Thanks for the likes & comments! Over to.. Part 42
Khushi(smacks his chest): Agli baar aise sawaal poochhe naa toh..
Arnav: Toh? Kya karogi tum?
Khushi: Aap k baal noch lenge!
Arnav: What the!?
Khushi: Aur kya?! Aapki kalhaai modna humare bas ka kaam toh hai nahi! Aapki baahein humari baahon se kayeen guna zyaada mazboot hain! Toh aise me.. aap k baal hi sabse.. woh kya kehte hain aap?
Arnav: Easy target!
Khushi: Ji.. sabse easy target toh aap k baal hi hai! Toh agli baar.. (balls her fists tightly in front of his eyes)bachkar rahiyega!
Arnav: Oh! For sure!
He pulls her closer for a hug.
Khushi (lightly hits his arm): Pagle kahin k!
Then she kisses his neck.
Arnav(breaks the hug): Excuse me? Kya kaha tumne?
Khushi(arms around his neck): Humne kaha-pagle kahin k!
Arnav: Main paagal hoon? Really?
Khushi(nods): Really!
Arnav: What makes u say that?
Khushi: Pehle aap humse kehte hain ki agar hum.. aapse alag ho jaate toh aap..
She stops for a moment.
Khushi: Aur phir khud hi humse poochhte hain ki humne jiji ko kyun roka?! Ki hum aap k saath kyun rehna chahte hain?!Waah!
Arnav wraps his arms around her waist & pulls her closer.
Arnav: Tum bhi kuch kam paagal nahi ho?
Khushi tilts her head & imitates him.
Khushi: Really?
Arnav(smiles): Really! Tum meri sardi k baare me Paayal se keh toh aise rahi thi jaise mujhe sardi nahi TB ho gaya ho!
Khushi(smacks his chest): Shubh shubh boliye!
Arnav bends his head to nibble her earlobe but Khushi pushes him away.
Khushi: Woh mat kariye!
Arnav catches hold of her wrists & bends his head.
Arnav: Mujhe toh ek hi tareeka aata hai bolne ka!(nibbles her earlobe)Shubh shubh!
Khushi: Lard governer! Ho gayi aapki badmaashi shuru?
Arnav is about to say something when he sneezes twice.
Khushi: Dekhiye! Aise chheekte rahenge toh humein toh chinta hogi hi naa?
Chaliye hatiye!
Arnav(seriously): Ek minute. Mujhe kuch baat karni hai..
Khushi: Baad me! Pehle humein aapki naak par aur aapke kapaal(forehead) par jadibooti wala balm lagaane dijiye..
She moves towards the closet to get the balm.
Arnav(groans): Khushi plz.. woh wala balm nahi! It smells yuck!
Khushi: Bachchhon jaisi baatein mat kariye! Nainital se aane k baad jab humein sardi ho gayi thi tab humne woh hi balm lagaya tha. Aur humari sardi do din me theek ho gayi thi!
Arnav: Main medicine khaunga toh waise bhi sardi do din me theek ho hi jayegi!
Khushi: Iss balm ka asar aapki tablet se behtar hoga! Par humein balm ki shishi kyun nahi mil rahi hai?
She turns & looks suspiciously at Arnav.
Khushi: Kahin aapne phenk toh nahi di naa?
Arnav: I wish maine aisa kiya hota!
Khushi makes a face & resumes her search.
Arnav(approaches her): Tum baad me balm dhoondh lena. Pehle meri baat suno. Come..
He makes her sit on the bed & sits beside her.
Khushi: Boliye..
Arnav: U're right. Aaj.. maine kuch zyada hi badmaashi kar li! I mean.. gusse me aakar maine doosri baar.. (holds her hands) I'm sorry! I promise,main apne gusse pe control rakhunga! Dobara aisa nahi hoga!
Khushi: Theek hai.
Arnav: Main.. mujhe kuch poochhna tha..?
Khushi: Jhijhak kyun rahe hain?Saaf-saaf poochhiye jo poochhna hai.
Arnav: R u sore?
Khushi(shocked): Ji?..
Arnav: Aaj.. kuch zyada hi ho gaya.. toh..
Khushi(lowers her gaze): Nahi.. hum theek hain!
Arnav: R u sure? I mean.. agar aisa kuch hai toh tum mujhe bata sakti ho..
Khushi: Humein pata hai. Par aisa kuch nahi hai! (cups his cheek) Hum theek hain. Chinta mat kariye,hmm?
Arnav(kisses her hand): Tum mujhse bahut pyaar karti ho naa? Tab hi toh, main baar-baar galtiyaan karta hoon aur tum.. gussa karti ho,ladti ho.. Lekin har baar mujhe maaf kar deti ho!
Khushi: Aap bhi toh humari galtiyon k liye humein maaf kar dete hain naa? Gussa toh aap bhi karte hain! Cheekhte-chillaate hain! Lekin baad me maaf kar dete hain! Ulta sharminda ho jaate hain,cheekhne k liye!
She puts an arm around his right arm & rests her head on his right shoulder.
Khushi: Sach baat toh yeh hai ki hum dono ek doosre se zyaada samay tak naraaz nahi reh sakte hain!
Arnav: Right!
Khushi: Humara pyaar naraazgi se,jhagdon se.. bahut upar hai!
Arnav kisses her head.
Khushi: Woh toh achchha hua ki jiji ne humari baat maan li aur humse wada kar diya. (sighs) Agar woh nahi maanti naa.. toh hum unse bhi lad lete! Haalaaki humein dukh hota.. Hum apni behen se ladna nahi chahte hain. Lekin aap k liye,humare liye, humare saath k liye hum woh bhi kar lete!
She lifts her head to look at him.
Khushi: Humein jis din yeh ehsaas hua tha ki hum aapse pyaar karte hain,us din humne yeh nahi socha tha ki hum aap se is tarah,itna zyada pyaar kar paayenge!Apneaap se bhi zyaada!.. Itna ki aap humare liye sabse khaas ho jayenge!.. Ki aap humare dil k sabse kareeb aa jayenge!.. Humein pata hi nahi chala ki kab humein aapse itna zyada pyaar ho gaya!
She smiles and shakes her head.
Khushi: Kabhi-kabhi sochte hain toh hairaani hoti hai.. humara rishta nafrat se shuru hua aur.. is muqaam tak kaise pahuch gaya ki humein aapse beintehaan pyaar ho gaya? Jab hum aapse nafrat karte the,us waqt agar humse kisine kaha hota naa,ki ek din humein Arnav Singh Raizada se itna pyaar ho jayega toh hum kabhi vishwas nahi karte unki baat par!
Arnav: Vishwaas toh mujhe bhi nahi hota hai! (smiles) Mujh jaise shaitaan ko tum jaisi sundari kaise mil gayi!?
Khushi: Isliye mil gayi kyunki Devi Maiyya ne hum dono ka naam bahut pehle se jod rakha tha!
Arnav rolls his eyes.
Khushi: Unhe pata tha ki do paagal hi ek doosre ko samajh payenge aur ek doosre ko sambhaal payenge! Tab hi toh unhone humein milaaya!
Arnav: Yeah right! Pyaar kiya maine,shaadi ki maine aur credit milta hai Devi Maiyya ko!
Khushi: Aapne pyaar isiliye kiya kyunki usme Devi Maiyya ki marzi thi!
Arnav: Of course not! Usme meri mar..
He sneezes again.
Khushi: Hum bhi kahaan baaton me lag gaye? Rukiye,hum balm dhoondkar laate hain!
*After 5 minutes*
Arnav: Khushi,main ab bhi keh raha hoon.. balm lagaane ki zaroorat nahi hai. I'm fine!
Khushi: Hum dekh rahe hain ki aap kitne fine hain! Har 5 minute baad chheeke jaa rahe hain aap! Chaliye baithiye aur humein balm lagaane dijiye!
Arnav reluctantly sat down on the bed while Khushi sat behind him on her knees.
She massaged his temple for 5-10 minutes.
Khushi: Ab kaisa lag raha hai?
Arnav: Better..
Khushi: Ab naak par laga dete hain.
Arnav(shifted): Nahi,naak pe nahi!Tumne ise naak pe lagaaya toh iski smell mujhe irritate karti rahegi aur main koi kaam nahi kar paunga!
Khushi: Par aapko kaam kyun karna hai?Di toh keh rahi thi ki aapne chutti li hai..
Arnav: Ha,chhuti li hai. Par ghar par rehkar bhi kaam toh karna hi padega naa?
Khushi: Kuch der aaraam kar lete..
Arnav: Khushi,relax! Jaisa ki maine kaha,mujhe normal sa cold hua hai,TB nahi hua hai! Isiliye mujhe bedrest ya aaraam karne ki zaroorat nahi hai okay?
Khushi(shrugs): Aapki marzi!
She goes to the bottle of balm inside the cupboard while Arnav watches her, puzzled.
Arnav: Maine TB kaha tab bhi isne mujhe shubh shubh kyun nahi kaha?
Khushi smiles internally.
Khushi(thinks): Hum aapko khoob samajhte hain,Mr. Raizada. Isiliye hum yeh bhi samajh gaye ki aapne jaan bhooj kar us beemari ka naam liya ,taaki hum aapko toke aur aapko badmaashi karne ka mauka mil jaay! Par hum aisa nahi karenge! Agar aap ser hain toh hum bhi sava ser hai!
She closes the cupboard & turns back to find Arnav on the recliner.
Arnav: Tumhara breakfast toh.. yaheen reh gaya..
Khushi nods.
Arnav: Yeh toh thanda ho gaya hai. Main HP se keh data hoon,woh kuch fresh bana dega tumhare liye.
Khushi: Rehne dijiye! Thodi der me dopeher k khaane ka samay ho jayega. Hum seedhe khana khayenge.
Arnav gives a guilty look.
Arnav: Meri wajah se tum breakfast bhi nahi kar payi..
Khushi: Aap phir shuru ho gaye? Kaam karne baithe the naa?Kaam kar lijiye! Hum theek hain..
She looked at the covered plate and gulped.
She was starving but she had to control herself.
She knew that Arnav wouldnt allow her to have cold food.And she couldnt take the plate downstairs.
Khushi(thinks): Di kya sochengi? Kitni der pehle unhone khana bhijvaya tha. Hum kya kahenge unse,ki humne ab tak nashta kyun nahi kiya?
She consoled herself.
Khushi(thinks): Bas thodi hi der ki baat hai, Khushi! Phir toh khana hi hai!Tu jab tak kapde samet le aur kuch chhota-mota kaam kar le. Iss se tera dhyaan bhi bat jayega aur.. teri nazar.. (gulps) thaali ki or nahi jayegi.
Arnav caught her staring longingly at the plate & smiled.
He took the plate to her.
Khushi: Areh! Aap kyun..
Arnav(interrupts): Bhookh lagi hai naa? Yeh hi kha lo!
Khushi: Par..
Arnav uncovered the plate covering Khushi's breakfast.
Khushi's mouth watered at the sight of the aaloo parathas & mango pickle.
The smell of ghee emanating from the parathas increased her hunger manifold.
Arnav(smiles): Khushi!
Khushi(gaping at the parathas): Ji..?
Arnav caught her arm & made her sit on the bed.
Arnav: Jab tak lunch nahi ban jata tab tak.. kha lo!
He thrust the plate into her hands.
No sooner did he do that than Khushi started gobbling up the parathas.
Arnav: Slow down! Maine kaha kha lo,yeh nahi kaha toot pado!
Khushi(with food in her mouth): Aa a-en? Aaoo ae a-aa-aye a-ye ee ee-ae aa-ee-t ae! (Kya karen? Aaloo k parathe bane hi itne swaadisht hain!)
Arnav: I know,right? Par dheere-dheere khaogi toh enjoy kar k kha paogi! Bahut tez khaogi toh sara khana baahar aa jayega!
Khushi(irritated): Arnavji! (swallows)Hum jaise kha rahe hain waise khane dijiye! Humare saamne se hatiye! Jaiyye apna kaam kariye aur humein humare paraathon k saath akele chhod dijiye!
Arnav: Ok,peace! enjoy!
He went back to the recliner & opened his laptop while his eyes were still fixed on his mad & ravenous wife.
________________________________________________________________
In the kitchen..
Anjali: Hari Prakashji aap achaar ki barniyon ko dhoop me rakh dijiye. Hum dal ko chhauka laga dete hain.
HP: Ji..
The doorbell rings..
Anjali: Hum dekhte hain.Aap jaiyye..
She is surprised to find Aakash outside the door.
Anjali: Kya baat hai Aakash? Aaj itni jaldi aa gaye?
Aakash: Ha di. woh.. sab k saath ghar par lunch karne ka man kiya toh maine socha..
Anjali: Achchha kiya. Par.. lunch ko ready hone me abhi 10-15 minute lagenge.
Aakash: Koi baat nahi di! Main tab tak fresh hokar aata hoon.
Anjali: Haan!
She closes the door behind him & goes to the kitchen.
She had just resumed her work when the doorbell rings again.
Anjali(thinks): Ab kaun aa gaya? Woh bhi iss waqt?
She turns off the gas & goes to answer the door.
Anjali(stunned): Aap?..
Paayal: Khula hai.Aa jaiyye..
Aakash(concerned): Kya hua Paayal?Tumne aise kyun bulaaya mujhe?(touches her shoulder)Is everything ok?Tabiyat toh theek hai naa?
Paayal(removes his hand): Aapko dikhava karne ki koi zaroorat nahi hai! Hum jaan gaye hain ki naa toh aap humse pyaar karte hain aur naa hi aap humare rishte ki qadar karte hain!
Aakash(turns her to face him): Yeh kya keh rahi ho tum?Of course main tumse pyaar karta hoon! Aur main humare rishte ki bahut qadar karta hoon!
Paayal: Agar aisi baat hoti toh aap bina kuch soche-samjhe humein talaaq dene k liye razaamandi nahi dete!
Paayal: Kyunki aap k bhai ne aapse kaha tha ki aap humein talaaq de den! Aapne unki baat ka maan rakha aur talaaq k kaagzaaton par dastakhat kar diye, bina humein bataaye aur bina kuch soche!
Aakash: R u out of ur mind? Maine koi divorce papers sign nahi kiye hain! Aur bhai mujhse divorce papers sign kyun karvaayenge?
Paayal: Kyunki woh un kaagzaaton ka istemaal kar k Khushi ko blackmail karna chahte the!
Aakash(super shocked): Bhai.. Khushiji ko blackmail karenge?! Tumhe ho kya gaya hai,Paayal? I dont know tum aisi baatein kyun kar rahi ho?
Aakash: Par Khushiji..
Paayal(interrupts): Khushi ne aapko roka,tab bhi aap nahi ruke! Aapne un kaagzaaton par dastakhat kar diye aur.. humari shaadi ko saude ka naam de diya!
Aakash: Aisa ho hi nahi sakta,Paayal! Maine koi papers sign nahi kiye hain & I'm sure about that!Khushiji ko zaroor koi confusion hua hai.Bhai mujhse kabhi tumhe divorce dene k liye nahi kahenge! Woh jaante hain ki hum dono ek doosre se kitna pyaar karte hain. Phir woh mujhse divorce papers par sign kyun karvayenge?
Paayal: Aisa hi hai,Aakash! Ho sakta hai unhone dhoke se aapse un kaagzon par dastakhat karva liye ho?
Aakash: Par bhai aisa kyun karenge,tell me?
Paayal: Kyunki woh Khushi ko apne qaaboo me rakhna chahte hain! Aur aap jhoot mat boliye humse ,Aakash! Khushi ne humein bataaya ki usne apni aankhon se woh kaagzaat dekhe hain! Aur usne aapko un par dastakhat karte huye bhi dekha hai!
Aakash: Yeh koi bahut bada confusion hai,Paayal! Bhai ne mujhse koi divorce papers sign nahi karvaaye hain!Main keh raha hoon naa? plz believe me!
Paayal: Toh kya Khushi jhoot bol rahi hai?
Aakash: Nahi,I didnt mean that! Khushiji ko koi misunderstanding ho gayi hai,I'm sure! Tum chalo mere saath. Main bhai se abhi jaakar baat karta hoon!
The found HP outside their door.
HP: Naniji ne aap dono ko neeche bulvaaya hai.
Aakash: Ok. Bhai.. aur Khushiji ko bhi bulaya hai?
HP: Ji. Main unhe bulaane hi jaa raha tha.
Paayal: Aap rehne dijiye HPji. Hum unhe bulaakar laate hain.
HP: Ji,theek hai.
HP left for the kitchen while PaYash left for ArShi's room.
Aakash(smiles): Suna tumne,Paayal? Maine kaha tha naa mere bhai aisa kar hi nahi sakte hain?
Arnav saw the look of doubt on his wife's face & the look of faith & pride on his brother's face.
He knew that solving his wife's doubt would mean losing his brother's faith.
Kindly ignore typos & mistakes. Translation page 15. Next update on Saturday,i.e. 12th Jan.
10