Khwabo Ki Manzilein.. Last part on pg 57 - Page 18

Created

Last reply

Replies

411

Views

62.1k

Users

36

Likes

7

Frequent Posters

golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
pls cont soon just cant wait for the next part
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago

Originally posted by: nm16

great part pls pls cont soon

thx 4 liking dis prt...sure well update it as soon as possible

Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago

Originally posted by: golu_1677

pls cont soon just cant wait for the next part

yup we will post as soon as we finish it😃

rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Part-22

The cadets are on with their drill......,

kisine chaabi gira di, to kisine apni intelligence se lock khol diya, to kisine apne teacher ke pocket se hi chaabi

nikal di thi....,

Each of the cadet were trying their best to complete the drill as soon as possible within the given time

limit...., & now only last 3 minutes were left and Ashi and Yuvi comes running to the finishing point, followed by Anu & Rohan &

lastly Abhi and Dhwani too reaches there in time.

Radhika: {looking at her watch} good timing.

Karan: well, aaj ka drill yehi pura hua. iss drill keliye aapko grades dijiye jayenge.

{tabhi waha Colonel Bikramjit Sinha aur Lt. General Siddharth Vashishth aate hai}

{all cadets stand still but look very tired}

Colonel Bikramjit: so captain hows the training going?

Karan: good sir. These cadets have just completed their drill on time {laughs}

Lt.Siddharth : {laughs} ha, humne bhi dekha. Cadet Jaisingh i'm impressed, aapne to bina chaabi ke hi apne saathi ka haath chuda diya..

Colonel Bikramjit: aur cadet Khanna, aapne to chaabi dhundne ki mehnat ki hi nahi.., seedha teacher ki pocket hi kat li

{sabhi cadets ek dum shocked reh jate hai.Unhe samajh nahi aata ki un logo ko sab kuch kaise pata chala}

Colonel Bikramjit: Sir, i must say iss bar ka batch kaafi intelligent hai

Lt.Siddharth: ji, aur Army ko aise hi smart aur intelligent officers ki zaroorat hai.

Colonel Bikramjit: anyways, captain u continue with them...

Lt.Siddharth: ha, hum aapse baad mein milenge...

{saying this Colonel Bikramjit Sinha & Lt. General Siddharth Vashishth leave}

Radhika: what happened cadets? Aap sab itne blank kyun ho gaye hai?

Karan: shayad aap yeh soch rahe hai ki hume kaise pata ki aap logo ne ander kya kya kiya??? welll...., hume pata tha ki yeh aaj ki generation

ko short cuts bahot pasand hai, aur apna har kaam aap kisi na kisi short cut se kar hi dete hai..

Radhika: aur isiliye humne ander tunnels mein cameras fit kiye hua hai.

Karan: exactly, {laughs} per must say aap sabhi ne puri mehnat se yeh drill puri ki...

Radhika: anyways, that's all for the day. U can leave now. Dismiss

Cadets: yes mam

{all cadets heads towards their respective rooms}

Karan: radhika, yeh cadets to sach me humse ek kadam aage nikle.. kam se kam humne apne teacher ke pocket se chaabi to nahi nikali thi

Radhika: apni bat karo…hume to aise kam bahut kiye hai

Karan : u mean….tumne…

Radhika: and u no in sab me sabse age kaun hota tha???

Karan: don't tell me ke raj tha…

Radhika: nahi…raj to second tha….hat ki safai me sabse mahir to Sam tha….

Karan: sam…u mean apna sam…matlab Samarth….

Radhika: kyou kha gaye na jhatka…are hum sab ki apni qualities thi…sam hat ki safai me expert tha…raj planning and execution me…aur main codes break karne me….

Karan: great yar…mai bas ek sal se peeche reh gaya…nahi to tum jaise guruo ki sharan me mai bhi kuch ban hi jata…..aur tumlog to aise behave karte ho jaise tumse disciplined koi tha hi nahi apne batch me…. And wo Samarth and raj wo to har baat pe punishment dete hai

Radhika: are raj se yad aya chalo usse milne bhi to jana hai bechara hospital me akele bor ho raha hoga…

Karan: ha chalo uske sath hi lunch karte hai…

A week later...........

its a bright new day.....,

cadets were waiting eagerly in their classrooms, as they had their favorate teacher's class. Major Rajveer's class,

who now, not completely but was fit & fine.

{Rajveer enters the classroom, & therez complete silence, but all the cadets had a smile on their face}

Rajveer: {smilingly} Good morning cadets

Cadets: {still smiling} good morning Sir

Rajveer: hmm... lagta hai aaj ki morning wajaye mein bahot good hai.

Rohan: it's good to see you back sir

Ashi: yes sir, i hope u are fine now

Rajveer: absolutely fine cadet. Thanks for your concern. So, shall we procedd with the class?

Yuvi: {mutters} bata rahe hai ya puch rahe hai?

Abhi: shhh!!!

Rajveer: yes cadet Dev, main bata hi raha hu....

{and evrybody starts laughing}

Yuvi: i'm sorry sir, main to bas..

Rajveer: its ok cadet. Please be seated & now with ur prior permission kuch padhayi bhi karle?

Yuvi: yes sir...

{ashi, anu and rohan just bursts out laughing}

Rajveer: silence please.....

{then the class goes off well without any more interruptions}

Rajveer: ok, cadets that's all for today,kuch der baad Major Samarth isi topic se related aapo kuch excercise batayenge....

Cadets: yes sir...

{Saying this Rajveer leaves the class room and goes to the staff room, where he sees Karan sitting alone}

Rajveer: kya baat hai karan u akele kyun baitho ho? Pritha se jhagda hua kua? {laughs}

Karan: are nahi, yeh lecture off hai, bas aise hi baitha tha.

Rajveer: acha.. mera bhi lecture off hai..

Karan: to chal cafeteria ho aate hai.., baithe baithe kya karenge? Doctor Ipshita bhi nahi aane wali hai...

Rajveer: hmmm.., tumhara kuch nahi ho sakta, chalo....

{Raj aur Karan cafeteria jaate hai}

Karan: aye haye, Raj zara in love birds ko to dekho...

Rajveer: what?

Karan: kaise bhai ho tum.., huh! waha dekho..Chahat aur Kunal....

Rajveer: oh.., acha ab hum yehi baithte hai, warna wo dekhenge to khamakha embaressed feel karenge..

Karan: ha.., waise Raj i think tumhe shadi ke bare me sochna chahiye

Rajveer: kya sochna chahiye?mujhe abhi koi shadi nahi karni….

Karan: oh god! Raj, main Chahat aur Kunal ki shaadi ke bare mein keh raha hu

Rajveer: chahat?shaadi? no Karan, abhi to Chahat bachi hai

Karan: kya bacchi raj?? hamare liye to wo hameha hi bachi rahegi, aur tum bhi to jante ho, yeh dono ek dusre ko pasand karte hai to problem kya hai?

Rajveer: problem kuch nahi hai, per kabhi iss bare mein socha nahi hai.., I mean Chahat ki shaadi..{smiles}

Karan: main samajh sakta hu, per sach kahu to ab iss bare mein socho

Rajveer: per karan...

Karan: kya karan?? Shakal to aisi bana rakhi hai jaise maine tumhe Ipshitaji ko propose karne ko kaha hai...

Rajveer: ohh.. please karan...

Karan: ok, ok i know usmein thoda waqt hai...

Rajveer: {just stares}

Karan: ok ok.., dekho Raj Chahat meri bhi behen hai.., aur hum sab hamesha uske saath hai, per har kisi ke life mein wo ek khass insaan hota hai na,

aur Chahat ki life wo insaan Kunal hai..,phir iss rishte mein kya problem hai...

Rajveer: {smiles} pata hai Karan, pehle mujhe hamesha Chahat ki fikar hoti thi.., kal ko agar mujhe kuch ho gaya to Chahat ka kya hoga.., wo bilkul

akeli pad jayegi.., per ab tum sab logo ke hote hue mujhe uski koi fikar nahi hai....

Karan: Raj bakwas mat kar…. tum bhi na bat ko kaha se kaha le gaya…....

Rajveer: ab tumse apni dil ke baatein nahi kahunga to kisse kahunga?

Karan: oh ho..., dil ke baatein.....hayeee, sach Raj,Ipshitaji bahot lucky hai.

Rajveer: tum nahi sundhroge....

Karan: {laughs} zaroorat hai kya? aree, mujhe suraj bhaiya se kuch kaam tha, main bas abhi aya....

{saying this Karan leaves, Rajveer ab wakaye mein Chahat aur Kunal ke bare mein sochne lagta hai.., lost in his thoughts he heads towards his room.., raaste mein use Vishnavi dikhti hai}

Rajveer: hey Vish, suno to

Vish: abhi nahi Raj, i have to rush.., Cadets are waiting for me... {saying this she rushes down quickly}

Rajveer: {to himself} mujhe lagta hai sabse pehle iss bare mein mujhe Vish se baat karni chahiye...

{Rajveer ab tak usi soch mein khoya rehta hai, aur Ipshita se takra jata hai}

Rajveer: oh, i'm so sorry doc, are u fine?

Ipshita: i'm fine.., kya baat hai Major, aise bhi kaha kho gaye the?

Rajveer: {smiles} nahi, bas u hi......

Ipshita: u hi?

Rajveer: {smiles} ab aapse kya chupana? waise aap free to hai na?

Ipshita: ha, kahiye

Rajveer: chaliye mere room mein chalke baat karte hai...

Ipshita: mmm...okiee.., chaliye...

{they both heads towards Raj's room}

Ipshita: so, Major kahiye, kya baat hai?

Rajveer: baat yeh hai doc, ki ......

Ipshita: anything serious?

Rajveer: na, not at all..., baat Chahat aur Kunal ke bare mein hai

Ipshita: hum kuch samjhe nahi....

Rajveer: actually Chahat aur Kunal ek dusre ko pasand karte hai..., to main bas....

Ipshita: to? aap unke rishte ke bare mein soch rahe hai?

Rajveer: {smiles} ji.., per baat yeh hai ki main kuch samajh nahi paa raha hu.., Karan ka kehna hai ki ab humne Chahat aur Kunal ki

shaadi ke bare mein sochna chahiye... per.....

Ipshita: {smiles} hum samajh sakte hai.., aap Chahat ke bhai hai aur apke liye to wo hamesha bachi hi rahegi... Per agar wo dono ek dusre ko

pasand karte hai, aur ek dusre ke saath khush hai to unke rishte main kya harz kya hai....

Rajveer: aap sahi keh rahe hai..., bas iss bare mein maine kabhi socha hi nahi tha... but i guess its the right time now

Ipshita: exactly, waise bhi sabhi ko sab kuch nahi milta, Chahat bahot lucky hai ki uski shaadi usi se ho rahi hai jisse wo pyar karti hai...

Rajveer: kya matlab?

Ipshita: kucn nahi.., ab aap bas Chahat aur Kunal ki sagaai karva dijiye

Rajveer: ha, per usse pehle mujhe Vish aur baaki sabse iss bare mein baat karni hogi...

Ipshita: i'm sure sab aapse yehi kahenge..., waise aapka zakhm kaise hai ab?

Rajveer: much better

Ipshita: good.., anyways Major, i have sum work now, will talk to you later

Rajveer: sure.., waise doc aapse ek baat kehni thi

Ipshita: ji kahiye

Rajveer: mere saare dost mujhe Raj kehte hai, so main chahunga ki aap bhi mujhe wahi kahe.. {smiles} yeh Major thoda infact kuch jyada hi formal lagta hai..

Ipshita: {smiles} hume khushi hai ki aap hume apne dosto mein ginte hai...

{both of them look at her other and smile}

Ipshita: ok then, Raj.... {pauses} hum aapse baad mein milte hai....

{yeh kehkar haste haste Ipshita chali jaati hai, aur Raj bhi wahi muskurate hue khada rehta hai)

{its night time...., all the cadets are having their dinner, and there was a bit loud noise in the mes, just then Samarth cumes there and theres complete silence}

Samarth: {looks around} good.

{and then leaves, and all the cadets feel releived}

Rohan: thank god yeh chale gaye, mujhe laga fir koi naya experimental drill lekar aaye hai yeh...

Yuvi: ha, baaki teachers to phir bhi thik hai, per yeh Major Sam to kuch jyada hi strict hai... pata nahi last time inhone ne kab smile ki hogi..

Anu: ki hogi bhi ya nahi....

Dhwani: ha, wo bhi ek point hai....

{all laugh}

Ashi: per tum sab unse itna darte kyun hai? Mana wo Hitler hai, per us mein darne jaisa kya hai?

Rohan: oh, to tum yeh kehna chahti ho ki tumhe unse dar nahi lagta?

Ashi: so, u admit ki tum unse darte ho?

Rohan: yeh mere sawaal ka jawaab nahi tha...

Abhi: relax!!! aap dono ek choti si baat ko kaha se kaha le jaa rahe ho...

Yuvi: no bro, wait a minute! iska faisla abhi ho jayega

Anu: kya matlab?

Yuvi: lets have a bet

Ashi: wat bet?

Yuvi: tum yeh kehti ho ki tum Sam se nahi darti? to thik hai, prove it

Ashi: oh please! ab mere itne bhi bure din nahi aaye hai ki main tum jaiso ko kuch bhi prove karu

Rohan: kyun? dar gayi?

Ashi: Ashi kisi se nahi darti

Rohan: ok then, aaj raat ko lites out hone ke baad, tumhe Major Samarth ke room ke bahar jana hoga.

Ashi: kyun? pehra dena?

Rohan: nahi, tumhe unke room ke darwaze perse unki name board hatakar waha ek dusra board lagana hoga

Ashi: dusra board?

Rohan: ha, jispe likha hoga 'HITLER'

Dhwani: what? have u lost it? jaante bhi ho kya keh rahe ho?

Abhi: come on guys grow up! agar Samarth sir ko iss bare mein pata chal gaya to god save us

Anu: ha, ek to wo choti choti baat pe hume punish karte rehte hai, iss baar pata nahi kya karenge...

Dhwani: jo bhi ho, Ashi tum aisa kuch nahi karogi..

Yuvi: so Ashi wat say?

Rohan: ya to yeh bet lagalo ya phir maan lo ki Miss Anwesha Jaisingh darti hai...

Abhi: stop it Rohan, yeh kya bachpana laga rakha hai...

Dhwani: Ashi, chalo yaha se.., tumhe koi bet lagane ki koi zaroorat nahi hai..

Abhi: Ashi, speak up sumthing

Ashi: guys, Ashi accepts this bet. Ab Ashi tum sabse bet puri karne ke baad hi milegi...

{saying this she walks out}

Anu: jo bhi ho guys, main ashi ke saath hu....hey ashi wait!

{anu too rushes out, following ashi}

{Lites out hote hai, saare teachers apne rooms mein hote hai...Rajveer aur Chahat apne room ki taraf jaa rahe hote hai}

Chahat: ok bhaiya, goodnite. aur ha dawayi lena mat bhulna...

Rajveer: ha baba, nahi bhulunga.., goodnite...

{Chahat apne room mein chali jaati hai.., Rajveer apne room mein jaata hi hai ki use kuch yaad aata hai}

Rajveer: {to himself} i think mujhe bhabhi se abhi hi baat karni chahiye....

{aur wo immediately devyani ke room ki taraf jaata hai......, aur waha se Ashi aur Anu apne rooms se bahar aate hai aur Samarth ki room ki taraf jaate hai..,

Samarth ka room Suraj ke room ke side per hi hota hai...ek tarafse Raj waha aata hai aur dusri tarafse Ashi aur Anu aage badhte hai}

Anu: Ashi, please dhyaan se, mujhe uss hitler se bahot dar lagta hai... please koi awaaz mat karna bas yeh board waha rakh dena aur bhaag jana..

Ashi: hey maate kya aap kuch der liye apna pravachan bandh karenge taaki main apna kaam kar saku....

Anu: Ashi main to bas...

{Ashi ekdum se anu ka haath khichti hai aur dono ek pillar ke peeche chup jaate hai}

Anu: kya hua? Samarth sir?

Ashi: nahi..., Rajveer sir...

Anu: wat?

Ashi: sshhh!!!!!

{ek taraf ashi aur anu rajveer se chup rahe hai, aur dusri taraf Chahat bilkul ghabrayi si apne kamre se bahar aati hai...., tabhi Kunal waha ata hai}

Kunal: Chahat.., kya hua? kise dhund rahi ho?

Chahat: pata nahi Kunal, abhi abhi yaha koi tha, maine kuch awaaz suni...

{tabhi Kunal ko kisi ki parchayi (shadow) dikhayi deti hai.., aur wo uss direction mein jaata hai.., tabhi wo dekhta hai ki koi aadmi Rajveer ke kamre ke bahar kuch kar raha hai.., per wo kunal

ko dekhte hi waha se bhaagta hai aur Kunal use follow karta hai}

{yaha Ashi aur Anu kisi tarah se Rajveer ke jaane ke baad, Samarth ke room tak pohochte hai aur Ashi wo board waha laga deti hai aur wo dono ahista se waha se chalte jate hai.., kuch dur jaane ke baad wo board gir jata hai,

aur Samarth ke room ki light on hoti hai, yeh dekhkar Ashi aur Anu waha se bhaag jate hai.....

Ek tarafse wo aadmi bhaag raha hota hai aur Kunal uske peeche hota hai..Ashi uss aadmi se takra jaati hai}

Ashi: oouchhh!!! dekhkar nahi bhaag sakte kya?

{per kisi tarha se wo Aadmi phir bhaag jata hai, aur Kunal use foolow karte hue jata hai}

Anu: ashi tum thik to ho...

Ashi: ha.., per yeh kya hai?

{wo neeche gira hua envolope uthati hai}

Anu: lagta hai yeh uss aadmi ka hai...

Ashi: ha.. , anyways abhi yaha se niklo warna phir koi aa jayega..., waise bhi lagta hai hitler jaag gaya hai...

Anu: oh god! ashi koi aa raha hai, bhaago..

{dono bhaagte hai, aur kisise phir takrate hai....}

Anu: oouchh!!! Ashi, kitne baar girogi...

Ashi: Sir aap?

{its Rajveer}

Rajveer: ha main, per aap iss samay yaha kya kar rahe hai?

Anu: sir wo...hum, wo waha..

Rajveer: cadet shankar.... one complete sentence please!

Anu: actually sir hum wo...

Ashi: {inturrupts} sir hum to aaphi se milne aa rahe the

Rajveer: mujhse? kyun

Ashi: yeh dene ke liye... {hands him that envolope}

Rajveer: yeh kya hai?

Ashi: pata nahi sir, jab hum aa rahe the to raaste mein koi aadmi humse takra gaya... aur yeh gir gaya.. Kunal sir uska peecha kar rahe the...

Rajveer: Kunal kisi ka pecha kar raha tha.....

Anu: yes sir...

Rajveer: anyways, cadets get back to your room

Ashi: yes sir... goodnite sir

Anu: goodnite sir..

Rajveer: goodnite......

…………End Of part-22………..

Comments eagerly awaited!!! 😊

Luv,

Varallikkaa & Farheen

Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 18 years ago
rocking,superb,excellent part 👏 .......kya interesting plot create kiya tha....ek taraf rajveer,.dusri taraf anu n ashi.beech me se wo anjaan admi......awesome suspense....waiting eagerly for the next part guys,continue soon.......

luv,
vandu 😉
Tv-Fanatic thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 18 years ago
hey great partttttttt 👏 great suspense yaar hope faru n varu di ki wo admii bomb na rakh rha 😆 really njoyed a lot..........w8ing for nxt part
krazy_khyati thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
It's great di!!! As usual........aap dono ne bahut abhut acha kaam kiya hai!!! Love you 😊
Rachu_1987 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
ahhhhhh just caught up loved the drill n how the cadets handeled it 😆 😆 😆 n esp the teachers knowing wat they did 😆 awww raj is soooo sweeet aur yeh karan bhi na 😆 😆 oh goshi thought ashi n anu were in truble then but i think they will b in truble by samarth if he finds out it was them 😆 😆 😆 n wonder whats in the envelope.......hmmmm continue soooon 👏
.Rabi. thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
Hi Varallika dii and Faru !!

Nice parts Guys u Rocks, 👏 pls conti soon ,jaldiy bcoz i wana know ke next kya honay wala hai, 😊 Pls conti Soon...

Rabi
Edited by cute_rabi - 18 years ago
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
wow!!! another awesome part!!! 👏
This is one story which i really look forward to...
wat suspense created,just amazing!
all the characters are established so well, and each time u end the part at such a point that cant wait till the next part...
u both rock 👍🏼
pls pls pls update soon...,

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 4 months ago

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 9 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".