heyya ppl...
m back again..
here is the nxt part..
love you Harika...
Part 2 :-
Sanyukta: Randhir... kaha ho tum?????
Sanyukta ne Randhir ko collage me har jagah dhondha... library me... lab me... class me... unki uss band workshop me... lekin use Randhir kahi nahi mila...
Sanyukta: ab to sirf ek jagah baki hai... terrace...!! I hope Randhir vaha ho...
Or phir vo Terrace pe aai... nd there he was... standing near the railing... looking at nothing... lost...
Sanyukta Randhir ko dekh ke bahot khush hui... haan vo sachme khush thi.. ke aakhir usne Randhir ko dhundh liya...
Sanyukta dheere se uske paas gai nd uske sath khadi ho gai...
Randhir: [without looking at her] Tum yaha kya kar rahi ho Sanyukta?? Jao yaha se...
Sanyukta felt good ke atleast isne kuch bola to sahi... aaj pehli baar Sanyukta uska chup rehna nahi chahti thi... vo chahti thi ke Randhir kuch bole... kuch bhi... lekin apne aap ko aise taklif dena band kare...
Sanyukta: [thought] Sanyu... ye kya ho gaya hai tujhe? Tu iske liye itni concern kyun ho rahi hai? Use taklif me dekh ke tujhe kyun itni problem ho rahi hai...
Randhir: tum gai nahi abhi tak...?? Mene kaha JAO YAHA SE...
Sanyukta: kyun?? Ye terrace tumhari private property hai...? Me jab chahu yaha aa sakti hun...
Randhir: [tired] look Sanyukta... me aaj bilkul bhi tumse ladne ke mood me nahi hun.. agar tumhe nahi jana to thik hai... me hi chala jata hun...
Or aisa bol ke Randhir vaha se jane laga... Sanyukta was in shock for a sec.. but then turant usne Randhir ka hath pakad liya... Randhir stopped nd looked at his hand which was caught by her... then he looked at her...
They kept looking at each other... Sanyukta was lost in his eyes... as well as Randhir... after few seconds Sanyukta broke their eyelock...
Sanyukta: ruko... mujhe tumse kuch baat karni hai...
Randhir: listen Sanyukta... abhi mujhe tumse kuch baat nahi karni... or naa hi tumhari koi baat sunni hai... me bas abhi yaha se jana chahta hun... chodo mera hath...
Usne ek jhatke me apna hath chuda lliya or jane laga... lekin Sanyukta ne aage aa kar uska rasta block kar diya... Randhir was surprised... nd irritated too...
Sanyukta: mene kaha naa... mujhe tumse baat karni hai.. tumhe samaj nahi aata... ek to mene tumhe pure collage me pagalo ki tarah dhundha.. phir jaa ke tum mujhe yaha mile or upar se apna ye "I m Sadu no1" vala attitude dikha rahe ho...?
or ye sun ke Randhir couldn't help but smirked... his ideal smirk... use aise dekh ke sanyukta also smiled.. Finally...
Randhir: what?? Tum MUJHE dhondh rahi thi?? Or vo bhi PAGALO KI TARAH...?? Kyun??
Sanyukta: amm... vo...me tumse ye kehna chahti thi... I mean puchna chahti thi... ke..
Randhir: yaar... jo bolna hai sidhe sidhe bolo... aise ghuma kyunrahi ho?
Sanyukta: [in one breath] vo me tumse puchna chahti thi ke are you okk??
Randhir was in shock now... a big vala shock...
Randhir: what?? Abhi abhi kya pucha tumne?? TUM thik to ho naa Sanyukta??
Sanyukta: me bilkul thik hun... vo Jiggy ne bataya ke Renuka mam aai thi aaj to...
Or Renuka name sunte hi Randhir ke face expression change ho gaye... he clenched his hands in fist... Sanyukta ne uske expression ka ye sudden change notice kiya...nd she was little scared...
Randhir: listen Sanyukta... pata nahi tum yaha kyun aai ho... or naa hi mujhe janna hai... tumne agar uss aurat ka naam bhi mere samne liya na to me...
Sanyukta: listen Randhir... calm down... mera tumhe hurt karne ka koi irada nahi tha... me to bas ye janna chahti thi ke tum thik to ho naa.. vo Jiggy bol raha tha ke tum subah se disturbed ho to me...
Randhir: to tum ye dekhne chali aai ki me kitna disturbed hun... kitni mushkil me hun.. or tum ye enjoy kar sako haan??
Sanyukta: what?? Randhir tum aisa soch bhi kaise sakte ho... ek to me tumhari help karne yaha aai or tum...
But before she could compete he held her tightly by her shoulders nd
Randhir: Mujhe tumhari koi help nahi chahiye... or kya prove karna chahti ho tum haan... yahi ke tum mere liye bahot concern ho... apni sympathy dikhane aai ho??
Sanyukta: Randhir... me yaha tumhe koi sympathy dikhane nahi aai thi.. I thought shayad koi tumhare sath hoga to tum apne dil ki baat usse share karoge... or achcha feel karoge... that's why I came...
Randhir: agar me apne dil ki baat kisi se share karna bhi chahunga naa to vo koi or tum kabhi nahi ban sakti samji tum...??
He tighten his grip...
Sanyukta: ouch... Randhir u r hurting me... chodo mujhe...
Randhir: tumhe dard ho raha hai... wow... or tum yaha mera dard kam karne aai thi ...huh.. he pushed her back with a jerk...
Sanyukta: [Angry] you know what Randhir... tum kisi ki sympathy ya concern ke layak hi nahi ho... mene socha ke shayad me tumhari koi help kar saku... lekin jo insan khud apni help nahi karna chahta uski koi or kya help karega... !! tum kisi ke concern yaa pyaar ke layak hi nahi ho...
Or phir vo baha se jane lagi... vo door tak pahuchi or usne avaz suni... "BANG"
She turned back... nd saw that Randhir was hitting his hand on the wall with all his strength... sanyukta was shocked... vo dod ke Randhir ke paas gai... usne dekha ke ab Randhir ke hath me se khoon nikal raha hai... she got panic...
Sanyukta: Randhir..!! ye kya kar rahe ho tum.. stop it... tumhara hath... tumhare hath me chot lagi hai.. nd khoon bhi nikal raha hai... for god sake
Bas karo...
Randhir was still punching on the wall...
Randhir: tum bilkul sahi ho... me kisi ke pyaar ke layak nahi hu... kisi ke concern ke layak nahi hu.. isi liye koi mujh se pyaar nahi karta... kisi ko meri koi fiker nahi...
Nd he broke down on the floor... he was crying now... the Randhir singh shekhawat was crying... Sanyukta ke liye ye sab bikul hi unaccepted tha... usne aaj se pehle kabhi Randhir ko itna sad nahi dekha tha... he was broken... don't know why... but Randhir ki aisi halat dekh ke Sanyukta ko laga ke jaise kisine uske dil ko chir diya...
Vo Randhir ke paas beth gai... nd apne hath uske sholder pe rakha... usne thodi der Randhir ko rone diya... She was rubbing his back to soothe him... Randhir ko aise dekh ke she couldn't help but started crying... but she wiped off her tears...
Sanyukta: Randhir... look at me...
She held his face in her palms nd wiped all tears..
Sanyukta: bas Randhir...its okk... sab thik ho jayega... tumhe aisa sochne ki koi zaroorat nahi hai... kisne kaha ke koi tumhari care nahi karta... me hu naa... me karti hu tumhari care... I m always there for you... silent... but strong...
Ye sun ke Randhir looked at her... then she realized ke usne abhi kya bola...
She felt little uncomfortable...
Sanyukta: aisa bilkul nahi hai Randhir ke tumhari mom tumhari care nahi karti... mene khud dekha hai... she loves you a lot... vo tumhe vapas pane ke liye kuch bhi kar sakti hai...
Randhir: care?? huh... unhe apne siva kisi ki bilkul nahi padi... yaha tak ke mere dad ki bhi nahi...
Sanyukta: dekho Randhir... galti sab se hoti hai... I know ke unhone shayad tumhe bahot hurt kiya hai... lekin sabko apni galti sudharne ka ek chance to milna chahiye naa... kya pata unki koi majboori rahi ho jiski vajah se vo tumhe sahi time naa de pai ho... tumhe bhi unki problems samajne ki koshish karni chahiye...
Randhir: tum us aurat ko janti nahi Sanyukta... she is a selfish woman...unhe apne siva or koi nahi dikhta... or uss aurat ne mere dad ke sath jo kiya he naa...
Sanyukta: bas karo Randhir... tumhe sirf apni mom ki galtiyaa dikh rahi hai... tumne kabhi ye socha he ke shayad tumhare papa ki bhi koi galti ho sakti hai... Randhir koi bhi relationship always do logo pe depend karti hai... chahe vo achche se chal rahi ho yaa tut rahi ho... kisi bhi relation ke tutne me kabhi koi ek insaan responsible nahi hota...
Randhir was now in shock... usne kabhi iss tarah se to socha hi nahi tha... may be sanyukta sahi bol rahi thi... kya galti sirf uski mom ki thi...?? Uske dad ki koi responsibility nahi thi...?? Kya vo apni mom ke sath kuch jyada hi rude ho raha tha??
Sanyukta ne Randhir ke ye change hue expression ko achche se notice kiya... use pata chal gaya ke shayad uski bato ka Randhir par asar ho raha hai... usne socha ke ab use Randir ko iss bare me sochne ke leye thoda waqt dena chahiye... vo vaha se jane ka soch rahi thi Tabhi uska dhyaan Randhir ki chot pe gaya... vaha se abhi bhi khoon nikal raha tha... usne turant apna dupatta fad ke use Randhir ki chot pe achche se band diya... Randhir was looking at her... he was wondering ke ye sachme vahi Sanyukta he jo hamesha uske sath fight karti rehti hai... he couldn't help but smiled... Sanyukta saw that... or Randhir ki vo smile dekh ke use kitna achcha feel hua vo to sirf vahi janti thi... use laga jaise Randhir ke face pe smile laa kar usne koi jang jeet li...
Randhir ke dimag me sanyukta ki kahi baat phir se aai..." kya pata unki koi majboori rahi ho jis ki vajah se vo tumhe time naa de payee ho... ...kisi bhi relation ke tutne me kabhi koi ek insaan responsible nahi hota... ...she loves you a lot... vo tumhe vapas pane ke liye kuch bhi kar sakti hai... ...
Or ye soch ke he looked at Sanyukta... Sanyukta uske hath ki chot pe dupatta band rahi thi...
Randhir: Sanyukta...
Sanyukta looked up : humm...
Randhir: thank you... tumne mujhe ek alag nazariya diya... tumhari bate sun ke mujhe aisa lag raha hai ke shayad tum sahi ho... mujhe unhe ek chance dena chahiye unki baat ko explain karne ka... shayad me kuch jyada hi harsh ho raha tha...
Randhir ki baat sunke sanyukta gave him a sweet smile... Randhir also smiled...
Lekin suddenly sanyukta ke face pe gusse vala look aa gaya...
Sanyukta: vo sab to thik hai lekin me tumpe bahot gussa hun...
Randhir: !!!???
Sanyukta: tum apne aap ko samajta kya ho...?? Harkate to sari villain jaisi karte ho or bade hero bane phirte ho... pata hai kitni chot lagi hai tumhe...?
Randhir: hero nahi... super hero... [he smirked] or vaise bhi tumhe badi taklif ho rahi hai meri chot se haan??
Sanyukta: what? Bilkul nahi... mujhe koi taklif nahi ho rahi... vo to me bas iss liye bol rahi hun kyun ke tumhari vajah se mujhe apna dupatta fadna padaa... or ye mera fav dress tha... she made a sad face.. nd she was looking soo cute... Randhir smiled again...
Randhir: achcha... mene kaha tha dupatta fado nd meri chot pe bandh do?? Nahi naa...
Sanyukta: [embarrassed] Randhir dekho tum...
Sanyukta ko samaj nahi aaya ke vo kya bole...
But Randhir was still smiling...or ye dekh ke Sanyukta or bhi irritate ho gai...
Sanyukta: ab hasna band karoge... or haan MCP...iss bar me tumhe warning de rahi hu... agar agli baar kabhi bhi apne aap ko aise jaan buch ke chot pahuchaina to me...
Randhir: [smirked] to kya Farzi...??
Sanyukta: to me khud tumhara sar phod doongi... samje..
Or ye sunte hi Randhir started laughing... use yun hasta dekh ke Sanyukta also joined him... both the mortal enemies... apni dushmani bhul ke sath me has rahe the...
Randhir: huh... you know what farzi...! You are so funny... mere pet me dard ho raha hai ab has has ke...
Sanyukta: mere bhi... vaise mene kabhi nahi socha tha ke HUM kabhi is tarah bina ek doosre ke sath fight kiye reh sakte hai...
Randhir: humm... ye bahot ajeeb lag raha hai... vaise ab chale?? Yaa puri raat yahi rukne ka irada hai?
He got up nd usne apne hath aage badhaya...
Sanyukta ne uske hath ko hata diya ns khud khadi ho gai..
Sanyukta: me khud se khadi ho sakti hu Mr shekhawat... don't need your help...
Randhir: haan haan me to bhul hi gaya tha ke tum to sab kuch kar sakti ho... super girl right??
Sanyukta: of cource... nd she smiled...Randhir also smiled...
Nd phir vo dono vaha se chale gae... ek sath...
Kise pata tha ke ye do mortal enemies ke bich kabhi aisa bhi kuch ho sakta hai... shayad ye ek nayee shuruat thi... dosti ki... yaa...!!!
To be continued...
Thanks for reading nd sorry for mistakes...
Hit the like butoon nd do comments guys...
Will cont soonish... :)
1.6k