samar- hooon...
Samar leaves...
@ Mathur house
In evening...
Sulochna- ab kya karna hai Viren hum colony toh pauch Gaye par abhi tak hame unke khilaaf koi sabut nahi mila aur toh aur kisi ko bhi hum par shaq nahi hua
Viren - sulochna thoda sabar karo thoda waqt lagega par unhe shaq hoga ...
Sulochna - I hope jaldi shaq hoga...Kyuki mein yeh pagal khaane jaise colony main nahi reh sakti.aur naahi Woh Ronnie d souza ka furniture pe ek bhi speech sunnahi chahti.. aur naahi Woh bhairavi se milna hai...
Viren - Hmmm sunna toh mujeh bhi nahi hai are we have to do this ...
Sulochna - waise ek baat toh maani hogi bhairavi aur Rahul jaroor mele mein bichade hue Bhai behen hai...
Viren - hmm waise Rahul hai kaha ..dikhai nahi de raha ...
Sulochna - Woh bhatt house gaya hai...waha apni behen ki help karne ...
Viren - whattt!!! Sulochna yeh kya kiya tumne..tum aise kaise Rahul ko waha Woh bhatt house bhej sakti ho.. have you any idea? Hamara raaz khul sakta hai...waha pritesh hai..aur Woh apni baato mein laake Rahul se sach bulavaa sakta hai...
Sulochna - aap mujeh par gussa kyu kar rahe hai...Woh mere dimaag kha raha tha issliye mein ne usse bhairavi ke ghar bhej diya...
Viren - Haan toh usse koi kaam De diya hota...Rahul ko...
Sulochna -( irritated) oh please..sir
Viren looks towards sulochna
Sulochna- ( irritatedly) I mean Viren rahul ko kaam dene se acha hai ke mein khud kaam kar loon .
.
Viren- whatever... Mein jaa raha hoon Rahul ko bulaane..isse pehle ki woh koi gadbad kare...
Viren..leaves ...
Sulochna- hopefully ..yeh kaam jaldi se khatam hojaaye..yaha ek aur min rehna is next to impossible
...
@ bhatt house...
Viren enters bhatt house
Viren - hello namaste Bhavna aunty ...aap kaise ho...aur pritesh mitesh kaise ho aur bhairavi Bhabhi aap kaise ho
Bhavna aunty- hum thik hai..aap bataiye sab Yaha Acha lag raha hai ki nai..agar koi problem ho toh batana
Viren - Haan sure sure..mein woh yaha Rahul ko lene aaya tha ..sulochna bulaa rahi hai...Woh mujeh saraa office jaana hai
Bhavna and others look in shock...
After Viren and Rahul leaves
Bhadresh -(in sleepy tone) baa ... Sunna kya kaha woh mathur family... jaroor kuch gadbad hai Ka baa..
Bhavna aunty- Haan baba
@ ghotala house...
Ghotalas are playing with toy airplane which Sharad had bought ...
Vasant - nai sharad galat bol raha hai beta..dekh yeh wali paankhe piche aeroplane ke tail pe lagegi...
Sharad- nai bhaiya aap galat bol rahe hai..yeh galat hai aisa nahi hai...
Hemant - Haan papa ..Woh toh helicopter mein hota hai ek aage upar aur dusra piche ..mujeh pritesh be bataya tha...
Megha - haan bhaiya yeh dekhiye yeh instructions mein bhi likha hai..
Vasant - yeh galat likha hai megha..aur Kai baar toh yeh diye hue instructions hi galat chapte hai..toh isse mat padho ..mein jaisa kehta hoon waisa karte hai
After few minutes...
Varsha - nai vasant yeh galat hai ..yeh dekhiye box pe aisa hi picture hai...
Vasant - Haan toh box pe jaisa mein keh raha hoon waisa bhi toh picture...hai...
Grishma - papa woh toh bas aise hi diya hai box pe ...
Vasant - nai Grishma beta..yeh insaan Ka kuch keh nahi sakte yeh bolte kuch aur hai karte kuch aur hai..aur dikhate bhi kuch aur hai... aur tum sab itne dino se reh rahe ho yaha prithvi pe phir bhi nahi samjhe..sab mujeh sikhana padta hai...phir bhi nahi sikhte tum sab..aur phir tum sab ki wajah se mujeh sunna padta hai ..
Sharad- bhaiya logically Kai baar hum sahi hote hai aur aap galat hote ho
Vasant - baniyan Tu kehna kya chahta hai ki mein galat hoon iss baar
All nods in yes...
Vasant - nai galat mein nahi tum sab ho..aur head of family kon hai...?
All point out towards Vasant..
Vasant - toh sab kisiki baat sunnenge?
All point out towards Vasant...
Vasant - Haan toh mein jaisa kahu waisa karenge ...chalo ab jaisa mein kehta hoon waisa karenge...
After they assemble all parts of toy aeroplane as per vasant instructions...
Megha-yeh chal kyu nahi raha hai... vasant bhaiya...
Vasant - lagta hai battery kharab hai...
Vasant checks battery...but it was working fine...
Grishma - papa..papa plane kyu udd Nahi raha ?
Vasant- mein dekhta hoon Grishma..kyu nahi udd raha plane..udna toh chahiye plane...
Sharad- bhaiya mein abhi bhi keh raha hoon aapne galat lagaya hai pankha...
Jacky - Haan aur yeh dekhiye mein ne abhi instructions mein bhi padha ..
Vasant - ooo hemant chacha aur hemant Bhai dono chup raho kabse galat galat bol rahe hai...
Sharad and Jacky gets sad...
Pritesh , bhavna aunty and lajo aunty enters ghotala house..
They see vasant is trying fly toy aeroplane ...
Lajo aunty - yeh kya vasant Bhai aapne yeh konsa khilona hai .. Aur kaha se laaye yeh khilona...
Vasant - (surprised) yeh khilona aapko nahi patah lajo aunty?
Lajo aunty - nai...
Vasant - areee yeh insaani hawaai jahaz matalb aeroplane hai..areee wahi jismein baithe ke insaan ek jagah se dusri jagah jaate hai na.. yeh you aeroplane hai Jo hum Grishma ke liye laaye hai
Bhavna aunty - areee par ghotala and company phir yeh sab toh thik hai par yeh aeroplane ko aise kyu banaya hai...
Pritesh - dadi..yeh one and only greatest unique edition hai aeroplane ka Woh bhi made by ghotala and company...
Vasant -(happy) iska matalb mein ne sahi banaya hai...dekha ...mein Sahi keh raha tha ki yeh pankha piche lagega ...par yeh sab koi meri baat nahi sunn Raha tha...
Bhavna aunty- ghotala bhai tambura yeh pankha piche nahi aage lagega...yeh aeroplane ki Jo do paankhe hai na uske aage ...lagega...aap galat bol rahe hai aur baaki sab sahi bol rahe hai...
All ghotala's looks angrily towards ... vasant...
Vasant - woooh ...thodaaa...aisee..aise thodaaa galti hojaati hai..aur galti toh alien se bhi hosakta hai..aisa jaruri nahi ki insaano se galti ho..
Pritesh- areee yeh ghotalagiri ki baat baad mein karenge pehle abhi latest information sunniye ...
Bhavna aunty - Haan sahi kaha yeh ghotalagiri ke chakkar mein important batana bhul gaye...
Vasant - kaise important baat Bhavna aunty...
Bhavna aunty - areee woh Jo naye family aayi hai na mathur family unke baare mein...areee woh log ne abhi abhi naya bhangda waata hai...
Ghotalas didn't understand what Bhavna aunty said...
Varsha - kya ..kiya hai Bhavna aunty kuch samjh nahi aaya...
Grishma - mummy yeh bhangda waata hai kya hota hai..
Bhavna aunty - areee Grishma beta Woh hamre Gujarati mein aise jab koi..
Pritesh - dadi..dadi...aap Gujarati lesson baad mein Lena..pehla main vaat par aavo ne( dadi please come to the point )
Bhavna aunty- Haan Haan priteshiya... toh mein yeh keh rahi thi ki yaad hai woh mathur family uss din keh rahi the na ki Viren Mathur Woh Altera company mein kaam karta hai Woh manager ki post pe hai...
Sharad- haan yaad aaya Woh keh raha tha ki woh kuch Production manager hai
Bhavna aunty - Haan toh woh sab galat hai...abhi abhi Woh bhairavi ka Bhai mujeh..bol raha tha ki...
Vasant - kya bola hemant ne...aapse ..tch tch kitni Baar kaha Bhavna aunty aap hemant ki baat mat suniye ..Woh kuch aur bolne gaya hoga aur kuch aur bola hoga...aapko toh patah hai na ki yeh thoda eeeh hai
Before bhavna aunty could say anything
Hemant - haawww heeein mein ne kuch bola toh phir mujeh yaad kyu nahi hai papa...
Lajo aunty - offo ho bhavna bhabhi hemant ki nahi Rahul ki baat kar rahi hai...
Bhavna aunty - Haan ghotala bhai.abhi woh Rahul aaya tha hamare ghar pe ..toh aise aise baato mein ne usse pucha ki uske jijaji office Gaye ke nahi toh usne kaha ki uske jijaji office Nahi Gaye aur kaha ki woh toh bikul bhadresh ki carbon copy hai...
Vasant -matalb bhadresh aur Viren twins hai
Varsha- areee waah bhavna aunty yeh toh khush khabri hai...Bhavna aunty congratulations...matalb kitna acha hai...Bhavna aunty aapki do do bhadresh bhaiya mil Gaye...
Megha - Haan aur do do bahu bhi...Bhavna aunty aapko ko toh ab bas aaram hai..dono bahu aapki kitni seva karenge...aur sulochna Bhabhi toh gadbad bhi nahi karegi
Sharad- haan megha...aur logically insaano ko khoye hue bacche mele mein bichdte hai aur achanak ek din milte hai..aur aapko toh colony mein mil Gaye aapka beta ..kitna acha hai aapko dhoondhne ki mehnat nahi hui...lekin aapne apne iss bete ki baat kyu chupaa humse?
Jacky - Bhavna aunty aapko toh party deni hogi...
Bhavna aunty - hahaha... ...
Vasant - Varsha Bhavna aunty aise kyu has rahe hai... ?
Varsha - lagta hai sadma lagaa hai..vasant...jaaye jaaye paani laaye..
Vasant - nai nai Varsha mein Ronnie Jo bulaata hoon Woh dr.fernandis ko bulaayenge..Woh Acha Dr..hai...abhi Bhavna aunty ko doctor ki jaroorat hai...
Bhavna aunty - (laughing) nai Varsha sadma nahi lagaa...Acha ek bataao...Aaj sab me ache se dhoop lithi...
Vasant -haan kyu?
Bhavna aunty- (angrily) haan toh phir aise kyu haan bhairavi ke maayaka ho iska proof De rahe ho.. mere kehne ka matalb tha ki woh Viren bhadresh ki tarah kaam pe nahi jaata...
Ghotalas gets scared
Vasant- Haan toh aapko clear karna tha Bhavna aunty
Pritesh- dadi..dadi..calm down calm down..mein sab samjhata hoon aap shaanti se baith jaaye..(stands on table ) Haan toh sab suniye ghotala parivaar aur bich mein kuch mat bolna hoon?
All - hooon
Pritesh - Haan toh sunniye ..jaisa dadi me kaha ki woh Rahul Mathur me kaha ki unke jijaji Viren kuch kaam nahi karte jabki Viren uncle jab hamare ghar pe aaye toh kaha ki unhe unke company jaane ke liye Der ho rahi hai...
Suddenly ohja uncle enters ghotala house...
Ohja uncle - ke ke ke ke ke..
Bhavna aunty- Rajasthan express. Ki pin aise ke ke ke ke pe kyu atak gayi hai ...
Lajo aunty - ke hua ohjaji aap thik toh hai?
Ohja uncle - areee kuch thik na hai abhi Woh mein mathur house gaya tha woh unhe yeh plate dene ...
Lajo aunty - aap waha plate dene kyu Gaye the.. ohjaji?
Ohja uncle - areee woh toh sulochnaji ne thode samose banaye the na woh unhone diya tha..par important baat Suno abhi mein yeh plate dene gaya tha toh unke ghar ka darwaaza khulaa tha toh mein ghar ke ander gaya hai toh mein ne sunna ki woh log kuch baat kar rahe the...
Pritesh- kya sunna aapne ohja uncle ?
Ohja uncle - mein ne sunna ki .Woh Viren sulochnaji se keh raha tha ki..." Hame yeh kaam jaldi karna hoga..yahaa se jaldi Nikal na hoga aur jaldi wapas colony aana hoga taaki koi shaq na kare. " Aur yeh bhi kaha ki hame chaukna rehna hoga taaki koi shaq na kare..."
Aur yeh toh thik par jab unhone mujeh dekha toh...maareh ko explanation dene lage ki woh log aisa kyu bol rahe the... Woh bhi alag alag explanation dene lage
All are shocked on hearing this...
Bhavna aunty - yeh toh bahut ajeeb baat Bai..Woh log kis ki baat rahe the. Hame sambhal ke rehna hoga..Kahi yeh log terrorist nikle toh..ajakal toh akhbaar mein bhi aata hai ki yeh terrorist kitne sarhad paar se aa rahe hai nakli passport aur documents banake
Sharad- bhavna aunty lekin hum kisi pe bhi aise shaq nahi kar sakte na .. logically yeh galat hai..shayad unki koi problem hogi aur issliye woh log aise jhut bol rahe ho...
Megha - Haan Bhavna aunty hume pehle dekhna hoga ki woh Kahi sach mein koi problem mein hai ya nahi hai uske baad hi kuch keh sakte hai...
Lajo aunty- Haan yeh baat bhi thik hai hum yeh baat toh nahi maan sakte ..jab tak hamare paas koi proof na ho...
Vasant - Kahi aisa toh nahi ke woh hamare bete 2015 ke baare mein kuch jaante ho ya phir Woh usse dhoodh rahe ho...
Pritesh - ho sakta hai.. vasant uncle par hum kuch nahi keh sakte hai..hame patah lagaa na hoga...par tab tak aap sab chaukna rehna hoga. Unhe shaq nahi hona chahiye ke aap aliens ho..kya..Woh log ko bair agents ne bheja ho...
After colonywala leaves...
Grishma - papa mujeh ek baat batani hai...
Vasant - kya beta ??
Grishma - papa. Mein Samar bhaiya se jab Mili thi toh mein ne mehsoos kiya ki woh dukhi hai...Woh kisi ko yaad karke ro rahe the...
Vasant-kya??? Grishma...Woh kisko Yaad karke ro rahe the?
Grishma - patah nahi papa.. Woh jab ro rahe the tab mein ne mehsoos kiya ki woh dukhi the.woh kis baat pe dukhi the yeh mujeh nahi patah ...
Varsha- Vasant iska kya matalb hosakta hai?
Vasant- patah nahi varsha par...hame Samar ke baare ab aur jaana hoga...Sharad Tu aaye jacky Samar pe nazar rakhoge air agar possible ho toh uske family mein aur zyada jaane ki koshish karo..hoon?
Sharad and Jacky - hooon
@ mathur house...
Viren- Good job sulochna...hum hamare plan mein aage badh rahe hai... Aur Rahul ne bhi Acha a kaam kiya hai...
Rahul- mein kaam Acha hi karta hoon par jiju aapko vishwas nahi hai mujeh pe
Sulochna - ...Woh toh dikhta hai tum kitna acha kaam karte ho...acha ...Philal ab office chalna chahiye hame...
Viren - Haan ..chalo ...hame aur details collect karne hai...
After few days...
@ ohja house
Shruti visit's ohja house...
Ohja uncle is happy to see shruti...
Ohja uncle- areee shruti beta kitne dino baad aayi hai..aaj Tu hamare yahaa khaana kha ke jaana..Tu baith yaha mein abhi lajo ko bulaata hoon
Shruti remebers every moments she spent with manav...and blushes...
Shruti -( in mind) shruti stop blushing. ..uncle aunty ne agar tujeh aise dekh ke kuch puch liya toh kya jawab degi...stop blushing ..pagal hogayi hai Tu..
she sits on sofa and remembers the day when they both fell down...
She takes a photo frame of manav and talks to it
Shruti- (in mind) kabhi socha nahi tha ki tumse pyaar kar baithungi...patah nahi kab apne Dil ki baat tumse .. please come back soon ..I really miss you...
Shruti's chain of thoughts are broken by some noises..
Lajo aunty enters room and is happy to see shruti...
Lajo aunty- shruti beta bade Dino baad aayi hai Tu..patah hai Aaj subha hi soch rahi thi ki tujeh se. Milne orphanage aajau...
Shruti hugs lajo aunty..
Lajo aunty hugs her back
Shruti- -aunty aapko mujeh call kar dena tha ..mein aajati..aap jabhi bhi bulaayenge na mein aajaungi...
They break hug
Lajo aunty - chori Aaj tu yahi rukh jaa...kal chali jaana..aur Haan na mat bolna warna mein baat nahi karungi tujeh se
Shruti - nahi mana karungi ..aunty
precap - will new members of colony come to know about ghotala family secret? Will mesha clear clear out their difference?
So stay tuned all to know more
Originally posted by: coolhi1988
Krishu HV started reading d update..
Read halfWil read remaining soon & comment
Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
Hello everyone ☺️ This is Saumya ❤️ I have completed the five long threads of my FF "Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story Following are the...
63