Bigg Boss 19-Daily Discussion Thread- 30th September, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 30, 2025 Episode Discussion Thread
101 ways to patau your pati
Trump's 100% tariff on Bollywood films
Bhagwan Ke Charnon Mein Swarg
The Pilot Pirates | Book Talk Reading Challenge 2025
What's next? (Multiple votes allowed)
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 1, 2025 Episode Discussion Thread
DADI AS BOOTH 1.10
Budget Single Digit : 7 cameo openings.
Swara Bhaskar..someone who dared to say it out loud #respect
My Box Office Prediction for Sunny Ki....jo bhi hai.
Which faces u r fed up of watching
True Face of BIAS & NEPOTISM!
👻 The Manuscript Marauders 👻 BookTalk Reading Challenge October 2025
What are the professional achievements of gabhira
Gen 5- Major Discussion Thread
Official Teaser - Tere Ishk Mein - Dhanush Kriti Sanon
Sonam Kapoor is in her family way ? (2nd baby)
Originally posted by: BARUNODAYA
SMITHA I COME ACROSS WITH THIS FF ON RECOMENTATION READ IT IN A GO OMG! I CANT BELIEVE THAT I MISSED IT TILL NOW IAM HOOKED TO IT I THINK THE BEST ONE I HAV READ ON ARHIS MARRIED LIFE TILL NOW👏..THERE BONDING IS AWSOM..WAITNG 4 NXT UPDATE BTWN COULD U PLS GIVE THE LINK TO UR OTHER FF HERE PLS?
Hey! Since I got some time at hand today I thought of updating this FF.Next update will come on 30th,positively.
Thanks for the likes & comments! Over to..
Part 47
Thursday morning,7:30 am,Katra..
Khushi hugs aunty): Humein aapki bahut yaad aayegi aunty! Kaash aap baaki k 5 din bhi humare saath hi rehti!
Aunty: Jo maine ticket na kataai hoti ta main jaroor ruk jati! Par aj mainu Jammu jana hi padega! Mainu vi teri bahot yaad aayegi!
She wipes her tears.
Aunty: Je tu kadi vi Panipat aaye ta mere ghar jaroor aana!
Khushi: Ji,pakka! Aur agar aap kabhi Dilli aaye toh aap humare ghar aaiyega. Hum aapko Dilli ki sair karayenge!
Aunty smiles & kisses her forehead.
Khushi: Aapka bahut,bahut dhanyavaad aunty! Aapse jo.. humne seekha woh hum hamesha yaad rakhenge!
Aunty: Mainu pura vishwaas hai ki tu yaad rakhegi! Tainu te tere khasm nu Mata rani da ashirwaad milega!Dono hamesha khush rahoge!
Khushi is about to touch her feet when aunty stops her from doing us.
Aunty: Na puttar! Betiyaan pair ni chhooti hain! Mera ashirwaad tere naal haiga..(blesses her)Jindi reh! Rab raakha!
Khushi: Pahuchkar humein phone kariyega. Devi Maiyya kare ki aapki yatra shubh ho!
Aunty: Dhanvaad!Chal puttar,hun main chaliyaan.Tu apna te apne pairan da dhyaan rakhi,hain?
Khushi: Ji.. Namaste!
Aunty: Namaste!
Buaji: Aaiyye bahinji,hum aapko baahar tak chhod kar aate hain.
Khushi: Hum bhi chalenge.
Aunty: Na puttar.Tu araam kar..
Khushi: Hum baad me aaraam kar lenge aunty.Aur waise bhi,Devi Maiyya ki kripa se humara pair aaj behtar hai. Hum dheere-dheere chalkar aate hain aapko chhodne..
Aunty: Puttar,jidd naa kar.
Buaji: Rahne dijiye,bahinji! Oo naahi maanegi! Aap chaliye.. Aye titaliya,tum aapan amma ka sahara lai k sambhal-sambhal kar aao.
Khushi: Ji buaji..
__________________________________________________________________________
The moment she heard that,she was reminded of Arnav.
Khushi(thinks): Arnavji ne us din aisa hi kuch kiya tha naa,jab hum rasoi me the?..
*Flashback*
Arnav enters the kitchen to find Khushi frying puris.
Arnav: Breakfast ready hai?
Khushi: Nahi,bas ho hi raha hai.Aap baithiye,hum 5 minute me aapko nashta paroste hain. HPji,aap sabko naashte k liye bula lijiye.
HP: Ji!
After HP exits the kitchen,Arnav comes & stands right next to Khushi.
Arnav(points to a bowl): Khushi,yeh chutney..
Khushi(looks at him): Ha.Kya hua isse?
Arnav pulls her by her waist & plants a sudden,deep kiss on her mouth.
When he leaves her,Khushi gives her trademark shocked expression.
Arnav dips a finger into the bowl & licks the chutney off his finger.
Arnav(makes a face): Yeh chutney utni meethi nahi hai.(smirks)Tum isse zyaada meethi ho!
Khushi: Achchha? Phir toh aapko humare haath ki maar bhi bahut meethi lagegi! Rukiye aap,hum abhi dete hain aapko!
She runs after him with the rolling pin and chases him out of the kitchen.
*Flashback ends*
Amma: Kaa hua Khusi?Has kaahe rahi hai?
Khushi: Nahi.. kuch nahi amma. Bas.. kuch yaad aa gaya..
Again she shifts her attention to the play.
Radha: Dadh ki bhari matki
Lai jaat rahi dagar beechh,
Aahat sun,aahat sun,
Aahat sun jiyara gayo
Dhadak,dhadak,dhadak!
At that moment,Khushi's phone vibrated.
Her heart also went dhadak-dhadak -dhadak after seeing her husband's name flash on the screen.
Khushi: Amma,Arnavji ka phone hai.. Hum.. baahar jaa rahe hain.
Amma: Ruk jaa,hum aavat hain.
Khushi: Nahi amma,aap baithiye. Hum deewar ka sahara lekar chale jayenge..
She slowly walks outside the temple.
Khushi: Hello..
Arnav: Phone uthaane me itna time kyun lagaaya?
Khushi: Woh hum mandir me the naa,toh baahar aane me samay lag gaya.
Arnav: Iss waqt tum mandir me kya kar rahi ho?
Khushi: Yahaan khela,humara matlab hai,drama chal raha hai toh.. hum sab woh hi dekh rahe the.Aap bataiyye..
Arnav: Main nahi,tum batao!
Khushi: Kya?
Arnav: Guess karo ki main iss waqt kahan hoon?
Khushi: Iss me guess karne ki kya baat hai?Humein maalum hai ki aap Dilli me hain.
Arnav: Main.. Katra me hoon.
The phone falls from Khushi's hands.
Khushi: Hey Devi Maiyya! Arnavji yahaan kaise aa gaye?
She quickly switched on her phone after inserting the battery into it.
The moment she switched it on,she recieved Arnav's call.
Khushi: Aap yahaan kaise? Kyun?Humara matlab..
Arnav: Tumse milne aaya hoon!
Khushi: Par Arnavji..
Arnav(interrupts): No par! Tumhare darshan ho gaye,pratigya puri ho gayi! Main tumhare saath mandir nahi aaya plus maine tumhare saath darshan nahi kiye! That means,main ab tumse mil sakta hoon! Jaldi batao,tum kahan ho.Main Aman ko bhej raha hoon,woh tumhe yahaan le aayega.
Khushi: Yahaan kahaan?
Arnav: Helipad par.Main chopper me tumhara wait kar raha hoon aur tumhare liye ek surprise arrange kar raha hoon.Isiliye main khud tumhe lene nahi aa paunga.Par tum Aman k saath aa jana.Aur akeli aana,plz..
Khushi: Arnavji.. hum.. kaise aa sakte hain?
Arnav: Kyun nahi aa sakti?
Khushi: a.. woh.. amma,babuji ko..
Arnav(interrupts): tum unki fiqr mat karo.Main abhi babuji ko call kar k sab bata deta hoon.Achchhha,tumne dinner toh nahi kiya naa?
Khushi: Nahi..
Arnav: Great! Aaj ka dinner hum saath me karenge!
Khushi: Kahaan?Aapke chopper me?
Arnav: Yup! Jaldi batao,Aman ko kahaan bhejun?
Khushi: woh.. hum..
Arnav: tum mandir me ho right?Main Aman ko waheen bhej deta hoon! Tum jaldi se usle saath aa jao! Ruko,main use phone deta hoon.Tum use address bata do.
Khushi(thinks): Hey Devi Maiyya! Kahaan phas gaye hum?
Aman: Ha ma'm,bataiyye..
Khushi: Amanji pehle aap ek baat bataiyye,aapki wapisi kab ki hai?
Aman: Aaj raat ki!
Khushi: Achchcha?
Aman: Aap address dijiye..
Khushi: Ji..
After ending the call,Khushi heaves a sigh of relief.
Khushi: Bas,aaj raat ki hi baat hai naa?Theek hai! Ghanta-do ghanta milenge,saath khana khayenge,phir woh wapis Dilli chale jayenge!Koi baat nahi! Ek tarah se achchha hi hua ki woh aa gaye! Humara bhi bahut man kar raha tha unse milne ka! Aaj mil lenge toh agle 6 din guzarna zara aasaan ho jayega!
She looks at her bandaged foot.
Khushi: Iss ka kya karen? Nikaal de? Haa!
She removes the crepe bandage and stuffs it inside her handbag.
Khushi: Aaj toh hum theek-thaak chal hi rahe hain. Thoda-bahut sahare ki zaroorat padti hai,bas! Arnavji ne kuch poochha toh keh denge ki baitaa chad gaya tha.Waise sach bhi hai,subha doosre me baitaa chadha toh tha hi.Agar unhone patti dekhi toh woh ghabra jayenge. Phir kahin,chinta k maare,yaheen na ruk jaaye!
She shakes her head.
Khushi: Nahi,nahi! Kisi bhi haal me unhe yeh pata nahi lagna chahiye ki humare pair me moch hai!
She practices walking around,trying to look as normal as possible,ignoring the pain in her heel.
__________________________________________________________________________
Hey guys, This is the place where you can request for comment migration. Please know that FFEs are going to migrate your comments. Rules - You...
708