Cry...woh es tarah juda hunge aisa socha na tha...This was the khushi pov..I didn't expect that the khushi will not fight back and give away any hope on their relationship and she was running away from him..Arnav ki khamoshi ne usko torr diya...I completely understand khushi's plight..It's heart wrenching..this chapter reminds me Amjad Islam Amjad poetry..So I thought I'd share with you...
MOHABBAT AAG KI SURAT
bhujay sino'n main jalti hay ,tu dil baidaar hotay hain
mohabbat ki tappish main kuch ajab israr hotay hain
keh ..jitna yeh bharrakti hay ,uroos-e-jan mehakti hay
dilon k saahilon pay jama hoti aur bikharti hay
mohabbat jhaag ki surat...
MOHABBAT KHAWAB KI SURAT
nigahon main utarti hay kisi mahtaab ki surat
sitaaray aarzu k is terhaa say jagmagatay hain
keh pehchani nahi jati dil-e-baitaab ki surat
mohabbat k shajar par khawab k panchi utartay hain
tu shaakhain jaag uthti hain
thakay haaray sitaray jab zamin say bat kartay hain
tu kab ki muntizar aankhon main...shammain jaag uthti hain
mohabbat in main jalti hay charagh-e-aab ki surat
mohabbat aag ki surat
MOHABBAT DARD KI SURAT
guzishta mosamon ka ist'aaraah ban k rehti hay
shabaan-e-hijar man roshan sitarah ban k rehti hay
mandairon par charaghon ki lo'yen jab thartharati hain
nagar main na umeedi ki hawayen sansanati hain
gali main jab koi aahat koi saya nahi rehta
dukhay dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon k bojh say jab tootnay lagtay han shaanay tu
yeh un pay haath rakhti hay
kisi hamdard ki surat
guzar jatay hain saaray qaafilay jab dil ki basti say
fizaa man tairti hay dair tak...yeh gard ki surat
mohabbat dard ki surat