" Nainaaa!! tum yeh mujhe...", Raj screamed while being pulled towards the hospital entrance, " KAHA LEKAR JA RAHI HO TUM MUJHE !!???"
She gave him a look...
" Dikhayi nahi deta ya tumhari moti buddhi ko yeh samajh nahi aata?"
" Excuse me??", Raj asked bewildered.
" Tum chahte ho na main chali jaun?", she asked him trying to be unemotional, " Chali jaungi main…lekin tumhare MRI ke baad."
" Tum mujhe force nahi karsakti."
" Bilkul karsakti hu."
He yanked her closer…
" Kis haqq se haan? Kis haqq se?", he said quite harshly.
She too stared back and said in firm voice…
" Haqq…! Haqq toh hai…mujhe haqq hai. Dosti ka haqq…hamdard hone ka haqq ….", she held his hand gently, " Aur tum yeh test karwaoge…Apne marzi se na sahi, Apni Zimmedari ke khatir…"
" Zimmedari??"
" Hmm…", She smiled, " Main aur Piya….Hum tumhari zimmedari hai…Tumhari life mein jo kuch hota hai, uska seedha asar hum dono par bhi padega, yaad rakhna! Agar tumhe kuch hogaya toh…. Piya.."
He smirked sadly…
" Agar mujhe kuch ho bhi gaya, toh tum Piya ka bahot achchese khayal rakhogi, main jaanta hun."
" Aur mera khayal Raj?", Naina asked at once.
Raj ko uski awaz bhari lag rahi thi.
" Mera khayal kaun rakhega Raj? Main toh akeli ji rahi thi na…fir tum aaye…aur…", Naina ne apne aansu chupane keliye apna muh fer liya….
Raj ne halke se apna haath Naina ke kandhe par rakha…Aur usse apni aur moda…
" Raj…", Naina said with great difficulty.
" Shshh…", He put his finger on her lips, " Chalein….appointment ka time hogaya hai."
She nodded…
Raj stared on at her as they walked towards Ritu's cabin….
Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Ritu got up abruptly from her chair…too shocked to react !
She couldn't believe, Naina managed to bring Raj here.
She ran upto Naina and hugged her tight, while she laughed at her reaction. Raj looked on at Naina's relieved laughter…
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
" Arey Waah Raj !!! Mere itna kehne par bhi nahi maane ..! Aur Naina ne kaha toh maan liya !!", Ritu said faking annoyance, " Not fair !!"
But Raj ka toh jaise dhyaan hi nahi tha…He was looking at Naina nonchalantly.
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
" Raj !!", Naina shook him a little..
" Huh???"
Ritu shook her head and directed them towards waiting area of MRI department, where his case history was to be taken…
Ab hai saamne
Ishe chhuu loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraaa
As they walked, Naina sensed his nervousness…
Usne dheere se Raj ka haath thama…. Raj looked at her surprised…Ek ajeebsi khushi…ajeeb sa sukun mehsus karr raha tha woh….
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraa
Raj changed into hospital clothes and sat besides Naina as they waited for his turn...
Naina was sitting, holding his hand firmly, all throughout the wait…passing him whatever confidence she could….
Hoo abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Raj kisi soch mein dooba hua tha…jaise usse waqt aur jagah ka hosh hi na ho….
Aur na usse iss baat ka hosh tha…ki koi usse nihaar raha hai…
Naina jaise iss har ek pal ko apne andar sama lena chahti thi…jaise woh Raj ki chavi ko apni aankhon mein basa lena chahti thi…hamesha keliye…
Kitni akeli thi who apni zindagi mein…aur iss akelepan ka ehsaas us tab hua jab Raj uski zindagi mein aaya…nahi…who Raj ki zindagi mein aayi…nahi..nahi…yun kehlo ki woh dono ek dusre ke zindagi mein aaye…
Ek dusre ki zindagi ka atoot hissa ban gaye….
Lekin shayad woh iss baat se ab bhi anjaan thi…ki Raj bhi aisa hi kuch soch raha hai….
Dor se tooti patang jaisi
Thi yeh zindagaani meri
Aaj hoon kal ho mera naho
Har din thi kahaani meri
Ritu Raj ko lene waha aayi….Raj MRI room mein jaane keliye khada hua…Saath saath Naina bhi khadi hui…
Jaise hi Raj ne room mein enter karnekeliye kadam badhaya, toh Naina ne kass ke uska haath thaam liya…
Raj muda…Naina ki ore…
Naina ki aankhon mein wahi dard tha…jo iss waqt uski aankhomein tha…aur saath saath uss ek darr dikhayi de raha tha… shayad…
Raj ne jaise uska haath chudana chaha, toh Naina ne usse aur bhi kass ke thaam liya…
" Rr..Raaj…"
Jaise woh usse jaane hi nahi dena chahti…
Ek bandhan naya peeche seh ab mujhko bulaye
Aane wale kal ki kyun fhikar mujhko kyun sataa jaaye
Ritu smiled…
" Naina…agar tum chaho toh tum bhi andar baith sakti ho…just that for a precaution tumhe apne ears mein cotton plugs daalne honge…."
Raj looked at Naina as she smiled at Ritu gratefully.
Ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera
Raj felt dizzy with the happiness as he lied down in the MRI counsel…with Naina sitting nearby at a distance on a chair…
Ab hai saamne.. isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya roh loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara
They were done with the test…
Ritu pushed her buttons and requested the radiologist to look into it immediately…
They would wait for the official report…but if they could just know….
She asked Raj and Naina to wait in her cabin.
Raj observed Naina as she was sitting nervously….
He smiled… Usse Naina ka care karna achcha lag raha tha…
Hoo... dhoop mein jalte hue tann koo
Chhaya pedh ki mil gayi
" Pehle toh badi jhansi ki Rani bann rahi thi…ab kya hua ?"
Naina ko uska mazak achcha nahi laga…usne gusse se Raj ke paas dekha..
" Ab aise ghurne se kya faida? Test toh tum karwa chuki ho ! Main jaanta hun ki kis tarah maine apne aap ko sambhala hai inn dino mein….Meri samajh mein nahi aata, ki baar baar meri maut ka farmaan kaunsa sukun pohochayega tumhe aur Ritu ko?"
Aur isse pehle ki woh kuch aur keh paata, ek zordaar tamacha pada uski gaal par…
Naina was shivering with rage !
" KUCH NAHI HOGA TUMHE, SAMAJH GAYE TUM ?", she screamed.
" Arey…dheere…", Raj apna gaal sehlate hue bola, " Yeh hospital hai..aisa chillana yaha allowed nahi hai…"
" You are Impossible !!"
And she turned her back to him, to hide the tears flowing from her eyes…
Raj pulled her into hug… A hug to comfort both of them…
" Darr gayi? Arey agar tum darr jaogi toh mujhe haunsla kaun dega?? Aur ghabrao matt…ab toh mujhe pura yakeen hai ki mujhe kuch nahi hoga…! Tumhare iss roop se toh bhagwaan bhi darr gaya hoga!"
Naina ki hassi nikal aayi…aur woh dono betahasha hasne lage…
Roothe bacche ki hansi jaise
Phuslane se phir khil gayi
Kuch aisa hi mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai
" RAAAJJJ", chillati hui Ritu andar ghusi..
Raj ne jhat se Naina ka haath thaam liya… usse uske sahare ki sakht zaroorat thi…
Naina ne apni aankhe kass ke bandh karli…
Raj ne dekha Ritu ko…
Uske chehre par hassi aur aansu ka ajeeb combination tha…
" Ritu…"
Ritu suddenly hugged him tightly.
" Idiot.,..dufferr…nahi maante na meri baat ! Jaante ho main kitna pareshaan thi?? Par tumhe meri fikar kyun hogi? Tum toh apni hi duniya mein raho..… Ritu pareshaan rahe toh rahe…! uski zindagi hell bane toh bane !"
Raj aur Naina ki samajh mein nahi aaraha tha ki exactly hua kya hai…
Naina asked Raj to wait…let Ritu calm down first…
When suddenly Ritu hugged Naina…
" Thank you…thank you…thank you sooo much !!! Iss gadhe ko yaha tak laane keliye…"
Naina ritu ki ore hairani se dekh rahi thi….usse bass woh sunna tha jiski prarthna woh bhagwaan se har pal kar rahi thi…
" Nahi samjhe??" , Ritu asked wiping her tears, " pagal…tumhare reports normal hai !!!"
" KYA???", Raj and Naina screamed at once, while Ritu nodded happily !
Kuch aisa asar ,
Iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha meraa
" Parr…yeh kaise..i mean…pehle waali report mein toh…"
" Batati hu…jaise hi hamare radiologist ne kaha ki tumhare brain mein tumour ka namonishan nahi hai…toh maine tumhare pehle waale hospital mein contact kiya…unse puchne par unhone bataya ki waha stored report ke mutabik tumhe brain tumour hai… fir maine unse request ki woh unke system pe stored tumhara previous test firse dekhe..toh pata chala ki woh normal hai!! Galati se tumhe kisi aur ki films di gayi thi…!"
Raj didn't know what to do…He looked at Naina, who was crying incessantly….
He felt Ritu's hand on his shoulder…
" Sambhalo usse Raj…", she said, " usse iswaqt tumhare sahare ki zaroorat hai….main kuch der mein tumhe cafeteria mein milti hu.."
And she left the room…
Raj walked upto Naina…
Usne dheere she uska chehra thama…aur uske aansu poche…
" Raj…" , Naina said only this much and the next moment Raj took her in a crushing embrace…
Ab hai saamne.. isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loo zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Edited by PrincessFlavia - 13 years ago
293