use yahan aaye hue lag bhag 1 hafte ho chuke the .asfar bhai use yahan lakar apne sare dawe bhul chuke the .shabnam bhabhi ki maujudgi me kaunsa course kahan ka course ?.woh use sara din kaam me lagaye rakhti.sawera se milne ka bhi bahut kam time mil pata tha..shabnam bhabhi ki farmaish per usne aloo ka bhurta banaya tha..
zareena aunty bade shauq se khati thi..usne plate me unke liye bhurta nikala aur bhabhi ko bata kar unke portion ki taraf aa gai..lounge ka darwaza khol kar woh jaise hi ander dakhil hui to samne sofe per 2 naujawan ladkon ko baithe dekha to gadbada gai..woh usi ki taraf dekh rahe the..sawera kahan hai???kiran dheere se boli.
kaun sawera??? yahan koi sawera wawera nahi rahti aur tum kaun ho?? un me se ek ne use ghurte hue sawalon ki bauchar kar di..yeh zareena aunty ka ghar nahi hai? woh bahut ghabra gai..yeh koi zareena nageena ka ghar nahi hai..jaan azeez hai to bhag jao yahan se aur zindagi bhar yahan ka rukh na karna warna...bagho woh gurraya
to kiran ke hathon se plate choot kar niche gir gai.is pahele ki woh khud bhi lahra kar gir jati zareena aunty kitchen se nikli_ kya hua?? kya cheez giri??? unki awaz sun kar aur unhe dekh kar kiran ki jaan me jaan aai.. kya hua beta!!tumhari tabiyat to theek hai?? kiran ka khaufzada chehra unhe bhi pareshan kar gaya. woh use sambhalne
ko fauran age badhi..kya hua kiran ko? usi lamhe sawera sidhiyan falangti hui neeche aai to maujooda surate haal dekh kar khud bhi ghjabrai . main gulucoz lekar aati hoon. sawera fauran kitchen ki taraf lapki.gulucoz mila pani pikar uske hosh o hawas thikane par aaye. zaroon ne tez nazron se mahed ko ghura to woh apni muskurahat daba gaya.
theek hai uper hokar baith jaokiran!!. sawera narmi se boli fir choki_ are ye plate kis ne todi hai aur kya tha isme?. ek dam uski nazar udhar gayi thi . yeh tumhari dost shayad kuch layi thi tumhare liye bus paon fisla platen neeche...mahed ne jhoot ka sahara liya to kiran ko hairat ka jhatka laga. toot gayi to fir kya hua beta!!
tumhe to koi chot nahi aai?" zareena aunty ne fiqrmandi se pucha to woh mushkil se sar hila payi. sawera utho! kirchiya utha kar dustbin me dalo kisi ke paon me na lag jaye. unke hukm par sawera fauran uth gayi."lo ta a ruf karwana to yaad hi nahi raha...ye mera beta hai zaroon aur bhanja hai mahed...dono ne mil kar naya naya buisness
start kiya hai.isliye ghar me kam hi tikte hain.aaj khushkismati se dono launch par a gaye hain.aunty khushi khushi bata rahi thi."aur main badkismate se idhar aa gayi."kiran jal kar socha."kaisi hain aap? mahed ki khushakhlaqi dekhne ke qabil thi.zaroon ko hansi aane lagi."theek hoon"kiran ne ek teekhi nazar us par dali."main chalti hoon"
aur rukne ki usme himmat nahi thi."baitho beta!khana khake jana"zareena use rokne lagi."shukriya aunty!mai khake aai hoon.bhabhi ki tabiyat theek nahi.unhe jaa kar dawai khilani hai.mai 2 minute ka kah kar aai thi"."achcha chalo mai sham me aaungi shabana ka puchna karne".unhone kaha to woh ek teekhi nigah un dono par dal kar aunty ko salam
karti bahar nikal gayi."har waqt darame sujhte rahte hain tumhe".zareena ke bahar nikalte hi zaroon ne mahed ko ek thappad rasid kiya to woh karah kar rah gaya."tumhara hi fayda kar raha tha bete!"usne kamar sahlate hue jataya."mera kya matlab?"zaroon ne use ghoora.yeh kya fayda kam hai ki maine tumhari jaan chuda di.warna yeh bhi sheeba ki tarah
tumhare piche pad jati."magar?"zaroon kuch sochte hue bola-"yeh ladki bahut masoom lagti hai.sheeba jaisi nahi ho sakti.""fir kya khyal hai?meri bhabhi bana do isse aunty ki bhi mushkil hal ho."mahed ne qahqaha lagaya."ab mera yeh matlab bhi nahi tha.tum hamesha ulta hi sochna."zaroon ne use ghoora magar woh maze se gungunane laga-"AAYE HO MERI
ZINDAGI ME TUM BHAR BANKE .""ab zaroon ke haath the aur bechare mahed ki gardan...
41