( RTMC ff )
Part 2
Recap:
Veer: par kya maa? apne mujhe bina bataye meri zindagi ka itna bada faisala kar liya? Kyon maa? Aap hi to kahtin hai mujhe apne dil ki sunane ke liye aur mera dil kehta hai ki main abhi iss sab ke liye taiyaar nahi hoon... mere par dabav mat daliye maa...
(Nivriti has tears in her eyes)
*************************************************
Veer's room
Nivriti: Tumhe kya lagta hai Veer ki mai iss sabse khush hoon? Meri majboori ko samjho beta...
Veer: Maa aise kya majboori hai jiske liye aap mere saath aisa kar rahin hai? Aap to aisi nahi thi? Aryavardhan Mamaji ka to phir bhi samajh sakta hoon, par aap?
Nivriti: Beta Meri majbboti hai tumhare pitaji ka diya hua vada... aaj se 17 saal pehle, tumhare janam par bade bade raja maharaja tumhare Janam din ke jashn mein shamil hone ke liye Rajpur aye thay. Un mein se ek thay Maharaj Rudrapratap. Woh apni patni aur betiyon ke sang yahan aye thay... us samay tumhare pitaji aur maharaj rudrapratap ne ananya aur tumhara rishta paka kar diya taki Sumaina aur Rajpur ke rishtey aur bhi mazboot ho jayen. Saath hi saath bhaiya ne maharaj Rudrapratap ki badi beti Siya ka rishta Dharan se paka kar diya.
Main iss baat se anjaan thi , mujhe bhi kuch din pehle bhaiya ne bataya. Bhaiya ko laga ki mujhe tumhare pita ne sabkuch bata diya hoga. Par shayad unko yeh bataneka mauka hi nahi mila kyonki tumhare jandamdin ke kuch hi dinon baat unki mrityu ho gayi...
Par main tumhare pitaji ko achi tarah janti hoon, woh ye hargiz nahi chahte ki unka koi bhi vachan tumhari khusiyan cheen le. Is liye mere bache main yeh chahati hoon ki tum sirf ek baar Sumaina jakar Rajkumari Ananya se mil lo aur agar woh tumhe achi lagi tab hi tumhari shaadi hogi. Main tumhe vachan deti hoon ki agar woh tumhen pasand nahin ayi to mein kisi ko bhi tumpar dabav nahin daalne doongi. Bhaiya ko bhi nahi. Tum aur Dharam kal subhe hi Sumaina ke liye nikal jaana.
( Veer had tears in his eyes, his heart was full of gratitude for his mother )
Veer: Maa aap bahut achi hain, aur isliye jaisa aap chahti hain waisa hi hoga. Main Raajkumari Ananya se mile bigair iss shaadi se na nahin kahoonga.
Nivriti: Mujhe tumpar garv hai mere bache. Ab chalo jaldi se so jao . Tumhe aur dharam ko kal subha jaldi uthna hai.
( Nivriti left the room and Veer slept peacefully. All his misunderstandings were clear. He thanked God for giving him such a wonderful mother.)
*************************************************************
WILL UPDATE SOON. PLZ LEAVE YOUR COMMENTS AND SUGGESTIONS...😊
27