SUPERMARKET:
Raj ne apne hath me ek packet pakad rakha tha aur badi der se kabhi usse to kabhi apni godh me chadhi hui bachhi ko gaur se dekh raha tha... PRIYA thodi chidi hui aur thodi si amused lag rahi thi...usne hath laga kar Raj ke hath se wo packet gira dia...!!
RAJ: Beta aise nahi karte...
Tabhi ek sales woman jo adhe pone ghante se unki harkaten dekh rahi thi aage aayi. Usne muskurate hue Rajeev se pucha... "Sir... aap thode confused lag rahe hain...kya mai aapki help kar sakti hun?"
Raj shayad thoda jhenp sa gaya tha.. kyunki ye wahi family store tha jahan wo humesha apne ghar ka samaan lene aaya karta tha...apni ma ke sath. Usse samajh nahi aa raha tha ki yahan ke log achanak se usse ek bachhe ke sath dekhkar kya soch rahe honge. WO to kismet uski achhi thi jo ye sales girl nayi dikh rahi thi...warna ab tak uss par sawalon ki aisi barsaat ho chuki hoti ki usse bachne ke liy uske paas koi chara nahi hota.
Raj ne wo list uss sales woman ke hath me pakdai... Naina ne kaafi detailed list banai thi jo ki pure bachhon ke samaan se bani hui thi. Aur uske upar se order de rakhe the ki bachhi ke liye kuch dresses lete aaye ... aur wo bhi cotton ke. Raj ne list me kuch ghar ka samaan jodne ki sochi aur baby shopping ka bhar uss sales girl ko dekhkar khud dusre section ki taraf chal diya.
Tab tak PRIYA kaafi chidi hui lag rahi thi... wo baar baar idhar udhar dekh rahi thi. Tabhi usse chocolates ka section dekha aur uski nazar wahin atak gayi. JAise hi Raj wahan se guzra, PRIYA ne lapak kar apne hath me 2-3 choclates utha liye. Raj ne jab dekha to wo usse dekhkar muskurane lagi.
Raj ko uski muskaan bahut pyari lag rahi thi. Usne socha ki Naina ne uska naam kaafi sahi diya hai... Bachhi sach me bahut pyaari thi... Aas paas ke customers bhi Raj aur bachhi ki harkaton ko dekhkar muskura rahe the. Raj ne kuch nahi kaha... PRIYA ko usne ek counter pe bithaya aur wo chocolate ka wrapper nikal kar use khilane laga... Iske kharib 1 ghante baad jab Raj store se nikla to uske haath me packets the... ek bachhi ke zaruraton se bhara tha, dusra ghar ka ration tha aur teesra sirf aur sirf chocolates se bhara hua tha.
~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj karib 3 ghante ki kadi mehnat ke baad ghar lauta tha. Uske ek hath me PRIYA ko utha rakha tha aur dusre hath me packets hi packets bhare hue the. Usse aisa lag raha tha ki agar wo ek kadam bhi aage badha to wo gir jayega. Subah se usne kuch nahi khaya tha aur ab 3 bajne ko the. Jab usne bahar PRIYA ko khana khilaya to socha ki khud bhi kuch kha le'fir Naina ka khayal karke ruk gaya' pata nahi bechari kya kar rahi hogi. Subah se kaafi depressed lag rahi thi aur upar se ek nayi jagah par ek nayi responsibility me adjust karna koi asaan kaam to hai nahi. Aur ye baat to wo bhi manta tha ki uske ghar ki jo haalat thi koi bhi usse bina saaf kiye reh to nahi sakta. Uske parents ki death ko do hafte hi hue the aur wo unn do hafton me itni buri tarah tut gaya tha ki uska kisi cheez pe dhyan nahi tha.
Usne bell bajayi aur deewar se satke darwaza khulne ka wait karne laga. Karib 5 min baad Naina ne darwaza khola. Usse dekhkar thodi der ke liye dekhti reh gayi fir fauran uske haath se sare packets le gayi.
THake hue kadmon se Raj ne jaise hi ghar me pehla kadam rakha uska muh khula ka khula reh gaya. Ghar puri tarah se badal gaya tha. Naina ne pura ghar saaf kar diya tha. Cushions and sofa cover ke sath sath parde bhi badal diye the.. Na jane kahan se dhund kar nikala tha usme.
Ghar me ek bhini si khushboo chai hui thi.. Raj ke kadma apne aap usse khinchte hue bedroom me le gaye. Uska pura bedroom saaf ho gaya tha. Bedsheet, pillow covers sab kuch badla hua tha. Sare maile kapde gayab the. Almirah thik thak tarike se band the. Bed side table pe uske parents ki choti si tasveer rakhi hui thi.
Wo paas ke puja room me gaya. Wahan jalte diye ko dekhkar usse Naina ka dhyan aaya. Wo palta Naina ko dhundne ke liye' wo usse uske kamre ke bahar khadi dikhai di. Thodi dari hui nazron se wo usse dekh rahi thi. Usne ek red colour ki full length skirt ke sath white and red colour ki t ' shirt pehni hui thi. Uske baal gile the jise usne khol rakha tha.
Thoda sa muskurate hua Raj ne usse andar aane ka ishara kiya.
NAINA: Wo maine aapse bina puche hi'.
RAJ: Ma aur baba ke guzarne ke baad aaj bahut dino baad aisa lag raha hai ki mai ghar pe aya hun. Warna roz to apni thakan mitane ghar naam ke iss hotel me aya karta tha.
Uski awaaz me dabe dard ko Naina bakhubi mehsus kar rahi thi. Wo iss dard se anjaan nahi thi' bas uske dard ki rup rekha alag thi.
NAINA: Ap naha lo'mai khana lagati hun.
RAJ: Tumne khana bhi ban alia?
NAINA: Haan'mujhe bhuk lagi thi'aur fir laga ki aapne bhi to kuch nahi khaya hoga na'
Raj thoda sa muskuraya. Fir PRIYA ko uski god me dete hue kaha: "Isse maine thoda sa kuch to khila dia tha' isse khila do'tab tak mai nahake aata hun."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Naina apne kamre me chup chap baithi thi. Raj ne usse apne parents ka room de rakha tha.Khana khane ke baad usne PRIYA ko apne bed pe sula diya, par khud so na saki. Uski ankhon ke aage uska ateet ek chalchitr ki tarah apne rang badal raha tha. Na jane kis pal usne uss insaan ka muh dekha tha' aisa usi ke saath hi kyun hua.
Sochte sochte sham ho gai. Kitchen me se kuch bartan khadakne ki awaaz aayi to wo uth kar baith gai. Kuch sochte hue wo room se bahar nikli aur kitchen ki taraf badhi.
NAINA: Aap kya kar rahe ho?
RAJ: Chai bana raha hun.
NAINA: Kya???
Raj muskurate hue palta. Uske hath me tea tray par do cup chai aur kuch biscuits rakhe hue the. "Tumne subah ka khana banaya tha to maine socha ki atleast chai to mai bana hi dun."
Naina bas chup chap khadi usse dekhti rahi aur wo chai ka tray leke drawing room ki taraf badh gaya. "Ghabrao nahi aa jao' chai mai achhi bana leta hun. Tumhe isse piker kuch nahi hoga'"
Naina thoda chup rahi aur fir dhire se aake uske paas ke sofe pe baith gayi. Thodi der tak dono khamoshi se baithe rahe' fir Raj ne palatkar uski taraf dekha. Wo chup chap baithi khidki ke bahar dekh rahi thi.
"Kya soch rahi ho?"
Naina ne bas na me sar hila diya'boli kuch bhi nahin' Raj shayad uski uljhan samajh raha tha' isliye wo chup raha'
Raj: Apni naukri ko lekar pareshan ho??? Itna socho mat'thoda aaram se kaam karo' thoda time lagega par jaldi hi naukri mil jayegi' tab tak mai hun yahan pe'don't worry."
Naina khidki ke bahar dhire dhire fail rahe andhere ko dekh rahi thi' usse apni zindagi bhi waisi hi lag rahi thi.
Raj: Apni zindagi ko raat ke uss andhere se equate mat karo' har andheri raat ke baad ek naya savera aata hai' tumhari zindagi bhi ek nayi karvat jaldi hi legi'
Naina: Aapko pata kaise chala ki mai kya soch rahi hun?
Raj ne halke se muskura diya' fir kaha' "Mai zindagi ke inn utar chadhawon se guzar chukka hun Naina'isliye samajh sakta hun ki tum par kya beet rahi hogi' zyada socho mat' relax'"
Naina: Ek baat puchun?"
"Haan pucho'"
"Aapne bataya tha ki aap ek call centre me kaam karte hain.."
"Haan' to??"
"Maaf kijiyega'par aapka room saaf karte waqt mujhe aapke room se aapke post graduation ke certificates aur marksheet mile the' Aapke paas to journalism me degree hai'fir aap call centre me kya kar rahe hain'?"
"Kismat khinch laya'aur kya keh sakta hun?"
"Aisa kyun keh rahen hain?"
"Lambi kahani hai' fir kabhi sunaunga' filhaal ek jaruri baat hai'wo to batao'"
"Kya???"
"Kab tak hum bachhi ko PRIYA bulate rahenge'.jabki hume uska asli naam pata hai'"
"Haan' aur fir usse school me bhi to daalna padega'"
"To kya Karen?"
"Mai soch rahi thi ki school me admit karwate waqt uska asli naam dete hain' aur rahi baat humari to jo aap ko achha lage wahi bula lijiye'"
"Hmmm'good idea'. Par mai to PIYA bulaunga usse' PRIYA ka thoda sa changed version'"
Naina hass di' Raj bhi hasne laga'fir kaha' "Achha ek baat batao'ye kab tak tum mujhe aap karti rahogi'.subah to pahadi ki choti pe tum bula rahi thi'.ab kya ho gaya???"
Naina thoda sa sharma gayi'par fir usne khud pe kabu rakha aur kaha'"Thik hai'sochti hun'jo achha laga waise hi bulaungi'"
Aur wo uthkar chali gayi'
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Raj ka apartment ke opposite me ek aur apartment tha' Uski parking lot me ek car aake khadi hui' uski driving seat se kala trouser aur kali shirt me saja hua ek aadmi nikla' sham ho chuki thi par usne dhup ka chashma abhi tak utara nahi tha' Sar par ek kale rang ki topi thi.
Wo tez kadmon se entrance ki taraf badha' gate pe khada security guard usse dekhte hi apni chair se khada ho gaya aur ek salute thoka' Uss aadmi ne apna sar halka sa hila dia... aur lift ki taraf badh gaya...
6th floor me ek flat ka darwaza khula... par kisi ne light nahi jalayi. Bas wo aadmi tezi se bedroom me ghus gaya... ek halki si awaaz hui...usne shayad almari khol ke kuch nikala tha... fir bedroom ka window khula... saamne ki flat ka drawing room saaf dikh raha tha..jahan ek aadmi aur ek aurat baith ke baaten kar rahe the... unke saamne table pe cups rakhe hue the...shayad abhi abhi unhone chai pi thi...
Uss aadmi ne durbin apni ankhon se lagai aur uss drawing room ko dhayn se dekhne laga...!!!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Edited by PrincessFlavia - 13 years ago
286