Home ff part 17( thanks hiyu for helping me out in this part)
Their is a big dhamaka.. Everybody comes to colony garden...
Liza- Bhavna aunty ..tumhare yaha lights abhi fluctuate hua na?
Bhavna- haan liza.. Aur woh dhamake jaise awaaz...suni tum sab ne?
Lajo- haan Bhavna aunty, mein ne bhi suni awaaz...
Ghotalas arrive at colony garden..
Ronnie- yeh kya tha..kuch toh hua hain itna bada dhamaka ka awaaz aaya..
Vasant- haan ..Ronnie ..mujeh lagta kuch hua hain
Bhairavi- mujeh lagta hain jaroor koi bhooth,chudail aaya hain hamari colony mein...
All are shocked at bhairavi statement...
Ohja- ke ke ke ke ke bol rahi hain Gujarati bahurani...
Ronnie- haan bhairavi tum yeh kya bolta hain...
Sharad contacts vasant and bhul se hemant ko bhi contact kar deta hain..
Sharad- bhaiya yeh acha hua bhairavi didi ne yeh bhooth wali baat kahi ..Ab sab yeh dhamake ki baat ko yaad nahi karenge.
Vasant- haan sharad yeh acha hua..aur waise bhi hum sab gaye the na thode din pehle kabristaan ghumne..
Sharad- haan bhaiya...( starting his lehrana) aur bhaiya megha ne toh meri taarif bhi ki thi.yayaya..
Hemant -( happily) haan chacha..aur chachi ne toh aapko intelligent ..logical ghotala kaha tha...
Sharad- haan hemant..Yayayayaya...
Vasant-- aeee hemantchacha aur hemant tum dono kya yeh sab baat lekar baitha gaye..agar shaq. Hogaya colony walo ko toh
..kabhi bhi lehrana start karta hai haan..Ab bandh kar apna power..
Ohja- ( scared) ke ke ke bol rahi hai tu Gujarati bahurani..maarrhbko kuch samjh nahi aaya
Bhairavi- ( nodding her head in no) sabko matalb baad mein samjhana padta hain ..sabko baa ki bimaari lag gayi hain..patah nahi kya hoga iss colony ka
Bhavna- aeee dakaan Jo bolna hain sidhe sidhe bol ne Ben..kya baat ko ghotala's ki tarah ghuma rahi hain...
Bhairavi- aap sab picture nahi dekhte...kya jabhi bhoot ya chudail aati hain light aise hi fluctuate hoti...
Hemant- (happily)haan bhairavi didi aur hame patah hain kiska tooth aaaya hain..
Bhavna- ae hemant kya bol raha hain..
Hemant-- Bhavna aunty mein yehi bol raha hoon ki mujeh patah hain ki aapke ghar kiska tooth aaya hain...
Bhavna- aeee vasant bhai yeh kya bol raha hain
Vasant-aeee gende kya bola tu?
Hemant- papa tooth papa wohi Jo Marne ke baad kuch insaan banjaate hain...aur daraate hain ..tooth papa..areee tooth papa jo aap kabhi kabhi bolte hain jab bhadresh uncle,Ronnie uncle aur ohja uncle ko bolte hain jab woh hamare ghar aate hain..
Vasant does the ishaara to keep quiet
Ronnie- kya bolta hain tum hamare baare mein vasant ?
(Showing fist)
Sharad- aeee hemant chup, chup hojaa
Vasant- ( towards varsha) tumne hi kaha tha le chalo isse le chalo Ab yeh dekho
Varsha- areee aap kya mujeh daant rahe baccha hai.woh heeein
Vasant- heeein kya kar rahi ho..
Ohja- ke ke ke bolta hain jhallar tarah papa..
Hemant-woh aap tino ko dekh ke papa bolte hain..' Dekho aagaye 3 bhatak te tooth..aur yeh bhi kaha ki ek toh hindi mein atak ta tooth ,ek aalsi tooth aur ek Rajasthani kanjoos kakadi tooth..aapko toh kuch nahi aata papa
Except 3 idiots all other laughs
Vasant - aeee woh bhooth hota hain tooth nahi..aur mujeh kuch nahi aata? Areee tujeh kuch nahi aata hamesha sab words gadbad kar deta hain..
Hemant- hawww
Vasant- hawww kya kar raha hain.. Haan woh tooth nahi bhooth hota hain..
Hemant- nai papa woh tooth hota hain jo darrate hain insaan ko
Vasant- areee woh bhooth hai ' bh' hain aage 't' nahi hain
Ohja- aeee jhallaro woh bhooth ko bhavna Ben ke yahaa hi rehne dena hamare ghar mat bulaaa.
Vasant- areee aap sab dariye mat..yeh bhooth Bhavna aunty ko jaante hain..toh aap sab ko nahi daarayenge..
Ronnie- aeee vasant tum kya bol raha..
Anna- oh my God Mr.ghotala aap yeh kya bol rahe hain..
Vasant- aree mein samjhata hoon..Bhavna aunty ke yahaa unki saas ka bhooth aaya hoga..
Manav- areee aap sab yeh kaise baate kar rahe bhoot jaise koi chiz nahi hoti...vasant bhaiya aap sab yeh kya bol rahe bhoot ,chudail mujeh samjh nahi aaya..sab kuch shuruaat se samjhaye
Vasant- areee manav mein batata hoon ..woh kya hain na thode din pehle..aise hum sabko ichha hogayi ki chalo aise thoda bahaar ghumne jaate hain ..koi different,adventurous wali jagah
.toh yeh mere hemant ne kaha ki kabristaan chale jaate hain. Raat ke 12 baje aur tabhi bhairavi mili hame
Bhairavi- aur mein ne vasant bhaiya se kaha ki aapko meri dadi saas ka bhooth mile toh bhejna hamare ghar..taki mein complain kar saku unse ki baa kitna galat galat bolti hain aur mujeh daanti hain..aur mera mil na bhi hojaayega mera dadi saas se
Bhavna-( scared) aeee ben mein taru su bagaadiyu che...liza Ab toh mujeh mere ghar jaane mein bhi dar lag raha hain..kahi woh bhooth .hamare ghar aagaya toh
Bhairavi- toh kya baa woh aapki saas hain toh aap unki seva karenge...aur darne ki jaroorat nahi hain..woh aapko daraayegi nahi...sirf daategi... Agar aap ne sunne mein gadbad ki ..toh..
Bhavna - aeee Ben tu chup re ne
Bhairavi- toh barobar
Manav- areee aap sab shaant rahiye bhooth, chudail jaise chizz nahi hote...aur shaayad electricity fluctuations aaye honge ya kahin short circuit hua hoga jise itne badi awaaz aayi ...
Varsha - haan manav sahi keh raha hain..
Manav- haan..chaliye Ab sab apne apne ghar jaaye .
Bhavna- aeee liza mein Tere ghar aa rahi hoon sone Aaj ...yeh daakan ki baat sunke Ab mujeh dar lag rahaa hain
Liza- haan haan aajao aunty Bhavna..aap bhairavi aur pritesh mitesh ko leke aajao..
All leaves...
Next day,
At dsouza house,
Anna decides to tell her feelings...to both sharad and manav..
Anna calls sharad and ask him to come to colony garden..
Sharad- bolo Anna tumne mujeh yahaa kyu bulaaya..
Anna- sharad woh tumse kuch baat karni thi.. Actually mein ne kuch decide kiya hain..mein yeh baat sabse pehle tumhe bataana chahti hoon. ..
Sharad knew it would be coming and he also knew what Anna wanted to tell...
Sharad- bolo Anna kya kehna chahti ho tum...
Anna-- sharad.. Woh...mein yeh kehna chahati hoon ki mein ..ki mein..manav se pyaar karti hoon mein hamesha se hi manav se hi pyar kiya hain aur...
Anna tells everything to sharad..
Sharad- Anna tumne mujeh hurt nahi kiya..aur sach kahoo toh mein tumhari situation samjhta hoon kyuki mein bhi yahi situation se guzra hoon
Anna- sharad yeh tum...kya bol rahe ho...
Sharad- anna abhi yeh sab baato ka samay nahi hain..tum manav ko apni dil ki baat kab bataogi.
Anna- Aaj sharad.par manav toh bahaar gaya hain
Sharad- haan toh mein tumhari help karta hoon...mere pass ek dum mmm wala idea hain tum jaao .
Sharad contacts hemant and asks him to come to colony garden..
Hemant comes and does eeeh
Hemant- boliye chacha kya karna hain
Sharad- hemant yaad hain ek baar vasant bhaiya ko jaldi bulaane ke liye humne bhabhi ke saath milke plan kiya tha na woh hi ala yaha use karenge hoon?
Hemant-hoon
Sharad - chal hemant...
At dsouza house,
Sharad calls manav..
Manav- haan bolo sharad...
Sharad- manav ...manav tum jaldi aajao colony mein ..yahaa Mahabharat start hogaya hain...
Manav - sharad kya hua tum thik ho toh hona aur kaise Mahabharata start hui hai sharad ..thik se batao..
Sharad- aree manav bas tu yaha aaja .yaha Anna ke ghar mein Mahabharat start hui...( faking) aeee hemant sambhal ke aa zameen par kaanch gira pair mein chot lag jaayegi..
Hemant- heeein chacha sambhal liye yeh cup and saucer aapko lagega..and then hemant puts some cups and saucers in plastic bags and throws on ground...and throws some steel vessel on ground...
Sharad- aeee hemant tu jhukja warna tujeh jhadu lag jaayegi...areee liza bhabhi shaant hojaaye...
Hemant- chacha ...yahaa toh dhamaa dham bartan pad rahe hain..
Hemant throws more vessel on ground..
Manav- yeh sab chal kya raha hain.. Sharad..aur itni awaaz bartan gir ne ki kyu aa rahi hain..
Sharad - areee manav logically abhi liza bhabhi sab bartan ,zhadu Ronnie bhaiya ki aur phenke rahi hain aur mein ,hemant aur Anna bich mein phass gaye hain..tum jaldi aao..
Hemant- chacha jhuk jaaye saamne se lakde ka vase aa raha hain...
Sharad- manav tum jaldi aajo...warna Aaj world war 3 bhi start hojaayega
Sharad- Anna jhuk jaao samne se pillow aa raha hain
Sharad cuts the call..
Manav didnt understand what just happened ..but he leaves for colony..
Hemant was outside d souza house..when he sees manav coming..hemant goes inside...
Hemant- (happily)heeein chacha manav bhaiya aa gaye...
Sharad- chal hemant,,chalte hain khidki se chalte..hain ..Anna aj tum apni dil ki baat batado manav ko hooon?
Anna- hooon
Sharad- bye bye..
Hemant- bye bye ...
Both leaves
Manav enters d souza house.
Manav- Anna,sharad,hemant..tum sab and thik toh ho na...
Manav stopped in his tracks as everything was normal ...and their was no sign of trio
Manav called out for trio..
Anna comes..
Manav- Anna tum thik toh ho..aur yaha toh sab thik lag raha hain phir sharad ne aisa kyu kaha ki yaha jhagda Jo raha hain
Anna-woh sharad ka plan tha tumhe yaha jaldi bulaane ke liye
Manav- plan?? Par kyu??
Anna- woh mein ne hi kaha tha issliye.. Manav mujeh tumse kuch baat karni hain kuch baate clear karni hain tumse...
Manav- Anna.. Tum koi bhi faisla jald baazi mat lo ..
Anna- manav mein koi bhi faisla jald baazi mein nahi le rahi ...hoon.. Manav jab tum yaha nahi tab tumhari hamesha yaad aati thi..phir jab sharad se dosti hui toh..dhire dhire mujeh acha lagne lagaa..uske saath rehti toh tumhari yaad kam aati.
.kyuki kahi na kahi sharad mai mein ne tumhe hain dhoodha hain..ya phir yoon kahu toh sharad ne hamesha tumhare jaise behave kiya hain jaise tum karte the..pehle yeh baat samjh mein nahi aai.. Thi issliye mujhe khud patah nahi tha ki mein kya chahti hoon ..lekin Ab mujeh sab samjh aayaga hai aur...manav sach toh hain ki mein ne tumse hi pyar kiya hain...aur karti hoon manav..
Anna turns around ..she was facing manav ..
Both were in tears..
Anna comes near manav ..
Anna- I m sorry manav ..mere wajah se tumhe bahut hi darad hua hhain..jaane anjaane mein bahut hurt kiya hain tumhe..
Manav- nahi Anna plz sorry mat bolo..mein tumhari situation samjh sakta hoon...I love you Anna...
Anna then hugs manav..
He hugs her back..
Anna- I m sorry manav..I love you..
Manav - I love you too Anna.mein tum se naraaz nahi hoon Anna..plz tum maafi mat maango...
Breaking the hug...
Manav- Anna tumne yeh faisla sharad ko bataya?
Anna- haan issliye toh usne yeh sab plan kiya tha...
After 1 month,,,
Bhavna was worried as Bhadresh every now and then visited jamnagar...
Ghotalas were worried as didn't know how will they find 2015 & 212...
At ghotala house...
Sharad was sitting in main hall he was upset as he was badly missing megha
Hemant-kya hua chacha ..aap udas kyu hain...
Sharad- hemant mujeh Rona aa raha hain..
And he starts crying
Hemant starts giving company to his pyare chacha..
Sharad- ( crying ) tu kyu ro raha hain hemant ...
Hemant-(crying) kyuki aap ro rahe hain chacha...
Sharad- (crying)areee toh tu mujeh company kyu de raha hain..mujeh puch na ki mein kyu ro raha hoon
Hemant-(crying) haan toh mein puch ta hoon chacha...chacha aap kyu ro rahe hain...
Sharad( wiping his tears)- hemant woh abhi manav aur Anna dono bahaar jaa rahe hain date pe..issliye...
Hemant- haan toh chacha yeh acha hain na manav bhaiya aur Anna didi Ab khush hain toh..aap kyu ro rahe hain
Sharad - aeee hemant mein bhi khush hoon dono ke liye.. Lekin mujeh Rona kisi aur baat ke liye aa rahe hain
Hemant- kis baat pe Rona aa raha hain chacha?
Sharad- hemant mujeh apni pehli insaani date yaad aagyi ..abhi mein megha ke saath gaya tha na..toh woh yaad aagaya issliye mujeh Rona aa raha hain..kitni khush thi uss din megha..
Hemant- haan toh chacha bataye na kya hua tha uss din.
Sharad- woh kya hua uss din ...
Flashback starts...
At ghotala house ..
Sharad- ( in mind) megha ko mein ne jaan bhuj ke bahaar bheja hain..woh aaye usse pehle sab tyaari karta leta hoon woh club house ke swimming pool ke pass aajaye usse pehle mein jaata hoon .
At club house,...
Sharad- (in mind) bas megha aati hi hogi ...
Sharad was busy in doing decoration...
Manager of that club house comes...
Manager- how can I help you sir...?
Sharad turns around and both are shocked..
More shocked was a manager..
Manager- aap!!!
Sharad- areee aap toh wohi ho na kapde wale dukaan ke owner aapki dukaan se humne pritesh ki jaaneu waqt kapde kharide the..
Manager- haan..( in mind) kyu milwa diya bhagwan mujeh in logo se..
Sharad- aap yaha kya kar rahe..aap ki toh shop hainna
Manager- mein ne bech di shop..Ab mein yaha kaam karta hoon..aapko koi help chahiye sir..
Sharad- areee aap ne shop kyu bech di..?? Achi mmm shop thi aapki hum toh aapke yaha phir se aane wale the...
Manager- ( under breath) issliye toh bech di...mein ne
Sharad- kya bole aap..
Manager -kuch nahi aap ko koi help chahiye..
Sharad- mujeh yahaa slides chahiye taaki baithe sake aur haan ek table laana taaki yeh khanna rakh sake
Manager was shocked ...
Manager- sir aap bahaar ka khanna nahi laa sakte ..yeh food allowed nahi hai yaha
Sharad- haan haan mujeh patah hain issliye toh dekhiye mein ghar se banaakar laaya hoon khana ...
Manager- dekhiye aap yeh ghar ka khanna bhi nahi laa sakte... Kyuki yeh allowed nahi yaha..
Sharad- areee aap galat samjh rahe hain mein yeh khanna ghar se banakar laaya hoon toh yeh logically bahaar ka khanna nahi hua yeh ghar ka khanna hua...
Manager- areee dekhiye ghar ka khanna bhi yahaa allowed nahi hai kyuki yeh yahaa bahaar ka khanna hi ginna jaayega..
Sharad-logically yaha kaha likha hain ki ghar ka khanna yahaa bahaar ka khanna ban jaayega..aap jhut mat boliye..
hamari surname ghotala hain toh kya hua..hum ghotala nahi karte...aur aap hi toh kehte the na customer is king...toh abhi hum yaha toh customer hain toh aapko meri baat maani hogi..
Manager tries to make understand difference between ghar ka khaana and bahaar ka khaana..finally manager gives up
Manager-( giving up ) areee dekhiye...choddiye aapko mein table lagaata hoon yaha aur kuch chahiye aapko ..
After an hour everything is ready...
Sharad was in swimming costume and bathrobe
Manager sees him ...and was shocked
Manager- aap yeh phenke date pe jaayenge??
Sharad- haan..mmm hai na??
Manager- sir ..date pe koi bhi swimming costume pehenke nahi jaata..
Sharad- areee lekin agar mujeh yaha swimming karne ki iccha hogayi ya...toh..uske liye mein ne yeh swimming costume pehna hain.
Manager didn't say anything...
Here megha comes at club house and was waiting for sharad
Megha- yeh sharad kaha gaya hain .mujeh yaha bulaake patah nahi kaha chala gaya...
Megha was waiting for sharad..
Sharad comes...
Megha- kaha the tum...aur itni der kaha kardi tumne...
Sharad- areee kuch kaam tha..yeh sab chodo tum apni aankhe bandh karo...
Megha - magar kyu??
Sharad- surprise hain..apni aankhe bandh karo...
Chalo tum apni aankhe bandh karo aur jab tak mein na kahu apni..
Megha - areee par .
Sharad- megha plz plz aankhe bandh karo na...surprise hain..
Megha closes her eyes..
Sharad takes her towards the pool..
Sharad - Ab apni aankhe kholo megha..
Megha opens her eyes and she was happy...
She couldn 't believe ..megha thought she was dreaming...
Everything was beautiful decorated .. The place was beautifully decorated with lavender and purple and white color... It perfectly looked like dream land...
Megha- yeh sab mere liye...yeh bahut mmm hain...
Sharad- haan megha..dekho tumhare favourite flowers bhi hain aur woh bhi purple color ke tumhe purple color pasand hain na...
Aur yeh dekho mein ne tumhare liye yeh costume bhi tumhare fav color ka laaya hoon..
Megha was so happy that she hugs sharad...
Megha - mein abhi yeh costume phenke aati hoon...hoon
Sharad- hooon!!!
After sometime megha comes ..
Megha was surprised to see decorative diyas floating in swimming pool ...
Megha - sharad yeh sab mmm hain.
Sharad - megha tum yaha baitho tab tak mein hum dono ke liye dinner leke aata hoon...
Sharad leaves..
Megha- (in mind) Aaj mera mmm din hain..Aaj hum dono ki pehli insAni date pe aaye hain ..sharad ne kitni mehnat ki hai..mein bahut lucky hoon ki mujeh sharad mujeh mila... Yayayayayayayayayayayya ..
Megha trance was broken...as sharad was calling her...for dinner..
They were about to start dinner..
Megha- sharad ruko..yeh lo
Megha makes sharad eat first bite of food..
Sharad was happy too ..as megha was happy ...
Megha was happy as sharad had made her day special..
Flash back ends..
Hemant- areee waah chacha aapne toh mmm plan ki thi date..
Sharad- kya hemant tu bhi...mujeh sharam aa rahi hain..
At night ..ghotala house...
Ghotalas were playing blind fold game vasant was running after sharad ,hemant varsha and shishir
Vasant- dekho mein kaise out kar hoon sabko..
Sharad- bhaiya cheating mat karna..superpower use karna allowed nahi hain..
Vasant- aree mein bina superpower ke tumse sabko out karunga
Hemant- heeein papa pakdiye mujeh..heeein..
Varsha - haan vasant pakidye mujeh ..mein yaha hoon .heeein
Shishir- papa pakdiye mein yaha hoon..
Jacky- uncle mein yaha hoon..
Shishir sees towards patherwale bhagwan
Shishir- mummy ,Papa, yeh dekhiye jaldi aaye yaha ..patharwale bhagwan ke aaju baaju se dhuaa nikal raha hain..
All comes their..
Varsha- yeh kya ho raha hain vasant..kahin pritesh ne phirse ...toh woh smoke sticks nahi daale..
Sharad- mein check karta hoon..bhabhi..
Sharad was about to go when everything disappeared...
Patharwale bhagwan (PB) appeared in front of ghotalas..
All joined hands..
All- pranaam patharwale bhagwan ji...
Vasant - patharwale bhagwanji hame hamara beta kab milega...
PB- vasant , mein ne kaha tha tumhe tumhara beta 2015 milega.. Tumhare samay mein. ...aakhri paadav ka samay aagaya hain vasant..,vasant,
"jaan sako toh jaan lo
pehchan sako toh pehchan lo...
attit samne aayega jab
akhri padav se saamna hoga tab
paar karloge padav jab
mil jayegi tumhe tumhari manzil tab.."
Edited by Krish58 - 9 years ago
260