Khwabo Ki Manzilein.. Last part on pg 57 - Page 14

Created

Last reply

Replies

411

Views

62.1k

Users

36

Likes

7

Frequent Posters

rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Originally posted by: sun_423

varu , faru dear first of all me shoo sorry that me giving such a late comment...actually got a bit busy with college work & i hate it completely....
ab coming to the part... it was very goodd... bohat hi mast tha... Rajveer ka basketball khelne se darna.. phir samarth kind off challenging him aur Rajveer ka agree karna ki woh khelega..then vish ki usse naraazgi.... raj ka usko manane ki koshish karna..par koshish bekaar jaana... phir the scene between ipshitha & raj..this was the highlight of the part... the way ipshitha & raj talked.... uff...man... it had loads of chemistry between them..phir vish ka kamre mein aana she going out in ghussa.. raj ka uske peeche bhaagne woh bhi ghirthe sambhalthe...ipshitha ki hasi pehle baar uske chehre par khilna... then uska yeh baat taalna... phir vish ka raj ko manana..unke beech ki dosti... there friendship is really very sweet.. it's priceless... phir dusari taraf the young people basketball ki taiyaari karna..... the seniors wishing the juniors all the best... all very simply toooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo
damnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnnn
goodddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddddd
the part totally rocked... loved raj & ipshitha's scene most of all....u both are rockstars.... 👏
👏
so now i think raj & ipshitha ke beech ki dosti aur badegi...vish ko insecurity hogi... & then shayad ipshitha has lost her loved one in the past.... both raj & ipshitha will be attracted to each other.. aur shayad vish ko yeh baat hazam na ho...might be she will turn to a villian... these are my guesses..kya main sahi hoon..ab batao mujhe.. varu , faru.... 😉 😉
😉 😉 😉 ab please continue soon..me waiting for the next part eagerly... 😃

hey surya thanks for ur wonderful comments 😊

well..ab aapke guesses ... uske liye bas thoda aur wait karna hoga n u'll know evrything .... 😉

rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Originally posted by: Gaurav''s Love

awwwwwww vish no longer upset....rajveer was sooo cuteee blesss him.....da ipshita scene was nice 😃 oooo cnt wait 4 da game....do continue sooon!!! 👏

thx for ur comments 😊

Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago

Part -18

Recap: match ke liye team mei apna naam dekh Rajveer thode upset hote hai, jaha doctor Ipshita unki madat karti hai...

Vaishnavi bhi ab normal ho jati hai aur Rajveer match ke liye tayyar hota hai..ek taraf cadets match ki tayyari mein lagte hai to dusri taraf teachers bhi koi kami nahi karte...

ab aage......

It's a bright new day... and evrybody is excited about the match.... let's see ki hamare cadets itne savere cafeteria mein kya kar rahe hai..

Rohan: guys match Abhi start hui bhi nahi hai aur yeh Abhi ko dekho...aise behave kar raha hai jaise match ke liye balki kisi border pe ja raha hai...

Abhi: aisi baat nahi hai Rohan, hum to bas thode nervous hai..

Ashi: wo kyun?

Rohan: Hitler se darr to nahi gaye na?

Abhi: nahi..

Yuvi: are just imagine jab yeh match hum jeetenge to uss Hitler ka chehra dekhne layak hoga...

Dhwani: I hope we win

Rohan: and I'm sure that we will win... kyun Yuvi?

Yuvi: absolutely bro...

[ek taraf hamare cadets match ke bare mein discuss kar rahe hai, aur dusri taraf Major Rajveer kuch kitabo mein uljhe hue hai..woh apne kamre mien kuch dhund rahe hai tabhi sumone knocks at the door]

Rajveer: come in

Vaishnavi: are Raj yeh sab kya hai? kya kar rahe ho? yeh itni sari kitabe ..are baba aaj tum basket ball khelne wale ho ya kisi quiz competition ki tayyari kar rahe ho?

Rajveer: Vaishnavi... main to bas aise hi, tum batao aaj itne savere hamari yaad kaise aayi..

Vaishnavi: oh god..main to bhool hi gayi thi..Suraj bhaiya ne hum sabhi ko abhi aur isi waqt staff room mein bulaya hai.. keh rahe he kuch important baat karni hai..

Rajveer: aur yeh tum ab bata rahi ho..

Vaishnavi: ab tumhe iss tarha kitabo mien dekhkar mian bhool gayi thi.. anyways, ab to chalo..

Rajveer: ha tum chalo, main bas aata hu..

Vaishnavi: jaldi aana..

Rajveer: ha baba..

[Vaishnavi chali jati hai, Rajveer books ko thik se rakhte hai aur jaldi jaldi room lock karke staff room ki taraf jata hai per raaste mein wo Ipshita se takra jata hai]

Rajveer: i'm sorry doc.. i hope u r fine..

iphita: ya ..hum thik hai, per itni jaldi mein kaha jaa rahe ho?

Rajveer: actually Suraj bhaiya ko kuch kaam tha to bas.. but i'm really sorry

Ipshita: its ok Major..i'm fine..

Rajveer: ok then wil see u in a while..

iphita: ok..

[Rajveer dauda dauda staff room pohochta hai..waha sAbhi teachers hote hai aur bas Rajveer ka intezar hota hai]

Rajveer:i.. i'm sorry i'm late..

Suraj: koi baat nahi , ander aao ..well officers aap sabhi ko pata hai ki hamara iss academy mein ane ki peeche kya maksad hai.. aur aaj ke din hume kuch jyada alert hona hoga...

Samarth: wo sab to thik hai per sir aaj achanak kya hua?

Suraj: baat darhesal yeh hai ki kal raat mujhe base se message aaya tha... Lt.General Siddharth Vashishth ( ronit roy) ko kuch logo ne dhamki di hai..ya u kahe unhi logo ne dhamki di hai..wo iss academy ko nuksaan pohochana chahte hai..

Karan: kya apne principal se iss bare mien baat ki hai..

Suraj : ha unse bhi kal raat hi baat ho gayi hai..and now i want all u officers to be alert..

Rajveer: dont worry bhaiya, iss academy ki suraksha ki responsibility hamari hai, and we'll make sure that hum ise pura kare..

Devyani: per isse to cadets mein khamakha tension hogi..

Suraj: yeh force bas match ke dauhran hogi aur officers uniform mein nahi honge, so cadets ko koi shak nahi hoga ki academy mien kya ho raha hai..aur hume bhi

bilkul normally behave karna hai...

Rajveer: dont worry bhaiya, iss academy ki suraksha ki responsibility hamari hai, and we'll make sure that hum ise pura kare..

Suraj: [smiles] ok phir aap sab jaa sakte hai.. aap logo ko match ki tayyari bhi to karni hogi..

Kunal: ha..jab judges mein aap ho, bhabhi hai

Karan [looking at Rajveer] aur to aur Doctor Iphita bhi hai... to phirr to..

Rajveer: to?

Karan: nahi kuch bhi nahi, Kunal chalo hum Chahat se milkar ate hai...

Kunal: ha chalo..[and he walks out immedialtely]

Karan: yeh lo..dekha Radhika, ek yeh hai ..Major Rajveer jo ladki ka naam bhi liya to bhadak utthe hai, aur ek wo hai Captain Kunal , jo ladki ka naam lete hi khud utth jate hai.. pata nahi kya hoga inn sab ka? kaun ladki milegi inhe..

[Rajveer comes and stands right in front of Karan]

Rajveer: filhaal match ke liye nahi jana..

Karan: are nahi..bade bhaiya.. main to bas u hi.. chaliye na behena se mil aate hai... dekho sab chale gaye..chalo chalo...

[aur Karan Raj ke haath pakadkar use le jata hai.. waha Chahat ke room mein sabhi hote hai..]

Devyani: yeh lo aa gaya tumhara bhai.. kya Raj kaha the tum?

Rajveer: kuch nahi, bas zara Karan ko thik kar raha tha..

Pritha: Karan ko? kya matlab?

Karan: are kyun marva rahe ho? kuch nahi yeh to bas u hi.. ise chodo..Chahat ab tabiyat kaisi hai?

Chahat: ab to bilkul thik hu..

Samarth: gud.. to hume cheer karne ready na..

Chahat: ofcourse bhaiya.. waise match kab start hona hai?

Karan: bas abhi kuch hi der mein start hoga...

Chahat: to chaliye na phir.. aap sabse jyada to main iss match ke liye excited hu..

Rajveer: aye..hello! kaha chaliye? tum kahi nahi jaa rahi ho..yehi raho aur aaram karo..waise bhi tumhe kaafi weakness hai, abhi thik hui nahi ki uchalkud karne ke liye tayyar ho gayi..

Chahat: bhaiya please.. Suraj bhaiya aap kahiye na inse.. maine teachers cadets match pehle kabhi nahi dekhi hai.. aur phir yeh to NDA mein ho raha hai..aur yehi rehkar i dont want to miss it....please Raj bhaiya..

Rajveer: kya? no please..please ok? koi kuch nahi kahega..

Samarth: Raj.. jab uska mann kar raha hai to tum kyun mana kar rahe ho? waise bhi she is absolutely fine now..

Chahat: ah..dats like my sam bhaiya..

Rajveer: per Samarth yeh ab tak puri tarha se thik nahi hai..

Suraj: Raj.. Samarth thik keh raha hai.. aur waise bhi Chahat match thodi na khelegi..wo bas waha baithkar dekhegi..

Karan: Raj chalo ab hitler mat bano.. Chahat iski fikar mat karo, tumhe match dekhni hai na, to chalo main tumhe le chalta hu..

[Chahat bas Raj ki taraf dekhti hai]

Vaishnavi: are uski taraf kya dekh rahi ho? jab itne saare log tumhare saath hai, tum raj se kyun darr rahi ho.. raj chalo ab ha bhi kehdo..

Rajveer: bigado aur bigado ise... ab tum sabke aage main kya keh sakta hu...

Kunal: raj, are zara muskurakar kaho ki Chahat tum bhi chalo..

Karan: are waaahh Kunal! dekha raj... yaha logo ko Chahat ki kitni fikar hai.. Chahat u are so lucky... tumhe kitne pyar karne wale..[pauses for a minute & then looks at Kunal] bhai mile hai

Kunal: ah..Karan tum bhi na..

[and evrybody starts laughing]

Kunal: Suraj bhaiya..aap bhi hass rahe ho?

[Suraj controls his laugh sumhow]

Suraj: Karan ab bas bhi karo.. chalo match ke liye nahi chalna kya.. chalo sab..

Devyani: ha chalo sab..aur Chahat jab match start hoga tab tum aa jana, abhi thoda waqt hai...

Chahat: ok bhabhi...

Vaishnavi: aur kisi cheez ki zarorat ho to mujhe bula lena..ok..

Chahat: ofcourse..apko nahi to kise tang karungi..

Karan:acha hum chalte hai.. waise Kunal tum chaho to thodi der baad aa jana..

Devyani: kya baar baar use satate rehte ho.. chalo ab..

[sabhi jate hai, room mein bas Chahat aur Rajveer hote hai]

Chahat: kya hua bhaiya.. aapko nahi jana kya?

Rajveer: nahi.. bas aise hi..

[tabhi Ipshita waha aati hai]

iphita: excuse me, kya hum ander aa sakte hai..

Rajveer: oh Ipshitaji aayiye na.. aapko ijazat lene ki zarorat nahi hai...

iphita: hume laga ki kahi hum bhai behen ko disturb to nahi kar rahe..

Chahat: bilkul bhi nahi.. aap baithiye na..

Ipshita:ab tabiyat kaisi hai aapki?

Chahat: bilkul thik.. maine suna ki iss match ke liye judges mein aap bhi ho..

Ipshita: mm ha.. apne sahi suna hai..

Chahat: per yeh match to mere bhaiya hi jeetenge...aakhir yeh bhi basket ball champ reh chuke hai...

Ipshita: ha.. aur phir bhi match khlene se jhijhak rahe the...

[raj looks at Ipshita and smiles]

Rajveer: acha chalo ab Chahat tum thoda aram karlo, match start hote hi tumhe bula lunga..

Chahat: ok bhaiya.. per bula zaror lena...

Ipshita: achcha ab hum bhi chalte hai.. u take care..

Chahat:ji..

Rajveer: main abhi aata hu..

Chahat: ok..

[Rajveer aur isphita room se nikalte hai]

Rajveer: waise aapne bataya nahi ki aap bhi judges mein se ek hai..

Ipshita: kaise batate , hume bhi aaj hi pata chala hai..

Rajveer: oh, to meri tarha aapko bhi in logo ne bana diya..

Ipshita [laughs] nahi.. waise bataya to aapne bhi nahi ki aapne basket ball state level pe kheli hai..

[Rajveer looks at her in amazement]

Rajveer: per aapko kaise pata?

Ipshita: ab dost mana hai to itna to pata hoga hi na... aur yeh chupane wali baat bhi nahi thi..

Rajveer: [smiles] strange..bina kahe hi aap mere baare mein itna kuch jaan gaye..kabhi apne baare mein bhi bataya kijiye..

Ipshita: [smiles] kisi din fursat mein zaroor batayenge... filhaal to [helds out her hand] wish u all the best for the match..

[Rajveer just looks looks at Ipshita with his deep intense eyes and goes completely blank for a moment..tabhi Karan waha aata hai]

Karan: ahem ahem!!!

[raj cumes bak to his senses aur immediately Ipshita se haath milata hai]

Rajveer: thanks..

Karan: waise doctor..match to hum bhi khel rahe hai..

Ipshita: [laughs] aap ko bhi all the best.. ex-cuse me hume kuch kaam hai..

Karan: sure..

[Ipshita waha se haste hue chali jati hai, aur raj mann hi mann sharma jata hai]

Karan: haye..raj tum u muskurate hue kitne sweet lagte ho.. tumhari aadao pe main vari vari... are aaj agar main ladki hota

na to definitely tumhe propose kar deta..

Rajveer: unfortunately aisa nahi hai..and thank god for it... aur tum yeh kya bakwaas kar rahe ho.. main aur iphitaji to bas u hi..

Karan: per maine to kisi ka bhi naam nahi liya... Major.. kahi kuch gadbad to nahi na..

Rajveer: shut up Karan..chalo match ka waqt ho raha hai...

Karan: ha ha, ab to match mein jitna bhi padega...

Rajveer: Karan..chale..

Karan: ha chalo...

It was game time now

All players were gathered in the court. Both the teams were facing each other. Now lets c the sequence first was Kunal and in front of him was Abhi then was Karan in front of him was Yuvi then were the captains Samarth and Rohan … then was Pritha and Dhwani…last but not the least there was our hero Rajveer and in front of him was AshiJJ…..All were full of enthusiasm and confidence… student vs teachers this match was the first of its kinds in the history of academy… it had never happened before than any student had challenged his teacher… but every thig has a beginning and probably this was a beginning…. So both the teams were full of determination. Winning this game was a question of their pride and prestige… in this match they had to prove them selves… cadets wanted to prove that they are the best while on the other hand teachers wanted to show ke they were the best are the best and will always be best…. They wanted to show the cadets that cadets chahe kitne bhi ache ho wo log phir bhi unke guru hai and koi shishya(student) chah ke bhi guru se behtar nahi ho sakta…..it was now game time so with the direction of referee both the captains shook hands so did the other team members…

ball was now in court and with the whistle of referee the game started… beginning of game filled the audience with energy…. Students were cheering for Rohan's team while teachers were on Samarth's side… but as obvious students were outnumbering faculty…but still both the groups were cheering their teams with equal enthu and energy…. Now in the game court ball was in the hands of Samarth who was moving it with full control… Ashi Yuvi and Rohan were trying to trap him while Dhwani and Abhi were diverting other players… in the mean time Samarth passed the ball to Karan who passed it to Pritha Pritha threw it back to Karan who this time scored a basket…and this was the first basket of the match…. Match started again this time Pritha got the ball who passed it to Kunal who missed it and taking advantage of it Rohan got the ball…. Rohan passed it to Ashi who was standing near the basket and she scored a point for her team….ball was now in the hands of Abhi…. who passed it to Yuvi and Yuvi scored another point…. Second point for teachers was scored by Pritha…. The game progessed in a very intresting way both the teams were going on wid equal scores….it was really hard to predict ke who will win and who will loose….It was now the last minute of game…. Only 5 mins were remaining and scores were ke both the teams had scored 10-10 points… so this last minute was really important as it will decide the winner of the game… ball was again in the court this time Ashi had the ball she was moving on with full confidence and control while Pritha Samarth and Karan were trying their best to get the ball from her…. They trapped her all round so she threw ball towards Dhwani… but in the mid way it was stopped by Rajveer… now Rajveer had the ball and was about to score when all gets distracted and shocked by some loud noise… all turn in the direction of sound where the see that there has been a blast in colonel's car….every body was too shocked to react… just then Rajveer came running towards Ipshita and pushed her aside and there was a sound of gunshot…. Rajveer stands up and start running towards his jeep and dives away in full speed…. Now in the game court no body was able to trace out the matter every one was standing shocked… suddenly Suraj realises something and shouts

"Oh shit… Karan Samarth Radhika come with me… Kunal and Pritha take over the situation here and report this incident to base…. Also tell them to send us backup if we don't return in 30 mins…."

Saying this he rushes towards his jeep Karan Samarth and Pritha follows him….

Now udhar we can see Rajveer in his jeep following a van…the van was triying its best to avoid and misguide him and after few moments it succeded in its attempt… van was now no where visible…. Rajveer paused for a moment then he saw marks of tyre on mud it was heading to suburbs….he was going towards his jeep when he saw Suraj and other officers coming….

Suraj: raj… tum thik ho

Rajveer: am absolutely fine but we'll have to rush warna wo log bahut dur nikal jayenge….

Samarth: but wo log gaye kis taraf hai…

Rajveer: c…we hav got sum tyre marks there I guess ke wo log udahr hi gaye honge….

Suraj: okay then we shud move….come on guys …. Samrth tum raj ke sath jao…rest come wid me…

So all mounted their respective jeeps while raj's jeep headed…. At some distance they saw the van…sare log alert ho jate hai and bahut savdhani se van ki taraf jate hai….. but van me koi bhi nahi hota hai….

Samarth: yaha to koi bhi nahi hai

Rajveer: to ye van chorke chale kaha gaye…

Radhika: c van ki tyres punctured hai…I guess isiliye in logo ki ise yahi chorke jana para….

Karan: ha wo to thik hai….but ab hum kis taraf jaye…..

Suraj: mujhe nahi lagta hum aise unko dhund payenge isiliye better hoga ke hum wapas chale…..

Wo log apni strategy discuss kar hi rahe the ki tabhi gunshot ki awaz ati hai…. luckily no body gets hurt but sare log waha awaz ki taraf bhagte hai…. now they were face to face with the people… dono taraf se firing shuru ho jati hai….

REGARDS

FARHEEN AND VARALLIKKA

Edited by varallika - 18 years ago
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
so guys herez the next part of kkm hope u all like it and yes dunt forget to comment on it..we will be waiting 4 ur comments

luv u
varallikka and farheen
Edited by varallika - 18 years ago
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 18 years ago
awesome part.....excellent......wonderful......ab aur kya kahoon...agle part ka intezaar rahega...jaldi post karna dears..tumlog to humesha hi awesome parts likhte ho varu n farhu........
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
varu , faru...dear tum dono na absolutely too good ho.... seriously tum dono har baar itna achcha likhthe ho ki main hairaan ho jathi hoon... the part was indeed very good... i liked reading it... it had all the elements of a entertainment package... simply tooo gooodddd...awesome , amazing , fantastic, super cool , dhassu , very cute , sweet , marvelous , fantastic , brilliant , raapchik , bindaas , totally jhakaas , excellent , par excellence... i loved it completely... it was very well written.. i always like tum dono ka writing... padne mein bada mazaa aatha hain... i seriously to enjoy myself while reading your story... this story is very different & very different..& i always like reading it.... 👏 👏 tho sab basket ball kelne ki taiyaari mein lage hue hain.. ek taraf the students want to prove a point tho dusari taraf even the teachers are not the easy going types..even they have a point to prove.. i like the spirit which is prevailing in both the teams... they want nothing but win.. & their attitude is just very good....
👍🏼
👍🏼
👍🏼
👍🏼
👍🏼
👍🏼
👍🏼
tho there is a meeting held in which the officers are informed that they have to be careful during the match.. as they have received a threat call..& all are ok with it.. then kunal ko chidane ka scene tho mazaa aagaya..mujhko hassi aa rahi thi....all meet chahat wahaan bhi kunal ki hi taang kheechthe rehthe hain.. bechara kunal.... 😆 raj is such a caring sweet bro..liked his care for chahat very much...he is really a darling.... 😳 ab mujhe lagtha hain ki love is in the air... raj tho ipshita mein kho jaa raha hain.. he smiling at her... he forgetting the world when he looks at her aur woh haath milana bhool jatha hain aur kho jaatha hain ipshitha ke innocent si face mein... kuch kuch hotha hain gaane ko jee kar raha hain........ raj ke dil mein zaroor kuch kuch hone laga hain.. hue..hye... balle..balle... very sweet , cute..... 😳
😳 ab karan ka raj ko chidana raj ke smile ko lekar.... hahahahahaha..very funny.... 😆 then ab match bade shoro zoro se chaltha rehtha hain... lekin achanak wahaan blast hotha hain.. all the officers get to work.. then raj saves ipshitha.. then he follows the van.. phir sabhi aathe hain... & then finally they are face to face with the terrorist... well good..
this scene was very nice the way the officers take charge of the situation..too good... hat's off to them.... ⭐️ tho ab agle part mein i think some of the officers will be hurt.. & in that some of the officers humare hero sahab bhi included honge... then ipshitha uski pattiyaan - wattiyaan karegi.. they both will become even more good friend's aur raj will be more attracted towards ipshitha.. which obviously vish will not like.. & i evan think that may be officers ka shak ipshita par jayega regarding the attack.. the officers might be mislead that ipshitha is a spy.... these are my predictions...what say ??? 😉 😉 😉 😉 😉
please continue soon..waiting for the next part... 😃
Edited by sun_423 - 18 years ago
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
wht yar kisi ko part pasand nahi aya kya...plz feelfree to send any kind of comments...but plzz do comment
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago

part-19

recap: for the first time in the history of NDA (gulmarg) teachers

versus cadets basket ballmatch hota hai.. jiske liye

cadets aur teachers sabhi excited hote hai... per match se pehle Suraj

sabhi officers ko alert rehne ko kehta hai..kyunki unhe

base se already, academy mein kuch galat hona ka mesage milta hai..aur kuch aisa hi hota hai..

ab aage....

The game progessed in a very intresting way both the teams were going

on wid equal scores….it was really hard to predict ke

who will win and who will loose….It was now the last minute of game….

Only 5 mins were remaining and scores were

ke both the teams had scored 10-10 points… so this last minute was really important as it will decide the winner of the game…

ball was again in the court this time Ashi had the ball she was moving on with full confidence and control while Pritha Samarth and Karan were trying their best to get the ball from her…. They trapped her all round so she threw ball towards Dhwani… but in the mid way it was stopped by Rajveer… now Rajveer had the ball and was about to score when all gets distracted and shocked by some loud noise… all turn in the direction of sound where the see that there has been a blast in colonel's car….every body was too shocked to react… just then Rajveer came running towards Ipshita and pushed her aside and there was a sound of gunshot…. Rajveer stands up and start running towards his jeep and drives away in full speed…. Now in the game court no body was able to trace out the matter every one was standing shocked… suddenly Suraj realises something and shouts

"Oh shit… Karan Samarth Radhika come with me… Kunal and Pritha take over the situation here and report this incident to base…. Also tell them to send us backup if we don't return in 30 mins…."

Saying this Suraj rushes towards his jeep Karan Samarth and Pritha follows him….

There Rajveer in his jeep was following a van…the van was trying its best to avoid and misguide him and after few moments it succeded in its attempt… van was now no where visible…. Rajveer paused for a moment then he saw marks of tyre on mud it was heading to suburbs….he was going towards his jeep when he saw Suraj and other officers coming….

Suraj: raj… tum thik ho

Rajveer: am absolutely fine but we'll have to rush warna wo log bahut dur nikal jayenge….

Samarth: but wo log gaye kis taraf hai…

Rajveer: yeh dekhiye tyre marks..shayad wo log yehi gaye honge…

Suraj: okay then we shud move….come on guys …. Samarth tum raj ke saath jao…rest come wid me…

So all mounted their respective jeeps while raj's jeep headed…. At some distance they saw the van…sare log alert ho jate hai and bahut savdhani se van ki taraf jate hai….. but van me koi bhi nahi hota hai….

Samarth: yaha to koi bhi nahi hai

Rajveer: to ye van chorke chale kaha gaye…

Radhika: van ke tyres punctured hai…I guess isiliye in logo ki ise yahi chorke jana para….

Karan: ha wo to thik hai….but ab hum kis taraf jaye…..

Suraj: mujhe nahi lagta hum aise unko dhund payenge isiliye better hoga ke hum sab alag alag directions mein jaye…

Wo log apni strategy discuss kar hi rahe the ki tabhi gunshot ki awaz ati hai…. luckily no body gets hurt but sare log waha awaz ki taraf bhagte hai…. now they were face to face with the people… dono taraf se firing shuru ho jati hai….raj gadi ke peeche hota hai aur wo wahi se firing karta hai..baki officers bhi apne aap ko defend karte hue firing karte hai...

Suraj: Samarth, tum peche se jao..kam se kam ek ko to zinda pakadna hi hoga.. Karan cover up Samarth..raj ..raj kaha hai..

[raj gadi ke peeche se firing karta hota hai..tabhi wo dheere se aage aata hai ki saamne se ek shaks raj ko dekhta hai, uske aankho mein bahot nafrat hoti hai]

The man: [pointing to raj] ye mera shikar hai…mere alawa ispe koi goli nahi chalayega…tum log bakiyo ko sambhalo ise mai dekhta hu

tab tak waha ek aur van bhi aati hai jisme se kuch aur 2 log hote hai..aur woh log firing kar rahe hote hai..usme se ek mar jata hai aur ek gadi lekar dusri taraf chala jata hai... raj immediately jeep lekar uss gadi ka peecha karta hai... wo gadi kuch dur jakar ruk jati hai.. raj bhi ruk jata hai aur utarkar aage badhta hi hai ki koi fire

karta hai...wo apne aap ko bachane ke liye gaadi ke peche hota hai aur phir fire karta hai... tabhi dusri taraf se Samarth waha pohoch jata hai...

Raj ke pistol ki saari goliya khatm ho jati hai... tabhi wo Samarth ko ishara karta hai, aur Samarth iske taraf ek pistol phekta hi hai ki koi seedhe Rajveer pe aim karta hai aur goli chalata hai..Raj ke haatho se pistol bas kuch hi dur pe girti hai, wo pistol uthane ke liye kea age badhta hi hai ki tabhi wo dekhta hai ki koi uspe aim kar raha hota hai…… deheere se wo admi bahar ata hai …

The man: itni jaldi kya hai Captain Rajveer…. Oops srry ab to tum Major ban gaye ho na…

woh shaks Rajveer ke saamne khada hota hai.. raj kuch pal ke liye use dekhta hai ..

Rajveer: Anshhhh...

Ansh: Major Rajveer rathod...to aakhir kaar mulaqat ho hi gayi...

Rajveer: oh..to tum ab tak zinda ho..mujhe laga ki apne bhai ki maut ke baad ...

Ansh [interrupts] uske liye hi to main phir aaya hu.. achchi tarha se yaad hai mujhe..uski cheekhe.. uski shaadi ke din hi tumne uski arthi utha dii..per ab tumhari baari hai....

Rajveer: tumhara bhai koi badi hasti ya neta nahi tha balki tumara hi tarha ek attank wadi tha,...use to bas uske karmo ki sazaa mili hai.. aur ab tumara bhi anjaam wahi hoga..jo tumhare bhai ko hua tha..

Ansh: anjaam to ab tumhara hoga... apne bhai ki maut ka badla main tumse aur tumhari aarmy se lunga...

tabhi Samarth Ashista se aage badhta hai He signals raj ….. raj isharo me usko fire karne ko bolta hai…. Samarth fires at him…but Ansh usko dekh leta hai so wo peeche hat jata hai…. Raj jaldi se pistol uthane bhagta hai when Ansh fires at him…goli usko lagti hai….. Samarth fires at Ansh but he manages to flee as Samarth ka pura dhyan Raj ki taraf hota hai…. Tab tak waha Karan aur Radhika bhi a chuke hote hai.....

Karan: Samarth kya hua

Samarth: Karan jaldi karo raj ko academy le jana hoga…..

Radhika: but ye sab kaise….

Samarth: Radhika ye janne se jaruri abhi raj ko hospital le jana hai….. tum jaldi se ja ke jeep le ke ao….

raj ko stomach mein goli lagti hai..hospital pohochne tak raj behosh ho jata hai..jaise hi wo academy pohochte hai..sabhi cadets bas unki halat ko dekhke shock hote hai..Suraj & Karan immediately gets down from the jeep..

Karan: get aside guys..move..

[Karan ke sar per bhi chot lagi hoti hai aur kaafi khoon beh raha hota

hai.. Suraj ko pair mein chot lagi hoti hai.. but he manages to walk..

Samarth aur Karan Rajveer ko jeep se nikalte hai..wo pura khoon mein bhara hota hai..saare cadets yeh sab dekhkar ghabra jaate hai.. unhe kuch samajh nahi aata ki aakhir ho kya raha hai..

Ashi: oh god yeh Rajveer sir ko kya hua? He's bleeding so much..

Rohan: aur yeh baaki teachers bhi ...

Karan aur Samarth Rajveer ko hospital wing le jaate hai.. aur Rohan,

Ashi, Yuvi , Dhwani, Anu, & abhi follows them.. hospital mein Vaishnavi aur Ipshita hote hai..in chaaro ko aisi zakhmi halat mein dekhke wo ekdum hairaan hote hai...

Vaishnavi: rajjj…kya hua raj ko???..

[Ipshita raj ko dekhke bas shock hoti hai..she stands still..without uttering a word..but uski aankho mien aasu aate hai..]

Karan: Vaishnavi, raj ko goli lagi hai..

Vaishnavi: what?????

[tabhi Devyani waha aati hai aur wo raj ke pulse chek karti hai]

Devyani: oh god..Vaishnavi take him immediately to operation theatre.. tum operation ke tayyari karo main dr.shashank ko inform karti hu..

[per Ipshita wahi khamosh khadi rehti hai bas raj ko dekhte... phir jaise hi raj ko waha se operation theatre mein le jaate hai..woh rone lagti hai..Karan use dekhta hai..]

Karan: Ipshitaji.. aap..

[isse pehle ki Karan Ipshita se kuch aur kehta wo waha se rote hue " sameer....." kehte hue apni room ki taraf chali jaati hai..]

Pritha: Karan kya hua?

Karan: pata nahi yeh iphitaji ko kya hua..wo u rote hue chali gayi..

[tabhi Kunal waha dauda dauda aata hai]

Kunal: Karan.. tum thik to ho na..

Karan: ha main thik hu..

Kunal: achcha..Suraj bhaiya..wo base se message aaya tha ki jin do logo ko aapne arrest kiya tha unmein se ek ki death ho gayi hai..apko abhi base pe bulaya hai

Samarth: what? damn it!!!

Suraj: calm down Samarth.. wo dusra wala to thik hai na..filhaal iss

topic pe hum baad mein discuss karenge...

[tabhi saare cadets waha aate hai, sabhi dare hue aur ghabraye hote hai]

Rohan: sir..sir... wo Rajveer sir..

Suraj: dont worry he'll be fine..

abhi: per sir..unhe hua kya hai? i mean itna khoon beh raha tha.. aur aap logo ki halat bhi..

Suraj: cadet..kuch nahi hua hai..bas ek chota sa accident hi hai, nothing to worry about..

Ashi: aur sir..Rajveer sir ko kya hua?

Suraj: unhe bas thori si chot aayi hai isiliye behosh hai..

well..cadets i appreciate ur concern for ur teacher..per abhi i wud like u allto get back to ur respective classes.. Rajveer ke baare mein aapko bata diya jayega..

Anu: per sir wo blast..

[Samarth gusse mein unhe daat deta hai]

Samarth: cant u understand what he just said, get back to ur rooms....

Suraj: Samarth..relax.. Karan Samarth ko ander le jao, aur tum log bhi dressing karlo..

Karan: ji..Samarth ..chaliye...

Samarth: i'm sorry bhaiya..wo main zara...i'm sorry..

Suraj: cadets.. please abhi aap apne room mein jayiye..i promise ki

main khud aake Rajveer ke baare mien aapko bataunga..

Ashi: ji sir...

[saying this cadets waha se chale to jate hai per kaafi pareshan hote hai... aur apne teacher ke liye kafi ghabraye hue bhi..chale jate hai.. ]

Suraj: Samarth, please tumhare aise behave karne se cadets pe kya asar hoga tum achchi tarha jaante ho...

Samarth: i'm sorry bhaiya ..main bas ek dum..... i'm sorry..

Suraj:its ok..per agli baar se dhyaan rakhna...

[dr.shashank ke aate hi Rajveer ka operation start hota hai... Suraj, Karan, Samarth, Radhika, Pritha wahi bahar operation khatm hone ka intezar kar rahe hote hai..aur waha Ipshita apne kamre mein ro rahi hoti hai... woh apni diary se ek tasveer nikalti hai aur use dekhkar rone lagti hai...]

Ipshita: sameer.... aaj phir.. [aur wo aur rone lagti hai aur bas tasveer ko dekhti hai aur kahi kho jaati hai]

flashback.............

ek bada sa ghar hai jo puri tarha sajaya gaya hai...jo mehmano se bhara hai... ek pyari si ladki apne kamre mein dulhan ki libaas mien,haatho mein mehendi lagaye... puri tarha saji hui bas apne dulhe ka intezar kar rahi hai.. woh dulhan apne kamre ki khidki se jhaakte hue aasmaan mien chand ko dekhti hai..

girl: aaj meri zindagi ka sabsa bada din hai..aaj hum dono hamesha ke liye ek hone jaa rahe hai...[tabhi waha kuch gaadiya aakar rukti hai aur uss ek gaadi se dulhe ki dead body nikali jati hai..dulhan daudti hui aati hai aur dulhe ki dead body dekhti hai........

end of flash back.............

Ipshita: sameerrrrrrr................. [and starts crying]

[tabhi therez a knock at the door..Ipshita aasu poch deti hai aur darwaza kholti hai]

Ipshita: Pritha aap? aayiye.. [saying this she turns her face and wipes off her tears]

Pritha: doctor aap thik to hai na? wo Karan bata raha tha ki aap waha se u ghabraye hue chale gaye..

Ipshita: nahi , hum bilkul thik hai..koi kam tha humse??

Pritha: doctor , wo Karan aur Samarth sir bhi kaafi zakhmi hai to unhe bhi..

Ipshita: oh... chaliye..actually hum unhe to dekhe hi nahi bas u hi waha se chale aaye .. chaliye..

[Ipshita aur Pritha hospital jaate hai...Ipshita Samarth aur Suraj ka dressing kar deti hai..ab wo Karan ki dressing kar rahi hoti hai..]

Karan: ab aap thik hai doctor?

Ipshita: hume kya hua hai? hum to bilkul thik hai..

Karan: maine aapko yaha se rote hue jaate dekha tha..

[Ipshita khamosh rehti hai, aur bandage lagati hai]

Karan: main janta hu ki aap aur raj kaafi achche dost hai... beleive me raj ko kuch nahi hoga.. itne saare logo ki duvaye jo uske saath hai..

Ipshita: ji... lijiye aapki dressing bhi ho gayi...

[now cut to O,T jaha raj ka operation chal raha hota hai it was almost 2 hrs now… Kunal prith and Radhika waha bahut besabri se operation khatam hone ka wait kar rahe the….sare ke chehre pe ajeeb sa darr tha…pareshani thi….tabhi Chahat bhi waha aati hai...]

Radhika: Chahat tum yaha?

Chahat: bhaiya kaise hai? wo thik to hai na? main unse milna chahti hu...

Radhika: Chahat..meri baat to suno..

[Chahat Radhika ke gale lagti hai aur rone lagti hai…

Radhika: Chahat.. raj ko kuch nahi hoga..he'll be fine..

Kunal:ha Chahat plzz tum mat ro…kuch nahi hoga sir ko….

Radhika:socho jab Raj ko pata chalega ki tum u ro rahe the to kya use

achcha lagega...

Kunal:tumhari bhi tabiyat thik nahi , jyada stress lena tumhare liye

thik nahi hai.. waise tumne apni dawayi li?

Chahat: nahi..wo

Kunal: kyun? Waise tumne kuch khaya bhi nahi hoga

Chahat: nahi wo match mien wo sab mien.. main..

Radhika: ye kya hai Chahat??? How can u do this??? Chalo ab jaldi se ja kar kuch khalo and apni dawai bhi lelo…. Kunal le kar jao ise

Chahat: nahi, jab tak bhaiya ka operation nahi ho jata aur main unse mil nahi leti main kuch nahi khaungi..

Radhika: Chahat.. phir zidd.. dekho raj to thik ho jayega per hume daatega ki humne tumhara dhyaan nahi rakha..

Pritha: ha Chahat, kuch khaa lo, achcha chalo mian bhi tumhare saath aati hu.. chalo Kunal...

[Pritha , Kunal aur Chahat cafeteria jaate hai jaha hamare cadets

baithe hai..jo ki bilkul pareshan hai]

Rohan: guys abhi kaafi waqt ho gaya hai i think ki hume ek aur baar jakar atleast dekhna chaiye ki Rajveer sir kaise hai..

abhi: ha..mujhse to Rajveer sir ki halat dekhi nahi gayi..i just hope ki woh thik ho jaye, aur koi serious baat na ho..

Ashi: kam se kam ek baar unhe dekh aate hai...

Dhwani: per Ashi...

[saying this aAshi gets up ..tabhi she sees Pritha, Chahat and Kunal]

Kunal: cadets... relax... raj ka abhi operation chal raha hai..

Rohan:what? operationnn....

Ashi: hey bhaggu sir please kya aap hume batayenge ki Rajveer sir hua kya hai? waha bhi Suraj sir ne kaha ki chota sa accident hua hai..per aap sabhi ko

dekhke lagta nahi ki accident hua hai..Rajveer sir was so badly injured...and so were Suraj, Samarth and Karan sir…u don't want us to believe it was a mere accident…do u???

Kunal: guys..i can understand... guys but beleive me wo bas ek accident tha... actually wo jeep ke breaks fail ho gaye aur raj

drive kar raha tha..to bas use jyada chot aayi hai, aur isiliye uska operation chal raha hai...

[yeh sunkar Anu rone lagti hai]

Kunal: are yeh kya... cadets..please..raj ko kuch nahi hoga...

[Yuvi, aur Rohan ke aankho mein bhi aasu aate hai]

Kunal: guys.. yeh kya ..aap sab...

[tabhi Karan cumes running there]

Pritha: hey guys…raj ka operation pura ho gaya hai, he's out of danger now...

[yeh sunte hi cadets daudte hue hospital ki taraf jate hai]

Kunal: dekha Karan, iss batch ke cadets kuch jyada hi emotional hai... aur raj se kuch jyada hi attach hue hai...

Chahat: mere bhaiya hai hi aise ke koi bhi usne attached ho jayega….but ab plz jaldi chalo

[and they too heads towards the the hospital..saare cadets wahi ruke hote hai..Devyani aur Ipshita wahi khade hote hai]

Devyani: cadets..aap sab ..

Rohan: mam..wo Rajveer sir kaise hai?

Devyani: he's fine now..

Ashi: mam kya hum unse mil sakte hai..

Devyani: nahi..ab tak use hosh nahi aaya hai..

Karan: aur hosh aate hi sabse pehle aap sab hi usse mil lena..ok?

[sabhi cadets wahi raj ke hosh mein aane ka intezar karte hai..teachers bhi wahi hote hai....2 ghante hote hai..phir achanak bahar kayi gadiyo ki awaaz ati hai... aur kaafi saare guards hospital mein aate hai... ]

Ashi: yeh kya ho raha hai?

Abhi: lagta hai kisi bade officer ko admit kar rahe hai..

Rohan: ha usiki security lagti hai..

[aur phir Lt.General Siddharth Vashishth [Ronit roy] and Suraj waha aate hai…]

Dhwani: yeh to Lt.General Siddharth Vashishth hai... maine inki photo dekhi thi..

[Ipshita aur baki cadets unhe yaha dekhkar ekdum hairaan hote hai]

Ashi: per yeh yaha?

[Lt.Siddharth sidhe raj ke room mien jaate hai..aur unke peeche immediately dr.Devyani, aur dr.shashank ander jaate hai...raj ab ak behosh hota hai..]

Lt.Siddharth: dr.Devyani ab Rajveer kaisa hai?

Devyani: he's out of danger now.. goli pet mien lagi thi.. per now evrything is fine..

[Lt.Siddharth sits besides raj aur apna haath uske sir pe rakhte hai]

Lt.Siddharth: ise hosh kab tak aayega..

Dr.Shashank: operation hokar kaafi waqt ho chuka hai..ab bas thoda anesthetia ka asar hoga..

Lt.Siddharth: achcha Chahat kaha hai?

Devyani: sir wo bahar hai..

Lt.Siddharth: achcha zara use aur Suraj ko ander bhejna..

Devyani:yes sir..

[Devyani undono ko bulane bahar jaati hai..aur raj react karne lagta hai... ]

Lt.Siddharth: raj.. raj..dr.shashank he's reacting..

Dr.Shashank: ji sir...yeh hosh mein aa rahe hai.... just a minute..[wo raj ke forehead pe haath rakhet hai] Rajveer... Rajveer..

[aur Rajveer dheere se aankhe kholta hai]

so guys herz the 19th part of kkm hope u all will like it...do read and plz dunt forget to send ur comments...we will b waiting 4 tht

love

farheen and varallikka

Edited by varallika - 18 years ago
.Rabi. thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
Hi Faru and Varallika dii!!!!!!!!

Really U both are Great i dont know kaise explain karoo ke How much ots Good part 😊 👏 U both are rocks...Pls try to send it next Part Soon Pls........m waiting for it..... 😊

rabi
Imaan-Ki-Duaa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
wonderful ff... 👏 jus completed readng whole now....2 good 👏 ..keep up the gr8 work....luv the rajveer charcter the mst...he's jus 2 goooooooooood.... 😳

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 4 months ago

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 9 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".