FATEFUL LOVE IN AN ARRANGED MARRIAGE
PART -14
mallik enterprise
Armaan was on the phone call n was talking with someone...
let's see with whom Mr mallik is talking
Ar - cmon
tum mere liye itna bhi nahi karsakti after all
tum meri samajhdaar saali ho unlike others
yes he was talking to anjali who is sooo samajhdaar compare to nikki n muski
Hihihi
Anji - Ohoo Jeeju
kya baat hai
bade maskey maar rahe Ho aap
kuch kaam karwaana hai kya
Ar - dekha
kitne ache se jaanti ho tum mujhe
tabhi toh maine tumhe samajhdaar kaha
Anji - haan
jaanti hun Mai
ab bataiye karna kya hai
Ar - simple
bass apni frnd ko shopping par lejao
Anji - kya baat hai
pehli baar aapke mooh se ye sunney ko milraha hai
ridzi ko mai shopping par lejaun
aapko toh bahaane chahiye hotey
hai na uske saath akele time spend karne mein
toh phir aaj ye mai kya sunrahi hun
Ar - well tumne sahi kaha hai
Mujhe Toh bahaane chahiye hotey hai apni pyaari si biwi ke saath romance karne ke liye
but u see mai aaj bhi bahaana hi dhundraha hun ridhima ke saath time spend karne ke liye
woh bhi AKELE
Anji - kya???
Ar - haan
anji - aapne hi toh abhi kaha ke mai ridzi ko shopping par lejaun
phir aap kaise uske saath
Ar - kya yaar
abhi itna acha compliment diya maine tumhe ke tum kitni Samajhdaar ho
aur Abhi tum bewakoofo waale sawal karrahi Ho
Anji - what????
Ar - aaj kya hai???
ye toh pata hoga na tumhe
Anji - haan valentines
day
Ar - ah thank god ye toh yaad hai tumhe
Anji - ohhh
ab Samjhi
Ar - finally
Anji - toh surprise kya hai
Ar - uski hi preparations ke liye toh ye sab karna padraha hai
u c apni biwi ko tumhare hawaale kuch der ke liye jo karraha hun
dil par itna bada pattar rakh kar
warna mai tumloag par kaise trust karta
har waqt bechari ko pareshaan kartey ho
Anji - ohh hello
aap mere saamne hi meri burai
karrahe ho
Ar - Haan
anji - sooo mean Jeeju
Ar - Acha yaar sorry
ab aap mera kaam karne ka kasht karogi
Anji - Ofcourse
Ar - thanks
waise zyaada pareshaan mat karo meri naazuk si pyaari si biwi ko
Anji - Jeeju yaar
phir shuru hogaye aap
they both laughed n armaan said
Ar - chalo
mai phn rakhta hun
bye
aur haan jaise mera msg aayega tumhe tum ridhima ko drop kardo
ok
Anji - yes boss
jaisa aap kaho
they hung up the call n armaan said to himself
Ar - hmm ( he sighed)
taiyyar hojaiye Mrs ridhima armaan mallik aaj ka din aapke liye bahot hi khoobsurat hone wala hai
just wait n watch
he smiles deeply showing his dimples
mallik mansion
ridhima sat on the bed with a frown
ri - aaj bhi mere uthne se pehle hi office chale gaye
aaj toh atleast kuch der baadh jaatey
aaj valentines day hai aur janaab ko kaam soojraha hai
shaadi ke baadh mera first valentine hai
infact mere life ka first valentine hai
socha tha armaan mere liye kuch special karengey
par nahi aaj bhi sirf kaam hi karna hai unhe
waise ye sab mai kyun sochrahi hun
jab unhe koi fark nahi padta toh mujhe kyun padraha hai
she got up from the bed angrily n was abt to go out
when her cell buzzed
he went towards the bed n picked up her phn
she saw his name flashing on the screen n she smiles
ri - shayad mujhe gud mrng wish karne phn kiya hoga
she excitedly picked up the phone
ri - hello
Ar - hello
ridhima was abt to say something when he said
Ar - ridhima meri ek file ghar par choot gayi
mera PA aaraha hai tum usey blue waali file dedena ok
her face burned with anger
she thought that may be he will wish her gud mrng
but no
again his work comes first for him
ri - ok. dedungi
she said that with gritted teeth n he smirked
Ar - hmm
ri - aur kuch
Ar - aur
haan
she smiles again
Ar - blue waali file ke saath ek white waali file bhi hai
woh bhi bhejdena
acha hua yaar tumne yaad dilaya
warna mai toh almost bhool gaya tha uss file ke baarein mein
she controlled her anger n said
ri - ek kaam karti hun
aapke PA se Mai saari study hi bhijwa dungi
kya pata aapko kiss file ki kab zaroorat padey
he smiles n had an urge to laugh but controlled himself n said in stern voice
Ar - what's wrong with you
mai yahan apni important files Lana bhul gaya
aur tum mujhe taunt maar rahi ho
ri - armaan dekhiye
mujhe aaj aapse koi ladayi nahi karni
aapke files aapko miljaayengey
she hung up the phone n sighed angrily
he smiles n said
Ar - gussa bahot jaldi aata hai tumhe
( he looked at her picture which is kept on his table)
ab gussa horahi Ho tum par
shaam ko toh meri baahon mein hogi
he smiles
where as ridhima was fuming with anger
ri - samajhte kya hai apne aapko
jab chaha pyaar jatayengey
aur jab chaha hukum karengey
mujhe baat hi nahi karni aapse
shaam ko jab aap ghar par aaogey na tab mai bhi waise hi behave karungi
jaisa aap ab karrahe ho
hmmm
ridhima phn again ringed n without seeing the number she picked up the phn n blasted on the caller
ri - ab kya hai
ab Koun si file bhul gaye aap
dekhiye armaan mujhe irritate karna bandh kijiye mera mood pehle se hi off hai aur aap phir se Mujhe...
her sentence left incomplete when she heard
Anji - ridzi
mai hun yaar anjali
ridhima hit her forehead n said
ri - anji...
hi...
kaisi ho
Anji - mai toh theek hun
par tu kyun itna chilla rahi thi
Jeeju se ladayi hui hai kya
ri - nahi
nahi
ladayi nahi hui
woh... actually... armaan subah se mujhe pareshaan karrahe hai phn karke
toh issilye
Anji - ohhh
kya kehrahe they Jeeju
she teased her n ridhima was in no mood to talk abt armaan
ri - kuch nahi
tum batao kaise phn kiya
Anji - ohh haan yaar mujhe teri help chahiye
ri - kaisi help
Anji - actually meri cousin ki next week shaadi hai
toh mujhe samajh nahi aaraha ke mai kya pehnu
saari functions attend karni hai
toh i am lil bit confused
ri - toh usme kounsi pareshaan honey waali baat hai
parson hi toh liye they na Tuney naye kapde
meri shaadi ke saare dresses repeat karle na
Anji - oh madam ye sab aap karti hogi
mujhe pasand nahi hai apne kapde repeat karne ka
ri - toh phir shopping karlo
Anji - Exactly
tujhe mere saath shopping karne chalna hoga
aur woh bhi abhi
ri - abhi
Anji - haan abhi
kyun tujhe Koi kaam hai kya
ri - nahi kaam toh nahi hai
par...
Anji - kya par
agar kaam nahi hai toh chalna
armaan thodi mana karega tujhe
ri - haan woh mana nahi karengey
par aaj toh Valentine's
Anji - ohh haan yaar
mai toh bhul gayi
aaj toh valentine's day hai
tere aur armaan ke kuch plans hongey na
it's ok
mai akeli chali jaungi
ri - nahi Anji
koi plans nahi hai
waise bhi mai ghar pe baitey baitey bore horahi hun
hum shopping karengey
atleast enjoy toh karungi
Anji - tu kabse shopping enjoy karne lagi
tujhe toh shopping bilkul bhi pasand nahi thi na
ri - nahi thi
par ab hogayi
kya karun ghar pe bore honey se acha hai kuch shopping hi karlun mai
Anji - ok
toh phir tu ready hoja
mai 10. minute mein aarahi hun
ri - ok
bye
Anji - bye
after talking to anjali ridhima said to herself
ri - mai kyun unke wajah se udaas houn
mai bhi enjoy karungi apne frns ke saath
unhe jo karna hai woh shauk se karey
she gave i don't care waala look n started getting ready
anjali came n straight went to her room
Anji - hi ridzi
ri - hi Anji
they both hugged each other n anji looked at ridzi from top to bottom
Anji - ye kya
ye yellow color salwaar suit kyun pehena Tuney
ri - Arey
isme burai kya hai
acha hi toh hai
aur hum thodi kisi function ya party mein jaarahe hai
shopping hi toh karne jaarahe hai na
Anji - haan phir bhi
ye dress tujhe suit nahi karraha tu ek kaam kar
she opened her wardrobe n search for something n picked red color saree
( armaan gifted her on their first day of marriage
a red color saree as suhaag raat gift)
Anji - tu ye pehenle
ridhima looked at the saree n smiles remembering their first day after marriage n took that saree but again frowned as she remembered morning convo of them (AR)
ri - ye nahi
Anji - kyun nahi
kitni Sundar saree hai
tujhe red color suit bhi toh karta hai na
tu yahi pehengi
before ridhima could say something
anjali dragged her to the bathroom n said
Anji - jaldi jaa aur change karle
pehle hi late hogayi mai
ri - late???
Anji - ahb... woh...
haan
woh shopping ke baadh Mujhe mom ke saath kahin jaana hai
ri - ok
she went inside n anji sighed
Anji - Ufff
bach gayi warna meri wajah se Jeeju ka plan choppad hojata
waise Jeeju ne ye kyun kaha ke mai ridzi ko red color ka hi kuch pehenaun
stupid
aaj valentines day hai na toh obviously Sab red color hi pehenengey na
little that she know armaan loved her seeing in his favorite color as red is his jaan 's color
it suits really well on her as if that color is only made for her
ridhima came out from the washroom looking nothing less than a angel
anjali smiles n said
Anji - Wowww ridzi u look really beautiful
ridhima looked herself in the mirror n blushed as this saree is soo special for her
but she thought that
she will only wear on some really very special occasions for him but dnt know y her heart agreed
for wearing it on today itself
they went to shopping n anjali shopped like crazy
where as ridhima only suggested her to what to take n what not to
but anjali being a fashionista
she tried each n every dress n finally selected few from them
it's been 7 pm
n ridhima got tired n said
ri - bass yaar anjali
ab mai aur shopping nahi karna chahti
Anji - Arey tu kahan shopping karrahi hai
shopping toh main karrahi hun na
ridzi - haan par ab mai aur nahi ghoom sakti
i am tired now
Anji - Offo ridzi aaj ka din hi toh mila hai humey
aur tu hai ki
ridzi - haan toh din bhar ki na humne masti
bass ab mai aur nahi chal sakti yaar
Anji was abt to tell something when her phn buzzed
she checked the msg n it was from armaan
Ar - done
Tum ridhima ko
ghar drop kardo
anji
smiles n texted
Anji - ok
ridzi looked At her n said
ridzi - kya hua
Anji - kuch nahi
waise tu theek kehrahi hai ridzi
aaj bahot hi karli humne shopping even i am too tired
chal tujhe ghar drop kardeti hun
ridzi - haan chal
they both sat in the car n anji droves the car
mallik mansion
Anji - ok ridzi
bye
ridzi - Arey aise kaise jaogi
andar toh chalo
Anji - nahi yaar phir kabhi
abhi bahot der hogayi
mom ke saath bahar bhi toh jaana hai mujhe
ridzi - Ohhh haan
toh phir tu jaa
hum baadh mein miltey hai
anji - bye
ridzi - bye
anjali went from there n ridhima entered into the house
she straight went into their room n
was abt to go in the room
when she felt something under her feet near their rooms door
it was pitch dark n she couldn't able to see what was that
but she bent down n took that thing in her hand
it felt soft n something like a rose petal
she smelled it fragrance n said
ridzi - ye rose petals
next moment she opened the door n was memerized with the view infront of her
all the room is decorated with beautiful sceneted white candles n red rose petals
all the net white n grey curtains were hanged neatly to the windows the bed cover was too white in color of the net fabric
all the rose petals were beautifully decorated around the bed with more red rose petals spread over the floor with the small scented candles...
behind the bed there was a big table which was covered with white satin sheet with more candles n more flowers
the bed was placed at the center of the room
the room is looking totally different n beautiful ridhima gasped seeing the view infront of her she slowly slowly move forward n stood in the middle of the room near the bed admiring the beauty
she felt as if she is in some fairy land
as the room got whole make over n she had no idea that her room would look like a fairy land
she smiles n turned back as she heard the most romantic tune
which she love to the core
she always imagine herself in that song with her spouse but never thought that something like this will happen the way she always dreamt about
she smiles wide as armaan stood near the door crossing her hands against his chest smiling
Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajood mera (x2)
(he came towards her n offered his hand for a dance she smiles n gave her hand in his
he pulled her by her waist with his one hand holding her hand n the other hand was holding her waist
she placed her hand on his chest n other hand was with him)
Tujhse juda gar ho jaayenge
Toh khud se hi ho jaayenge judaa
( she looked in his eyes n he smiles seeing her lost in him)
Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
( he asked her with his head what
she shook her head n hugged him with her hands wrapped around his neck)
Zindagi ab tum hi ho
( he smiles n pulled her more n wrapped his hands around her waist)
Chain bhi, mera dard bhi
( he felt something wet on his neck n detangled her from the hug)
Meri aashiqui ab tum hi ho
( he saw her eyes started leaking n he sucked her tears
she held his shirt tight in her fist)
throughout the music
they both closed their eyes n ridhima hugged him again tight
he swayed her in his arms n they both just got engrossed in each other with the beautiful surrounding n the most beautiful song
Tera mera rishta hai kaisa
Ik pal door gawara nahi
( she looked at him coming out from the hug n he kissed her eyes
her nose
her cheeks
her chin)
Tere liye har roz hai jeete
Tujh ko diya mera waqt sabhi
( he looked deep in her eyes n was abt to place his lips on hers when she hugged him again
he smiles n hugged her back)
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera
(he swayed her in his arms wrapping his hands around her waist)
Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho
(picked her up with her in his arms n swayed her again by twirling around)
music
(he placed her on her feet n she came out of the hug by holding his shirt in her fist
he nuzzled his nose with her nose n placed a kiss on her nose)
Tumhi ho... Tumhi ho...
(she opened her eyes n looked at him lovingly
he nuzzled his lips on her cheeks n she held his shirt tight in her fist)
Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
( he started kissing her passionately
on her cheeks she closed her eyes tight )
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikala
( he came out to see her eyes closed
he placed her lips on her forehead pulling her closer)
Tere saath mera hai naseeb juda
Tujhe paake adhoora naa raha hmm..
(he took her in a hug swaying her in his arms nuzzling on her neck
she gasped n hugged him tight pulling him close)
Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho..
( they stood like that being in eachother arms closing their eyes savoring the moment)
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho (x2)
( armaan caressed her hair n she hugged him more)
she still hugged him n her eyes are still closed
he opened his eyes n placed a kiss on her hair
Ar - ridhima
he whispers in her ears
she opened her eyes n slowly came out of the hug
she looked at him n he smiles n slowly sat on his knees
ridhima smiles as he did that
Ar - tumse maine shaadi se pehle kaha tha
tumhari zindagi khoobsurat banadunga
aisa hua bhi jab humari nayi nayi shaadi hui thi
maine tumhare saath bahot zyaada khoobsurat din guzaare
bahot special they woh din mere liye
tumhare liye
phir as all says life must go on
mai office mein busy hogaya
aur phir poorana armaan mallik bangaya jo sirf kaam mein busy rehta hai
kabhi kabhi tumhe pareshaan bhi kardiya maine
tumhe bina bataye office jaane laga
office ka saara frustration tum par nikaal baitha
tumse hamesha toh kehta hun ke tumhari Aankhon mein aansu nahi dekhsakta
par har baar un aansuon ki wajah mai hi hua hun
jaise abhi bhi inke bahar aane ki wajah bhi mai hi hun
she smiles through her tears n wiped them
he continued
Ar - kabhi apne mazaak se tumhe rula diya
toh kabhi apne gusse se
par ridhima
inn sab mein jo cheez hamesha se thi
woh tha mera pyaar tumhare liye
tumhe agar mere mazaak ne rulaya toh utna zyaada hasaya bhi
tumhe gusse se daanta zaroor tha
par usme tumhare liye mera pyaar chupa tha
kyunki hum gussa unpar hi kartey hai
Jissey hum pyaar Kartey hai
aur maine toh tumse tabse pyaar kiya hai Jabse tumhari photo dekhi thi maine
uss pal se aaj tak tumse pyaar hi karta raha
aur Martey dum tak karunga
ye sach hai ke kabhi tumhe bataya nahi tha
par hamesha jab mere dil ne tumhe batana chaha tab ye sochta tha shayad batane ki zaroorat nahi hai
aur Jab wakai batana chaha toh situations ne rokh kar rakha tha
par aaj iss valentines day par mai apni zindagi ki sabse badi sachai Bataana chahta hun
Mrs ridhima armaan mallik
i love u
she smiles wide with loads of tears in her eyes
he smiles seeing her smiling
Ar - will u be my valentine for the rest of my life
he stood straight on his feet n wipes her tears
Ar - kya tum iss stupid se Sadu se armaan mallik ke saath apni poori zindagi bitaana chahogi
kyunki
stupid hun, Sadu bhi hun, par jaisa bhi hun sirf tumhara hun,
tumhare saath hi apni poori zindagi bitaana chahta hun
i just want to be with you till the eternity
n i will make sure that i am gonna make the rest of your life the best of your life
she hugged him tight n he picked her in his arms n twirl her around
he placed her on her feet n she detangled herself from the hug
Ar -( wipes her tears) i guess that's a yes
she smiles n nods in a yes
Ar - par mai tumhare mooh se woh teen shabd sunna chahta hun
please
she blushed n hides her face on his chest
Ar - please ridhima
she came out of the hug n said
ri - i .. love... you
he smiles wide n asked
Ar - ek baar phir se kaho
ri - i love u armaan
mai bhi aapse bahot bahot zyaada pyaar karti hun
Ar - Oye hoye
he hugged her n she hugged him too
ri - waise aap simple se bol nahi saktey they
ye sab karne Ki kya zaroorat thi
she asked still hugging him he tightens his grip n said
Ar - woh kya hai na
aaj meri biwi ko ye laga ke mai aaj ka din bhul gaya
aur woh mujhse itna gussa hogayi thi ke mujhse phn par baat bhi nahi karna chahrahi thi
she looked at him n he looked down At her
Ar - aise kya dekhrahi ho
tumhe kya laga aaj ka din mai bhul jaunga
ri - aapne woh sab
Ar - nahi woh sab jhoot nahi tha
bilkul sach tha
main sach mein file bhul gaya tha
ri - toh phir aap seedha seedha bhi toh bolsakte they na
Ar - seedha hi toh bola tha maine ke mai file bhul gaya
she came out of the hug n said
ri - Mch
woh nahi
Ar - kya
ri - aapne mujhe gud mrng bhi toh wish nahi kiya tha na
kaise Sadu tone mein mujhse baat ki aapne
Ar - Ohhh
toh Mrs mallik ko gussa iss baat par aaya ke maine gud mrng wish nahi kiya
she Nods n armaan said
Ar - koi baat nahi ab kardeta hun
gud mrng wify
ri - armaan
he pulled through her waist
Ar - Boliye
armaan ki jaan
ri - aapko hamesha mazaak hi sujta hai
Ar - kya hua yaar
abhi bhi gussa ho
she shook her head
Ar - toh naraaz kiss baat se ho
ri - kuch nahi
Ar - Arey abhi bhi nahi bataogi
ri - kuch nahi
he kissed her on her cheeks
Ar - Shayad subah maine aise wish nahi kiya na tumhe
issiliye gussa hogayi
she blushed n said
ri - aisa kuch nahi hai
he pulled her more n their nose touched with each other
Ar - Acha
agar aisa nahi hai toh aapke ye gaal laal laal kyun horahe hai
she gasped feeling his breath on her lips n he smiles seeing his effect on her
he caressed her lips n she closed her eyes
Ar - may i
he asked her permission but she was sooo shy to say anything
she closed her eyes tight feeling his hot breath on her lips
he smiles n first pecked her lips
she frowns as he is teasing her by testing her patience
she opened her eyes n saw him admiring her
he placed her lips on hers n she closed her eyes feeling his lips on her
they kissed like as if it's their first kiss
they were lost in the moment n ridhima ruffles his hair where as armaan pulled her more
after a long kiss they broke their kiss to get some air
they both panted for breath n ridhima felt sooo shy that she hugged him tight
he wrapped his arms around her petite waist n said
Ar - i hope aapka gussa ab shaant hogaya ho
ri - armaan
she whined n armaan smiles
they both had dinner n they sat on the white satin bed sheet which was neatly placed on the floor with rose petals n candles at the corners
armaan rested his back on the bed post n ridhima sat in between her legs
playing with the rose petals n armaan hugged her from the back
ri - waise ye sab aapne kab kiya
Ar - Jab anjali aur tum shopping karne gaye they
ri - aapko kaise pata
Ar - mujhe kaise pata nahi hoga
jabke maine hi khud anjali ko kaha ke woh tumhe shopping par lejaye
ri - kya
she turned towards him n he placed her strand of her hair. behind her ear
Ar - kya???
ri - aapne kaha matlab
Ar - Arey yaar
agar Tum ghar par hoti toh kya main ye sab karpaata
nahi na
ri - matlab ye sab aapka plan tha
anjali ko pata tha ye sab
Ar - haan baby
aur kitne sawaal poochogi
ri - armaan
Ar - hmmm
ri - i am sorry
Ar - kis liye
ri - subah ke liye
Ar - kya hua tha subah ridhima
ri - armaan
maine aapko kitna ghalat samjha
aap office ka kaam bhi karrahe they
aur saath mein ye sab bhi plan karrahe they
aur mai pata nahi kya kya sochrahi thi aapke baarein mein
kitna ghalat socha aapke baarein mein
Ar - kya socha aapne
he kissed her hair
ri - yahi ke aapke life mein kaam hi zaroori hai
mujhse bhi zyaada
armaan looked at her n she pouts n said
ri - i am sorry
he pecked her pouted lips n said
Ar - meri life mein tumse zyaada koi bhi cheez zaroori. nahi hai
u r. the only one who is the most important in my life
ri - i know
par pata nahi gusse mein maine kya kya nahi socha
Ar - kyun apne Chotu se baby se Dimaaq par itna zulm karti ho
he pecked her temple n she said
ri - Chotu sa Dimaaq
Ar - haan
ab Dekho tum kya kya sochtey rehti ho
pehle hi ghar ke kaam
upar se woh sadey hue sad se novels padhkar roti ho
ri - armaan aap mere novels ko sadey mat bolo
Ar - ok
stupid toh bol sakta hun na
ri - armaan
he smiles n said
Ar - ok fine
bachhon ki tarah whin mat karo
nahi bolta kuch bhi
ri -( hugged him) waise aapne mujhse ye kyun poocha ke kya mai apni zindagi aapke saath guzaarna chahti hun???
mai toh hamesha. se hi aapki hun
aur Chahe situations jaise bhi ho
acha waqt ho ya bura waqt ho
main sirf aapke saath hi apni zindagi bitana. chahti hun
phir Chahe aap Sadu bano ya sweet bano
he smiles wide n said
Ar - Oye hoye
kya baat hai Mrs mallik
aaj aap kuch zyaada hi senti horahi Ho
ri - aapne ye sab karke mujhey aur senti banadiya
Ar - Abey yaar
apni wife ko sirf surprise diya hai
isme senti hone waali baat kya hai
ri - surprise nahi
the bestest surprise
Ar - ohh
really
she Nods n said
ri - aap jaantey ho
ye meri life ka first valentine 's day hai
maine sapne mein bhi nahi socha tha ke aap mere liye aisa kuch karogey
Ar - ridhima
tumhe aise aur bhi khoobsurat din aur raat dekhne ko milengey
bass tum enjoy karti jao
ridhima smiles wide n he pinched her nose
Ar - waise aaj subah maine tumhe jaan booch kar irritate kiya
pata hai kyun
ri - kyun??
Ar - kyunki tum valentines day ke baarein mein bhul jao
subah gussa rahogi
aur shaam mein meri baahon mein hogi
jaise ab ho
she blushed n plays with his shirt buttons
he pulled her more n she blushed more
he tightens his grip on her waist n ridhima looked at him n he blew the air on her face
she closed her eyes n hugged him tight
he kissed her forehead n
removed something from his pocket n took her hand
she looked at him as he did that n next moment she smiles wide as he placed a beautiful diamond ring on her ring finger
ri - armaan ye
Ar - tumhara Pehla valentine hai na toh meri taraf se ye ek gift hai
she smiles wide n kissed him on her cheek n hugged him
tight
ri - thank you sooo much
i love u alottt
Ar - ye mere liye hai ya iss ring ke liye hai
she looked at him n asked
ri - aapko kya lagta hai
Ar - shayad ring ke liye hoga
ri - nahi
ye aapke liye hi tha
Ar - ok
phir ye ring waapas kardo
he tried to remove the ring n she pulled her hand
ri - armaan
he smiles n kissed her cheeks
Ar - i love u too baby
she snuggled more into him n they both sat their cuddling to each other savoring the moment
ye raha valentines day ka special part
hope aap sabko pasand aayega
thanks everyone for the wonderful comments
enjoy the part
with loads of love
HUMERA
Edited by SGROVER_WINGET - 10 years ago
3